Unknown Target...........masoom

by Masoom Shahzada on August 13, 2012, 03:29:02 AM
Pages: 1 ... 12 13 14 15 [16] 17 18 19
Print
Author  (Read 36825 times)
masoom shahjada
Guest
«Reply #225 on: November 25, 2012, 12:17:19 AM »
Update 100
Quote
"Malom nahi" Kahta huaa Shaan ghar me daakhil ho gaya

Shaan ka jawaab sunkar Rani aur Sikandar hairat se Shaan ko dekhte rahe. Fir Rani bhi Shaan ke piche-piche ho li to Sikandar bhi Vikraant ko dhakelte huye andar le jaane laga
.
Shaan ak room me daakhil ho gaya, piche-piche Rani, Vikraant aur Sikandar bhi usi kamre me aa gaye. Shaan ne Vikraant ko dhakka dekar Bed pe giraya. Fir Shaan aur Sikandar dono ne milkar Vikraant ke pero ko bhi rassi se baandh diya.
.
Aur Vikraant ko waheeN usi kamre me chorkar teeno baahar aa gaye. Shaan ne Rani aur Sikandar ko Karan ke ghar jaane ko kahaa. Aur apni pocket se apna mobile nikala to dekha Sanjana ki 5 aur Karan ki 3 missed call aayi huee thi. Sanjana ka ak message bhi aaya huaa tha. Shaan ne us mesaage ko open kiya..."Shaan tum kahaaN ho. MaiN bahut pareshaan ho rahi huN. Park aur aas-paas har jagah tumko dond(search) liya par tum kaheeN mil hi nahi rahe ho. Aur tum call kiyoN reject kar rahe ho. Tum theek to ho na? Mujhe tumhari bahut fikr ho rahi hai"
.
Sanjana ka message parkar Shaan ko khud par kuch pal afsoso bhi huaa ki uski wajah se uski bhabhi kitni pareshaan ho rahi hai. Par abhi uske paas ye sab sochne ka time nahi tha esliye usne jald hi Sanjana ki taraf se apna dhayaan hataya. Aur apne mobile par general profile activate karne ke baad Karan ko call lagaee. Pahli bail par hi Karan ne call recieve kar li aur fikarmandi se bola..."Shaan tum kahaaN ho. Tumhaari wajah se tumhaarii bhabhi bahut pareshaan ho rahi hai"
.
"Tum abhi Delhi ja rahe ho. Aur ye baat kisi ko bhi nahi batani hai, Anita, Dev aur Rahul ko bhi nahi. KyoN, ye tumhe tumhaare ghar pahunchne pe malom ho jaayega. Jald se jald apne ghar pahoncho"Shaan Karan ki baat ko najar andaaj karte huye bolta raha aur apni baat khatam karke Karan ko kuch pochne ka mauka diye bina hi call disconnect kar di.
.
Call disconnect karne ke baad Shaan jaldi se waapis usi room me aa gaya jahaaN Vikraant bed pe bandha paraa tha. Shaan Vikraant ke paas aakar kharaa ho gayaa.
.
Vikraant Shaan ko ghorne laga. Kuch der Shaan ko ghorte rahne ke baad Vikraant kuch unchi aawaaj me bola..."Tu hamaare piche haath dhokar laga huaa hai. Jabki Boss tujhe bachana chaahta hai. Aakhir tujhme aesi kyaa baat hai. Tera Boss se kyaa rishta hai"
.
"Abe saale aahista bol, marwaayega kya. Sikandar baahar hai. Agar usne ye sun liya to banaa banaaya kaam bigar jaayega. Teri tarah maiN bhi Boss ke liye kaam karta huN" Shaan ne ghabraakar jaldi se Vikraant ke monh pe haath rakhkar bahut dhimi aawaj me kahaa
.
"Agar tu mere hi Gang ka hai to fir tu ne us din mujhe mara kyoN tha aur fir Hospital me Sikandar se meri nigraani kyoN karaa rahaa tha. Aur kal mere 12 logoN ko arrest kyoN karwa diya tha" Vikraant na-aetbaari se bola, par es baar uski aawaaj bhi etni dhimi thi ki uski aawaaj kamre se baahar nahi ja saki thi
.
"Ye sab ek plan ka hissa tha. MaiN kisi ko apne jaal me fasana chaahta tha. Agar saaf-saaf kahuN to ye sab informer ka pataa lagane ke liye karna par rahaa hai. Fir bhi maine ab tak jo bhi tere saath kiya hai uske liye sorry bolta huN" Shaan sanjidgi se bola
.
"Hamara gang tu ne kab join kiya tha" Vikraant ne pocha
.
"Police Force join karne se 2 ya 3 mahine pahle Kamal se mulakaat huee thi. Fir usi ne mujhe ye gang join karwaya tha. Par tu es gang me kaise aa gaya"
.
"Mujhe Vicky ne ye gang join kawaya tha"
.
"Aaj kal to hamaara gang bikhar sa gaya hai" Shaan udaasi se bola
.
"HaaN Yaar, Kamal aur Red 001 ki maut ke baad se to gang ke saare kaam lagbhag band hi ho gaye hai. Saare kaam we hi dekhte the. Ab Boss mujhe Kamal ki aur Vicky ko Red 001 ki jagah dena chaahta hai. Par usse pahle Boss informer ki maut chaahta hai"
.
"Informer ki maut ke pal to ab kareeb aa rahe hai. Use maiN etni buri maut maronga ki maut bhi kaamp uthegi" Shaan darindagi se bola. Aur fir kuch pal chup rahne ke Vikraant se pochne laga..."Wese pichle 6-7 dino me tumne kyaa-kyaa kiya hai"
.
"Shani Malhotra ko goli maarne aur tumhara locket uski laash ke paas chorne ke alawa kuch khaas nahi kiya" Vikraant ne jawaab diya
.
"Tumne mera locket Shani ki laash ke paas kyoN chora tha" Shaan ne pocha
.
"Boss ne aesa kahaa tha"
.
"Yaar, ye Boss bhi kabhi kisi ko kuch nahi batata"
.
"HaaN Yaar, par shaayad ye Boss koi bhoot hai. Jo ham kuch bhi kare kaheeN bhi jaaye ese malom ho jata hai" Vikraant ne hanskar kahaa
.
"HaaN yaar kah to tu bilkul sach rahaa hai. Waise kyaa tu jaanta hai ki ye Boss kaun hai" Shaan ne pocha
.
"Nahi yaar mujhe nahi malom. Aur na hi kabhi ye jaanne ki koshish ki. Kyonki jo bhi ye jaanne ki koshish karta hai. Wo jinda nahi bachta. Meri baat maan tu bhi es lafre me mat par" Vikraant bola

-----------------
(Jaaree...)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
My mind sails, through an unknown sea! by abdbundeli in English
Na Kamal-e-Fun Hi Mila Mujhe - Not Mine (Shayr Unknown to me) by fernsk in Shayri-E-Dard
A shared poetry-writer unknown by tamanna1 in Share:Love Poetry
apnay badlay huway lehjay ki wazahat karna- Unknown by ghayal_shayar in Urdu Poets « 1 2  All »
saathoN ki kasoor ho geya--Unknown by ghayal_shayar in Pain in Love : Punjabi poetry
masoom shahjada
Guest
«Reply #226 on: November 26, 2012, 05:23:28 AM »
majaak accha karte ho..
jab dono taraf ho to...
very intelligent.
bekaar me pitva diya? uske revolver ki goliya khatam ho gayee thee kya?  ya khaali haath ladne me mahaarat hai use?
Shaan ka jakhmi hona shaayad jarori tha
really interesting.
carry on.


Sukriyaa
Logged
aqsh
Guest
«Reply #227 on: November 26, 2012, 06:36:43 AM »
update 40 tak padha hai keep writing very nice and interesting
Logged
aqsh
Guest
«Reply #228 on: November 27, 2012, 03:24:15 PM »
update 46 keep going
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #229 on: November 29, 2012, 10:20:21 AM »
update 40 tak padha hai keep writing very nice and interesting
update 46 keep going
Thanks
Logged
aqsh
Guest
«Reply #230 on: December 04, 2012, 11:02:26 AM »
good going masoom abhi update 66 hi padha but really interesting one. update 62 ke woh sher bahut achche lage main bhi bhura nahi hota,woh agar bewafa nahi hota. likhte raho
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #231 on: December 05, 2012, 03:49:04 PM »
Update 101

Quote:
"Nahi yaar mujhe nahi malom. Aur na hi kabhi ye jaanne ki koshish ki. Kyonki jo bhi ye jaanne ki koshish karta hai. Wo jinda nahi bachta. Meri baat maan tu bhi es lafre me mat par" Vikraant bola 


"Khair... Ab mera shikaar aata hi hoga. Esliye mujhe tumhaare monh aur aankho pe patti baandhni paregi. KaheeN use dekhkar ya uski baateiN sunkar tumhaare monh se kuch nikal gayaa to mere saare plane ki waatt lag jaayegi.... Aur haaN usse mujhe sach ugalwaane ke liye tujhe thora bahut maarna bhi par sakta hai. Uske liye me advance me sorry bolta huN" Shaan ne kahaa aur uthkar cupboard kholne lagaa
.
"Yaar tu tension bahut leta hai. Tu bindaas hokar apna kaam kar. Ye sab to chalta hi rahta hai" Vikraant hanste huye bola
.
Us cupborad me kisi larki ke kapre the. Shaan ne usme se do dupatte nikaale aur Vikraant ke paas aa gaya.
Fir Shaan ne ak dupatte se Vikraant ko monh pe es tarah bandha ki agar wo chaahe to bhi uski aawaaj na nikal sake aur dosre duppate ko uski aankho par baandh diya.
.
Ye sab karke Shaan room se baahar aakar ghar ke sahan ne thahalne laga. Wo soch rahaa tha ki 7 Star Gang ka Boss usse chaahta kya hai. Vikraant ki baato se to lag rahaa hai ki Vikraant aur dosre log mujhe maarna chaahte par enka Boss meri jaan bachaa rahaa hai. Par kyoN..... Aakhir kyoN. Kyaa wo soch rahaa hai ki maiN enhe informer tak lekar jaaoNga... Nahi.... Nahi etni si baat ke liye wo mujhe nahi bachaa rahaa hoga... Baat jaror kuch aur hogi...
.
Yaa Vikraant mujhe confuse karne ke liye ye sab jhot bol rahaa hai. Par esne jitni aasani se surender kar diya wo bhi sochne waali baat hai. Aur esne jo bhi bataya hai. Wo sach hi bataya hai. Par esne jo bataya. Wo sab to maiN pahle se jaanta tha. Esse bhi koi nayi baat maloom nahi ho saki hai.
Ese pakara bhi bekaar hi rahaa. Aakhir es Ganag ka Boss kaun hai
.
KaheeN Vikraant ne wo baat jhot bol kar baaki sab sach-sach mujhe jaan-bujh kar to nahi bataya hai. Par eske andaaj se to nahi lag rahaa tha ki ye jhot bol rahaa tha. Kyaa ye bhi meri tarah hi etni saandaar acting kar rahaa tha. Aakhir sach kyaa hai?
.
Khair ye sab baad me sochuNga, pahle Riya se baat kar leta huN. Riya ka sochte hi Shaan ke chehre pe ek pyaarii si muskuraahat aa gaee. Shaan ne Riya ka number dial kiya.
"Hello" Riya ki pyaari si aawaaj Shaan ko sunaayi di
.
"Kyaa haal hai jaan-ae-man" Shaan shokhi se bola
.
"Kaun...... Shaan.... Aap Shaan bol rahe hai na" Dosri taraf se Riya ki khushi se chahakti huee si aawaaj aaee
.
"Arre waah tumne to mujhe pahchaan liyaa" Shaan ne hairaan hone ka naatak kiya
.
"Aap theek to hai na. Ab aapke jakham kaise hai" Riya ne fikarmandi se pocha
.
"Tumhara mujhse baat karne ka dil nahi kar rahaa to mat karo...... Maine etne pyaar aur khushi se tumhe call ki thi. Aur tum na jaane kyaa-kyaa lekar baith gaee. Aakhir tum mujhe jakhmi kyoN karnaa chaahti ho. Maine tumhara kya bigara hai" Shaan ne chirne ka naatak karte huye kahaa
.
"Ye aap kyaa kah rahe ho. Aapko jakhmi karne ka to maiN khawaabo me bhi nahi soch sakti" Riya tadap kar boli
.
"Jaan tumhaari bahut yaad aa rahi hai" Shaan romantic andaaj me bola
.
"Kyaa Sach? Aap mujhe yaad karte ho" Riya ne khush hokar pocha
.
"Yaad aur wo bhi tumhe. Sakal dekhi hai kabhi apni aa'eene me. KahaaN maiN aur kahaaN tum" Shaan sanjidgi se bola
.
Shaan ki baat sidhe Riya ke dil pe jaakar lagi. Wo dard se kaampte lahje me boli..."Kyaa maiN etni buri huN"
.
Riya ke lahje me bolte dard ko Shaan ne mahsos kiya. Jisse use apne aap par afsos hone lagaa. Wo to aese hi majaak kar rahaa tha par wo paagal larki sach maan baithi thi. Wo jaldi se apne lahje ko bahut meetha bnaate huye bola..."Meri jaan tum es duniya me sabse achchi, pyaari aur masoom larki ho. Bas tumaahe andar akal(mind) ki kuch kami hai"
.
"Arre nahee. MaiN bahut intelligent huN. Aapko shaayad malom nahee, B.Tech me maine apna collage Top kiya tha" Riya masomiyat se boli
.
Shaan Riya ki es masoomiyat pe mar mita. Use Riya par tutkar pyaar aane laga. Shaan ko Riya pe etna pyaar aa rahaa tha ki wo usse apni muhabbat ka izhaar karne laga...."Jaan MaiN tumse bahut...." . Shaan ne abhi etna hi kahaa tha ki gate ko halka sa dhakka dekar koi ghar me daakhil huaa. Jise dekhar Shaan apni baat adhori chorkar jaldi se bola..."MaiN tumse baad me baat karuNga". Aur etna kahte hi Shaan ne call disconnect kar di
.
Aane waali ASP Anita thi. Wo hairat se Shaan ko dekh rahi thi. Kuch der tak Shaan ko hairat se dekhte rahne ke baad wo boli..."Tum mere ghar me kyaa kar rahe ho. Aur sabse pahli baat tum mere ghar me daakhil kaise huye"
.
"MaiN kyaa tere baap ka naukar huN. Jo tere sawaalo ka jawaab du" Shaan gusse me bola. Shaan Anita ki galat time pe entry se bahut gusse me tha.
.
"You idiot... MaiN tumhe suspend karwa dungi" Anita gusse me daant peeste huye boli

-----------------
(Jaaree...)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #232 on: December 05, 2012, 03:55:37 PM »
Update 102

Quote
"You idiot... MaiN tumhe suspend karwaa dungi" Anita gusse me daant peeste huye boli 

Anita ki baat sunkar Shaan gusse me Anita ki taraf baraa aur uske paas pahonchte hi ak jordaar thappar Anita ke gaalo pe maar kar bola..."Chup Saali bahut boolti hai"
.
Aur ye kahte hi Shaan ne Anita ki belt se uski Revolver nikaal kar apni jeb me rakh li
.
"Tu ne mujhe thappar mara, maiN teri jaan le lungi" Kahti huee Anita kisi bifri sherni ki tarah Shaan pe tut pari. Anita Shaan par laat aur ghuse barsaane lagi. Par uska koi bhi laat ya ghusa Shaan ko nahi lag pa rahaa tha. Kyonki Shaan kabhi niche ko jhuk kar, kabhi piche hat kar, kabhi indhar aur kabhi undhar hokar Anita ke waaro se khud ko bachaa rahaa tha. Fir mauka dekhkar Shaan ne ak tamachaa Anita ke gaal pe de mara.
.
Tamachaa etna jordaar tha ki Anita ki aankho ke aage taare naachne lage. Par es tamache ke lagne se to Anita pagal si ho gaee. Wo kitchen se chaaku lene ka iraada kakre Kitchen ki taraf bhaagi. Use bhaagte dekh Shaan teji se Anita ke piche bhaga aur uske brabar me aate hi Apna ek per Anita ke samne kar liya.
.
Anita diwanawaar aage bar rahi thi. Uska per Shaan ke per me uljha aur wo dharaam se monh ke bal farsh(floor) pe giri. Shaan Anita ke baalo ko pakar kar bari bedardi se Anita ko uthaakar kharaa karne laga. Jisse Anita ko etna dard huaa ki wo bari jor se cheekh parti agar Shaan ne uske monh pe apna haath na rakhkhaa hota to.
.
Anita ka dard se bura haal tha. Wo aese tadap rahi thi jaisi sukhe me machli tadapti hai. Shaan ne use baalo se kheench kar khara kar diya tha.
Shaan ne ak haath se Anita ke baal pakar rakhkhe the aur dosre haath se uska monh band kar rakhkha tha
.
"Chal apne yaar ko call karke yahaaN bula" Shaan ne kahaa aur Anita ke monh par se apna haath hata liya
.
"Yaar... Kaisa yaar... Kyaa bakwaas kar rahe ho tum" Anita dard se karahte huye boli. Tab hi Shaan ka mobile..."Ajab paagal si larki hai... Ajab paagal si larki hai" karne laga
.
Shaan ne Anita ke baal chorkar piche se uska gala pakra aur uska sar diivar se de mara. Aur dosre haath se apni jeb se mobile nikaal kar dekha. Screen par Riya ka naam jagmagaa raha tha. Shaan ne ak baar aur Anita ka sar diivaar se de mara. Es baar Anita apne pero par khari na rah saki. Wo behosh hokar niche girti chali gaee
.
Shaan ne waheeN khare-khare call recieve ki..."Aapne call kaat kyoN di thi" Dosri taraf se Riya bari muhabbat se poch rahi thi
.
"Babu maiN aapse baad me baat karunga" Shaan ne bhi pyaar se jawaab diya
.
"Nahi mujhe to abhi baat karni hai. Mujhe aapse baat karna bahut achcha lag rahaa hai" Riya jiddi lahje me pyaar se boli
.
"Agar aesi baat hai to karo kyaa baat karni hai" Shaan ne ak gahri saans lekar kahaa
.
"MaiN kyaa karuN. Aap hi karo na koi baat" Riya bholepan se boli
.
"Tumhara BF Sameer kaisa hai jisse tum pyaar karti ho" Shaan ne socha ye aakhiri faans bhi nikaal li jaaye ki kyaa Riya sach me Sameer se pyaar karti hai ya us din mujhse jhot bola tha
.
"MaiN Sameer se pyaar nahi karti" Riya ne jaldi se jawaab diya
.
"Aur kisse karti ho" Riya ka jawaab sunkar Shaan sab samjah chuka tha fir bhi anjaan bankar pochne laga
.
"Jisse pyaar karti huN. Usi se baateiN kar rahi huN" Riya ne sharmaate huye kahaa
.
Tab hi Anita jo behosh hone ka naatak kar rahi thi, usne apni aankhe kholi aur jameen pe pare-pare hi ak laat Shaan ke per par maari. Shaan ne Riya ki baat ka jawaab na dekar Anita ko ak jordaar laat maari, jisse Anita ki cheekh nikal pari. Jo mobile me dosri taraf Riya ne bhi suni
.
Cheekh sunkar Riya boli..."Aap kyaa kar rahe ho. Ye kisi larki ki cheekhne ki aawaaj kaise aayi"
.
"Wo.... Wo.... Wo" Shaan ko samajh nahi aaya ki kyaa jawaab de
.
"Mujhe pata hai aap kisi larki ke saath sex kar rahe ho. MaiN aapse baat nahi karti" Riya ne kahaa aur Shaan ki baat sune bina call disconnect kar di
.
Call disconncet ho jaane pe Shaan ne apne maathe pe apna haath halke se aese mara jaise kah rahaa ho ki.."Ab maiN es paagal larki ka kyaa karuN"
.
Shaan ko mobile pe busy dekhkar es baar Anita ne uthkar bhaagna chaha. Par Shaan uski taraf se gaafil nahi tha. Jaise hi wo uthkar khari huee. Shaan ne ek laat uski kamar pe maari aur wo monh ke bal farsh pe ja giri. Jisse uska ek daant tut gaya aur monh se khoon bahne laga
.
Shaan niche jhuka aur Anita ke baal pakar kar uska chehra upar uthate huye bola..."Chal apne yaar Vicky ko jaldi se yahaaN bula"
.
Shaan se Vicky ka naam sunte hi Anita ke chehpe pe ghabraahat aa gaee. Jise chupaane ki koshish karte huye wo boli.."Vicky... Kaun Vicky... Tumhe koi galatfahmi huee hai. MaiN kisi Vicky ko nahi jaanti"
.
"Jyada naatak mat kar. MaiN jaanta huN ki Vicky tera lover aur boy-friend hai"
.
"HaaN Vicky mera boy-friend hai. Par maiN use yahaaN nahi bulaane waali. Tumse jo hota hai kar lo" Es baar Anita muskuraate huye boli thi

-----------------
(Jaaree...)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #233 on: December 05, 2012, 03:58:30 PM »
Update 103

Quote
"HaaN Vicky mera boy-friend hai. Par maiN use yahaaN nahi bulaane waali. Tumse jo hota hai kar lo" Es baar Anita muskuraate huye boli thi 


"Abhi dekh lete hai" Shaan ne kahaa. Aur Anita ka haath pakar kar use kharaa kiya aur khinchta huaa usi room me le gaya jahaaN Vikraant bandha paraa tha
.
Room me enter hote hi Anita ki nazar saamne bed pe gayi, usne dekha ki uske bed par koi bandha paraa hai. Par Shaan ne Vikraant ki aankhe aur monh ko dupatto se bandha tha, jisse Vikraant ka lagbhag pora chehra dhakaa huaa tha. Esliye Anita use pahchaan na payi. Wo bol uthii..."Ye... Ye.... Ye kaun hai"
.
"Bali ka bakra" Shaan ne jawaab diya aur apni pocket se Anita wala revolver nikaal kar Anita ke maathe pe rakhne ke baad bola...."Bol Vivek ko bulaati hai ya tujhe shot kar du".
Shaan ye kah kar chup hi huaa tha ki tab hi Shaan ka mobile bajne laga. Shaan ka dhayaan apne mobile ki aour huaa. Aur Anita ko mauka mil gayaa wo Revolver par jhapat pari par bahut koshisho ke baad bhi Shaan se revolver na cheen paayi.
.
Par apni ak anugali trigger par le jaane par jaror kaamyaab ho gaee thi. Aur jaise hi Anita ki anugali triggger pe pahonchi, achaanak Shaan ki pakar revolver par dhili parne lagi. To Anita ne jor lagaakar revolver ka rukh Shaan ki taraf kiya aur trigger dabaa diya. Jaise hi Anita trigger dabaa rahi thi, Shaan furti se revolver ke saamne se hataa, tab hi revolver se goli nikli aur diivaar se jaa takraai
.
Revolver me silencer lagaa huaa tha esliye koi aawaaj nahi huyi thi.
.
Shaan ne ek side me hat'te hi revolver pe apni pakar majbot kar li. Aur Anita ke haath par apna haath rakhkh kar revolver ka rukh Vikraant ki taraf karke Anita ki finger ka dabaaw trigger pe banaya.
.
Revolver se goli nikli aur Vikraant ke sar me ja gusi. Vikraant ka monh dupatte se badhaa huaa tha esliye wo bina koi aawaaj kiye tadapne laga. Shaan ne fir Anita ki finger se trigger dabaya aur dosri goli bhi Vikraant ke sar me jaa lagi.
.
Eske baad Shaan ne Anita ke haath se revolver cheenkar waapis apni pocket me rakh li. Vikraant thori der tak tadpta rahaa fir thanda par gaya.
.
Shaan ke es action se Anita darkar piche hatne lagi aur diivaar se ja lagi. Aur dari-dari najro se Shaan ko dekhne lagi
.
"Ab bataa, ab Vicky ko bulaati hai ya nahi" Shaan ne shaitaani muskuraahat apne chehre pe sazaa kar kahaa
.
"Tum chaahe mujhe jaan se kyoN na maar daalo. Par maiN Vicky ko yahaaN nahi bulaaongi" Anita ne dar ko apne chehre se hataane ki koshish karte huye kahaa
.
"O.K. Vicky ko mat bula. Par kam se kam mere kuch sawaalo ke jawaab to de" Shaan ne sanjida lahje me kahaa
.
"Kaise sawaal"
.
"Time paas karne ke liye kuch bekaar se sawaal" Shaan ne kahaa aur Anita ka haath pakarkar bed ki taraf isara karte huye bola..."Aa indhar aaraam se baith kar baateiN karte hai"
.
Anita Shaan ke saath chal di. Dono jaakar bed par Vikraant ki laash ke paas baith gaye.
.
Bed pe baith'te hi Shaan ne Anita se pocha..."Jab tu mobile par Vicky se baat karti hai to pyaar se use kyaa bulaati hai..... Dekh ab maiN tujhse Vicky ko bulaane ke liye nahi kah raha. Bas kuch sawaal poch rahaa huN. Unke jawaab sahi-sahi dena"
.
"Jaanu"
.
"Kyaa Vicky bhi tujhse etna hi pyaar karta hai. Jitna tu usse karti hai"
.
"Mujhse bhi jayada"
.
"Kyaa wo tere liye kuch bhi kar sakta hai. Matlab jaan pe bhi khel sakta hai"
.
"Jaan pe khel hi nahi sakta balki mere liye jaan de bhi sakta hai"
.
"Jab tu usse mobile pe baateiN karti hai to romantic baateiN karti hai ya sukhi-sari baateiN"
.
"Romantic baateiN"
.
"Jab tu biimaar hoti hai to kyaa Wo tujhe dekhne aata hai. Aur teri dekhbhaal karta hai"
.
"HaaN"
.
"Aakhiri sawaal, kyaa tu 7 Star Gang ke liye kaam karti hai"
.
"Nahi maiN ek imaandaar police officer huN. Par maiN Vicky ke liye kuch bhi kar sakti huN"
.
"Kuch bhi... Kuch bhi se kyaa matlab hai tera"
.
"Maine tumhara suspension cancel karwaya kyonki Vicky ko lagta tha ki tum unhe informer tak le jaa sakte ho"
.
"Bas tumne Vicky ke liye etna sa hi kiyaa hai aur khud ko ek true lover maanti hai"
.
"Kal jab Vicky ne un chaar criminal ko jail se nikaalne ka plane banaya tha to usi ke kahne pe maiN tumhe Vikraant ke paas le gayi thi. Aur kal hi jab Karan Vicky ko arrest karne jaa rahaa tha to ye baat maine Vicky ko bataa di thi. Aur wo Karan ke wahaaN pahonchne se pahle hi bhaag gaya tha"
.
"Hmmm... Very good. Tu waakai ek bahut imaandaar officer hai"
.
"Mujhe bhi tumse kuch sawaal poochne hai"
.
"Pooch, tu bhi apna confusion clear kar"
.
"Jab tumhe maloom tha ki maiN Vicky ki gf huN. Aur uski madad kar rahi huN. To tum mere saath shahar ke round ke liye kyoN gaye the. Aur tumhe kaise maalom huaa tha ki andar kuch garbar hai. Aur agar tumhe ye ahsaas ho chuka tha ki andar kuch garbar hai to tum andar gaye hi kyoN the" Anita ne Shaan ke chehre pe nazar tikaa kar pochaa

-----------------
(Jaaree...)
______________________________
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #234 on: December 05, 2012, 04:00:55 PM »
Update 104

Quote
"Jab tumhe maloom tha ki maiN Vicky ki gf huN. Aur uski madad kar rahi huN. To tum mere saath shahar ke round ke liye kyoN gaye the. Aur tumhe kaise maalom huaa tha ki andar kuch garbar hai. Aur agar tumhe ye ahsaas ho hi chuka tha ki andar kuch garbar hai to tum andar gaye hi kyoN the" Anita ne Shaan ke chehre pe nazar tikaa kar pochaa 

Anita se baateiN karte-karte Shaan ne Vikraant ke haath aur pero se rassiyaN kholkar apne paas rakh li thi.
.
"Tere sawaal ka jawaab dete huye mujhe sharm aa rahi hai" Shaan sharmaakar apne dono haatho me apna chehra chupaate huye bola
.
"Maine tumhe kapre utaar kar nanga hone ko to nahi kahaa jo tum es tarah sharmaa rahe ho" Anita ne tanj kiya
.
"I love You" Anita ki baat pe dhayaan na dete huye Shaan apni hi dhun me romantic andaaj me bola
.
"What..... Ye kyaa bakwaas hai" Anita gusse me chillayi
.
"Kapre utaarne se pahle pyaar ho jaaye to sex karne me bahut mazaa aata hai. Chal ab tu apni pent utaar aur maiN teri shirt kholta huN" Shaan zaraa sa Anita ki taraf khiskta huaa bola
.
"Shaan, tum bahut kameene ho. Mujhse to etne saare sawaalo ke jawaab le liye par mere sawaal ka jawaab nahi de rahe ho"
.
Anita ki baat sunkar Shaan sanjidgi se bola..."Mere ak sawaal ka jawaab aur de de. Fir tu jo jee chaahe wo poch sakti hai"
.
"Pocho, tumhaare es sawaal ka jawaab bhi deti huN. Par uske baad tumhe mere sawaal ka jawaab dena hoga"
.
"Jab tu Vicky se mobile par baateiN karti hai to use Aap, Tu aur Tum me se kyaa kahkar bulaati hai"
.
"Tum" Anita ne jawaab diya, uske baad chup ho gayi aur kuch pal chup rahne ke baad boli..."Ab tum mere sawaalo ka jawaab do"
.
Anita ki baat sunkar Shaan uski taraf baraa aur uske dono haath uski kamar ke piche karke rassi se baandhte huye bola.."Mere paas faaltu ki baateiN karne ke liye time nahi hai"
.
Shaan ki baat sunkar Anita Shaan ko gaaliyaN bakne lagi. Jinhe Shaan etna khush hokar sunta rahaa jaise Anita use gaaliyaN na dekar duwaye de rahi ho.
.
Anita ke haath baandhne ke baad, Shaan ne uske per bhi baandh diye. Aur uske baad Vikraant ki laash ke monh aur aankho pe baandhe huye dono dupatte kholne lagaa, jo ki khoon se tar the. Jab dono dupatte khul gaye to Vikraant ke chehre ko pahchaan kar Anita chilla pari.."Vikraant....... Tumne Vikraant ko maar dala"
.
"Maine nahi tumne" Shaan bola fir un dono dupatte me se ek chun kar jispar kam khoon laga tha, use Anita ke monh pe baandh diya.
.
Ab Shaan Anita ki jebe khagaalne lagaa. Ek pocket se Shaan ko Anita ka mobile mil gayaa. Shaan ne mobile Anita ki pocket se baahar nikala aur usme contect open karke naam aur number check karne lagaa. Jaanu naam ke contect pe Shaan ek minute ko rukaa aur fir use dial kar diya.
.
5-7 bail jaane ke baad dosri taraf call recieve ki gayi aur koi bari muhabbat se bola..."Hello, Jaan kyaa kar rahi ho"
.
Shaan ne Vicky ki aawaaj kabhi nahi suni thi. Fir bhi Shaan ne andaja lagaya ki ye Vicky hi hoga.
Shaan bilkul Anita jaisi aawaaj banaate huye bola.."Janu aaraam kar rahi huN"
.
Shaan bilkul Anita jaisi aawaaj me bola tha. Anita, Shaan ke halak se bilkul apne jaisi ya ye kahaa jaaye ki apni aawaaj nikalte dekh, Shaan ko fati-fati nazro se dekh rahi thi. Par ye haalat kuch hi pal rahi fir wo apni puri jaan lagaakar koshish karne lagi ki kisi tarah uske haath ya per khul jaaye. Yaa monh se kapra hat jaaye taaki wo Vicky ko bataa sake ki ye MaiN nahi koi aur bol rahaa hai. Par wo apni koshish me kaamyaab na ho saki.
.
"Aaraam...... Wo bhi es waqt. Duty pe nahi gayi aaj. Jaan, tumhaari tabiyat to theek hai na" Dosri taraf se fikarmand si aawaaj aayi
.
"Jaanu, thora sa bukhaar sa mahsos kar rahi thi esliye Police Station se jaldi aa gayi" Shaan kamjor si aawaaj me bola. Par aawaaj abhi bhi Anita jaisi hi thi
.
"Bukhaar.... Tumne dawa to li hai na" Dosri taraf se bachaini se pochaa gayaa
.
"Jaanu, agar dawaa le lungi to tum mere paas kaise aaoge. Bimaari me hi to tum mere paas aa jaate ho. Warna...." Shaan udaas si aawaaj me bola
.
"Oh..... MaiN aa rahaa huN" Dosri taraf se jaldi me kahaa gayaa aur call disconnect ho gayi
.
Jab apne haath, per kholne me Anita kaamyaab na ho saki to Anita gusse me Shaan ko ghorne lagi. Wo dil hi dil me duaa kar rahi thi ki Vicky na aaye.
.
Usne sunaa tha ki Shaan bahut khatarnaak hai, bahut se mauko par wo criminals ko jaan se maar daalta hai. Aur eska nazara to abi kuch der pahle wo khud apni aankho se dekh chuki thi. Esiliye wo Vicky ko nahi bulana chaahti thi. Fir Shaan ne usse kuch sawaal poche to usse we sawaal bekaar ke lage, esliye usne unke sahi-sahi jawaab de diye. Aur uske liye ab wo pachtaa rahi thi. Par ab kyaa kiyaa jaa sakta tha.
.
Shaan bahut achchi mimicry kar leta tha. Wo ak baar jo aawaaj sun leta tha fir usi aawaaj aur andaaj me baat kar sakta tha.

-----------------
(Jaaree...)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #235 on: December 05, 2012, 04:11:51 PM »
Update 105

Quote
Shaan bahut achchi mimicry kar leta tha. Wo ak baar jo aawaaj sun leta tha fir usi aawaaj aur andaaj me baat kar sakta tha. 

Shaan ne Anita wala mobile apni pocket me rakhkha aur apna mobile nikaal kar dekha. Karan ki missed call thi. Shaan ne Karan ka number dial kiya aur Karan ke call recieve karte hi bola..."Call kyoN ki thi"
.
"Ye bataane ke liye ki maiN delhi ke liye ravaana ho chuka huN. Sikandar, Rajesh aur Chiraag mere saath hai" Karan ki aawaaj aayi
.
"Theek hai" Shaan ne kahaa aur call disconnect kar di. Call disconnect karne ke baad Shaan Riya ka number dial karne lagaa. Riya ne call recieve nahi ki. Shaan ne dosri baar call lagayi par anjaam wahee rahaa. Shaan ak baar aur Riya ka number dial kiya.
.
Es baar Riya ne call recieve kar li aur call recieve karte hi wo non-stop bolti chali gayi..."Kyaa hai, kyoN baar-baar mujhe pareshaan kar rahe ho. Jis larki ke saath abhi the usii ki gaud me jaakar baith jaao....... MaiN hi paagal thi jo tumhaare pyaar me barso tadapti rahi. Har chehre me tumhe talaash karti rahi. Har lamha.... Tumhaare....... Mil jaane.... Ki duaa...... Karti rahi.... Par tum ....... Tum to bewafa nikle ....... Tumne mere saath ....... Dokha kiya ..... Ab .... Mera .... Pichaa .... Chodd .... do .... mujhe jeene ..... do...... plz .... jeene do" Riya ne gusse me bolna suru kiya tha. Par jaise-jaise wo bolti chali gayi uski aakho se aansu bahne lage. Aur baad me usne apni baat foot-foot kar rote aur hichkiyaaN lete huye khatam ki. Aur Shaan ki koi baat sune bagair call disconnect kar di.
.
Riya ke rone se Shaan ka dil kataa ja rahaa tha. Wo Riya ko sach bataa dena chaahta tha par Riya ne use bolne ka koi mauka hi na diya, wo call disconnect kar chuki thi.
.
Shaan ne Riya ka number dial kiya, par Riya apna cell-phone switched off kar chuki thi.
.
Shaan Riya ka number fir se dial karne ki soch rahaa tha ki uske man me ek khayaal ubhraa jisne Shaan ke haath rok diye. Uske man me khayaal aaya tha ki Riya mere baare me ye jaankar ki maiN kisi aur larki ke saath tha, tab uska ye haal hai.
Anita bhi to Vivek ko etna hi pyaar karti hai agar maine Vicky ko maar diya to eska kyaa haal hoga. Es khayaal ke dil ko chote hi Shaan soch me par gayaa. Kuch der tak sochte rahne ke baad Shaan ne koi faisla kar liya.
.
Wo Anita ke paas gaya aur uske monh pe bandha dupatta kholte huye bola.."Aaj pahli baar maiN wo karne ja rahaa huN. Jo aaj se pahle maine kabhi nahi kiya. Maloom nahi maiN galat huN ya sahi par aaj maiN apne dimaag ki baat thukraa kar apne dil ki maan rahaa hun"
.
Shaan Anita ke monh se dupatta khol chuka tha. Jaise hi Anita ke monh se dupatta hataa, wo boli..."Dil.... Tumhaare paas dil bhi hai.. Ye jaante huye bhi ki maiN Vivek ko kitna pyaar karti huN. Tum use maar daalna chaahte ho. Aur fir bhi kah rahe ho ki tumhaare paas dil bhi hai....... Plz aesa mat karo. Tum Vicky ki jagah mujhe maar daalo..... Par plz Vicky ko kuch mat kahnaa. MaiN uske binaa rah nahi sakti. MaiN......" Esse aage Anita se kuch na kahaa gayaa. Par aage ki baat uski barasti huyi aankhe achchi tarah bol rahi thi.
.
"Har shakhas ke andar do aadmii hote hai. Inshaan aur Shitaan. Jisko jitna ubhara jaata hai aadmii wesa ban jata hai"
.
"MaiN samjhi nahi"
.
"Madam, aap Vicky se bahut pyaar karti ho. Agar maine use maar dalato shaayad aap jinda na rah sako aur agar jiyogi bhi to jindagi maut se badtar hogi.... To ak baar un logoN ka socho, jinhe Vicky maar deta hai. Kyaa unse koi pyaar nahii karta hoga... Kyaa unke liye koi aapki tarah nahi jeetaa hoga...... Kyaa unke mar jaane se kai masoomo ki jindagi gamo ka silsilaa nahi hoti hogi"
.
Shaan ki baat par Anita ke aansu tham gaye. Wo bare gaur se Shaan ki baateiN sunti rahi par boli kuch nahi. Shaan ne fir se aage bolna suru kiya..."MaiN faisla kar chuka hu ki Vicky ko nahi maarunga. Par Vicky ko shaitaan se inshaan banna hoga.... Aur Vicky ke andar ke haiwaan ko sirf aur sirf aap maar sakti hai. Sirf aap hi hai jo use inshaan banaa sakti hai.. Pyaar se paththar ko bhi mom banaayaa jaa sakta hai"
.
Bolte-bolte Shaan ne Anita ke haath aur pair khol diye the. Par wo apni jagah se hile bina chup-chaap laiti huyi, Shaan ki baateiN sun rahi rahi thi.
.
"Ak aam si larki bhi nahi chaahegi ki uska Lover criminal ho. Jo rooj kai be-gunaah aur masoomo ke khoon me naahta ho. Jabki aap to es jimmedaar Police Officer hai" Shaan bola. Fir kuch lamhe ko chup huaa aur fir se bolne lagaa..."Ab maiN faisla aapke haatho me sounpta huN. Aap Vicky ko sahi raaste pe chalne pe majboor kare. Ya aage bhi uske saath galat raasto par safar karti rahe. Barhaal aap koi bhi faisla kare. Ab maiN aapko aur Vicky ko koi nuksaan nahi pahonchaaongaa"
.
Shaan ne etna kahkar apni pocket se Anita ka revolver aur cell-phone nikaal kar uske paas bed pe rakh diya

-----------------
(Jaaree...)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #236 on: December 05, 2012, 04:15:01 PM »
Update 105

Quote
Shaan ne etna kahkar apni pocket se Anita ka revolver aur cell-phone nikaal kar uske paas bed pe rakh diya.  

Se Aaage....

Anita ne jhapatkar revolver bed se uthaee aur Shaan par taante huye boli..."Ye kaunsi nayi chaal hai. Ab maiN tumhari baato me nahi aane wali. Jaldi se mere sawaalo ke jawaab do..." Etna kahkar Anita hansi aur revolver wapis bed pe rakh diya.
.
"Vicky ke aane se pahle maiN yahaaN se jata huN. Kyaa pata Vicky ko dekhkar maiN faisle par kaayam na rah sakuN" Shaan ne kahaa aur Anita ke bedroom se nikalta chalaa gaya. Anita ke ghar se nikalte waqt Shaan ke chehre par ek shaandaar muskuraahat thi.
.
Shaan, Anita ke ghar se nikalkar, uske barabar wale ghar ke saamne pahoncha. Jiske gate par ek baraa sa lock latak rahaa tha. Shaan ne gali me endhar undhar dekha. gali sunsaan thi. Dophar ke 01:00 baj rahaa tha. Suraj puri siddat se chamak rahaa tha. Sab log apne-apne gharo me me the.
.
Shaan diivaar kodkar ghar me daakhil ho gaya. Aur us kamre ke saamne pahoncha jiski diivar Anita ke bedroom ki diivar se mili huyi thi. Shaan apni jeb se key nikaal kar us room ka gate khola aur andar daakhil ho gaya. Bed par ek laptop rakhkha huaa tha. Jiski screen par 4 window show ho rahi thi. Jinme Anita ke room ka kona-kona dikh rahaa.
.
Kal shaam jab Anita Shaan se milkar hospital se nikli thi tab Shaan ne Anita ka picha karwakar. Anita ke ghar ka address maloom karwa liya tha. Aur subah Anita ke ghar me wireless camere bhi lagwa diye the. Jo Anita ke ghar ke saath wale khaali ghar me rakhe es laptop se connected the, jiske saamne es waqt Shaan baitha tha.
.
Es laptop ki help se Shaan Anita ke har movement pe najar rakh sakta tha aur use sun bhi sakta tha.
-----x------x------x----x-----
Shaan ke jaane ke baad Anita kuch lamhe kuch sochti rahi fir uthi aur baathroom me chali gayi. Jab wo bathroom se nikli to wo apna dress change kar chuki thi aur saver bhi le chuki thi. Anita bathroom se nikal kar dressing table ke saamne pahonchi aur halka sa mack-up karke apne bedroom se nikli aur sahan ne tahalte huye Vicky ka intizaar karne lagi. Anita ko intizaar karte huye mushkil se 3 ya 4 minute huye honge uske ghar ka main gate khula aur Vicky ne andar kadam rakhkha.
Vicky ko dekhkar Anita uski aur bhaagi.
.
"Arre re jaan tum aese kyoN bhaag rahi ho. KaheeN gir na jaao" Vicky teji se Anita ki taraf barte huye fikarmandi se bola
.
"Jaanu, tum aa gaye"
.
"Ye tumhaare gaalo pe ungliyoN ke nishaan kaise hai?" Anita ke pass aate hi Vicky ne Anita ke gaalo ko dekhte huye pareshaani se pochaa
.
"Maine apne gaalo par ek kaskar thappar mara tha"
.
"What... tum kyaa kah rahi ho. Tumne khud ko thappar kyoN mara" Vicky hairaani se bola
.
"Dil kar rahaa tha, esliye"
.
"Tum bhi na ekdam paagal ho. Chalo baateiN baad me karenge. Jaldi se doctor ke paas chalte hai"
.
"Par kyoN"
.
"Tumhaari tabiyat kharaab hai na, esliye" Vicky ne kahaa
.
"Meri koi tabiyat-wabiyat kharaab nahi hai. Tumse milne ka dil kar rahaa tha. Esliye tumhe bahaana banakar bula liya"
.
"Jaan.. tum bhi na.." Vicky ne muskuraate huye kahaa
.
"Jaanu, Ak sawaal pochuN" Anita ne pyaar se kahaa
.
"Yes"
.
"Tum mere liye kyaa kar sakte ho"
.
"Jaan tumhaare liye maiN kuch bhi kar sakta huN. Kuch bhi" Vicky ne sachche dil se jawaab diya. Wakai me wo Anita ke liye kuch bhi kar sakta tha
.
"Agar aesa hai to wada karo ki aaj se jo maiN kahungi wo hi sakoge"
.
"Main wada karta huN"
.
"Dekh lo apne waade se mukar mat jana"
.
"Jaan pyaar me koi bhi cheej soch samajh kar ya dekh kar nahi ki jaati. Pyaar to aankhe band karke kiya jata hai. Aur tum to sirf apni baat manne ki baat kar rahi ho. tumhaare liye to maiN chattano se takra sakta huN. Tufaano ka kaleja cheer sakta huN"
.
"To fir mere liye ... sirf aur sirf mere liye aur mere kahne par Boss ke liye kaam karna chor do. Aur ek aesa inshaan ban jaao jo sirf pyaar karna jaanta ho jiska julm ki duniya se koi rishta na ho" Anita ne sanjidgi se kahaa aur Vicky ke chehre ke badlte huye rango ko dekhte huye andaja lagaane lagi ki Vicky kyaa jawaab dene wala hai
.
Vicky ka chehra jis par kuch pal pahle tak josh aur muhabbat se tamatamaa rahaa tha us par soch aur pareshaani ke kaale baadal chaane lage. Kuch der tak Vicky ke chehre se pareshaani tapakti rahi aur uske baad uske chehre ka rang badalne laga. Aur uskaa chehra fir pahle ki tarah roshan ho gaya. Wo bola..."Maine kahaa tha na ki maiN tumhaare liye kuch bhi kar sakta huN... Boss ka saath chorkar maiN kitne ghante ya kitne din jinda rah paonga ye maiN nahi jaanta. Par jitna bhi jinda rahonga uska har pal tumhaare mutabik aur tumhaare saath bitaaonga"
.
"Kyaa sach.... tum 7 Star Gang se nata tor loge" Anita khusi se chilaayi
.
"Tor lunga nahii balki tor liya" Vicky ek bharpoor muskuraahat ke saath bola
.
Vicky ki baat sunkar Anita khusi se bekaabu hokar usse lipat gayi aur khanakte huye lahje me boli... "Aaaj mujhe apni muhabbat pe fakr mahsos ho rahaa hai"
.
Vicky ne Anita ko gaud me uthaa liya aur Anita ke gaalo ko chumkar bola.."BaateiN bahut kar li. Ab kuch pyaar kar liyaa jaaye". Aur Anita ko apni gaud me uthaaye uske gaalo ko chumte huye bedroom ki taraf barne laga
.
Bedroom me daakhil hote hi Vicky ki najar bed pe pari huyi Vikraant ki laash par gaee. Jise dekhkar Vicky ghabraya aur uske monh se nikla..."Vikraant" aur usne Anita ko niche utaar diya
.
"Ye mujhe maarne yahaaN aaya tha. Maine ese gooli maar di"
.
"Aoh.. tumne ye kyaa kar dala. Agar ye sab Boss ko maloom ho gaya to bahut bura hoga" Vicky pareshaani ke aalam me bola
.
"Vicky... Tumne to Boss ka saath chor diya tha. Fir ab tumhe uski fikr kyoN ho rahi hai" Anita rukhe lahje me boli
.
"Baat ko samajhne ki koshish karo jaan. Agar ye Boss ko maloom ho gaya ki tumne Vikraant ko maar diya hai to wo tumhe jinda nahi chorega" Vicky ekdam se bola fir kuch pal ke liye chup huaa aur sochne waale andaaj me bola.."Ek baat samajh me nahi aa rahi. Boss ne Vikraant ko tumhe maarne ke liye kyoN bheja hoga. Ya fir Vikraant apni marji se tumhe maarne aaya tha. Agar aesa hai to kyoN"
.
"Ye sab to sirf Boss hi jaanta hoga. Call kark poch lo" Piche se kisi ki aawaaj ubhri. Anita aur Vicky piche ko palte to hairaan rah gaye

---------------------
(Jaaree...)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #237 on: December 08, 2012, 07:15:51 AM »
good going masoom abhi update 66 hi padha but really interesting one. update 62 ke woh sher bahut achche lage main bhi bhura nahi hota,woh agar bewafa nahi hota. likhte raho
Thanks a lot sister
Logged
aqsh
Guest
«Reply #238 on: December 12, 2012, 10:34:17 AM »
 Applause Applause Applause Applause Applause
very very nice masoom keep writing very interesting update 85 finished. woh sher bhi khoob kaha hai
ishq ek tarfa ho to saza deta hai
ishq do tarfa ho to maza deta hai
Logged
aqsh
Guest
«Reply #239 on: December 17, 2012, 08:40:48 AM »
i have fin update 99. very nicely u have framed the situation and very nicely witten keep it up
Logged
Pages: 1 ... 12 13 14 15 [16] 17 18 19
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:21:15 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.145 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer