Unknown Target...........masoom

by Masoom Shahzada on August 13, 2012, 03:29:02 AM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 ... 19
Print
Author  (Read 36826 times)
mkv
Guest
«Reply #60 on: August 31, 2012, 03:27:29 PM »
very good going
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
My mind sails, through an unknown sea! by abdbundeli in English
Na Kamal-e-Fun Hi Mila Mujhe - Not Mine (Shayr Unknown to me) by fernsk in Shayri-E-Dard
A shared poetry-writer unknown by tamanna1 in Share:Love Poetry
apnay badlay huway lehjay ki wazahat karna- Unknown by ghayal_shayar in Urdu Poets « 1 2  All »
saathoN ki kasoor ho geya--Unknown by ghayal_shayar in Pain in Love : Punjabi poetry
masoom shahjada
Guest
«Reply #61 on: August 31, 2012, 06:26:30 PM »
ye policewaale ki zindagi thriller hoti hai utni dukhi aur busy rehne waali bhi  sad10...abhi abhi karan khush huya tha fhir bichara serious ho gaya...kya zindagi hai ? anways story going really exciting

Maine   Karan  ko  hazar   baar   manaa  kiyaa   kee  police   kee  nokree   mat   kar   par   maanaa   hee  nahee   ab   pareshaan   ho   rahaa   hai...  By   the   way   thanks
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #62 on: September 01, 2012, 04:12:41 PM »
very good going

Time  dene  kaa  sukriyaa.   Aage   bhee  good   hee   chalegee   bas   aap  saath  dete   rahe
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #63 on: September 02, 2012, 12:55:38 AM »
Update 18

Karan  chup-chaap bike chalaa rahaa thaa. Chiraag bhee Karan ke piche chup baithaa thaa. Karan ne apnee bike The Monish Park ke paas rookee. Park me jyaadaa bheed nahee thee. Bas kuch hee loog bench pe baithe baatoo me  lage  huye  the. Karan ne chaaroo aour nazre dooraai  gaas pe koi nahee baithaa thaa. Karan gaas pe hee baith gayaa jahaaN aas-paas koi nahee baithaa thaa. We sahee tarah se baith bhee nahee paaye the kee Karan kaa mobile vibrate hoone lagaa. Karan ne apnee jeb se mobile nikaalaa. Call Sikandar kee thee.
.
" Hello "Karan ne kahaa.
.

" Hello, sir " Udhar se Sikandar kee purjosh aawaaj aayee.
.

" Kuch maloom huaa " Karan ne edhar-udhar kee baat me time jaayaa kiye binaa pochaa
.

" sir, ye number Kamal kaa hai aour hairaanee kee baat ye hai kee Kamal wo hee shakhas hai jo subah hame khandhar me maraa huaa milaa thaa " Sikandar kee aawaaj fir aayee.
.

" OH " Karan ke moonh se niklaa fir Karan boolaa..." Main aour chiraag The Monish Park me tumhaaraa intizaar kar rahe hai. Tum jaldee yahaaaN aao " Karan ne phone kaat diyaa aour mobile me time dekhaa 11:15PM ho rahe the. Karan ne mobile apnee jeb me rakhkhaa aour gahree sooch me doob gayaa. Chiraag uljhee-uljhee nigaahoo se Karan ko dekhe jaa rahaa thaa.

......................
(Jaaree)
Logged
mkv
Guest
«Reply #64 on: September 02, 2012, 01:00:24 AM »
Applause
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #65 on: September 02, 2012, 01:26:40 AM »
Update 19

Karan sooch rahaa thaa. ........."Kaun hai jo Kamal ke number se Call kar rahaa hai aour wo chaahtaa kyaa hai. Kyaa Kamal kaa hee koi saathee hai. Yaa fir kamal kaa koi dushman jisne Kamal ko maaraa ho aour wo Kamal ke gang ko tabaah karnaa chaahtaa hoo" Karan kee kuch samajh nahee aa rahaa thaa.. Wo har pahluN pe gaur karnaa chaahtaa thaa par jitnaa wo sooch rahaa thaa utnaa hee ulajhataa jaa rahaa thaa...."Agar Kamal ke kisee dushman ne use maraa thaa to fir Shaan ke kaproo pe wo khoon kiyooN lagaa thaa. Kyaa Shaan ne Kamal ko nahee maaraa hai. Agar nahee maaraa to uske kapro pe kiskaa khooon lagaa thaa.  Ab es caal karne waale ko kahaaN se talaash karooN." karan ke dil me hazaar sawaal uth rahe the..."Kamal ke finger print Raaj bhaagwat kee party waalee jagah se paaye gaye hai. Eskaa matlab uskaa taalluk Raaj kesh se hai. Ho saktaa hai usne hee Shani ka murder kiyaa ho  aour Shani kee ID se party attend kee ho. Par Shani ke murder waalee jagah se Shaan kaa Locket milnaa. Shaan kaa Locket wahaaN kis tarah pahoonchaa. Aour ek aour hairat me daal dene waalee baat Raaj party me shareek nahee ho paayaa fir uske finger print wahaaN se kiyooN mile. Jis waqat party start huyee thee wo to city hospital me thaa aour wahaaN hee dimaag kee nas fatne se uskee maut  hoo gayee " Karan naa jaane kitnee der sooch me doobaa rahtaa kee use  saamne se Sikandar aataa huaa dikhaai diyaa. Karan ne ek thandee sans lee. Sikandar unke kareeb aakr baith gayaa. Karan ne time dekhaa 11:26PM hoo rahe the unhe jo bhee karnaa thaa sirf 34 minute me karnaa thaa.

......................
(Jaaree)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #66 on: September 02, 2012, 01:52:13 AM »
Update 20

Karan ne ek nazar Apne paas baithe Chiraag aour Sikandar pe daalee fir boolaa......"Ab se kuch der pahle 10:30PM pe kisee anjaan number se mujhe call aayee usne Safed Bonglow ka adress bataa kar kahaan  kee aaj 12:00PM pe wahaaN Karan ke chaar(4) saathee  jamaa ho rahe haiN.. Ham chaahe to unhe arrest kar sakte hai... Abhee kuch der pahle maloom huaa wo number Kamal kaa thaa.. Aour Kamal to shaayad kal raat hee es duniyaa se rukhsat ho chukaa hai fir mujhe call kisne kee " Karan uljhaa huaa thaa.
.
"Sir jeetnee be-rahmee se Kamal ko maaraa gayaa hai. Wo jaroor bhoot ban chukaa hoogaa. Aour uskaa bhoot chahtaa hogaa kee use  maarne  waalo ko sajaa mile. Esliye wo hame call kar rahaa hoogaa" Chiraag shaahab ne apnee akal ke goode dooraaye.
.
Chiraag kee baat sunkar etnee pareshaanee me bhee Karan ko hansee  aa gayee. Karan ne ek nazar Sikandar pe dalee jiskaa matlab thaa aap btaao aapkee  kyaa raai hai.
.
"Sir mujhe lagtaa hai.. Kamal kaa hee koi saathee hai jisne Kamal ko  maraa hai. Ab es dar se kee uske saathee use nuksaan naa pahooNchaaye. Unhe arrest karwaanaa chaahtaa hai" Sikandar kee baat me waakaai dam thaa.
.
"Wo kaun hai kaun nahee ... baad me soochege.. Sawaal ye he kee  ab hame kyaa karnaa chaahiye" Karan ne apnaa sawaal unke saamne rakhaa.  Chiraag yaa Sikandar kuch kah paate usse pahle hee Karan ke number pe kisee kee call aane lagee...

........................
(Jaaree)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #67 on: September 02, 2012, 02:36:56 AM »
Update 21

Call Rajesh kee thee...
"Hello" Karan ne kahaa
.
"Sir abhee abhee black Scorpio lekar ek aadmee aayaa hai. Scorpio safed bonglow ke aage kharee hai.  Wo  aadmee bonglow ke andar gayaa hai" Rajesh kee aawaj aayeee
.
"OK. Tum abhee hamare aane tak bonglow se door  hee rahoo.  Koi aour bonglow me aaye to mujhse contect karo" Karan ne etnaa kahkar phone kaat diyaa.
.
"Haa btaaao ab ham kyaa kare" Karan ne fir waheeN sawaal Chiraag aour Sikandar ke saamne rakhkhaa
.
"Sir agar we sachmooch Kamal ke saathee hai to unme se koi bhee bachkar nahee jaanaa chaahiye.  Es kesh me we hamaare bahoot kaam aa sakte hai" Chiraag ne apnee raai saamne rakhkhee
.
"Haa sir Chiraag sahee kah rahaa hai... Aour  hame jald se jald safed bonglow pahonchnaa chaahiye" Sikandar ne kahaa
.
Karan kuch boolnaa hee chaahtaa thaa kee Rajesh kee call ek baar aour  aa  gayee.  Rajesh ne bataayaa kee ek aour aadmee safed bonglow me aa chukaa hai. Karan ne time dekhaa 11:38PM  hoo chuke the.

......................
(Jaaree)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #68 on: September 02, 2012, 03:06:03 AM »
Update 22

Kuch  hee  der  baad Karan apnee team ke paas pahoonch gayaa. Usne dekhaa uske saathee jagah jagah chupe Safed Bonglow kee nigraanee kar rahe hai. Karan ne time dekhaa 11:57PM hoo rahe the tab hee ek red colour kee car safed bonglow ke paas aakr rukee jahaaN pahle se hee do cars kharee thee. Usme se do aadmee utarkar safed bonglow me chale gaye. Karan ne apne sabhee saathiyoo ko ishaare se apne paas bulaayaa.
.
"Main safed bonglow me jaaongaa,  mujhe cover karte huye Chirag mere piche aayegaa" aour apne 3 saathiyooN kee aour ishaaraa karte huye bolaa.. "Tum teeno ek doosre  ko cover karte huye hamare piche aanaa "  aour  apne  do saathiyooN  kee aour ishaaraa karte huye boolaa.."Tum unkee gaadeeyooN  ke paas cheepe rahnaa.  Aour  sikandar tum  yahaaN  cheep jaao.   Aour  Rajesh  tum us taraf  cheep jaao" Karan ne Sikandar ko bonglow ke es side  aour Rajesh ko doosree side me chipne kaa order diyaa.
.
"Ham par baahar se hamlaa ho saktaa hai. Agar aesaa huaa to unse sidhe bhirne  kee bajaye.. Tum loogooN ko unhe bas ye dhayaan rakhnaa hai  kee koi bhee bonglow me daakhil naa ho paaye.. Andar maiN sab samhaal loongaa" Karan sans lene ke liye rukaa fir bolaa..."chalo sab jaldee jaldee apnee position le lo" Karan ke kahne kee der thee sab harkat me aa gaye..

.....................
(Jaaree)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #69 on: September 02, 2012, 03:28:26 AM »
Update 23

Karan ne apnee rivolver nikaal ke apne haath me le lee. Uske sab saathee thooree der pahle hee ye kaam kar chuke the.. Karan ne apne kadam safed bonglow kee aour baraa diye uske piche-piche uske saathee ak doosre ko cover karte huye chal rahe the. Ab we sab bonglow ke gate ke saamne pahoonch chuke the. Karan ne dekhaa bonglow kaa darwaajaa ander se lock nahee thaa. Karan ne  darvaajaa khoolaa.. Bonglow ke dring-room se aawaaje aa rahee thee. Karan ne apne ek saathee ko gate ke paas hee rukne kaa ishaaraa kiyaa.  Aour chaaroo aage  bade.  Dring room kaa darwaajaa andar se lock nahee thaa Karan ne ek  jordaar  laat  maaree  aour sab  room me  daakhil  ho gaye... Dring-room me chaar loog sofe pe baithe huye batte kar rahe the.. Unke dekhkar hadbadaakar khare hoo gaye.  Aour unme se ek boolaa ...
"K.. K... Kaun hoo tum loog  aour kyaa chaahte ho"
.
"Abhee maloom ho jayegaa .. Pahle apne baare me to kuch btaao" Karan ne kahaa... Tab hee  Chiraag kee rivolver se ek  goolee niklee jo ek sakhas ke hath me lagee jo rivolver haath me liye huye thaa.  Rivolver uske haath se chootke door jaa giree aour wo apnaa haath pakad ke chillaane lagaa..
.
Karan ne apne ek saathee ko unkee talaashee lene ko kahaa unke paas se 3 rivolver aour baramad huyee. Bonlow kee talaashee lee to  usme se bhaaree matraa me hathiyaar aour drugs baraamad huyee....

..................
(Jaaree)
Logged
mkv
Guest
«Reply #70 on: September 02, 2012, 05:39:37 PM »
thrilling story
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #71 on: September 04, 2012, 07:47:45 AM »
thrilling story
Besak trilling story hai. Bus thora sa love hai thoree mystry.
Logged
htboy111
Guest
«Reply #72 on: September 04, 2012, 03:30:48 PM »
:claps: zabardast story hai
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #73 on: September 05, 2012, 04:49:54 AM »
:claps: zabardast story hai
Really jabardast hai yaa aeweiye kah rahe hoo.
By the way thanks for reading and  comment.
Logged
mkv
Guest
«Reply #74 on: September 05, 2012, 05:04:09 AM »
jabardast..sach me
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 ... 19
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:31:31 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.139 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer