Unknown Target...........masoom

by Masoom Shahzada on August 13, 2012, 03:29:02 AM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10 ... 19
Print
Author  (Read 36889 times)
masoom shahjada
Guest
«Reply #75 on: September 05, 2012, 04:05:58 PM »
Update 24

Riyaa hospital se baahar niklee aour seedhe parking plot kee aour bar gayee jahaaN uskee car kharee thee. Usne car kaa darwaaja khoolaa aour driving seat pe baith gayee. Uskaa chehraa jo kuch der pahle tak aansuaoo se tar thaa ab gusse me laal ho rahaa thaa. We aankhe jo kuch der pahle tak paanee bahaa rahee thee ab sookh chukee thee aour laal angaaraa ho rahee thee. Wo dil jo kuch der pahle tak Sameer kee salaamatee kee duwaa'ae maang rahaa thaa ab use maut kee bad'duaa de rahaa thaa. Riyaa driving seat pe baithee khud ko normal karne kee koshish kar rahee thee par uskaa gusaa thaa kee kisee tarah kam hoone ko hee nahee aa rahaa thaa. Uskaa gusaa dam bdam bartaa hee jaa rahaa thaa. Saamne se koi shakhas mobile pe baate karte huye apnee car kee taraf jaa rahaa thaa. Use dekh kar use yaad aayaa kee mammy kee call usne attend nahee kee thee aour mobile hee switched off kar liyaa thaa mummy bahoot pareshaan ho rahee hoogee. Usne mobile switched on kiyaa aour mummy kaa number dial kiyaa.
.
"Hello mummy" Mummy ke phone uthaate hee Riyaa boolee
.
"KahaaN ho betee.. Phone kiyooN band kar rakhkhaa hai. Aour es tarah bhaagte huye kahaaN gayee ho.. Ham bahoot pareshaan ho rahe hai" Mummy ne sawaalo kee jharee lagaa dee.
.
"Meree dost kaa acsident ho gayaa thaa. Esliye hospital aayee thee"
.
"OH ab kaisee hai wo" Mummy ne dukhee lahje me poochaa
.
"Jee khatre se baahar hai. Par choote bahoot aayee hai" Riyaa ne bataayaa
.
"Tum kitnee der me aa rahee ho"
.
"Bas nikal hee rahee hooN" Riyaa boolee aour phone kaat diyaa....

..........................
(Jaaree)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
My mind sails, through an unknown sea! by abdbundeli in English
Na Kamal-e-Fun Hi Mila Mujhe - Not Mine (Shayr Unknown to me) by fernsk in Shayri-E-Dard
A shared poetry-writer unknown by tamanna1 in Share:Love Poetry
apnay badlay huway lehjay ki wazahat karna- Unknown by ghayal_shayar in Urdu Poets « 1 2  All »
saathoN ki kasoor ho geya--Unknown by ghayal_shayar in Pain in Love : Punjabi poetry
mkv
Guest
«Reply #76 on: September 05, 2012, 04:12:20 PM »
insaan ka apne upar kahan control hota hai..Applause
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #77 on: September 06, 2012, 03:23:50 AM »
jabardast..sach me
Aap kahte hai to maan lete hai. Warnaa mujhe to aesee nahee lagtee.
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #78 on: September 06, 2012, 08:42:54 AM »
Update 25

Kuch hosh nahee rahtaa, kuch dhayaan nahee rahtaa.
Inshaan muhabbat me inshaan nahee rahtaa.

........
Kisee shaayar ne bilkul theek kahaa hai.. Riyaa kee haalat dekhkar to ye hee andaajaa lagaayaa jaa saktaa thaa..
.
Es waqat gussaa, gam aour khushee ek saath use sataa rahe the.. Gussaa es baat kaa thaa kee wo kitnee aasaanee se be-wakuf ban gayee thee. Sameer ne jaal fekaa aour wo binaa soche samjhe usme fanstee chalee gayee. Gam es baat kaa thaa kee uskaa wo pyaar jiske liye pichle 9 saalo se wo tadap rahee thee aaj bhee jaane kahaaN thaa. Aour khushee es baat kee thee kee use dhokaa dene waale Sameer ko bhagvaan ne kyaa khoob sajaa dee thee... Acsident me wo apne dono per gavaaN chukaa thaa. Aour es baat kee bhee khushee thee kee uskaa chaahne waalaa esee shahar me aa gayaa hai wo gadee chalaa rahee thee aour gam , gussaa aour khushee use gher ke chal rahe the. Uske dimaag ne kaam karnaa band kar diyaa thaa. Wo samajh hee nahee paa rahee thee ki kyaa kare. Ab wo ghar pahoonch chukee thee usne gaadee porch me kharee kee aour gaadee se utarne se pahle ek nazar miror pe daalee to hairaanee se uskaa moonh khulaa kaa khulaa hee rah gayaa.


............................
(Jaaaaareeeeee)
Logged
mkv
Guest
«Reply #79 on: September 06, 2012, 11:18:24 AM »
Ghazab ka sher farmaaya hai masoom bhai.
is bazm ka dil shayad isi tarah chura sakte hai.
extreme..9 years..still waiting for her love.. but i like it.
recently ek bhai ne likha hai..modern love..log to shayad 9 ghante bhi wait na kare..
anyway..carry on
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #80 on: September 07, 2012, 01:57:46 PM »
Update 25

Riyaa hairaanee se apne chehre ko dekh rahee thee. Uskaa puraa chehraa aansuao se tar thaa. Hairat kee baat ye thee kee pore raaaste wo rote huye aayee thee par use maloom bhee nahee ho sakaa thaa. Riyaa ne rumaal se apnaa chehraa achchee tarah saaf kiyaa aour apne ghar kee door-bail pe anugalee rakh dee. Mummy to uskaa hee intizaar kar rahee thee. Mummy ne darvaajaa kholaa. Usne mummy pe ek nazar daalee aour chup-chaap apne kamre kee taraf bad gayee. Mummy ne bhee abhee usse kuch poochnaa behtar nahee samjhaa esliye chup hee rahee.
.
Riyaa ne apne kamre me aakar apne sendil utaare aour pooree takat se deevar pe de maare. Wo bed kee aour badee aour bed kee daraaj se saare khat nikaale aour matchbox se ek tilee nikaalkar unme aag lagaa dee. Aag to un kagaj ke tookro me lagee thee par jaltee wo jaa rahee thee. Jaise jaise we khat jalte jaa rahe the uske dil kee baicheynee badtee jaa rahee thee. Tab hee uske dil ne usse kahaa.......... "Riyaa tu kar kyaa rahee hai. Beshak ye letters tujh tak Sameer ne pahoonchaaye hai. Par likhe to ye tere pyaar ne hee hai aour tu apne pyaar ke likhe khato ko jalaa rahee hai. Nahee tu apne pyaar ke likhe khato ko nahee jalaa rahee balkee tu apne pyaar ko jalaa rahee hai. Tu aesaa kaise kar saktee hai" Apne dil kee baat sunkar jaise Riyaa neend se jaagee usne dekhaa letters aadhe se jyaadaa jal chuke the. Use kuch nahee sujhaa usne aag ko apne haathoo se bujhaane kee koshish kee jisse uske haath to jhulash gaye par aag nahee bujhee. Wo jaldee se bathroom ko bhaagee. Bathroom me pahoonch kar indhar udhar nazar dooraai use wahaa koi pot nahee dikhaa. Usne tankee chaaloo kee aour apnee dono hatheliyooN ko jodkar unme paanee bharaa aour tejee se bahaar ko bhaagee. Abhee wo aag tak pahoonch bhee nahee payee thee kee uskaa pair fislaa aour wo samhal nahee payee uskaa sar bahoot jor se bed kee side se takraayaa aour wo neeche gir gayee aour behosh ho gayee.



......................
(Jaaree)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #81 on: September 07, 2012, 03:39:25 PM »
Update 26

Riyaa ko jab hosh aayaa to usne apnaa sar kisee kee goud me paayaa aour use apne mathe pe kuch gilaa-gilaa saa mahsosh ho rahaa thaa. Usne apnee aankhe khoolne kee koshish kee par jaise hee usne apnee aankhe khoulee uskee aankhoo pe bahoot tej roosnee padee aour uskee aankhe apne aap band hootee chalee gayee. Wo kuch der tak apnee aankhe band hee kiye laitee rahee  aour fir apnee aankhe khoolee es baar wo apnee aankhe khoolne me kamyaab rahee usne dekhaa uskaa sar uskee mummy kee gaud me thaa uske maathe pe mummy cold paanee kee pattiyaa badal rahee thee. Usne uthne kee koshish kee par mummy ne use uthte dekhkar uskaa baaju pakarkar doobaaraa laitaate huye boolee..."Laitee rahoo, abhee uthne kee koshish naa karo".
.
"par kiyooN" Riyaa ne apnee kamzoor see aawaaj me pochaa
.
"Abhee doctor ne tumhe aaraam karne ko kahaa hai" Mummy ne pyaar se uske baalo ko sahlaate huye kahaa
.
"Par Main to theek hooN mummy mujhe kuch nahee huaa hai"
.
"haa wo tum to theek ho par ye aaj kal ke doctor hee pagal hoo gaye hai...  Binaa matlab tumhaare sar kee dressing kar dee aour bataa rahaa thaa kee tumhe 105 bukhaar bhee hai" Riyaa kee mummy chirte huye bolee. Riyaa chup rahee kuch naa bolee....
.
"ye fars pe raakh kaisee bikhree huyee thee aour tumhaaraa hath kis tarah jal gayaa.  Aour tumko sar pe choot kaise lagee aour tum bed se neeche kaise giree thee" Mummy ne usse ek saath dher saare sawwal poch daale the.  Subah We Riyaa ko uthaane ke liye uske kamre me aayee thee  par kamre me ghooste hee unkaa upar kaa sans upar aour neeche kaa sans neeche hee rah gayaa thaa. Riyaa bed se neeche giree huyee thee. Uske paas hee thoraa saa khoon bhee faras pe jamaa huaa thaa aour ek taraf raakh kaa thooraa saa dher bhee padaa thaa. Ab we un sab baato kaa jawaab riyaa se chaahtee thee
.
"Mujhe kuch yaad nahee" Ab Riyaa mummy ko bataatee bhee kyaa. Esliye aankh band karte huye jhoot boolee wo aankhe khoolke mummy se jhoot nahee bool saktee thee.
.
Mummy ne bhee usse jyaadaa poochnaa achchaa nahee samjhaa. Par use aankhe band karte dekh boolee..."Abhee sone kee koshish mat karo maiN naastaa lekar aatee hooN. Nashtaa karke tablet lekar so jaanaa" Mummy uskaa jawaab sune binaa hee niche chalee gayee.
.
Mummy ke jaate hee Riyaa ne aankhe band kee to use wahee jalte huye khat dikhe usne ghabraake jaldee se aankhe khoolee aanso ek baar fir uskee aankhoo se bahne lage the.
.
Tab hee use kisee ke kadmo kee aawaaj sunaayee dee usne jaldee se apne aanso saaf kiye. Mummy haath me tray liye uske kamre me daakhil huyee aour use jabardastee naastaa karaayaa aour tablet dee. Tablet khaate hee uskee aankhe band hone lagee aour wo so gayee.

....................
(Jaaree)
Logged
mkv
Guest
«Reply #82 on: September 07, 2012, 03:52:02 PM »
kaheen kaheen ..to aisa turn dete hai story ko ..dil dhak se karke rah jaata hai..
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #83 on: September 07, 2012, 04:38:04 PM »
insaan ka apne upar kahan control hota hai..Applause
Haa bilkul sahee kahaa aapne. Insaan jajbat ka gulaam hotaa hai.
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #84 on: September 07, 2012, 08:50:23 PM »
Update 27

"Karoge yaad to har baat yaad aayegee........ Gujarte waqat kee har mouj thahar jayegee.... Ye chaand beete jamaano kaa aa'enaa hogaa...... Ye chaand..." Mobile kee musalsal bajtee bell ne Karan ko neend ke shahar se lautne pe majboor kar diyaa. Karan ne binaa aankhe khole hee idhar udhar haath markar mobile talaash karne kee koshish kee.. par naakaam hee rahaa. Majboran Karan ne aankhe khoolee mobile uske takeeye ke neeche thaa. Usne haath baraakar mobile uthaayaa tab tak call disconnect ho chukee thee. Karan ne call history check kee Shaan kee 7 missed call thee. Karan abhee Shaan ke number pe call karne kee sooch hee rahaa thaa kee uskaa mobile fir se gaanaa gaane lagaa...."Karoge yaad to har baat yaad..."...  Karan ne OK. Waalaa button press kiyaa aour mobile kaan se lagaataa huaa bolaa..."Hello"
.
"Hello ko maaro golee. Pahle ye bataao call pick kiyooN nahee kar rahe the. Subah se tumhaaraa number dial kar karke mere haath bhee dukh gaye" Shaan aadat ke mutaabik suru ho chukaa thaa.
.
"So rahaa thaa yaar" Karan jamabhaayee lete huye bolaa. Abhee bhee use bahoot tej neend aa rahee thee.
.
"Kiske saath"
.
"Tumhaare bhoot ke saath"
.
"Fir bhee ab tak jindaa ho.. Yakeen nahee aa rahaa"
.
"Kal tum free ho naa" Karan ko pataa thaa Shaan aese hee bakwaas kartaa rahegaa esliye uskee baat kaa jawaab diye binaa sawaal kiyaa.
.
"Abhee pandit se pooch kar bataataa hooN....... Nahee... Chal pandit se baad me pooch loongaa pahle ye bataa kaam kyaa hai"
.
"Kal Sanjanaa ko lene chalaa jaa naa. Tumhe to pataa hai aaj kal me kitnaa busy hooN warnaa mai khud chalaa jaataa"
.
"oh! Bhaabhee jee ko le kar aanaa hai. Mene sochaa kal tu doosree shaadee kar rahaa hai. Esliye pandit....."
.
"Jaa rahe hoo na kal Sanjanaa ko lene" Karan ne uskee baat ko beech me kaatte huye kahaa.
.
"Haa jaaongaa kal tumhaaree Sanjanaa ko lene" Shaan ne Sanjanaa word pe joor dete huye kahaa.
.
"Thanks in advance my dear"
.
"Apne thanks kee chatnee banaa ke bread pe lagaa ke khaa lo..... Dost ko thanks boltaa hai... Chal mai tumse baat nahee kartaa" Shaan ne gusse me kahaa aour call kaat dee .... Karan ke chehre pe muskuraahaat aa gayee use pataa thaa kee Shaan naatak kar rahaa hai.

..........................
(Jaaree)
Logged
mkv
Guest
«Reply #85 on: September 08, 2012, 12:40:31 AM »
Applause
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #86 on: September 09, 2012, 12:56:47 AM »
Update 28

Karan ke chehre pe muskurahat aa gayee use pataa thaa kee Shaan naatak kar rahaa hai. Shaan aese hee jhoot-mot kaa naaraj hootaa thaa aour khud hee maan jaataa thaa. Karan ne time dekhaa 09:30 ho rahe the. Raat un criminals ko arrest karne aour safed bonglow kee talaashee lene me raat ke 03:00 baj gaye the. wo kareeb 04:00 baje so paayaa thaa. Esliye der tak sotaa rahaa. Karan jaldee jaldee tayyar hone lagaa aour kuch hee der baar wo apne kebin me baithaa Chiraag se baate kar rahaa thaa...
.
"Kuch bataayaa unhone" Karan ne raat arrest kiye gaye logo ke baare me jaananaa chaahaa
.
"Jee sir, sirf kuch nahee... Bahoot kuch bataayaa "  
.
"Kyaa kyaa bataayaa"
.
"sir, ak kaa naam John Cartez hai joo kee Cobra gang se hai"
.
"What.... John Cartez... Cobra gang.... Kyaa bak rahe ho.... Subah subah daaru pee ke aaye ho kyaa"
.
"Sir mai to pee ke bahak rahaa hooN... Pooree baat sunego to aap ko bin peeye hee chad jaayegee...."
.
"Par ham to wahaaN Kamal ke saathiyooN ko arrest karne ke liye gaye the..  Ye John Cartez aour Cobra gang kuch samajh nahee aa rahaa... Kyaa Kamal , Cobra ganag se sambandh rakhtaa hai"
.
"Sir ta'aalluk rakhnaa to door kee baat hai.. enme se koi bhee Kamal ko jaantaa tak nahee."
.
"Jantaa tak nahee se kyaa matlab... Kyaa ye Kamal ke aadmee nahee hai."
.
"Jee sir enme se koi bhee Kamal ko nahee jaantaa hai.. Unko Kamal kaa photo bhee deekhaayaa par unhone kahaa kee es aadmee ko to unhone kabhee dekhaa hee nahee hai... Aour naa hee kabhee Kamal naam ke kisee aadmee ke baare me sunaa hai"
.
"Eskaa matlab informer ne hame galat information dee thee....." Karan kuch soochtaa huaa bolaa aour fir chup ho gaayaa aour thooree der baad fir bolaa... "Baakee ke 3 kaun hai"
.
"Sir doosraa Amit Kumar jo kee Golden gang ke liye kaam kartaa hai. Aour teesre kaa naam hai Kapil Singh jo kee King gang kaa aadmee hai... Aour choodaa Ravi Pal hai joo kis gang ke liye kaam kartaa hai. Khud usko bhee nahee maloom." Chiraag etnaa kahkar chup ho gayaa. Karan uske chehre ko hairaanee se dekh rahaa thaa
.
Kiyoonkee jin 3 gang ke naam Chiraag ne usse bataaye the we teeno bahoot khatarnaak gang the. Poore desh me unke naam se loog kaampte the. Pichle 5 saalo se CBI en gang ke piche padee thee par abhee tak kuch nahee kar paayee thee. En gangs ke kaam karne kaa tareekaa bahoot uniqe thaa... Enke saathiyoo ko bhee pataa nahee hotaa thaa kee unkaa boss kaun hai.. Unko bas instruction milte rahte the aour ye follow karte the.  Aour to aour enko apne doosre sathiyooN ke baare me bhee kuch pataa nahee hotaa thaa aour naa hee ye pataa hotaa thaa kee we kiske liye kaam kar rahe hai. Bas unko ek hee baat bataayee jaatee thee.. Wo bas enke gang kaa naam.. Awwal to es gang kaa koi member pakdaa hee nahee jaataa thaa aour kabhee koi arrest bhee ho jaataa thaa to police usse kuch jaan hee nahee paatee thee kiyoonkee usko khud  bhee khuch nahee maloom hotaa thaa.
.
"Eskaa matlab ye chaaroo alag-alag gang se hai..... Kyaa ye pahle se ak doosre ko jaante the" Karan ne poochaa. Jab ye apne apne gang ke members ke baare me nahee jaante. Aese me alag alag gang waale ak doosre ko jaante ho.. Ye kaise ho saktaa thaa. Esiliye Karan ne sabse pahle Chiraag se ye hee poochaa.
.
"Nahee sir kal se pahle .. Na to ye kabhee aapas me mile the.  .. Aour naa hee kabhee baat kee thee...Aour to aour ye ak doosre kaa naam bhee nahee jaante hai "
.
"To fir kal enme se  do aadmee ek hee car se kiyooN aaye the"

................................
(Jaaree)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #87 on: September 09, 2012, 01:12:23 AM »
Applause
Thanks brother
Logged
htboy111
Guest
«Reply #88 on: September 09, 2012, 07:02:00 AM »
awesome updateS bhai
 
Logged
htboy111
Guest
«Reply #89 on: September 09, 2012, 07:02:26 AM »
awesome updateS bhai
 
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10 ... 19
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 05:34:01 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.167 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer