Unknown Target...........masoom

by Masoom Shahzada on August 13, 2012, 03:29:02 AM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 19
Print
Author  (Read 36890 times)
masoom shahjada
Guest
«Reply #90 on: September 09, 2012, 08:23:04 AM »
kaheen kaheen ..to aisa turn dete hai story ko ..dil dhak se karke rah jaata hai..

Bhaai aap sach kah rahe hai yaa yoon hee majak kar rahe hai.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
My mind sails, through an unknown sea! by abdbundeli in English
Na Kamal-e-Fun Hi Mila Mujhe - Not Mine (Shayr Unknown to me) by fernsk in Shayri-E-Dard
A shared poetry-writer unknown by tamanna1 in Share:Love Poetry
apnay badlay huway lehjay ki wazahat karna- Unknown by ghayal_shayar in Urdu Poets « 1 2  All »
saathoN ki kasoor ho geya--Unknown by ghayal_shayar in Pain in Love : Punjabi poetry
mkv
Guest
«Reply #91 on: September 09, 2012, 10:56:31 AM »
bilkul sach..
aap mere shabdo.n ko dhyaan deejiye. kaheen kaheen...

Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #92 on: September 09, 2012, 06:10:30 PM »
Update 29

"To fir kal enme se do aadmee ek hee gaadee se kiyooN aaye the" Karan ke sawaal me waakai dam thaa.
.
"Sir kal Kapil aour Ravi jis car se aaye the wo Kapil kee thee. Ravi ke Boss ne Ravi se kahaa thaaa kee es number kee car tumhe road se pick karegee. Aesaa hee kuch order Kapil ko Kapil ke Boss se mile the"
.
Chiraag kee baat sunkar Karan kuch der chup rahkar kuch soochtaa rahaa fir bolaa....."Tumhe lagtaa hai... Unhone sab chup sach-sach bataayaa hai"
.
"Sir aapko koi shak hai......... Pochtaach Sikandar ne kee hai" Chiraag ne halkaa saa muskuraate huye kahaa...... Sikandar jab pochtaach kartaa thaa to Murde bhee sach boolne pe majboor ho jaate the.
.
"Wo safed bonglow kiskaa hai"
.
"Jiskaa thaa wo do maheene pahle ak road acsident me mar gayaa thaa"
.
"Achchaa ab tum jaa sakte ho" Karan kuch der chup rahaa fir bolaa
.
Chiraag Karan ke kebin se nikal gayaa par abhee muskil se 30 second hee huye hooge.. Kee Chiraag fir Karan ke Kebin me aayaa.
.
Karan ne aankhoo ke ishaare se usse pochaa .."Kyaa baat hai"
.
"Sir ak baat to mai aapko bataanaa hee bhool gayaa"
.
"Kaun see baat"
.
"Sir en sab me ak samaantaa hai"
.
"Kin sab me"
.
"Jin chaaro ko hamne raat arrest kiyaa thaa."
.
"Kyaa samaantaa hai"
.
"Sir... En sabkee kalaai pe 7 number gudaa huaa hai"

........................
(Jaaree)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #93 on: September 09, 2012, 06:17:53 PM »
awesome updateS bhai
 

Really.... By the way story read karne kaa aour comment karne ka bahoot bahoot sukriyaa
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #94 on: September 09, 2012, 06:44:08 PM »
Update 30

"Sir... En sabkee kalaai pe 7 number gudaa huaa hai."
.
"Ab es 7 kee kyaa mystry hai" Karan ne apne mathe ko apne haatho se ragadte huye kahaa. Aaj subah subah hee uske sar me dard hone lagaaa thaa
.
"Sir.... Kyaa mystry hai ye to mujhe nahee maloom.. Par 7 number hee maine Kamal kee dead-body kee kalaai pe bhee dekhaa thaa" Chiraag ne etnaa kahaa aour uske kebin se nikal gayaa.
.
Karan ne foran Kamal kee dead-body ke photographs mangvaaye jinme Karan ne dekhaa Kamal kee kalaai pe waakai 7 number gudaa huaa thaa.
.
Karan soch me doob jaataa hai tab hee uskaa mobile bajne lagtaa hai. Karan apnee jeb se mobile nikal ke dekhtaa hai... Screen pe koi anjaan number jagmagaa rahaa thaa... Karan mobile kaan se lagaate huye kahtaa hai...."Hello"
.
"Shahar ke South me jo jangal hai......." Dossre taraf se aawaaj aatee hai... Par karan uskee baat beech me hee kat ke khud booltaa hai........
"Kaun ho tum.... Aour kyaa chaahte ho"
.
"WahaaN taalaab ke paas jo....." udhar se Karan kee baat kaa Jawaab diye binaa ...wo aage hee bake jaa rahaa thaa...
.
"Maine tumse.. Tumhaaraa naam pochaa hai" Karan ne fir se uskee baat beech me hee kaatee aour baree muskil se apne gusse pe kabu paate huye kahaa.
.
Par doosree taraf koi asar nahee huaa...usne to jahaaN apnee baat choodee thee usse aage fir kahne lagtaa hai....."Blue Cotaage hai.. Usme tumhe....."
.
"Tum bahre ho kyaa... Etnee der se mai tumse kuch poch rahaa hooN" Karan ne fir se uskee baat beech me kaatee aour lagbhag cheekhte huye kahaa. Es baar Karan ne apnaaa gussaa kabu nahee kiyaa thaa
.
"Kamal ke Boss Sumit Vermaa urf Red 001 kee laash milegee.. Jiskaa sambandh 7 Stars gang se hai" Udhar se fir aawaaj aayee.
.
Es baar Karan ne uskee baat beech me nahee kaatee thee. Jab doosree taraf se baat pooree ho gayee to Karan bolaa........"Tum hame galat information kiyooN de rahe ho"
.
"To aapko mere se jayaadaa un criminals kee baato pe yakeen hai.. To karo meraa kyaa jaataa hai"

...................
(Jaaree)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #95 on: September 10, 2012, 03:30:26 AM »
bilkul sach..
aap mere shabdo.n ko dhyaan deejiye. kaheen kaheen...


oh ...... Aesaa hai kyaa...... Kahee Kahee matlab do baar turn aayaa hai warnaa story seedhee chalee hai. Haa Shaayad aap sach kah rahe hai.
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #96 on: September 10, 2012, 05:56:34 PM »
Ghazab ka sher farmaaya hai masoom bhai.
is bazm ka dil shayad isi tarah chura sakte hai.
extreme..9 years..still waiting for her love.. but i like it.
recently ek bhai ne likha hai..modern love..log to shayad 9 ghante bhi wait na kare..
anyway..carry on
Bhaai aapne raai to sahee dee hai.
Par jyaadaa sher yaa gazal es story me fir nahee baithege saayad...  Fir bhee aage ek do sher aour rakhne kee koshish karoongaa.
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #97 on: September 10, 2012, 05:57:22 PM »
Ghazab ka sher farmaaya hai masoom bhai.
is bazm ka dil shayad isi tarah chura sakte hai.
extreme..9 years..still waiting for her love.. but i like it.
recently ek bhai ne likha hai..modern love..log to shayad 9 ghante bhi wait na kare..
anyway..carry on
Bhaai aapne raai to sahee dee hai.
Par jyaadaa sher yaa gazal es story me fir nahee baithege saayad...  Fir bhee aage ek do sher aour rakhne kee koshish karoongaa.
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #98 on: September 11, 2012, 12:14:07 PM »
Update 31

"To aapko mere se jayaadaa un criminals kee baato pe yakeen hai.. To karo meraa kyaa jaataa hai"
 doosree taraf se etnaa kahkar line disconnect kar dee gayee.
.
Karan hairaan pareshaan kuch der tak faislaa hee nahee kar ki kyaa kare aour kyaa na kare.
.
Karan ne uskee aawaaj sunte hee pahchaan liyaa thaa kee ye wahee bol rahaaa hai jisne kal raat phone karke safed bonglow ke baare me bataayaa thaa. Esliye Karan ne baar baar uske baare me jaannaa chaahaa thaa par wo bhee poraa kameenaa thaa. Karan usse sawaal kartaa rahaa aour wo apnee hee bat pooree kartaa rahaa aour uske kisee sawaal kaa jawaab nahee diyaa. Aour jab jawaab diyaa to uske liye hazaaro sawaal chood gayaa.... Ab Karan ko faislaa karnaa thaa kee kaun sach kah rahaa hai .... We chaaroo jo bahoot shaatir criminals hai... Ya fir ye ajnabee informer.....
...
Par abhee Karan ke paas kuch bhee soochne kaa time nahee thaa.. Karan ne Sikandar ko apne kebin me bulaayaa..... Sikandar jald hee uske saamne khadaa thaa....."Es number kee information nikalwaao" Karan ne abhee jis number se call aayee thee use ek paper pe likhkar sikandar ko thamaate huye kahaa..
.
Kuch der baad Karan South waale jangloo me prawesh kar rahaa thaa. Uskee gadee sabse aage thee. Wo apnee gadee me akelaa thaa. Uske saare saathee uske piche do gaadiyooN me aa rahe the. Karan apnee gadee ko bahoot tej chalaa rahaa thaa kiyoonkee wo jald se jald blue cottage pahoonchnaa chaahtaa thaa.
Uske saathee usse kafee piche the.
.
Karan blue cottage ke bahoot paas pahoonch chukaa thaa. Usne cottage ke saamne do gaadeeyaa kharee dekhee usne apnee gaadee unse thooree door rookee.
.
Tabhee uskee najar blue cotaage ke gate pe paree use kuch dikhaa jise dekhkar usne apne rivolver haath me thaamee aour gadee se jaldee se utraa aour bhaagte huye cottage ke gate tak pahoonchaa.
.
Usne gate kholaa aour cottage ke first floor pe nazar jamaaye seedeeyooN kee taraf bhaagaa. Par tabhee uskaa per kisee cheej se takraayaa aour wo bahoot joor se niche giraa....
........................
(Jaaree)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #99 on: September 11, 2012, 07:20:17 PM »
Update 32

Darasal huaa ye thaa kee Jab Karan ne apnee gaadee blue cotaage ke paas rokee aour Cotaage ke saamne khadee do cars pe sarsaree nazar daalte huye Cottage ke darvaaje pe pahoonchee... To wahaaN use kisee kaa haath nazar aayaa jo darvaajaa band kar rahaa thaa.
Jise dekhkar Karan ne apnee gaadee kaa darvaajaa kholaa aour  apnaa rivolver apne haath me lekar Cottage kee aour daud lagaa dee. Cotaage ke darvaaje pe pahoonchke Karan ek pal ko rukaa fir ek dam se gate pe ek jordaar laat maaree aour andar daakhil hoo laayaa.  Karan ko ek sakhash first floor pe jangal kee aour khultee khidkee se baahar kaudtaa huaa nazar aayaa. Karan bhee tejee se seedeeyooN kee aour bhaagaa par uskaa saaraa dhayaan upar kee hee taraf thaa esliye uskaa pair kisee cheej se takraayaa aour wo bahoot jor se giraa. Karan ke haath se rivolver chootke door jaa giraa. Karan ko uthke samhalne me thoraa waqat lagaa. Uthte hee wo bhee khidkee kee aour bhaagaa aour window se baahar ko chalaang lagaa dee.
.
Jahaan karan ne chalaang lagaayee thee wahaaN jameen kuch unchee thee .... Window se jameen kaa faaslaa sirf 5 feet hee hogaa.
.
Karan ne window se koodkar idhar udhar dekhaa.. Par kaheeN koi nazar nahee aayaa. Karan ke peroo me choot lagee thee esliye usne jangal me jaanaa theek nahee samjhaa. Wese bhee Karan ko kuch samajh nahee aa rahaa thaa kee wo kis taraf ko bhaagaa hogaa.... Esliye karan ne apne kadam wapas blue cottage kee aour hee baraa diye......

............................
(Jaaree)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #100 on: September 14, 2012, 06:00:48 AM »
Update 33

Karan dheere-dheere chaltaa huaa Cottage ke saamne kee aour aa gayaa. Uske ghutno ne girne se chot aayee thee jisse use chalne me thoree pareshaanee ho rahee thee.
.
Karan ke saathee gaadiyoN se utarkar uskee aour hee aa rahe the.  Unhe dekhkar Karan chillaayaa..."Rajesh , sab logoN ko le jaakar jangal kee talashee lo abhee abhee us khidkee se kodkar kar koi bhaagaa hai" Karan ne left side waalee window kee aour ishaaraa kiya..
.
Karan kee baat sunkar Chirag ko chodkar sab ek taraf ko daurte huye chale gaye.
.
Chirag Karan ke maathe pe lagee chot ko dekh rahaa thaa.. Jisse thoraa thoraa khoon bhee nikal rahaa thaa.. Chirag Karan ke najdil aayaa aour bolaa..."Sir, aapko ye chot kaise lagee"
.
Karan ne bataayaa aour apnee jaib  se rumaal nikal ke khoon saaf karne lagaa aour fir rumal ko apne maathe se baandh liyaa.
.
Ab wo dono Cottage ke gate kee aour badne lage. Abhee un dono ne Cottage ke andar do hee kadam rakhkhe the kee unkee najar saamne gayee aour we jahaaN the waheeN thithak ke khare ho gaye.
.
Karan us shakhas ka pichaa karne me laash pe dhayaan naheeN de paayaa thaa.. Ab jo uskee najar laash pe paree to uske pore badan me kapkapee dour gayee. Saamne kaa manjar waakai rongte khare kar dene waalaa thaa.
.
Red 001 kaa sir ak kursee par rakhkhaa huaa thaa.. Aour baakeee kaa jism kuch hee dor jameen pe pet bal giraa huaa thaa.
.
Uskaa jism upar se nangaa thaa. Neeche uske jism pe pent to thee.
.
Uskee kamar pe jagah jagah se khaal utree huyee thee jo paas hee bikhree paree thee... Aour jahaaN jahaaN uske jism pe khaal nahee thee.. WahaaN wahaaN namak aour mirchee lagee huyee thee.
.
Karan kee himmat nahee huyee ki wo use sidhaa karke dekhe kee pet kaa kyaa haal hai.... Usne idhar-udhar dekhaa.. Paas hee use ek khidkee pe ek pardaa latkaa huaa najar aayaa. Karan ne us parde ko ek jhatke se kheenchaa aour use laakar laash ke upar daal diyaa.
.
Pardaa daal ke wo sidhaa huaa to uskaa dhayaan paas hee paree apnee rivolver pe gayaa.. Karan ne  use uthaa liyaa aour Chirag ke saath bahoot baareekee se pore Cottage kee talaashee lenee suru kar dee. 

.........................
(Jaaree.....)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #101 on: September 14, 2012, 06:01:36 AM »
Update 33

Karan dheere-dheere chaltaa huaa Cottage ke saamne kee aour aa gayaa. Uske ghutno ne girne se chot aayee thee jisse use chalne me thoree pareshaanee ho rahee thee.
.
Karan ke saathee gaadiyoN se utarkar uskee aour hee aa rahe the.  Unhe dekhkar Karan chillaayaa..."Rajesh , sab logoN ko le jaakar jangal kee talashee lo abhee abhee us khidkee se kodkar kar koi bhaagaa hai" Karan ne left side waalee window kee aour ishaaraa kiya..
.
Karan kee baat sunkar Chirag ko chodkar sab ek taraf ko daurte huye chale gaye.
.
Chirag Karan ke maathe pe lagee chot ko dekh rahaa thaa.. Jisse thoraa thoraa khoon bhee nikal rahaa thaa.. Chirag Karan ke najdik aayaa aour bolaa..."Sir, aapko ye chot kaise lagee"
.
Karan ne bataayaa aour apnee jaib  se rumaal nikal ke khoon saaf karne lagaa aour fir rumal ko apne maathe se baandh liyaa.
.
Ab wo dono Cottage ke gate kee aour badne lage. Abhee un dono ne Cottage ke andar do hee kadam rakhkhe the kee unkee najar saamne gayee aour we jahaaN the waheeN thithak ke khare ho gaye.
.
Karan us shakhas ka pichaa karne me laash pe dhayaan naheeN de paayaa thaa.. Ab jo uskee najar laash pe paree to uske pore badan me kapkapee dour gayee. Saamne kaa manjar waakai rongte khare kar dene waalaa thaa.
.
Red 001 kaa sir ak kursee par rakhkhaa huaa thaa.. Aour baakeee kaa jism kuch hee dor jameen pe pet bal giraa huaa thaa.
.
Uskaa jism upar se nangaa thaa. Neeche uske jism pe pent to thee.
.
Uskee kamar pe jagah jagah se khaal utree huyee thee jo paas hee bikhree paree thee... Aour jahaaN jahaaN uske jism pe khaal nahee thee.. WahaaN wahaaN namak aour mirchee lagee huyee thee.
.
Karan kee himmat nahee huyee ki wo use sidhaa karke dekhe kee pet kaa kyaa haal hai.... Usne idhar-udhar dekhaa.. Paas hee use ek khidkee pe ek pardaa latkaa huaa najar aayaa. Karan ne us parde ko ek jhatke se kheenchaa aour use laakar laash ke upar daal diyaa.
.
Pardaa daal ke wo sidhaa huaa to uskaa dhayaan paas hee paree apnee rivolver pe gayaa.. Karan ne  use uthaa liyaa aour Chirag ke saath bahoot baareekee se pore Cottage kee talaashee lenee suru kar dee.  

.........................
(Jaaree.....)
Logged
ahujagd
Maqbool Shayar
****

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
6 days, 1 hours and 34 minutes.
Posts: 842
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #102 on: September 14, 2012, 07:08:49 AM »
masoom jim
 aapki yeh kahani bahut achhi lag rahi hai, na na , abhi maine padi nahin hai bas mera dil yeh gavahi de raha hai ki achhi hi hai isliye samay (more than 2hr)nikaal kar shuru se abhi tak ek saath padna chaahoonga,tab tak aap likhte rahiye,
shubh kaamnaon sahit
ghansham das ahuja
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #103 on: September 14, 2012, 07:25:45 AM »
Update 34

Riyaa kee aankhe khulee to dophar ho rahee thee. Uskaa bukhaar utar chukaa thaa.. Par thoree kamjoree mahsus ho rahee thee. Usne idhar-udhar nazar doraai.. Abhee wo kamre me akelee hee thee.. Uskee nazar fars pe  gayee to use raat ke we jalte khat yaad aa gaye to uske munh se ek aah nikli aur uskee aankhe  paanee se bharne lagee..... Tab hee uskaa mobile..."Hosh waalo ko khabar kyaa be-khudee kyaa cheej hai... Ishq keeejeeye aour samajheeye jindagee kyaa cheej hai..." Karne lagaa. Call Snjana ke number se aa rahee thee... Riyaa ne apnee aankhe saaf kee aour mobile kaan se lagaane ke baad bolee..."Hello Sanjana kaiseee ho"
.
"Tumhe kyaa maiN jeeyu aa maroN.. Janaab ke shahar aaye huye haiN par janaab apnaa haseen jameel chehraa dikhaane ko tayyar hee naheeN.. MaiN to himmat karke ek baar janaab ke ghar aa gayee thee par janaab ne to dosteee ko bilkul raddee samajh rakhkhaa hai.." Sanjana bolnaa suru huyee aur fir gusse me boltee hee chalee gayee..
.
"Arey baabaa naraaj naa ho kal aa rahee hooN na tumhare ghar"
.
"Naa aayee to taange tor dongee. .. Pataa hai maiN yahaaN kitnee boor ho rahee hooN.. Par tumhe kyaa tumhaaree jindagee to ekdam mast jaa rahee hai.. Tumhe meree fikar kahaaN hogee" Sanjana ne pahle use pyaar se dantaa fir sikayate karnee suru kar dee
.
"Tumhaaree fikar karne waale Karan bhaai hai naa" Riyaa ne Sanjana ko cheraa.
.
"Arre unhe apne dhandhe se fursat ho to meree khabar le.. Mere maaN baap ne bhee mujhse jaane kaunse janam kee dusmanee nikaalee hai jo meree shaadee ek Police Inspector se kee hai"
.
"Tum bhee naa kisee tarah khush nahee hotee"
.
"Main khush meraa dil khush agar tum kal aayee.. Aur naa aayee to pahle hee bataaye detee hooN.. Dil ko to khush hee rakhungee par hath pero ko gusaa dilaa dungee" Sanjana ne use pyaaree see dhamkee dee.
.
"Yaar waadaa kartee hooN. Kal jaroor aaoNgee"
.
"Chal to kal hee baat karege.. Jayaadaa paise kharch nahee karte" Sanjana ne phone disconnect karte huye kahaa.
.
Sanjana se baat karke Riyaa bahoot achchaa mahsus kar rahee thee. Dostee har jakham kaa marham hotee hai.. Use ek sukon saa milaa thaa Sanjana se baat karke. Riyaa ne pakaa iraadaa kar liyee kee kal wo Sanjana ke ghar jaroor jayegee.

......................................
(Jaaree.............)
Logged
mkv
Guest
«Reply #104 on: September 15, 2012, 05:29:55 PM »
Bahut badhiya chal rahi hai. Applause Applause Applause Applause
Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 19
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 05:38:13 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.126 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer