Wajud... (Short horror story) By Asif biswas

by ASIF on November 07, 2023, 02:12:00 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 760 times)
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 25 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
Hello dosto kaise hai aap sab? Pesh karta hun apni is saal ki teesri aur 2023 ki dusri horror daastan aasha karta hun aap sabko pasand aaye is baar jo horror par kirdar maine chuna hai wo meri pichli purani kahani ke aehem kirdaro mein se hai, jispar meri personally bahut dilchaspi rahi hai, aur phir laut aayi woh daastan, saaya aur tamaam un horror kahaniyo ke baad pesh kar raha hun ek nayi jinn ki horror dastan aasha karta hun aapko pasand aaye aapke keemati sujhav aur comments ka besabri se mujhe intejar rahega aur is saal ki pesh ki "aafat" aur "firaaq" (thriller) zarur padhiyega

This story is a fictional story, any characters, places or events which take place into this story is completely written by work of fiction thoughts and doesn't encourage and promote any kind of superstitious thoughts and elements,this story not intend to hurt anyone's feeling and sentiments of any religious,community and groups, and it strongly not claim any kind of reality incidents from this story, this story is written for entertainment purpose, don't take this story seriously and if u feel discomfort or disturbing thoughts while reading this story pls stop there, cause this scary horror story is not suitable for weak heart, viewer discretion is advised,

Story agle post se jaari
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 25 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #1 on: November 07, 2023, 02:18:27 PM »
• Bishal ki ungliya khat khat ki awaz paida kar rahi thi pure kamre ki khamoshi mein uske ungliyo se typing ki awaz gunz rahi thi,

Usne paas rakhkha coffee ka mug hontho se lagaya to paaya ki wo khaali tha, hairat thi ki oose malum hi nahi chala ki kab uski banayi cofee kabki khatam ho chuki thi,

Musalsal taqreeban shaam se hi wo laptop ke aage baitha hua tha, aur kisi cheez ko bareeqi se khoj raha tha aur jaise hi oose kuch bhi malum chalta uske haath typing karte aur wo unke notes banakar rakh leta, aakhir kayi ghante ke mehnat ke baad usne ungliyo ko aaram diya, aur kursi par sar lagaye dheela chodh diya, lekin nazare saamne screen pe dikh rahi us tasveer par tehri huyi thi, tasveer aabadi se dur kisi sunsaan ilaake ki thi jaha par Hari bhari wadiyo ke ain beecho beech ek makbara bana hua tha wo maqbara ab puri tarah se khandar ban chuka tha, aur uske ird gird aur upari diwaro par paido ki jade aur shaakhaye nikali huyi thi,

Kuch azib sa mehsus hota tha us khandar bane maqbare ko dekhkar, jis khoj mein kayi waqt usne guzare they uska aakhri sirha oose us khandar ki khoj mein le jaake khatam hua tha,

Bishal ne angrai lete huye kursi se uthkar apna tawajjoh screen se hatate huye ubaasi Li, wo thak ke churr ho chuka tha usne apna chashma hataya aankhe ponche fhir khidki ke paas aaya jaha se kohre ki sard hawa bheetar daakhil ho rahi thi, uff itne waqt se wo kursi pe yun jama baitha apne kaam mein mashgul tha ki oose khidki lagaane ki fursat tak na mili aur wo thandi hawao se sirhan ki parwah na kiye apne kaam mein uljha pada tha,

Delhi sheher ka wo November ka waqt tha jab thand puri tarike se sheher mein dakhil ho chuki thi, kohra chaane laga tha aur kadaake ki thand pad rahi thi, apne naraina ki 2 bhk flat mein bishal akela rehta tha aur aur uska apna kehne ke liye koi nahi tha, wo tanha tha lekin saari buri aadato se mubtala tha cigrette sharab wo khub Peeta tha lekin haal hi mein tabiyat zyada bigad jaane aur doctor ke saqt ilaaz aur parhezi ki wajah se usne tamaam nasho se kinara kar liya tha, sirf cigarette ka kashh wo kabhi kabhar lagane ki koshish karta tha toh dawai ke asar se oose pait dard uthne lagta tha jis wajah se ab cigarette peene se bhi oose darr lagta tha, apni inhi galat aadat aur jua khelne ki wajah se uske gharwalo ne oose kayi waqt pehle khud se dur kar diya tha aur bishal ko bhi unse koi zazbati lagaav nahi tha isliye wo akela rehne laga oose yahi lagta tha ki uska apna kehne ke liye koi nahi hai, jisse usne dil lagaya bhi tha ya toh wo oose dhoka de gai ya fhir oose chodhkar chali gayi, kahi na kahi wo khud in sab ka zimmedar khud ko manta tha, lekin us baat ka bhi oose koi zyada din faraq nahi pada maali imdaad ke asar se usne juye ki lat se kinaara kiya jisse kayi dafa oose karari haar aur karz tak jhelna pada tha

Delhi sheher mein wo ek office mein job karta tha, jaha uski dosti oosi ke ek colleague se huyi thi jo kuch maah baad naukri chodhkar koi dusra pesha apnane jaa raha tha, uska ravayya bhi bahut azib sa hone laga tha har waqt aatmao aur andhwishwas bhari cheezo pe baat karna uska shagal tha, bishal uska kareebi tha aur oose in sab cheezo mein dilchaspi thi,

Usne jaate jaate bishal se izhar kiya ki wo bhi is naukri se kinaara kar le aur chahe to uska pesha apna le, pehle bishal samjha nahi fhir ek raat uska dost oose apne peshe ke thikane jab laaya to wo bhi hairat mein pada wo ek angrz ke paranomal research and institute mein mulazim tha, boss ke aage bishal ka parichay hua aur uske dost ne oose peshe se rubaru karaya ki uska kya kaam tha? Bishal mein unhein koi qualities dikhi aur uske boss ne bishal ko bhi ek job offer ki, ki agar wo unke peshe ke tehet waqayi koi paranormal incident ya case represent kare toh badle mein achi tankhwah paa sakta hai,

Bishal ko ye baat jacchi aur bishal ne apni naukri se aayinda dino mein bilkul kinara karte huye unke yaha mulazim ban gaya, aur tab se abtak wo itne cheezo ke rubaru hua ki ab oose bhi in tamaam alloukik cheezo pe wishwas hone laga,

Usne aatmao ka wajud paya tha, negative energies mehsus ki thi, kisi par rooh sawar hote dekha tha, aatmao ki baaton ko unki awazo ko record tak kiya tha aur na jaane kitne hi aise ghatnao ke wo rubaru hua tha jisne uski is peshe se dilchaspi aur zyada badha di thi lekin kuch din pehle kuch aisa ghata tha jisse uska mind thoda disturb ho gaya tha,

Uske oosi dost ki apne hi flat mein maut ho gayi thi, wo ek kabrastan par documentary bana raha tha jo sheher se bahar tha, uski zindagi mein sabkuch theek thaak tha koi dushman nahi tha uska, wo bahut khushmizaz aur shaant svabhav ka ladka tha, lekin achanak ek subah bishal ne uski babat akhbar mein padha ki uska dost marr chuka tha police ko uski laash uske mehrauli waale flat mein tanhaa mili thi jaha wo akela rehta tha, laash bathtub mein tair rahi thi aur badan pe kisi bhi kisam ka chot ka Nishan nahi paya gaya tha, autopsy mein paaya gaya tha maut 24 ghante pehle huyi raat gaye thi, oose extreme shock laga tha kisi cheez ko dekhne ki buri tarah dehshat se uska heart fail kar gaya tha,police ne kuch din chanbin ki aur koi sabut ya gawah na hone ke wajaho se case pe koi khaas tawajjoh na di, jis wajah se wo case natural death maana jaane laga

Us maamle ke baad se bishal aur bhi khud ko tanha mehsus karne laga ab sawal ye tha ki uske sath aakhir hua kya tha? Kis cheez ko dekhne se wo yun dehshat se marr gaya tha, kya iske piche uska case zimmedar tha jispe wo kaam kar raha tha par usne toh kayi raatein shamshan ghat aur kabrastano aur band khandaro tak mein kayi kayi cases mein akele guzaari thi aise uska dehshat se maut ho jaana azib tha wo darrne walo mein se nahi tha, Lekin ye Raaz bhi uski maut ke sath is dunia se jaa chuka tha, bishal apne khayalo se bahar nikla usne khidki lagate huye parda kheecha, aur apne bedroom mein dakhil hua ghadi mein raat ke dedh baj rahe they, aur aankho mein neend se bhaaripan tha, us case ki wajah se kuch din se wo theek dhang se so nahi paaya tha, uske dost ki maut ke baad se hi bishal ka mann apne kaam ki taraf kam lag raha tha, wo boss se chutti lena chahta tha jiski manzuri boss ne de toh di thi, lekin uska ek aur case laa dene ke baad, bishal ne koi case lene se taalne ki puri koshish ki thi kyunki uska dilo dimaag apni dost ki maut se ubhar nahi paaya tha, lekin boss kuch sunna nahi chahta tha pichle kayi cases mein unhone apni wo dilchaspi nahi dikhaayi jo bishal ne is peshe mein ghusne ke baad unko laake dikhai thi, bishal ne khud se vaada kiya ki ek aur case unke aage submit karne ke baad wo kuch din ke liye sheher se dur kahi chala jayega,

Kaafi maatha pacchi ke baad oose sheher mein koi aisa thos case nahi mila jo uske matlab ki hoti, tabhi usne us raat apni case ki khoj us muqam par khatam ki jo sheher ki aabadi se dur ek ghane junglo ke veerano mein padti thi jiski tasveer ab bhi computer screen par mauzud thi,

"Purana maqbara"

Aamtaur par aatmaye shaitani roohein in tamam haunted jagaho par jaakar bishal ne kayi dafa unke astitiva ko dhundha tha lekin apni case ke liye oose koi haunted jagah ki jo talash thi wo oose purana maqbara par le jaake hi khatam huyi, delhi sheher se bahar taqreeban 40 km dur national highway ke kareeb hi wo koi gumnam jagah thi jaha wo maqbara tha haalaki waha ka itihas kam tha aur us jagah par logo ki aava jaahi na ke barabar thi, kuch articles mein us jagah ko uske itihas na hone ki wajah se haunted tehraya gaya tha kyunki waha aise kayi vaardate ghati thi jo aloukik thi,

Bishal ko kisi bhi tarah is haunted ilaake ka astitiva dhundhkar case boss ke aage submit kar dena tha jiske baad hi oose nijat mil sakti thi, lekin wo jis wajud ki talash mein us maqbare ka rukh karne jaa raha tha wo talash kisi aatma ya insaani saaye ki nahi balki jinn ki thi jiski kayi stories usne documentary mein padhi thi, aamtaur par usne apne cases mein jinnat pe kabhi kaam nahi kiya tha wo ya toh inhe kalpanik samjhta tha ya fhir inhe sarasar nakaar deta tha jabki aatmao par aur shaitani saayo par wo wishwas karta tha, haalaki wo jinnato ki itihas aur unke kisse kahaniyo se waqif tha jo wo bachpan se sunta aaya tha aur malumat baad mein is peshe mein utar jaane ke baad khaastaur se apne musalman dost se hi aksar sunta aaya tha,

Uska wohi marhum dost uska office ka colleague aur hampesha jo haal hi mein rahashmayi taur par apni flat mein mara hua mila tha, wo musalman gharaane se taluq rakhta tha jisne hamesha usse jinnato ke wajud ki usse baat kahi thi, ki jinn aag ke bane hote hai aur aamtaur par insani aabadi se dur aise khandaro mein paido par aur band gharo mein apna basera bana lete hai, yaha tak kuch sifli amaali unka istemal bhi muaqil ke taur par karte hai, lekin jinnat insan ke khule dushmano ki tarah hote hai jo mauka aate hi insan zindagi ko aabad ke sath sath barbaad bhi kar sakte hai, aajtak kuch hi insano ne unko asli mein dekha hai lekin haqeeqatan jabtak jinnat na chahe to unki parchai bhi insan nahi dhundh sakta bas oose mehsus kar sakta hai....ye sab baat bishal aksat sunkar hass deta tha lekin aaj wo apne naye case mein inhi wajud ki talash mein nikalne wala tha
,






Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 25 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #2 on: November 07, 2023, 02:19:43 PM »
Part 2

Bishal apni gaadi mein agle hi din us ilaake ke paas waali national highway ke kareeb pahuchta hai, kohre ki safed chadar odhe syaah safed aasman mein dur dur tak suraj kahi nahi dikh raha tha, lekin jab uski gadi dopaharbad sheher se bahar us ilaake ke paas waali national highway tak pahuchi toh dheere dheere dhoop bhi nikal chuki thi,

Dhabe par hi kuch log khaana khaa rahe they kuch families thi, toh kuch raah jaa rahe truck drivers sab apne apne mein mashroof they, subah 7 baje se nikla bishal nashta kiye kayi waqt ki driving ki thakaan aur pait ki bhookh se waise hi pareshan tha, pehle usne waha munh hath dhoya aur fhir khaana khaane ka order diye wohi paas ek khatiya pe baith gaya,

Kuch din toh oose wohi kaatna tha isliye paas hi ke national highway ke kareeb usne ek hotel mein apne liye room book kar liya tha, lekin dhaba aane ka maqsad purana maqbara ko waha ke aas paas ke gaonwale aur nivasiyo ke bataye itihas se bhi aur parkha ja sakta tha shayad koi baat jo internet par na malum chal payi ho wo waha aakar oose malum chal sake,

Ek ladka paani ka glass oose dene aaya, jise lete huye bishal ne usse purana maqbara ka zikar kiya, ladke ke kuch keh paane se pehle hi paas roti bana rahe ek buzurg ne bishal ko awaz di

"Sahab ji kya Janna chahte hai aap? Purana maqbara uske baarein mein jo baatein hai uspe logo ko wishwas nahi waha koi jaata bhi nahi aur waha hai hi kya siway khandaro ke aur purane kuye ke siwah upar se ye ilaaka itna aabad nahi isliye bahut kam hi log waha ka rukh karte hai koi koi toh chintai aur lootero ke darr se us taraf jaata nahi sunsaan jagah hai na sahabji"

"Sunsaan to hai lekin mujhe uska itihas Janna hai uske baare mein jispar kisi ko yakeen nahi wo ghatnaye kya aap mujhe bata sakte hai?"

"Bilkul sahab ji mujhe to lagta hai aap khastaur se un logo ki tarah yaha aaye hai jo purana maqbara ek baar ghumna chahte they dekhiye aaye to sab Josh mein hi lekin aajtak kisi ki majaal nahi huyi jo waha zyada der teher paaye ulte pao bhaag khade hote hai jaise jaise andhera chaane lagta hai"

Bishal sirf muskuraya uski asal wajah toh uska pesha hi tha jise waha teherke hi Kara jaa sakta tha,

"Toh aap maante hai waha koi cheez mauzud hai? Ya wo jagah waqayi bhutiya hai?".....bishal ke kehne se wo rotiya garam tandoor mein daalna chodh gambhir hokar oose ghurrne laga

Fhir oosi gambhir chehre ko thoda kareeb jhukkar bishal ki taraf dekhte huye usne dheeme se kaha

"Maante hai aas paas ke gaonwale yaha tak bache se leke buzurg yakeen karte hai aur kayi dafa toh ajnabiyo ko bhi hum mana karte hai ki waha na jaaye baaki apni apni marzi saahab ji hum kaise rok sakte hai? Lekin sahab ji ye sach hai ki wo khandar veerana zarur hai par ujaad nahi waha bhi basera hai lekin kisi bhoot pret ka nahi jinnato ka"

Kehte kehte uski aankhe bari bari ho gayi jaise wo aankhe bishal ko daraa rahi ho, bishal chupchaap uski baat sunta raha

"Jinnat? Suna to tha maine bhi"

"Hamare bade buzurgo mein se kuch ne toh unhe apni inhi aankho se dekha bhi tha, ye rasta jo us taraf ghati ki or jata hai na sahabji ye sidha us purana maqbara ki taraf le jata hai junglo ke beech sunsaan khandar aur purana kua, bachpan mein gaon se us taraf ka rukh karne par bhi saqt manaahi thi akele jaana toh dur ki baat, lekin kehte hai na har koi kayda nahi manta

Aisa hi kaayda kitno baar bahut se logo ne toda aur jisne zarurat se zyada us khandar ki gehraiyon mein sabut talashna chaha unke sath toh kuch na kuch bura hi hua, aur yahi nahi abhi haal hi mein hamare gaon ki ek kunwari ladki bechari kya bataye uske baare mein?"

"Kya hua tha oose?".....bishal ne oos buzurg ko khauff se kuch tassavur karte huye fauran toka

Buzurg ka dhyaan tuta aur wo tandoor se rotiya ikhatti karne lage, us waqt dhabe wala bishal aur oose ghurrte huye waha aaya aur unse rotiya lene laga kaam mein unke ulajh jaane se bishal aur kuch keh na saka, lekin buzurg ne oose wohi rukne ka aur unka intejar karne ka jaise ishara kiya,

Khaane se farig hoke dhabe waale ko paise deke bishal apni gaadi ke paas hi unke bahar aane ka intejar karta raha lagbhag shaam saade 4 baje tak wo bahar aaye, unki nazarein bishal ko hi dhundh rahi thi uspar nazar padte hi wo uske kareeb aaye,

"Aisa hai sahabji yaha us purana maqbara ka zyada zikar koi pasand nahi karta aur na hi chahta hai ki koi waha ka rukh kare lekin agar aapki fhir bhi zidd hai toh beshak waha jaaye par zyada der waha na tehre aur din din mein hi waapis laut aaye"

"Par us ladki ka kya hua tha? Jiska aapne zikar kiya"

"Aaj se kareeb 10 saal pehle hamare gaon mein ek ladki raha karti thi, wo ladki aksar gaon ke ek ladke ke sath chori chupe gaonwalo ki nazaro se bachkar us taraf jaaya karti thi dono aapas mein yu hi Mila kiya karte they, ladka maali haalat se gareeb tha wo janta tha ladki ke parivarwale kabhi tayyar nahi honge unki shadi ke liye, fhir bhi un dono ki mulaqate yun chal rahi thi lekin unhone apni zindagi ki Sabse bari galti kar daali us shaam ka vaada karke

Darasal ladki ke gharwalo ko aaj na kal ye baat malum chal hi jaani thi isliye dono ne gaon se bhaag nikalne ka faisla kiya, aur mulaqat andhera ho jaane ke baad us khandar mein ruk jaane ka kiya unhe laga ki waha ki dehshat se gaonwale waha ka rukh nahi karenge unhe dhundhte huye, shaam hote hi wo ladki waha pahuchi to sahi lekin ladka oose dhundhe nahi mila, aakhirkar gaonwaalo ne ladki ko waha dhundh nikaala lekin bahut der ho chuki thi sahabji bahut hi dair"......ek pal ko wo tehre fhir unki budhi nigaahon mein dehshat aa simati fhir unhone dobara kehna jaari rakha

"jabtak wo oose zabran ghar laaye wo ladki ab wo nahi rahi thi, uspar jinnat sawaar they, ladkewaale bhi apne ladke ko dhundh rahe they aur uske agle din unhe oosi purana maqbara ke paas ladke ki buri tarah laash purane oosi kuye mein latakti mili thi, wo ladki pagalo ki tarah harqat karti thi dohri awaz mein na jaane kaun si alfaaz mein cheekhti chillati thi yaha tak apni maa ko jaan se maar Dene ki koshish tak usne ki thi, ladki buri tarah se un saayo ka shikar ban chuki thi, oosi dauran ek pahuche huye pir baba hamare gaon aaye aur unke paas ladki ko zabardasti le jaaya gaya ladki ki haalat koi bhi dekhta to khauff se sihar uthta bikhare baal zanjeero mein jakde haath pao apne hi badan ko kitni baar usne kaanta tha uski aankhe hamesha ulat jaati thi pir baba ne ladki ka muana kiya aur oose dekhte hi fauran us purana maqbara ka rukh kiya waha par kadam rakhte hi wo teher gaye aur ulte pao humhe liye waapis gaon laute unhone ladki ko behosh kar diya lekin uski gurrati awaaz tab bhi badastur nikal rahi thi, pir baba ne bataya ki un ladki aur ladke ke sath jo kuch bhi hua tha un sab ke piche kisi jinnati saaya ka haath tha, aur waha sirf ek saaya nahi balki kayi they unhone saaf keh diya ki ladki ko bachaya nahi jaa sakta tha lekin jaate jaate unhone us purana maqbara ko baandh diya aur hidayat di ki aaj ke baad koi bhi akela aur shaam ke baad us taraf ka rukh nahi karega unke jaate hi kuch saal baad hi us ladki ki maut ho gayi, aur aajtak ye malum na chal saka ki aakhir us ladke aur ladki ke sath aakhir us raat hua kya tha?"

"Police chanbin nahi huyi?"

"Huyi thi unhe gaon walo ki hi mili bhagat aur sazish bhi lagi thi lekin ladke ki laash ki pushti mein unhone saaf paaya tha ki uska qatl kisi jaanwar jaise cheez ne kiya tha aam insaan ne nahi ladki se jawab talabi nahi ki ja saki kyunki uski haalat to pehle hi bahut bigadi huyi thi aakhir mein thak haarkar case ko Rafa dafa kar diya gaya"

"Uske baad kabhi koi anhonee huyi?"

"Nahi sahabji pir baba ne us jagah ko baandh diya tha Haan kayi dafa jungli janwar jaise charwaahe bakriya us taraf leke bhi gaye toh waapsi mein kayi dafa to janwar gayab ho jaate they kisi ki majaal nahi hoti thi ki koi waha apne janwaro ko khoje ek toh us saaye ka khauff aur upar se waha huyi un wardato ne aur har kisi ke dil mein dehshat dal diya tha fhir bhi kabhi kabhar koi purana maqbara ka khandar dekhne musafir ya koi sheheri jaata hai to zyada der waha rukta nahi aur waha board bhi laga diya gaya ki shaam ko waha rukne ki ijajat nahi"

"Jaise bhangarh qile mein jaise Feroz Shah kotla mein"

"Bilkul sahabji isliye meri raay maaniye waapis laut jaaiye"

Bishal ne kuch kaha nahi uske dil mein ye baat uthi bhi thi ki kya waha Jana waqayi theek tha? Lekin wo to bare se bare haunted houses mein raat guzar chuka tha lekin uske sath uska dal bal hota tha par is bar oose is case mein tanha hi kaam karna tha, usne us buzurg ka shukriyada kiya aur waha se gaadi mein baithkar hotel ki taraf rawangi di,

Purana maqbara ke ghatnao ne jitna oose sirhan mein daala tha utna hi uski dilchaspi ab aur zyada badha di thi, agar ye case waqayi wo sahi se padtal kar leta to ek moti rakam boss se milane ki gunzaish thi balki ek lambi chutti bhi oose mil sakti thi, kyunki ye case baaki cases se bilkul juda tha aur yaha wajud ki haqeeqat juta paana shayad zyada muskil nahi tha, lekin kya ye waqayi gaonwalo ka koi wehem tha ya fhir kisi ki saazish? Par saazish kiski hogi kya koi badmash ya khufiya gang waha ho sakta tha agar aisa tha toh bishal ko apni jaan ki parwah thi wo to behtar tha ki uske paas apni license juda gun bhi mauzud thi, lekin wohi sawal kya waqayi un tamaam ghatnao ke piche kisi insan ka hi haath ho sakta tha,

Us raat hotel mein saari raat jaage rehkar ki planning aur bandobas ke sath bishal purana maqbara mein saari raat akele teherne ko tayyar tha uske paas jaanch padtal ke liye tamaam upkaran aur hathyar bhi mauzud they hathyar kisi agyat ghatna ke Shaq ke bina par usne sath le jaane ka faisla kiya, haalaki kuch cases ki tarah wo apne sath kisi dal bal ko nahi le ja sakta tha, bas ab intejar tha toh agli subah ka jiske intejar mein wo bistar par aa laita aur jald hi uski palke bhaari hone lagi aur wo kuch hi ghari mein neend ki aagosh ke hawale ho gaya...

Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 25 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #3 on: November 07, 2023, 02:21:51 PM »
Part 3

Agli subah savere wo jaaga aur uthte hi pehle usne nahaya dhoya aur nashte se farig hoke tayyar hua aur apne tamaam saajo saman ke sath apne hotel se bahar nikla, usne khaas taur se ahetiyat rakha tha ki waha kisi ko uske aane ka maqsad pata na chale, na jaane kyu oose aisa lagta tha? Ki koi na koi uske kaam mein baadha ban sakta tha,

Fhir bhi receptionist ki nazar uspar padi thi jise usne chaabi saunpte huye kahin dur ghumne jaana ka plan bataya jispar receptionist ne muskurakar koi khaas tawajjoh nahi di,

Bishal apni gaadi start kiye hotel se rawangi deta hai, gaadi teji se highway road par pahuchti hai kuch hi ghari mein ghani aabadi piche chodh gaadi ek kacche raaste par utarti hai rasta kaafi ubbad khabad tha gaadi kaafi hichkole lene lagti hai shayad jungle ka rasta hone se wo sadak banayi nahi gayi thi, kuch dair baad gaadi fhir pathrili Sadako se guzarti dhool udaati ghane jungle ke beecho beech daayi taraf mudti hai, bishal ki gaadi jald hi khule ghati ki taraf nikalti hai aur theek saamne hi oose dikhta hai ujaadh ucchi tuti diwaar aur daayin taraf lamba sa fatak us fatak ko paar karte hi saamne purana maqbara ka gumbaj aur saath hi charo taraf gufa jaise pathrili imarate jo aadhi se zyada Tut chuki thi aur tamaam un diwaaro par paido ki jade aur tehniya bahar ki taraf nikale huye they jo dikhayi deti hai,

Aisa lagta hai jaise barso se wo purana maqbara yu hi ujaadh pada tha gaadi ko rokkar bishal bahar nikla, aaj dhoop sard Mausam mein bhi tej thi fhir bhi din ke ujaale mein un veerano mein ek azeeb sa khauff lagta tha, waha dur dur tak koi nahi tha ek hawa ka jhoka uske chehre se laga to uska pura badan sihar utha usne daayi taraf nazar ghumaayi purana maqbara ka khandar andar se andhere mein duba hua tha waha jaati ucchi pathrili sidiya thi,

"Waqayi aisa lagta hai ye jagah kitni haunted hai? Gaonwale jhoot nahi kehte yaha aam insaan akele toh teher nahi sakta apne peshe mein maine isse zyada haunted jagah apni life mein bhangarh ke baad dekha hai"

Mann hi mann khud se kehta bishal charo taraf muana karta raha, fhir usne gaadi ke paas aakar dikki kholi aur apna saajo saman wala bag bahar nikaala, usne fhir bag se hi ek torch nikaala aur andhere mein Dube tamaam charo taraf ke tute maqbaro ke imarato mein jaakar jhaakna shuru kiya, oose sanp ka khauff tha aisi jagah mein saamp lazmi ho sakta tha isliye bag mein ek carbolic acid ki sheeshi bhi wo sath le aaya tha, torch ki roshni bheetari khandaro mein ghuskar jab usne maari toh ucchi imarato ki chatt par chamgado ka jhund bahar ki taraf jaa udne laga bishal ulte kadamo se bahar nikla fhir usne bahar ki pathrili sidiya tayy ki aur chatt ki taraf utha dur ghani jungle ki wadiyo ke alawa waha kuch nahi tha saamne maqbara, bishal waapis niche utara aur lagbhag tamaam maqbare ka charo taraf muana karte huye maqbare mein aaya wo sirf naam ka maqbara tha jo kisi zamaane mein Shahi aur aabad hoga par ab mehez khandar aur panchiyo ka dera ban chuka tha, waha ek azib si mehek thi jaise saalo waha kabhi koi aaya hi nahi tha,

Ab bishal ko lagne laga ki shayad purani us jajjar ho rahi khandaro ki dehshat mehez kalpanik ho sakti thi, ho sakta tha shayad gaonwalo ne janbhujkar ye kahani ghadh Li ho ya fhir kisi unhi mein se kisi ki saazish ho jo ye dehshat failaaye huye hai ki waqayi ye maqbara jinnati basera hai,

Bishal ne andar kadam rakhte huye charo taraf nazar uthaake waha ki ucchi ucchi diwaaro aur gumbaj ki chatt ki taraf dekha oose apni hi kadamo ki awaz gunzti mehsus huyi, waha gupp andhera aur khamoshi thi, achanak dohri awaz si lagi bishal ne hadbadake daayi taraf nazar uthaayi bahar Suraj ki roshni ek ched se andar dakhil ho rahi thi wohi chat ke munder par baithe kuch kabutaro ka jhund pankh phadhphadaye uske upar se guzarta awaz nikaalta khandar se bahar ud gaya waha shayad kisi insan ki mauzudgi unhe raas na aati thi,

Bishal waapis khandar se bahar nikla to wo wohi teher gaya kyunki saamne oose apni taraf ek ladki aati dikh rahi thi....

                                 ______

Wo ladki thi hi nahi Bala ki apsara thi teekhe saaf suthre nain naksh kajal lagi syaah aankhe aur uspar bhuri nigaahe, uske khule baal syaah kaale par itne resham se sidhe aur lambe jo uske kamar se bhi niche Jaa rahe they, Gori rangat ki kamseen Umar ki waisi hi kamseen muskurahat us surkh laal  hontho par liye apni motiyo se safed daant bikherti wo oosi ki kareeb kuch faasle paas aake tehri, usne anarkali ka chamkeela suit pehna tha jiski astin uske kalaiyo tak thi unn kalaiyo mein kangan they aur waise hi kaano mein jhumka aur gale pe dupatta fasaya hua tha, bishal ek baar uski khubsurati ka jayeza liye bina na reh paya ek pal ko usne apne hontho pe na chahte huye zubaan fhairi, sharaab aur nashe ki aadat jaa sakti thi lekin  shavaab ka nasha itni aasani se dilo dimaag se utar nahi sakta tha aajtak usne apni zindagi mein itni haseen khubsurat aurat nahi dekhi thi, bishal ye tak bhul gaya ki asal sawal uske zehan mein ye kyu nahi aaya ki wo ajnabi ladki us veerane mein kahan se aayi thi? Asal baat jald hi bishal ko khatki toh uska dhyaan us ladki se alag huya,

Bishal ne machini andaaz mein muskuraya aur oose hairani par sawali nigaho se dekhne laga, ladki ab sanjeeda huyi aur usne bhi sawali nigaho se bishal ki taraf dekha fhir uski shehed gholti awaz bishal ke kaano mein padi,

"Mujhe laga main hi yaha akeli aayi hoo lekin faasle se aapki gaadi jab khadi dekhi tab lagne laga ki yaha waqayi koi aaya hua hoga bas dekhne is taraf aayi"

"Ji main yaha ghumne hi aaya hu par zaahir hai ek to ye jagah aabadi se dur hai, aur upar se yaha koi aata nahi ek to ye jagah waqayi junglo ke bheetar hai aur dusri yaha ke kisse kahaniyo ne acha khaasa ajnabiyo ke dil mein bhi dehshat daal rakha hai"

"Jinnati basera yahi na".....kehte huye wo khilkhilaake hass pari bishal mudkar uski taraf hairani se dekhne laga fhir samajhne laga shayad wo bhi waqif thi par oose koi yakeen nahi tha aam sheheriyo ki tarah

"Ji wohi"

"Main bhi yahin sochkar yaha chali aayi ki kya waqayi ye jagah bhutiya hai? Lekin yaha dur dur ghana jungle aur veeran khandar ke siwaah kuch nahi aur piche ki taraf aage jaake hi gehri khaai hai"

"Aap yaha pahuchi kaise? Kya aap akeli aayi hai? Aapko Darr nahi laga yaha aane mein wo bhi akele"

Wo ladki fhir muskurayi fhir kuch der chup rehne ke baad usne kehna shuru kiya "ji nahi main bhi aapki tarah akele hi ghumna fhirna pasand karti hun, haalaki saath chalne maine apni kuch saheliyo ko kaha tha par unhe sheher chodhkar aana gawara na hua wo bhi is haunted palace mein aane ke liye isliye maine bhi zidd nahi ki aur khud safar pe nikal gayi mujhe acha lagta hai aise jagaho ko explore karna"

"Waqayi maine aap jaisi ladki pehli dafa dekhi hai"

"Shukriya"...wo apni tareef mein hass padi

"Chaliye fhir jab yaha aa hi gaye hai toh saath hi ghumte hai is jagah ko explore karte hai"

"Kyu? Aapko yaha akele Darr lagne laga hai hahaha"

"Arre nahi nahi ek sathi mil jayega aur waqt bhi Kat jayega waise aap kahan se aayi hai?"

"Blue diamond lounge mein tehri hoo aur padosi sheher se aayi hoo"

"Matlab delhi se"

"Ji"

"Wow kabhi toh mulaqat na ho saki ki hum ek hi hotel mein tehere huye hai aur wo bhi ek sheher mein hi rehte hai waise delhi mein kaun kaun hai aapka?"

"Main hoo aur aur mera pura parivar"

"Unhe aitraaz nahi aapke yun itna dur aane se"

"Unhein koi faraq nahi padta kyunki wo apne kaamo mein itna mashgul jo rehte hai haan agar bina bataye Bina kuch kahein kahi chali jau to unhe fikar hone lagti hai khair chodhiye in baaton ko aap bataiye ye upkaran aapke haath mein kya aap koi yaha negative energy talash rahe hai"

Bishal jo uske sath tehelte huye baat kar raha tha achanak se tehra aur oose apni bhul ka ahesas hua pehle oose ye nahi samajh aaya ki oose kaise malum tha ki wo waha kis maqsad se aaya tha? Fhir apne haatho mein thami paranormal ki istemal mein aati apni machine emf meter par uski nazar padi to oose kissa samajh aaya,

"Hahaa j..ji darasal keh lijiye to main yaha is haunted palace ki jaanch mein hi aaya hu ye mera case hai aur pesha bhi"

"Waahh main pehli dafa kisi paranormal investigator se mil rahi hoo bahut hi interesting job hoti hai na"

"Dilchaspi thi tabhi is peshe ko apnaya par kabhi kabhar risk bahut hota hai jaise hawa ka lag jaana ya kisi tarah ka nuksaan ya fhir kabhi kabhi toh haunted sirf naam ka hota hai aisi koi jagah jiska zikar hua waisi milati nahi"

"Oh mujhe bhoot preto mein ratti bhar ka yakeen nahi lekin jinnato mein hai"

"Jinnat par aapki dilchaspi hi shayad aapko yaha laayi lekin jitna maine suna hai ya experience kiya hai mujhe jinn ka wajud pe Shaq hai par preto mein ya shaitani rooh mein wishwas hai kyunki Maine kayi cases mein unke sath encounter kiya hai"

Wo ladki tareefi nigaho se bishal ko dekhne lagi bishal oose apne tajurbe mein ghati tamaam ghatnaye batane laga wo jaise dil lagakar sunti rahi,

"Waqayi itni saari ghatnaye"

"Kyu? Yakeen nahi hota na aisa aksar hota hai is duniya mein waqayi bahut kuch chupa hai jise jabtak experience na kare uspar yakeen nahi aata mera ek azeez dost isi peshe ki wajah se apni jaan kho baitha"

"Mujhe afsos hai lekin maut zindagi taqdeer ke hatho mein likhi hoti hai ab yahi dekh lijiye us premi jode ko kaisi saza mili? Un dono ke sath jo kuch hua wo yahi to hua tha na?''

Bishal us ladki ki taraf hairani se dekhne laga oose bhi wo kissa maalum tha, bishal ki nazar ko padte huye usne muskuraya fhir bataya ki sirf wohi kissa nahi uske pehle bhi tamaam kisse oose pata they

"Aur sirf kissa nahi mujhe to yaha ka itihas bhi pata hai"

"Par kaise? Maine toh internet pe kafi search Kiya par koi khaas case history to mujhe na mili kya hai yaha ka itihas? Aur tumhe kaise malum?"

"Mujje itihas mein kaafi dilchaspi hai aur aisi aitihasik jagaho ki itihas ko main bareeqi se malumat karti hu aisi koi jagah nahi jaha se main waqif nahi aur is jagah ke bare mein main khud se nahi apne Walid se sunti aayi hu"

Bishal hairan bina reh na saka jitni hi wo dekhne mein khubsurat thi utni hi uski baatein bhi rahashmayi thi, bishal ko janne ki betabi mein dekhkar wo ladki muskurayi aur fhir usne batana shuru kiya

Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 25 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #4 on: November 07, 2023, 02:23:45 PM »
"Ye purana maqbara asal mein mughalo ke shashan ke aakhri waqto ke dauran Raja Zafar Khan ki banayi huyi thi ye maqbara khaskarke unki begum ke liye banaya gaya tha lekin unka Raj zyada der teher na saka aur unke apne hi sautele beto ne unhe qatl kar diya aur unki begum ko inhi khandaro mein ek kothri mein kaid jaha unhone marne se pehle ye baddua de daali ki ye jagah kabhi aabad nahi ho sakegi uske baad dheere dheere mughalo ka raj khatam ho gaya aur us khandan ka ek bhi vaaris Zinda na bacha angrezo ne is jagah ko un sabki maut ke sath kabza liya aur is jagah ko khandar mein tabdil kar diya,

Wo roohein marr to gayi lekin apne piche apne khandan par chal rahi baddua ka asar chodh gai, dada ne Abba ko bataya tha ki yaha fhir dheere dheere ek amaliyo ki jamat baithne lagi jo yaha aksar giroh dar giroh roohani amal karte they par unke amal se ye jagah aur bhi bhayankar ho uthi tamaam amaliyo ke baandhe gaye kaidi jinn yaha par chodh diye gaye aur dekhte hi dekhte fhir yaha insaan ka nahi jinnato ka basera hone laga, jab is baat ka un amaliyo ko ahesas hua to unhone faisla kiya ki wo yaha ab aur nahi aayenge kyunki ek raat unhi ke jamaat se ek amaali ne yaha jinnato ki jamaat ko baithte dekha tha theek us purane maqbare mein, un logo ne unpe qabu karna chaha par unka saamna karna unhe bhaari padh Gaya unmein se kuch amaaliyo ki is zurrat ki wajah unhe apni jaan deke chukani padi unka hashr dekhke amaali bhaag khade huye, aur fhir yaha kabhi koi nahi aaya,

Saal guzarte gaye zamana badla aur ye kahaniya bhi dafan ho gayi jinhe malum hai wo ya to is dunia mein ab hai nahi ya fhir jinhe malum hai meri tarah wo is baat ko kisi ke aage kehte nahi

"Toh fhir ye jagah mashoor kyu nahi huyi? Kyu bahut kam log hi itna kuch jante hai wo bhi gaonwale unhe to iska itihas malum hona chahiye"

"Waqt ke sath log bhi to badalte hai jo purane they wo guzar chuke unhe utna hi pata hai jitna unke baap dadao ne unhe gawahi di, aur bhala aise ulte jagah mein dur is veeran tute khandar ke itihas ko jaankar bhala kise kya mil sakta hai? Mere dada british amal ke dauran forest officer they aur wo yaha kayi dafa aaye unhone is jagah ko dhundha tha unhe ye sab baat jaante ho kisne batayi?"

"Kisne?"

"Yaha rehte ek aadmi ne jinhe mere Walid se dosti ho gayi thi aur oosi se milane wo kayi dafa yaha aate they apni aakhri mulaqat mein unhone hi unhe apna parichay diya tha"

"Kaun tha wo aadmi?"

"Ek jinn"

Sunkar jaise bishal gambhir hokar uski taraf dekhne laga us ladki ke chehre pe na to muskurahat thi aur na koi hasi wo gambhir hokar bishal ki taraf dekh rahi thi, bishal ne chuppi todi aur fhir muskuraya

"Sach mein itna sabkuch tumhare dada ko ek jinn ne bataya toh fhir usne tumhare dada ko kuch kiya kyu nahi? Maine suna hai ki jinn to insan ke dushman hote hai wo insaan ki parchai se bhi dur rehte hai"

"Jabtak jinnat khud na chahe hum unhe kabhi dekh nahi sakte lekin wo jinn baaqiyo se alag tha isliye unhone mere dada ko Kasam di aur yahi kaha ki kabhi dobara wo yaha na laute aur jo kuch bhi malum hai oose apne darmiyan rakhe kyunki unki jamaat kisi bhi zyada insano ki mauzudgi yaha bardasht nahi karti isliye aajtak ye jagah aabad nahi"

"Toh fhir tum yaha apne dada aur Walid ki batayi kahaniyon ke tehet yaha ghumne aayi ho ki ye jagah waqayi haunted hai ya nahi"

"Hmm keh sakte ho par tumhara kya irada hai itni dair yaha rukkar tumhe kuch ahesas laga"

"Hmm waqayi ye jagah azib si to hai kuch azib se vibes mehsus bhi hote hai par Mujhe to tumhare dada ki tarah koi jinn kisi aadmi ke roop mein to nahi mila siwaay tumhare"

Wo ladki khilkhilaake hass padi, oose hassta dekhkar jaise bishal ka waqayi wehem kuch kam sa hua usne bhi hasi mein uska sath diya aur uski khubsurati ko niharne laga, fhir wo shaant huyi

"Haan irada to yaha rukna hi hai kyunki bina tehre kisi bhi jagah ko jaana nahi jaa sakta"

"Chahe ismein jaan bhi kyu na jaaye?"......wo fhir bishal ki dileri pe mazak karte huye bol padi

"Hmm waisa hi kuch mujhe ye case har haal mein pura karna hai aur iske liye main Puri tayyari ke sath yaha aaya hun agar tum mera sath do toh mera kaam thoda aasan ho jaye"

"Matlab main tumhare sath yaha aaj ki raat guzaru"......us ladki ne hairani se pucha

"Agar tumhe mujh jaise ajnabi ke sath ek haunted jagah par ek raat tehrne mein koi aitraz na ho toh main koi pressure nahi de raha"

"Kya tum waqayi serious ho? Kya tumhe mere Walid ki batayi kahani par yakeen nahi"

"Main us yakeen ko tab manunga jab oose apni inhi aankho se dekh lunga tumhari batayi kahani kaafi purani hai aur main yahi janna chahta hun ki waqayi is jagah mein koi basera hai ya nahi bura mat manna mujhe tumhari baat par aur gaonwalo ki batayi ghatnao par pura bharosa hai lekin main apni taraf se bhi is maamle ki padtal karna chahta hun isliye maine yaha aane se pehle is bat ka faisla kar liya tha"

"Agar main na kahu toh...kyu? Apni jaan danv par laga rahe ho apne marhum dost ki tarah mujhe manf karna par mujhe waqayi is baat se darr lag raha hai"

"Main janta hun lekin darrne ki zarurat nahi kyunki mere paas hathyar bhi hai"

"Wo insaan nahi hote"

"Janta hun isliye maine unhe ke mutaabik ye cheeze laayi hai"

Us ladki ki aankhe hairat mein pad gayi kyunki bishal ke haatho mein ek neeli cheez thi,

"Sulamani patthar pe dum kiye kuch dua hai jise pehen lene se jinn aur balaaye Chu nahi sakti agar tab bhi Inka asar unpar na hua toh fhir khuda maalik"

"Ye sab tumhe kaha se Mila?".....wo ladki sawal kiye bina reh na saki

"Oosi marhum dost ne ek baar kisi mazaar se mujhe ye tohfe ke taur par diya tha jise main aaj bhi sambhale huye hoo aur hairani dekho mere paas ye do hi hai inme se ek tum rakh lo"

"Mujhe zarurat nahi kyunki Maine faisla kar liya hai ki main yaha nahi teherne waali"

"Matlab kisi ajnabi ke sath nahi rukna chahti ho yahi na, kya main yahi baat samjhu?"

"Hargiz nahi agar ajnabi hote toh tumse milti bhi nahi lekin wajah ye haunted jagah hi hai main aisi koi bhi jagah par akele nahi tehri hoo mujhe darr lagta hai main waapis hotel jaa rahi hoo tum mere sath chaloge"

"Sorry but we will meet again shortly"

Bishal ne inkar mein sar hilaate huye oosse haath milaana chaha ladki ne muskurakr uski taraf dekha, aur usse haath milaaya

"Main dua karungi ki tum salamat waapis aao aur mujhse hotel mein Milana main wohi parso tak hun fhir chali jaungi"

"Beshaq lekin abhi toh haath mein waqt hai kya tum mujhe wo purana kua dikhaogi jaha us ladke ki maut huyi thi"

Usne muskuraya aur fhir dono maqbare ke dusre sirhe par ucchi ucchi ghaaso ke beech chalte us purane gehre kuye ke paas pahuche tabtalak suraj madhyam hone ki kagaar pe tha sard ki dhundh chaane lagi thi, ab shaam hone mein zyada dair nahi thi,

"Kitna gehra kua hai? Hai na"

"Haan oosi kuye ke upar sidiyo ke paas us ladke ki laash mili thi buri haalat mein yahi bataya tha na gaonwalo ne"......wo ladki jhankte huye jab kahi to uski awaz kuye mein gunzne lagi

"Hmm"

"Chalo yaha se mujhe yaha ghutan si ho Rahi hai"......us ladki ne kuye se apna sar upar uthate huye kaha

Bishal fhir uske saath waapis fhatak ke paas pahucha...."chaho to apna khyal badal sakte ho"

"Ab jab aa hi gaya hoo toh ek raat to yaha guzarunga"

"Saanp wagaira se bachkar rehna"

"Uska bhi intejam hai anyway ittefaq samjho ki main khaane ki cheeze bhi zyada laaya tha chaho to yaha kahi baithkar lunch kar sakte hai"

"Okay"

"Waise tumne apna naam nahi bataya tha aur maine abhitak pucha bhi nahi"

"Maha"

"Bishal"

"Hamare naam bhi ittefaq se ek dusre se milate julate hai na"....ladki ne muskurakar kaha

"Hmm"

"Ek baat kahu aajtak maine kabhi kisi ajnabi ladke ke sath yun itna waqt nahi guzaara, tumhe dekhke aisa lagta hai ki hum barso se ekdusre ke dost ho"

Bishal Mann hi mann jaise apni kismat ki tareef kar raha tha, "kismat to meri hai jo aap jaisi khubsurat aur itni pyari dost mil gayi par aise veerane mein ittefaq se mulaqat hogi socha nahi tha"

Maha hassne lagi, "waise sach kahu to main bahut hi akela hun koi mera dost nahi aur mere ikalute dost ki maut ke baad se to main bilkul tanha sa ho gaya tha socha tha kahi dur chala jaunga fhir ye case mujhe mil gaya aur main yaha"

"Khud ko kabhi akela mat samjhna ab mujhe dost kaha hai toh meri baat maano aur mere sath Laut chalo"

"Dekho maha ye mera pesha hai aur jaha tak mujhe lagta hai humhe yaha kuch nahi hoga sirf ek raat ki hi to baat hai aur kya tum is adventure ko experience nahi karna chahti soch lo"

"Lekin agar kisi ne humhe yaha yun akele dekha to kya sochenge?"

"Tumne hi to kaha yaha koi aata nahi aur itni raat gaye kaun yaha ho sakta hai? Fikar mat karo aaj raat yaha rukkar hum malum kar sakte hai baaki tumhari marzi tum chaho to main tumhe hotel tak drop kar sakta hun"

"Okay"

Bishal ne khaane se farig hoke sabse pehla kaam waha tamam un khandaro aur ilaake ke chuninda jagaho par apne cameras aur voice recording microphone set kiye aur fhir maqbare ke andar bhi cameras ko set karne laga in sab harqato ko maha gaur karti rahi, uske baad jab bishal farig hoke uske paas lauta tabtalak suraj dhal chuka tha aur shaam chaane lagi thi

"Kuch dair mein andhera ho jayega behtar hoga main tumhe abhi yaha se jaane du"

Dono gaadi mein baithe hi they ki bishal ne gaur se fikar karti maha ki taraf dekha "acha ek baat batao tum yaha kaise aayi thi? Paidal?"

"Nahi ek taxi mein hotel se li thi par wo kacche raaste ki wajah se aadhe raaste hi back ho gayi thi fhir maine paidal hi rasta tayy kiya"

"Hmm anyway"......bishal uski baat sunta hua gadi start karne laga

Bishal ignition mein chaabi daalne hi wala tha ki itne mein maha ne uske haath par apna hath rakha bishal ne uski taraf dekha, toh Mann hi mann muskuraya kyunki maha ki aankho mein chale jaane ki koi khwahish nahi rahi thi balki wohi aaj ki raat uske sath teher jaane ki razamand thi,

Dono gaadi se bahar nikle tabtalak andhera puri tarah ho chuka tha...


Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 25 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #5 on: November 07, 2023, 02:25:59 PM »

Part 4

Bishal aur maha gaadi mein baithe huye they, raat kaafi ho chuki thi jaise jaise andhera badh raha tha charo taraf sunsaaniyat aur veeranapan aur bhi gehra hota ja raha tha, andhere mein pura ilaaka duba hua tha upar se kohre ki chadar fizaayo mein faili huyi thi,

Bishal ne ek baar apni kalai mein bandhi ghadi mein dekha raat 10 ke paar tha, usne maha ki taraf dekha jo ab thodhi thodi pareshan si lag rahi thi,

"Kya hua?"

"Kya humara yaha teherna zaruri hai? Dekho tumne cameras wagaira sab laga to liye hai ab chalte hai yaha se jaise raat badh rahi hai mujhe to fikar ho rahi hai ki yaha koi jungli janwar na aa jaye ya waqayi mein wo log humhe na dekh le"

"Wo log kaun?"

Maha ne dehshat se bari bari aankho se jinn ka tassavur karne ki koshish ki thi, jin nazaro ko bishal samajh chuka tha usne muskurakar oose haule se shaant ho jaane kaha

"Darro nahi kuch nahi hoga agar waqayi zyada Darr lag raha hai toh chalo main tumhe hotel chodh aata hun kyunki dekho agar tumhari tabiyat kharab huyi ya tum behosh ho gayi toh fhir mere kaam mein uljhan paida ho jayegi main is pure ilaake ka ek baar daura bhi karunga aur main tabtalak yaha se nahi jaa sakta jabtak koi sabut ya koi nishaani na paa lu"

"Un premi jodo ke anjaam se tumhe Zara bhi Darr nahi, kya tum mere dada ki baaton ko bhi nakaarte ho?"

"Main nahi kehta ki kuch bhi jhoota hai balki yahi wajahe mujhe yaha ki taftish karne ko aur mazbur kar rahi hai"

Achanak maha ne bari bari aankho se kaanpte ungliyo se sheeshe ki taraf ishara kiya, bishal uski nazaro ko ghabrate huye dekh fauran apni bagal waale sheeshe ki taraf palta waha koi nahi tha, achanak apne peeche oose maha ki hassi sunaai di, bishal ne na mein sar hilaate huye uski taraf banawati gusse se dekha

"Darr gaye na tum? Sorry main bas yun maze le rahi thi"

"Be serious maha hum log yaha hassi khel ke liye nahi baithe huye, yaha main ek case ki taftish mein aaya hun so pls aisa mat karna"

"I am sorry"

"Never mind waise bhook Zoro ki lag rahi hai khaana khaa lete hai"

"Aur agar neend aa gayi toh?"

"Tum so jaana main to nahi sone wala mujhe to raat bhar coffee peeni padegi"

Bishal ne muskurakar piche saaman se ek thermus bharkar coffee uski taraf dikhaayi, maha lajawab huye bina na reh saki...

Bishal ne laptop khola aur tamaam camera lage ilaako ki live footage check karne laga charo taraf gehra sannata aur andhere mein kuch nahi dikh raha tha, unki gaadi purana maqbara ke ilaake ke paas faasle pe khadi thi, bishal ko yahi lagne laga ki siwaay kohre aur andhere ke oose kuch bhi recording mein milane wala nahi tha lekin umeed barqarar thi, khaane se farig aur ek ek cup coffee peene ke baad waqayi bishal aalas mehsus karne laga, maha bhi oosse baat karte karte apni seat mein jhapkiya lene lagi,

Idhar bishal bhi apne palako mein bhaaripan mehsus karne laga ab oose aungh aane lagi, jhapki aate hi wo apne sar ko jhatakta aur jaangh pe rakhi laptop par tamam harqato ko dekhne lagta jo camera record kar rahi thi,

Aajtak itne sunsaan jagaho par raat gaye usne investigation ke dauran itni neend mehsus nahi ki thi balki oose to ajnabi jagaho mein jaldi neend toh aati hi nahi thi, na jaane aaj kya hua tha? Dekhte hi dekhte oose malum bhi na chala ki wo kab gehre neend ki aagosh mein tha,

Achanak oose apne jism ko jhinjhodhte hone ka ahesas hua pehle to oose wo sapna laga fhir jhinjhodna tej ho gaya bishal ne hadbadake aankhe kholi maha oose vichlit bhari nigaho se dekhte huye jaga rahi thi, bishal ne munh kholke pucha hi tha ki usne oose hontho pe ungli rakhkar khamosh rehkar sunne ka ishara kiya,

Bishal chaukkna hua aur bahar ki taraf ahetiyat se jhaakne laga waqayi usne bhi suna ghann ghann jaisi awaz jaise kaano mein koi bhaaripan sa awaz lag raha ho, aur wo awaz dheere dheere badh rahi thi,

Bishal ne fhir laptop ki taraf dekha ek camera kaam nahi kar raha tha, isliye ek khandar ki taraf ki footage oose nahi mil Rahi thi, shayad koi technical kharabi thi oose jaanch Lena zaruri tha, bishal gadi ka darwaja kholke bahar jaane laga to maha ne ooske baazu se oose kasskar pakada bishal uski taraf dekhne laga wo bahut zyada ghabrane lagi thi,

"Nahi nahi aise akele kahan jaa rahe ho?"

"Andar in awazo ka bhi picha karne aur camera dekhne"

"Galti mat karo bishal mujhe kuch theek nahi lag raha yaha"

"Mujhe kuch nahi hoga tum yahi gaadi mein baitho"

"Th..eek hai toh fhir main bhi saath chalungi"

Bishal oose akela bhi chodhna nahi chahta tha, dono gaadi se dheere dheere bahar aaye aur haatho mein torch liye purana maqbara ke fhatak se bheetar daakhil huye

                                     _____


Charo taraf gehra sannata aur ghana kohra aur andhera tha, agar koi ekdusre se faasle mein khada ho jata toh shayad ekdusre ko dekh bhi na paata, bishal maha ka haath pakde charo taraf torch ki roshni fhair raha tha tamaam khandaro ke veeranapan mein oose waha koi nahi mehsus hua, lekin wo awaz badastur jaari thi, lekin wo awaz kisi machine wagaira ki nahi thi aisa lag raha tha jaise kitne log bhari awaaz mein baat kar rahe they aur unki awazo ka ek sath mil jaane se ek ghann ghann si awaz charo taraf paida ho rahi thi,

Maha bhi aankhe fhaade us awaz ka picha karte huye tamaam khandaro ki taraf dekh rahi thi, ucchi ucchi ghaaso par chalte huye unhein khud hi apne kadamo ki awaz Sihma si rahi thi fhir pathrili sidiyo se wo upar khandaro ke pehli manzil par pahuche waha pahuchkar bishal ne apne camere ko talashna chaha par wo camera oose kahi nahi mil raha tha achanak uske pao se kuch takraya usne jhukkar niche paaya ki uska camera purja purja zameen par bikhra hua tha oose haath mein lekar bishal ko samajh nahi aaya ki oose toda kisne tha wo bhi is tarah jaise churr diya ho,

Bishal ne fauran uthkar apne niji camere mein recording shuru ki aur wo khandaro ki taraf teji se guzarne laga tamaam khandaro ke gufa jaisi dwaar par lohe jaise kaali darwajo par Sadiyo purane taale jhul rahe they, andar ki Andhero mein sirf chamgadad dekhe Jaa sakte they jo ulte huye un pathrili imarato ke chato par latke huye they roshni se wo harqat karne lage,

"Kya hua?".....maha ne piche se bishal ko toka bishal ne mudkar uski taraf dekha

"Lagta hai yaha koi to hai jisne ye camera toda hai aise kaise ye camera apni jagah se yaha pada tuta paaya jaa sakta hai"

Achanak maha ne oose roka kuch sunte huye usne purane maqbare ke taraf ishara kiya...."awaz wohi se aa rahi hai"

Bishal ne apni jeb mein ek baar banduk bhi tatoli aur saath mein apna camera maha ko pakdaaya fhir oosne emf meter ko on Kiya jiska Hari batti beep beep si awaz nikaal rahi thi, dono sidiya tayy karte huye wapis niche utare aur purane maqbare ki taraf jaane lage wo maqbara tayy karti sidiya ucchi thi bishal sidiyo par chadhne laga aur theek uske piche maha bhi camera thaame saamne, bishal ne torch ki roshni se sidiyo ko tayy kiya aur ab wo purana maqbara ke us ucchi khandar bhari imarat ke saamne khade they,

Awaz bilkul wohi se aa rahi thi aisa lag raha tha jaise khandar mein us waqt kitne log mauzud ho, bishal ka gala sukh gaya oose apna kaleja kaanpta mehsus hua, maha ka bhi camera thaama haath kaanp raha tha aur ek haath kasskar usne bishal ke baazu ko thaama hua tha,

Achanak thanda hawa ka jhoka bishal ke pure badan ko sirhan pahuchaye guzar gaya, bishal hadbada sa gaya usne torch ki roshni fauran band ki aur ek aad mein ho gaya maha bhi uske piche thi, dono ki nazare saamne thi,

Achanak bishal ko ek tej gandh mehsus huyi ek azib si khushbu jaise koi attar, itni tej khushbu wo bhi us band sadiyo puraane khandaro mein kahan se aane lagi thi? Bishal kaanpti aankho se khandaro ke bheetar kuch dekhne ki koshish kar raha tha, achanak oose apna pura badan thand se sirhan hota mehsus hone laga aur dekhte hi dekhte oose kuch dhua dikhaai diya, jis cheez se wo dhua uth raha tha wo jal rahi thi,

Koi tha waha kya? Bishal ne Mann hi mann sochte huye kadam bheetar rakhna shuru kiya wo darwaje ke kinaare chalta hua ab khandar ke andar tha aur wo awaze uske ek kaan se dusre kaan saaf gunz rahi thi, wo awaze wohi se paida ho rahi thi aur theek tabhi bishal ne apni aankho ke saamne kayi agarbattiyon ko jalte dekha dhua oosi se uth raha tha wo koi kohre ki dhundh se paida hote dhua nahi thi,

Azib waqya abhi aankho ke saamne se gaya bhi nahi ki tabhi bishal ne paaya ki niche zameen par jitni bari wo maqbare ki barso purani farsh thi utne par kaalin bichi huyi thi saaf suthri,

"Y..yee kisne yaha kab bichai? Pura zameen pe kaalin lekin jab wo din mein yaha dakhil hua tha tab na toh is khandar mein kahi koi agarbatti thi na hi kahi koi khushbu aur naa hi kaalin yaha toh barso se koi nahi aata aur Jata tha toh achanak ye raat gaye ye sab kya ho raha tha?"

Achanak usne apni nigahe upar uthai hi thi ki oose imarat par gumbaj ki chatt ke theek niche charo khaano mein jalti mashaale apne aap jalti dikhne lagi, us neemandhere mein un mashalo ki lau charo taraf Roshan ho rahi thi....ab dheere dheere bishal ko ahesas hone laga ki wo waha akela nahi tha saamne biche kalin par ghann ghann ki wo awaz ab bhari aur Sihma dene wali kayi logo ki awaz mein tabdil hone lagi,

Bishal ki aankhe chaukas thi usne zindagi mein kabhi chashma nahi lagaya tha fhir bhi ab oose aankho ke saamne dhundhlat hote dikh raha tha fhir ekdum se maqbare mein khushbu ki leher aisi tikhi aur tej ki saas le paana mushkil sa hone laga aisi khushbu jo aajtak kabhi usne mehsus nahi ki thi, achanak emf meter par nazar padi wo bhi kaam nahi kar raha tha, ab isse pehle ki koi ghatna ghat jaati uske zameer ne oose fauran waha se bhaag jaane ki hidayat di,

Tabtalak maha ki awaz oose kaano mein padi "bhaag chalo yaha se bishal un logo ne humhe dekh liya hai chalo zaaya mat karo waqt ko"

Kehte huye maha ne kheechte huye usne apne saath ulte pao bahar ki taraf daudna shuru kiya, bishal agar kuch dair aur waha teherta toh shayad aaj usne dekh liya hota ki waha aakhir kaun log they?

Bishal aanan fanan maha ka hath pakde maqbare ke khandaro se kabka bahar nikalkar sidiyo ke raaste pahucha aur dono lagbhag ucchi ucchi sidiyo par chalang lagate huye niche ki or utare jaa rahe they, aisa lag raha tha jaise pao bhari ho gaye they,

Aur aisa lag raha tha jaise sirf unke utarne ki un kadamo ki wo awaze nahi thi, maha ne piche mudhkar zor se cheekha oose kayi kaale ucche saaye piche jamaat bankar daudte mehsus huye,

"Bishal wo log piche hai bhaago jaan bachao"

Bishal ne piche palatna chaha lekin wo itni teji se bhaag Raha tha ki jaan ke khauff se usne piche mudkar dekhna munasib na samjha, dono kandharo ki taraf uthe aur uske thos pathrili zameen par daudte huye maqbare se bahar jaane waali fatak ke ulti taraf bhaagne lage ab waqayi bishal ko ahesas hua ki puri zameen daldal kar rahi thi kayi bhari kadam unke piche they, aur wo kisi bhi pal unke haatho lagne waale they,

Achanak 1 manjila khandar apne daayre pe pahuchkar khatam ho raha tha jiske aage maqbare ka bahari simana thi jiski ucchai 15 ft ke kareeb thi dono kinaare pe pahuchkar kaanp uthe fatak tak pahuchne ka zariya piche chodh di sidiya thi jaha pahuchne ke liye wapis us taraf jaana tha jaha se wo bhari kadam unka picha karte huye aa rahi thi,

"Kud jao bishal warna maare jaayenge kud jao kud jao"

Maha bishal ko lagbhag apne sath kheechti kudne ke liye uksa rahi thi....."socho mat wo log nazdeek hai wo hamara hashr un logo ki tarah karenge jinke sath wo tamaam haulnaak ghatnaaye ghati kud jao"

Itna kehte huye maha ne chalang laga di aur wo cheekhte huye sidha kacche zameen pe jaa giri dhapp se awaz huyi aur wo wohi ghutna pakde baith gayi....

"Mahaa"....bishal ne chillaya aur palatkar ek aakhri baar piche mudkar pehli dafa dekha

Uske theek piche ek buzurg budhaa safed ucchi dhaadhi aur pagdi pehna oosi libaas mein aa khada hua uski chehre pe nazar uthaate hi bishal buri tarah darr gaya aur theek tabhi unke kareeb aate lambe haath ke ek dhakke ne oose utni ucchai se de dhakela, bishal sidha hawa se baat karta palbhar mein zameen pe aa gira oose apne pair sunn hote mehsus huye,

Fhir usne puri taqat se uthkar bina dard ki parwah kiye maha ko uthaya aur dono waha se langraaaye buri tarah chot khaaye gaadi tak pahuche maha ko jaise taise gaadi ka darwaja khol bishal ne bithaya aur mor kaate gaadi mein aa baitha, shukra tha ki chabi abhi bhi ignition mein thi, bishal ne dono taraf ke sheesho ko ek hi switch mein chadha diya aur gaadi ko laga start karne,

Achanak oose ahesas hua apni gaadi piche se uthne ka, koi gaadi ko puri taqat se piche se hawa mein utha raha tha itni bhari gaadi koi kaise yun utha sakta tha, bishal ne pure taqat se accelerator par pao de maara, gaadi ke tyres jo hawa mein uthe they wo teji se ghumne lagi aur theek oosi pal aage ke tyres zameen par ragad khaati huyi top ke gole ki tarah aage ki taraf chuti,

Palbhar mein agar bishal ne steering wheel ki pakad kabu mein nahi ki hoti toh gaadi sidha kisi jagah se takrake ulat jaati, bishal ne tej gaadi ko kaabu karte huye gaadi ko daayi taraf mod diya usne upar lage sheeshe se apne piche ki taraf ek baar dekha tha, toh dekhte hi uske raungte khade hone lage

Wohi Buddha uche kad ka safed libas mein laathi thaame khada oonki gaadi ki taraf dekh raha tha, gaadi puri taqat se bishal ne dauda di gaadi fhir kacche raaste pe utari aur purana maqbara se kayi dur nikal aayi gaadi tej thi charo taraf andhera tha bishal thand ke kohre bhari sard raat mein pasina pasina ho raha tha, maha daayi taraf ki seat par behosh padi thi uske aankhe band thi, kahi na kahi uske haalat ka zimmedar bishal khud ko hi maante huye behad afsos kar raha tha,

Lekin usse bhi zaruri tha waha se kayi dur nikal jana, kya waqayi unki jaano ko khatra tha?, Achanak mahaa ko hosh aane laga

"Hum kahan hai?"

"Hum waha se nikal chuke hai tum utho mat laiti raho"

"Wo humhe maar denge humne unhe dekh liya hai na wo humhe nahi chodhenge"

Maha badbadane lagi, bishal puri raftar se gaadi teji se chala raha tha gaadi ne mor kaanta ab wo pakki sadak ki sunsaan national highway pe daud rahi thi, bishal ne maha ko shaant karne ke liye kayi dafa oose samjhaaya lekin maha roye jaa rahi thi,

Achanak hinn hinn karti kayi ghodo ki awaz aur fhir unke tej kadamo ki aawaz, bishal ne fauran speed-o-meter ki taraf dekha itni speed mein gaadi chal rahi thi toh ye ghodo ki awaze kahan se aa rahi thi? Dekhte hi dekhte bishal ko samjh aaya ki wo ghode jinki awaze oose apne kaano mein kareeb aati sunaai de rahi thi, wo darasal uske hi gadi ke piche aa rahi thi,

Ek nahi do nahi kayi ghode aur unke upar sawaar oosi buzurg ki tarah dikhte safed libaaso mein chehre aur dhaadhi par chadar odhey azib se log, wo oosi ka picha karte huye aa rahe they, bishal ke haath steering wheel par kaanpe jaa rahe they, oose samajh nahi aa raha tha ki ab wo kya kare?

Beherehaal usne gaadi ki gati aur badha di wo khudkhushi karne jaisa kaam tha agar saamne koi truck aa jaati toh gaadi ki speed pe kabu kar pana namumkin hota, lekin wo maut zyada behtar thi un azgaib logo ke haatho aa jaane se,

Bishal ne apne Darr pe nakam kaabu paate huye gaadi ko puri raftar se sidha highway pe dauda diya jitni uski speed tej ho rahi thi, wo ghode bhi oose rear view mirror se apne kareeb aate dikh rahe they, aisa kaise ho sakta tha ki ghode gaadi ki raftar barabar daud sakte they, wo yakeenan ghode nahi they kuch aur they samajh paana mushkil tha, uska ye case uske liye itna ghatak sabit hoga usne socha nahi tha,

Bishal ne gaadi daayi taraf modte huye fhir baayi taraf modh di, lekin un ghodho ki aur kadamo ki awaze badastur piche aati jaari thi, "aisa lagta tha jaise wo log thamne ka naam nahi le rahe".....bishal Mann hi mann prathna karne laga ki kisi bhi tarah is musibat se wo dono bach nikle,

"Gaadi ko rokna nahi chahe kuch bhi ho jaaye bishal gaadi ko rokna nahi"

Ek pal ko bishal ne maha ki taraf dekha uski aankhe surkh gulaabi thi aur uski awaz bhi bhaari thi kya ye sab waqayi dehshat ki wajah se tha? Ya fhir kahi uspar waqayi kuch sawar toh!

"Are u okay maha?"......bishal ne saamne dekhte huye gaadi chalate maha ko toka

"Haan meri fikar chodho bishal agar hum ruke to wo humhe maar daalenge"

Maha ki nigaah itni surkh laal thi aur uski awaz itni bhari thi ki uski taraf dekhne ka taav bishal na la saka lekin maha un surkh aankho se bishal ko ghurr rahi thi, bishal usse nazare nahi mila paa raha tha tabhi oose ahesas hua ki piche se un ghodo ki awaze aani band ho chuki thi, kayi dair tak usne apne piche kisi ko laga nahi dekha, unmein se koi bhi unki gaadi ka ab picha nahi kar raha tha....

Bishal ne gati thodi kam ki tabtalak usne paaya ki maha bhi normal si idhar udhar nazare fhair rahi thi kuch samajh nahi aa raha tha aakhir ye sab ho kya raha tha?

"Tum theek ho na maha tumhe hua kya tha?".....akhirkar bishal ne maha ki taraf dhyan diya

"N..nahi toh main toh theek hu lekin wo log!"....maha ki aankhe bhi theek ho chuki thi par wo ab bhi darri huyi thi

"Koi nahi picha kar raha ab hamara lagta hai wo log gayab ho gaye"

"Sach mein"

"Hmmm"

Par bishal ne gaadi raste mein kahi nahi roki, jab oose pura ahesas ho gaya ki ab koi unke piche nahi aa raha tha toh wo hotel blue diamond lounge pahuche, us waqt subah 4 baj chuka tha, gaadi se utarte huye dono bhaukhlaaye andar dakhil huye, bishal ne hadbadaye reception par aaungh rahe ek karamchari ko jagaya usne oosi haalat mein unhe chabi saunpi, bishal ko insani aabadi mein jaise aane ke baad ab jaan mein jaan mehsus huyi, usne maha ka haath thaama aur oose lift se upar apne room par le aaya

"Aaj raat tum mere room mein hi ruk sakti ho"

"Main chahkar bhi tumse dur nahi ho sakti bishal mujhe ab bhi bahut Darr lag raha hai"

"Kuch nahi hoga uparwale pe bharosa Karo"

Kamra chabi se kholte huye dono baat karte andar dakhil huye andar aate ke sath bishal ne darwaja band kiya fhir ek sofe pe jaake dhair ho gaya aur usne apna sar dheela chodh diya aur aankhe band kar li, maha bhi uske bagal mein aa baithi, wo bhi kaafi sihami huyi thi, jo kuch us raat ghata tha uspar wishwas kar pana na mumkin tha..

Aankhe band hote hi wohi ghodo par oose wohi saade libas mein chehra dhake wo log aate dikhaai de rahe they, to kabhi wo lamba sa buzurg oose khada dikhai deta jisne oose dhakka diya tha aur fhir unki gaadi ke piche aa khada hua tha jisne palbhar mein kisi khilone ki tarah gaadi ko piche se hawa mein utha diya tha, agar waqayi bishal gaadi waha se le na bhagta to kya wo log waqayi oose maar dete? Bishal se us raat ko so pana mumkin na tha....maha bhi jaagi rahi....




Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 25 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #6 on: November 07, 2023, 02:27:45 PM »
Part 5

Bishal ke haath pao kaanp rahe they, dimaag sunn sa ho gaya tha, usne sofey se uthkar ek baar mote Pardo ki aad se band sheeshe ki khidki se bahar niche jhaaka, koi nahi tha siwaay charo taraf sunsaaniyat thi neemandhera dhal Raha tha ab aasman mein roshni halki halki honi shuru ho gayi thi,

Bishal puri raat jaaga raha tha, maha ki aankhe band thi wo sofey pe hi laiti huyi thi, bishal ne ek baar darwaja khole bahar galiyare mein jhaaka fhir wo sidiyo ke dayre mein aake waha bhi niche jhaank raha tha har koi apne apne suite mein tha, hotel ke staff bhi koi ghum nahi rahe they, achanak kisi ka saaya oose apne piche laga wo ghabrake piche muda ek hotel ka waiter tha jo hairani se bishal ko yun galiyare mein tehelte dekhkar waha aaya tha,

"Kya baat hai sir? Aapko kuch chahiye?"

"Na..nahi toh Haan umm tumhare hotel mein whiskey mil sakta hai"

Waiter muskuraya par usne tip ka izhar kiya, bishal ne oose ek botal ki adaygi ki keemat aur kuch paise diye, waiter ne oose nischit se apne room jaane aur intejar karne kaha aur waha se niche sidiyo se utar gaya, aise aalam mein agar sharab na Piya toh shayad darr uske upar aur zyada haavi hone jaa raha tha,

Bishal ko yakeen nahi ho raha tha ki uski kismat ne oose kis tarah un jinnato ke haatho se bacha nikaala tha, lekin wo aadmi wo buzurg kitna ucha kad tha uska aur uske wo lambe haath jisne oose thaamne ke bajaay dhakka diya kya uski mansha bishal ko maar Dene ki thi, itni uchaai se girne ke bawjud oose khas chote nahi aayi thi aur maha oose bhi toh na jaane wo kya Karishma tha? Lekin un logo ne kayi dur tak unka picha kiya tha aisa to nahi ki unhone itni aasani se picha chodh diya ho,

Bishal fhir ghabra gaya kyunki is baar kisi ne ooske ekdum kareeb aakar oose awaz di thi, bishal ne mudkar dekha waiter haath mein branded whiskey ki bottle aur tray mein do glass liye khada tha......haalaki doctor ne oose peene se mana kiya tha lekin aaj manaahi ki koi gunzaish nahi thi,

                                 __________

Bishal apne kamre mein lauta darwaja lagaya bistar pe apna coat utaara aur apne shirt ke aur Astin ke buttons thode se khole aur fhir whiskey ka dhakkan khole ooska chota peg glass mein dhaala, maha ki neend tuti usne bishal ko hairani se sharab Peete dekha pehle to oose yakeen nahi hua fhir usne tatkal sawal kiya

"Ye sab kya hai bishal?"

"Sorry maha lekin main khud pe kaabu nahi kar paa raha jis tarah jo kuch ghata wo bhulaye nahi bhulta"

Maha kuch keh na payi....."ise thoda pee lene se shareer mein garmi aur khauff thoda kam ho jayega if u don't mind kya tum thoda sa logi?"

"Hargiz nahi main sharaab nahi peeti"

"Sorry ki main tumhare saamne sharab pee raha hoo lekin mujhe aaj iski saqt zarurat hai"

Ek saans mein bishal ne glass khaali kar diya dawaiyo ke asar se ab oose aur peene ki iccha nahi ho paa rahi thi, lekin ab wo khud ko normal mehsus kar sakta tha, usne sar sofey pe fhir dheela chodh diya aur chatt ko ghurrne laga, maha bas oose soch mein dekhi jaa rahi thi,

"Ek baat batao maha aadhe raaste mein tumhe kya hua tha? Maine driving karte huye tumhara haal dekha tumhari aankhe surkh laal thi aur awaz behad bhaari si ho gayi thi"

"Mujhe kuch malum nahi main kuch nahi yaad kar paa rahi aur na mujhe kuch yaad dilao aisa lagta hai jaise ab bhi wo log ghode pe sawar sadak pe yun hi daudte huye aa rahe hai"

"Chodho rehne do waqayi mujhe tumhari baat maan Leni chahiye thi lekin badkismati se mere kuch equipments wohi chutt gaye emf machine ne to kaam karna band kar diya tha, aur toh aur kuch record bhi na kar paya main"

"Tumhara ye camera mere paas ab bhi salamat hai par ise mat abhi dekhna aur meri maano toh us taraf ka ab kabhi rukh bhi mat karna main nahi chahti ki tumhare sath koi anhonee ho jaye that place is not safe gaonwaale jhoote nahi hai, mere dada ji ki baaton par ab to tumhe yakeen hua na"

"Beshaq lekin"

"Kya?"

"Wo buzurg ab bhi mujhe bhulaaye nahi bhulte"

Bishal ne unka huliya jaise jaise maha ko byaan kiya uski aankhe aur bhi zyada khauff se bari bari hone lagi, "maine toh mudkar sirf unki jamaato ko dekha tha lekin us buzurg ko main dekh nahi paayi thi, par jo byaan tum kar rahe ho unka wo to hubahu mere dada se mulaqat hua us aadmi ka hai jo unhe barso pehle wohi mila tha"

Bishal aasman se gira "iska matlab wo jinnat tumhare dada ka kahi dost to nahi tha jinhone unhe waha aane se mana kiya tha"

"H..haan".....maha ne kaanpte nigaho se Haan mein sar hilaaya

Kya unhone waqayi jaanbhujkar un dono ko bhaag jaane Diya tha? Ya fhir ye sirf ek wehem tha, bishal maha ke kareeb baitha aur oose shaant karne laga, unhone faisla kiya ki din hote hi wo log oosi waqt waha se checkout karke nikal jaayenge, maha bhi raazi ho gayi aur aansu ponchte huye bishal ke gale lag gayi,

Na jane kyu oos ajnabi mein oose itna apnapan lagne laga?, Bishal ooski peeth sehlaate huye ooski gardan par chum leta hai, shayad Sharab ke nashe aur itni khubsurat ladkk ke yun ooske itna kareeb aane se oose aisi feelings hone lagi thi, maha bishal ke gale se alag huyi aur oose masumiyat se dekhne lagi, na jaane kyu bishal ne uski aankho mein khud ke liye uthti mohabbat dekhi thi, ek bure anjaam se wo guzare they aur us aalam mein ekdusre ke kareeb aane se unka Darr kahi hadtak unse halka ho chuka tha,

Bishal ko lagne laga shayad uski is harqat pe maha usse naraz ho sakti thi lekin usne tab bhi dono baazuyo se oose thaama hua tha maha ki nazare ek tak bishal pe thi aur bishal ki bhi,

"Humhe mile to bas ek din hi hua hai lekin maha sach pucho to maine kabhi kisi ladki ke itna kareeb khud ko nahi paaya mujhe tum bahut pasand ho maha agar aaj tumne meri jaan nahi bachayi hoti toh main"

Maha ne nam bhari aankho se uske hontho par apna haath rakha, bishal ne uske kalai ko apne haatho mein lete huye oose chum liya, maha tab bhi usse dur nahi huyi usne apni aankhe band kar li, bishal samajh chuka tha ki wo razamand thi aur usne apni chuppi mein hi apne pyaar ka izhar kar diya tha,

Bishal ne fhir aur kuch nahi kaha usne saqti se maha ke zulfo ko apne haatho se samaitte huye uske chehre ko apne haatho mein thaama aur bina waqt gawaye uske hontho pe apne honth rakh diye,bishal ke peeth par uske haath saanp ki tarah lipat gaye,

                               __________

Na jaane kab neend khuli thi, din ki roshni jab chehre pe padi toh usne aankhe masalte huye kholi, saamne maha parde ko khol Rahi thi jisse bahar ki chilchilati dhoop uske chehre pe padi thi, maha khush thi aur ab bilkul normal ho chuki thi bishal bhi palbhar ke liye kal raat ka waqya bhul gaya tha fhir oose yaad aaya hotel mein aane ke baad uske aur maha ke beech kya hua tha?

"Tum kab jaagi?"

"Tumne sone hi kaha diya tha?"

Bishal sharam se laal hokar muskuraya maha khilkhilaake hass padi fhir uske paas baithkar uske baal ko sehlaane lagi,

"Thank u maha agar tum mere sath nahi hoti toh main toh kabka marr chuka hota"

"Ab ye baat bhul se bhi mat kehna ab hum Ajnabi nahi rahe"

Maha ne uske hontho par haath rakhkar oose samjhaya, bishal ne uthkar waqt ki taraf dekha to subah 11 baj chuka tha, maha ko dekhkar lag raha tha jaise wo nahakr lauti thi, kamre ke ek taraf uske kapro ka ek bag tha,shayad wo apne room se saaman bishal ke room mein le aayi thi, bishal ne uthkar fauran bathroom ka rukh kiya aur wo fhir naha dhokar bahar aaya maha tayyar baithi oosi ke intejar mein thi, bishal bhi tayyar hua aur kuch hi dair mein wo kamre se bahar apna apna saaman liye lift se niche pahuche receptionist ke paas aaye

"Main aur meri dost maha yaha se check out kar rahe hai"

"Okay sir par mam aap is hotel mein kab aayi thi?".....receptionist ki baat hairan kar dene wali thi

"Kya matlab? Hotel number 206 waha thi main"......maha ne ekdum se jawab diya

"Ohh Haan par wo toh vacant!"....receptionist ne fhir uljhan se key wall ki taraf dekha aur waqayi us number ki chabi gayab paayi jise palak jhapakte hi maha ne uske saamne pesh ki aur sath mein kuch rupya bhi adaygi ka

"Oh my mistake I am really sorry mam"....ek baar usne maha ki khubsurati ko aankh bharkar dekha aur fhir chaabiya dono ki uthaayi

Bishal hairani se maha to kabhi receptionist ki taraf dekhne laga....."ho sakta hai us waqt reception par main na tha warna aap par nazar kabhi nahi padi"

"Aap chahe to register check kare Mera naam waha parso shaam ka darz hoga aapne khud mujhe chabi di thi"......maha ne saqt lehze se kaha bishal chup tha

"Sorry mam mujhse hi galti huyi hogi aap pls mujhe maanf kare hope aap log yaha dobara aaye"

Maha ne kuch aur nahi kaha aur bahar apna saaman liye chali gayi, bishal ko laga shayad waqayi receptionist ko bhul hua hoga jo usne maha ko kabhi dekha na ho, maha naraz hokar bahar chali gayi jis wajah se wo maha ko manane bahar aaya,

"Ab naraz mat ho maha usne tumhe dekha nahi isliye oose Shaq hua hoga lekin us waqt reception par kaun tha jab tum aayi thi?"

"Yahi tha bishal mujhe lagta hai ise bhi tumhari tarah peene ki aadat hai isliye insan ko dekhkar bhul jata hai"

"Main tumhe toh nahi bhula kya tum mujhe ek sharabi samajhti ho?"

"Nahi bishal and I am sorry ki maine gusse mein aake tumhe aisa kaha lekin wada karo aaj ke baad tum nahi piyoge"

"Promise my love kabhi nahi sharab ko touch karunga ab tum mil gayi ho mujhe kuch nahi chahiye"

Maha muskurayi aur gaadi mein jaa baithi, bishal ne bhi apna saaman dikki mein rakha aur maha ke bagal waali driving seat mein aa baitha usne gaadi start ki aur unki gaadi waha se dur sheher ke raaste nikal gayi,

Pure raaste bishal kal raat bitaaye purana maqbara ke tamaam ghatna ko yaad kar raha tha, reh rehkar oose fhir darr Satane lagta toh wo maha aur apne sath bitaaye un haseen pal ko yaad kar leta is beech maha aur uske darmiyan koi baat nahi huyi maha bhi chupchaap baithi saamne raste ki taraf dekh rahi thi,

"Accha tum delhi mein Kahan rehti ho? Tumhe tumhare ghar tak drop kar dunga"

"Bishal mujhe kuch theek nahi lag raha main Ghar nahi jaana chahti"

"Par kyu?"

"Maine tumse jhoot kaha tha ki Mera parivar hai darasal main anath hoo aur main apne rishtedaro ke sath rehti hoo jo mujhe mere maa baap ke baad paale hai unhe meri Zara si bhi parwah nahi hai main unhi ke sataye se aaziz aakar waha se nikal gayi thi isliye main waha ka rukh nahi karna chahti"

"Arre lekin tum fhir jaogi kahan? Agar tum unke paas na pahuchi to unhe fikar hone lagegi police tak mein report kar sakte hai woh"

"Wo meri jald se jald shaadi karaake mujhse azaadi chahte hai aur isi liye aayedin rishta dhund rahe they inhi sab se Aaziz aake maine ghar chodhne ka faisla kiya maine ek chitti bhi chodh di thi main sheher chodhke hi kahin jaa rahi thi aur raste mein sheher se bahar yaha tehri huyi thi socha tha Mann behlane ke liye paas kahi ghumne jau aur itna sabkuch ghat gaya lekin main khushnaseeb hoo ki tum mujhe mil gaye?"

Waqayi us ladki ka kirdar bara hi rahashmayi tha, lekin us ek din ki mulaqat se wo is qadr uske kareeb aa gaya tha ki ab chahkar bhi oose nazaro se dur karne ka irada nahi ban pa raha tha, berehaal bishal ne soch liya ki wo oose apne ghar hi le jayega usne gaadi sheher ke raste mein aate hi apne ghar ki taraf modh di,

"Tumhe koi taqleef to nahi hogi na mujhe yu apne ghar panaah dene!"

"Hat pagli ab toh tumse dur ho paana mere bas mein nahi ab tumhe koi zarurat nahi kisi ke baare mein sochne ki kya tum mere sath rahogi?"

Maha faisla nahi kar paa rahi thi fhir usne jhijhakte huye muskuraya aur apna hath bishal ke haath pe rakh diya, bishal ki jaise Mann ki muraad puri ho gayi, wo nischint tha ki ab wo dono musibat se nikal chuke they aur aage sirf khushaal din aane waale they,

                               ___________


Bishal apni flat par maha ko le aaya Ghar pahuchte pahuchte shaam 4 baj chuke they, maha aur apna saaman ghar mein laate huye bishal ne muskurakar oosse kaha

"Ye hai mera chota sa ghar jo ab hamara ghar hoga I hope tumhe yaha koi problem nahi hogi main yaha akela hi rehta hoo aur kisi se mera koi matlab nahi"

Maha pure Ghar ko dekhte huye bishal ki taraf ghumi,

"Main ye sochti hun agar tum mujhe kal mile nahi hote, to fhir mera kya hota?"

"Dekho maha pls ab beeti baat bhul jao aur jo kal hua so hua main tumse wada karta hun marrte dum tak tumhara sath nahin chodhunga kal jo kuch bhi hua wo meri wajah se hua main uske liye sharminda hoo maine hum dono ki jaan khatre mein daal di thi, wo waqya sochkar aaj bhi mere haath pao thande pad jaate hai"

Bishal gambhir hokar dusri taraf dekhne laga maha ne uske kandhe pe hath rakha aur oose shaant hone kaha bishal chahkar bhi un tamaam waqayo ko bhula nahi paa raha tha,

"Tum mujhe bhi daraa rahe ho maine badi mushkil se wo sab bhulaya hai par mujhse wada karo ab tum waha hargiz nahi jaoge aur na mujhe akela chodhoge"

Bishal ne maha ka haath thaam liya aur oose apne gale se laga liya aisa lag raha tha jaise wo kisi bhi keemat par maha ko chodh nahi sakta tha,

Is beech bishal ne apna tamaam upakaran ka saaman jo bag mein tha waise hi rehne Diya fhir usne emf meter check Kiya jo hairat ki baat thi ki ab kaam kar raha tha, maha sab gaur kar rahi rhi thi, bishal ne fhir maha ko diye camera se us video clip ko laptop pe daala, oose bina dekhe bishal ne fhir un tamaam maqbaro ke location pe lagayi cameras ka video record check karna chaha lekin koi bhi camera kaam nahi kar raha tha ho sakta tha yaa toh duri ke wajah se signal lag nahi paa rahi thi ya fhir wo sab upakaran bhi us camere ki tarah tutkar bikhar chuki thi, ab ismein koi Shaq nahi tha ki jo log kal oose dikhe jo ghatna kal waha ghati wo waqayi oosi jinnato ki jamaat ka kaam tha par ab bhi ek sawal kya un logo ne waqayi unka picha chodh diya tha?

Dair raat ho chuki thi ghadi ki suyi 12 ke paar thi, bishal apne bistar pe soya hua tha jabki theek uske bagal mein maha laiti huyi thi, darwaje khidkiya sab band they andhera ho jaane se pehle bishal ne tamaam khidkiya darwaje khud band kar diye they, fhirse wohi bhayankar khwab wohi ghodo ki awaz unke kadamo ki awaz kareeb aati sunai de Rahi thi, jalti wo agarbattiya woh dhua woh jalti mashaale jaha tak kisi ki pahuch nahi ho sakti thi, fhir us jinnat ka uske saamne ekdum se aa jaana ooske woh lambe haath woh bhayanak shakal, achanak maha ki cheekh bishal ekdum se aankh kholkar maha ki taraf dekhta hai maha bhi Darr se sihmi bistar par baithi kaanp rahi thi,

"Kya hua?".....bishal ne ooske kandhe pe hath rakhkar pucha

"W..woh log wo sab hamare kareeb aa rahe they wo log"

"Tumne khwab dekha hai maha meri tarah"

"Lekin wo jinn yaha pahuch chuke they"

"Kya?"

Waqayi raungte khade kar dene waali wo baatein thi, maha bishal ko khud se alag nahi karna chahti thi lekin bishal bistar se utha fhir usne tamam khidki aur aangan ke bahar jhannkar tamaam sunsaan dhundh mein Dube raasto ki taraf dekha ikka dukka gaadiya hi guzar rahi thi,

"Aisa kuch nahi hai maha koi yaha nahi hai is insaani aabadi mein wo log nahi aa sakte"

"Tum itna yakeen se kyu keh rahe ho?"

"Kyunki Maine gaur kiya ki jaise maine aabadi bhare raaste mein gaadi daakhil ki thi un logo ne picha karna chodh diya tha, hum dono ke dil mein dehshat ghar kar gayi hai isliye wo humhe itna dikh rahe hai maha bhul jao ki hum waha kabhi gaye they Aur aage ki socho okay"

Bishal ne maha ka chehra sehlaaye oose pyar se samjhaya, maha ne bhi sehmati mein muskuraya...."main ek baar boss se mil leta hun case ki babat bhi baat karni hai chahe unhe Khushi mile ya na mile hum kuch din ke liye sheher se bahar kahi dur ghumne chalenge lekin usse bhi pehle ek zaruri kaam karna hai"

"Kya?"

"Tumse shaadi"

Sunkar jaise maha ka darr uske chehre se gayab ho gaya aur woh bishal ke gale lag gayi, bishal bhi chahta tha ki is dehshat bhare ghatna se nikalne ka rasta kuch pal saath bitana hi behtar tha, aur isse pehle koi aur mushkil un dono ke liye khadi hoti bishal ne aanan fanan maha se shaadi kar lene ka faisla kar liya,

Us raat fhir koi aur bura sapna un dono ne nahi dekha na hi koi waqya us raat ghata, wo dono ekdusre se lipatkar jald hi neend ki aagosh mein dub gaye...
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 25 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #7 on: November 07, 2023, 02:29:12 PM »
Part 6

Agli subah jab bishal utha toh maha bistar par nahin thi, usne uthkar ek baar bathroom ka jayeza liya par waha koi nahi tha, bishal bahar living room se hota kitchen ki taraf jab badha toh usne maha ko waha dining table pe nashta paroste dekha, bishal hairan huye bina na reh paya

"Arre tum kab jaagi? Aur kab ye sab?"

"Kyu? Mujhe khaana banate huye hairani huyi? Mujhe sabkuch aata hai tum filhal baitho aur nashta karo warna thandi ho jayegi"

"Aajtak maine toh khud ke liye kabhi theek dhang se nashta nahi banaya aur yaha to itni cheeze waahh khushbu tabhi Sochu kamre tak kyu aa rahi thi?"

Maha hass padi, bishal ne uska haath thaame oose apne sath baithne kaha, maha uske saath baithkar nashta karne lagi, bishal khush tha ki usmein wo saari khubiya thi jo shayad hi uske zindagi mein kisi aurat ke andar usne dekhi ho, oose maha se koi shikayat nahi ho sakti thi?

"Jitna ghar ye tumhara hai utna ab mera bhi isliye ab kuch mat sochna"

"Hmmm"

Nashta se farig hone ke baad bishal tarif kiye bina reh na paya maha jhoote bartan uthaane lagi toh bishal oose mana karne laga lekin maha nahi maani bishal uska sath dene laga, bishal kamre mein lauta usne office mein phone kiya malum chala ki boss kuch din baad lautne wala tha

"Azib hai mujhe case saunpkar khud chuttiya manane nikal gaye par ab aur nahi"

Is baar bishal ne unke niche incharge ko phone kiya aur unse mulaqat karne ki iccha Zahir ki, jab bishal piche muda toh maha khadi thi

"Kya hua?"

"Kuch nahi main Zara kaam se aata hun"

"Tum mujhe fhir chodhkar chale jaoge"

"Darro nahi ab hum sheher mein hai mere ghar par ho yaha tumhe koi khatra nahi aur agar koi problem lage to phone hai na main Zara incharge sir ko ye laptop deke aata hun ismein wo tamaam footages hai jo pichli raat humne purana maqbara ki recording ki thi"

Bishal ke gambir chehre ko dekhte huye maha chupchap uski baat sunti rahi, bishal ne uske gaal ko chuma aur jaane ki tayari karne laga,

"Arre Haan Maine kya socha hai? Kyu na hum court marriage kar le"

Sunkar maha ko bhi kaafi Khushi huyi, par wo itni jaldbaazi nahi chahti thi lekin bishal ne bataya ki uske parivarwalo se usne kabka kinara kar liya tha Isliye kisi ke shariq hone ya na hone se koi faraq nahi padta tha, maha ne fhir dobara kuch kaha nahi, bishal usse jald hi ghar lautne ka vaada karke jaane hi laga tha ki oose apni ghadi ka khyal aaya,

Bishal tayyar hokar apni ghadi dhund hi raha tha ki maha ne bagal se ghadi dhundhkar usko di, bishal ne ghadi kalai pe bandhi hi thi ki tabhi maha ki nazar chadar pe ek taraf jami rahi, fhir usne jhukkar bishal ki takiye ke niche se do laung uthaai aur sawalat bhari nazaro se us laung ko ghurrte dekha,

"Ye kahan se aaya?".....bishal ne wo laung apne haatho mein lete huye sawal nigaho se pucha

Maha ne koi jawab nahin diya.....uske marhum dost ki baat oose yaad aayi thi ki jispar jinn ka saaya hota hai uske sirhaane se hamesha laung ki nishani milati hai, bishal ko ekdum se ye baat khatki maha bhi sawal kiye bina reh na payi,

"Kya matlab hua iska?"

"Nahi janta maha ki ye yaha kaise aaya? Tum darro mat main jald hi lautta hun"

"Okay"

                             ____________

Bishal paranomal research institute and office pahucha waha uska angrez boss ki gair mauzdgi mein wo sidha incharge Sohail sahab ke rubaru hua jinhone bataya ki boss kisi niji wajaho se sheher se bahar gaye huye hai, fhir bishal ne apna tarjuba pichle raat ki tamam ghatna byaan ki aur wo laptop boss ko dikhaa dene ke liye unhe saunpi,

"That's really strange my god itna kuch hua aur tumne humhe ab ikhtila ki"

"Main puri tarah darr gaya tha sir main apne hosho hawaas mein nahi tha aur mujhe apni jaan ki fikar ho rahi thi agar main waqt pe waha se bhaag na nikalta toh shayad meri laash hi waha aap logo ko milati"

"Khuda ke vaaste aisa mat kaho bishal khair kya un jinnato ki waqayi video tumhare camera se record huyi hai?"

"Aap dekh sakte hai"

"No bishal jabtak hamare boss sabut na dekh le hum pehle oose nahi jaachte, aur jis waqt tum purana maqbara ka daura karna chahte they us waqt tumhare sath bhejne ke liye hamari koi team nahi thi, lekin tumne waqayi ye bahut bara risk liya"

"Ab sir mujhe ijjajat dijiye aur kuch din ki chutti bhi"

"Haan chale jaana lekin pehle ek baar boss se mil Lena jo shayad parso tak aa jaye tabtak tum Ghar jao aaram Karo"

Bishal uthne hi wala tha ki Sohail ne oose toka...."bishal tumhare kahe mutabiq tumhara ek camera tumhe tuta hua purja purja mein mila aur tumne bataya ki hotel pahuchkar tumne paaya ki laptop par baaki live recording footage ke liye tamam cameras ka signal out ho gaya tha ya wo kaam nahi kar rahe they"

"Haan sir even emf meter us maqbare mein kaam karna band kar gaya jabki kal hi maine oose check Kiya wo ekdum chaukas tha"

"Strange tab toh yahi ho sakta ki un tamaam upkarano ka bhi wohi haal hua ho jo tumhare recording camera ka hua jo ek khandar mein tumne lagaya tha"

"Ji"

"Main do logo ko waha tumhare bataye locations par set ki gayi camera aur microphone ko dhundhne bhejta hun"

"Sir aap waha kisi ko akele mat bhejiyega aur Pls shaam se pehle unhe bula lijiyega it's humble request wo jagah theek nahi"

"Tum nischint raho u may go home and my team will contact you regarding those equipments"

Bishal unse Vida lekar Ghar ki taraf rawangi deta hai, pure raaste wo us laung ke baare mein bhi soch raha tha jo takiye ke niche se mila tha bishal kuch samajh nahi paa raha tha kya waqayi wo ittefaq tha lekin ghar mein toh kabhi usne laung laaya hi nahi tha toh fhir wo laung waha aaya kaise?, Bishal ghar lauta toh paaya ki maha oosi ke intejar mein saji sawri baithi thi,

Bishal uski khubsurati dekh sabkuch bhul gaya, maha ne oose paani ka glass diya, bishal paani peekar sofey pe aake baith gaya,

"Sab khairiyat toh hai na?"

"Haan fikar mat karo anyway koi fhir dikkat toh nahi huyi akele rehne mein"

"Ab jab tum mere sath ho toh mujhe kya fikar?"

Bishal bas muskuraya maha ke kitchen ki taraf jaate hi usne paaya saara ghar ekdum saaf suthra lag raha tha sab cheeze apni jagah salihat se thi, uske kapde almirah mein bhi ache se ghadi kiye pade huye they, bishal ke mann mein maha ke liye Aseem pyaar jaagne laga, jab wo bahar lauta toh maha ke haath mein garama garam chai ki do pyali thi,

"Maine raat ka khaana bhi bana diya hai"

"Kyu? Mujhse ek baar puch liya hota maha, maine socha tha ki hum bahar kahi dinner karne jaate"

"Wo bhi kisi din kar lenge hahaha"

Bishal ne bhi hassi mein uska sath diya...."sach maha tumne do din mein hi aakar meri zindagi badal di ye ghar ghar jaisa mujhe lagne laga hai waqayi ab tumse juda hone ki Sochu toh ghabrahat si hoti hai"

Maha bas muskurayi fhir usne us laung ki babat pucha bishal bhi hairan tha ki wo laung aakhir kahan se aayi thi?, Us masle pe fhir dono ne koi baat nahi ki tabhi achanak bishal ka phone Baja, bishal ne number pehchana wo uski tarah ek paranomal expert aur office ka colleague Ravi ka tha, fhir bishal phone par vyast ho gaya  maha chupchap chai Peete huye oose dekhne lagi,

Jab bishal ne farig hokar phone cut karke rakha toh maha ne sawal kiya, jiske jawab mein bishal ne bataya ki unki bheji team ne waha par unke cameras aur microphone uske bataye jagaho se ikhata kiye aur wo Tamam camera salamat they lekin band pade huye they aur hairani ki baat thi ki waha par us maqbare mein koi bhi kaalin koi bhi upar jalti mashaalo ki khane mauzud nahi thi aur naa hi waha koi agarbatti ka tukda bhi mila, ye sunkar maha ghabraye bina na reh saki,

"Waqayi waha kuch to hai maha hamari kismat jo hamara haal un tamaam victims ki tarah na hua jinki waha jaane gai ab to main sapne mein bhi waha ka daura nahi karna chahunga"

Maha ne bishal ke haath pe apna hath rakha aur fikarmand nigaho se oose dekha, bishal tassavur mein kho sa gaya tha,

                                __________

Bishal ne 4 gawaho mein apne janne waale apne hi do dosto aur unki biwiyo ko muqarar kar liya aur fhir usne court marriage ka prastav rakha jisko karne se ek dost ne saf inkar kiya usne kaha ki behtar tha ki wo log kisi mandir mein jaake shaadi kar le, is maamle mein maha ne bhi izhar kiya ki wohi karna theek tha, bishal janta tha maha gair kaum se taluq rakhti thi lekin jab maha ko is baat se koi aitraaz nahi tha toh fhir oose kyu hoti?

Jald hi sheher ke paas ek janne waale mandir mein bina dairi kiye bishal ne maha ke sath tamam rasmo rivaz mein shaadi kar li, jisse maha bhi khush thi aur bishal bhi, wo hassi Khushi apne ghar laut aaye ab bas bishal ko intejar tha to jald se jald maha ke sath sheher se kayi dur kisi hill station mein chuttiya manane ka, wo lagbhag tamaam apne pichli ghatnao ko bilkul bhul chuka tha, aur boss se bhi abtak oose bulawa nahi aaya tha,

Bishal ne soch liya tha ki ab wo is namurad kaam ko chodhkar dobara kahi office mein choti si par sidhi saadi naukri kar lega kyunki pichli us ghatna ne uska dilo dimaag badal diya tha, waise bhi wo is peshe se dost ki maut ke baad se kinaara karne hi wala tha,

                              __________

Is beech wo aur maha apni nayi basi basayi shadi shuda zindagi se khush they, bishal ko maha ke apne zindagi mein aa jaane se koi shikayat nahi thi, wo zyadatar waqt maha ke sath bitata tha aur kahi na kahi us dehshat ki bhi wajah se wo maha ko akela nahi chodhta tha, maha ke parivarwalo mein kisi ne bhi usse Milne ki ya dhundhne ki abtak koshish nahi ki thi, isliye bishal aur nischint tha, us sham bishal travel agency se apni aur maha ke sheher se bahar ghumne jaane ki tickets liye ghar ki taraf laut raha tha gaadi se laut raha tha ki itne mein oose phone aaya phone boss ka tha,

Boss wapis aa gaya tha aur unhone wo tamaam recording dekh li thi, wo oosi purana maqbara case ke baare mein bishal se baat karna chahte they, bishal office pahucha aur waha jab wo boss ke rubaru hua to boss ne woh clip uske saamne projector par wapis shuru kar di, wo video dekhne se jaise bishal ka dil dehelne laga lekin usne khud pe kabu kiya lekin video mein siwaay andhere aur khaali khandaro ke aur khud uski awaz ke siwah kuch nahi tha,

"Ye sab kya hai bishal?, Tumne to kaha tha ki waha maqbare ke khandaro mein jalti mashaale thi, farsho par kaalin bichi huyi thi yaha toh koi agarbatti ka jalta dhua to kya agarbatti bhi nahi dikhai de rahi aur ye tumhara camera kisne thaama hua hai aur tum akele kisse baat kare jaa rahe ho?"

Bishal kuch samajh nahi paa raha tha incharge Sohail bhi sawalat ke ghere mein khada tha,

"Par sir aisa kaise ho sakta hai? Mere sath pure din maha thi"

"Maha kaun?"

"meri wife sir aur wohi ladki jo purana maqbara us din ghumne aayi thi? Aur maine khud usse izhar kiya tha ki wo mere sath puri raat ruke is case ki history oosi ne mujhe batayi thi sir aur oosi ke wajah se main purana maqbara se bhaag paaya"

"Tumne oosse shaadi kar li congrats but agar wohi tumhare sath thi toh is video mein na uski awaz hai aur na khud wo toh kahan gayi woh ladki? Aur tumne jis jinnati jamaat ki baat ki toh kahan hai koi jinn humhe toh kuch nahi aisa dikha"

"Sir aap jante hai camere par aksar aisi azgaib cheeze nahi aati, lekin wo nishaniya zarur ati hai emf meter jise baad mein check Kiya toh woh chal raha tha par waha kaam nahi kar raha tha ek camera purja purja mila mujhe baad mein khud team ne jaakar waha paaya ki tamam cameras waha band pade huye they unhein kaun band kar sakta hai siway technical issue ke"

"Ismein jo tumhara byaan hai bilkul waisa hi dikh raha hai par na toh koi tumhare piche dikh raha hai, na koi tumhare sath aur khandaro mein waisi koi nishani nahi dikhi jiska tumne zikar kiya toh fhir hum tumhari baat pe kaise aitbaar laaye?"

Bishal samajh nahi paa raha tha aakhir ye sab kya ho raha tha? Aur usse bhi rahashmayi baat ki us camera recording mein jo ki khud maha ne pakad rakha tha usmein uski khud ki na tasveer thi aur naa hi uski awaz, bishal ne puri video ko dekha usmein siwaay uske waha aur koi nahi tha, toh fhir wo mulaqat kisse huyi thi? Maha camere mein kyu nahin kaid huyi thi kya wo kahi?

Bishal jaise aasman se gira, achanak uske zehan mein wo baat khatki usne apne jeb se wo sulamani patthar wali tabiz nikali jo tab bhi uske paas thi, aur wo uske marhum dost ne oose di thi usne ek tabiz jab maha ko dena chaha toh usne oose lene ki koi koshish nahi ki thi, wo laung jo uske takiye se nikla tha uske marhum dost ne khud kaha tha ki jis par jinn ka saaya ho waha uske sirhane mein aksar laung milta hai, lekin maha ne wo laung khud oose dekar ye pucha tha,

"Par sir un logo ki jamaat ne hamara picha kiya tha ghodo par kayi dur tak wo hamare piche aate rahe aur ekdum se gaayab ho gaye"

"Dekho bishal main tumpar yakeen karna chahta hun lekin is video ke madhyam se tumhara case bilkul kamzor hai I am sorry to say but I will not accept this"

Bishal aise hi bahut zyada ghabraya hua tha wo waha ek pal ke liye bhi nahi ruka aur waha office se sidha bahar nikla wo gaadi mein baitha aur gaadi ko puri raftar se sadak par dauda diya, pure raaste uske khyal tamam ab tak ke saare ghatnaaye ghum rahe they purana maqbara pahuchane se leke maha ke milane tak achanak ek sawal bijli ki tarah uske Mann mein kaundha aur usne theek gaadi teji se waapis sheher ki bahar national highway ki taraf modh di,

Gaadi oosi hotel blue diamond lounge pahuchi jaha wo tehra hua tha wo fauran receptionist ke paas pahucha, reception par wohi aadmi mauzud tha jo us din unke nikalte waqt tha, jisne maha ka us hotel mein teherne par sawal kiya tha,

Bishal ne usse dobara maha ke baarein mein pucha toh usne yahi sochkar bataya ki shayad oose mugalta laga hoga ki maha waha nahi tehri huyi thi, fhir bishal ne maha ke us din kahe mutabiq Tariq nikaali aur registar pad uske check in ki entry dhundhi waha maha naam ki kisi bhi ladki ka koi bhi address nahi mauzud tha toh fhir usne itne yakeen se kyu kaha ki wo waha aayi thi, aur agar waha nahi bhi Ruki thi toh chabi uske paas oos hotel ki kahan se aayi wo bag bhi toh uske room mein laayi thi,

Bishal ne maha ke us din kahe anusar us hotel room no.206 ko bhi ek baar dekha jo tab bhi band para tha waha kisi ke teherne ki koi bhi nishani nahi mauzud thi, piche oose room service waale ne bataya ki wo kamra kayi din se khaali hi pada tha waha to koi aaya bhi nahi, toh fhir maha agar waha tehri hi nahi thi to wo chaabi uske paas aayi kaise?

Bishal Mann mein kayi Shaq bhare sawal liye jab waha se ruksat hua tabtak dopahar ki dhoop dheere dheere madhyam hone lagi thi, pure raaste tamam ghatna dobara zehan mein ghum raha tha waha maqbara pahuchne ke baad maha se mulaqat uska tamaam kissa batana aur fhir waha uske sath teherna wo jamaat wo buzurg jinn, waha se unka bhaag nikalna maha se uska yun kareeb hona usse shaadi sabkuch dimaag mein ghum raha tha,

Bishal ne tabhi gaadi roki to usne paaya ki wo oosi dhaabe ke paas khada tha jaha wo pehli dafa aaya tha, bishal wohi khatiye pe baith gaya is beech wo roti banane waale buzurg oose kahi nahi dikhe, bishal ne fauran apne dost ko phone kiya aur unki shaadi ki tamaam tasveero ka sawal kiya toh ek behad hairat bhari baat malum huyi unke pass bishal aur maha ki shaadi ke waqt ki tamaam tasveer gayab thi aur jo phone mein tha wo file khul nahi Rahi thi, bishal ko ek ke baad ek jaise jhatka lag raha tha,

Tabhi kisi tahaka lagati awaz oose kaano mein padi ek buzurg pagdi pehne laathi liye uske bagal mein aa baithe bishal ne paaya wo shayad gaon ke koi baashinde they, tabhi wohi chaiwala unhe chai deke unhe salaam karta hai bishal ne chaiwale ladke se unke baare mein pucha toh usne bataya ki ye bahut pahuche huye fakir hai jo aksar hamare gaon aate rehte hai,

Bishal unhe ghurrne laga aur wo bhi muskuraye bishal ko hi dekh rahe they, bishal fhir apne phone par tamam apni shaadi ki tasveer nikaalta hai toh hairat mein padh jata hai un tasveero mein maha bilkul dulhan ke jode mein uske sath khadi thi, toh fhir us video mein wo kyu nahi thi? Kyu uske dosto ke paas uski koi tasveer mauzud nahi thi kya ho raha tha ye sab? Aur hotel mein toh maha ke teherne ka koi sabut hi nahi tha,

Tabhi us fakir baba ne bishal ke kandhe pe haath rakhka bishal ne unki taraf hadbadaye dekha, bishal ko aisa laga jaise uske har sawal ka jawab unke paas tha abhi bishal ne kuch kaha hi tha ki unhone fhat se jawab diya

"Uski tasveer dhundh raha tha mili lekin un tamaam jagaho par na mili jaha honi chahiye thi, hotel mein bhi wo na mili toh fhir usne tujhse jhoot kyu kaha? Aur sabse badi baat yahi na ki us video mein wo kyu nahin thi?"

"Aapko ye sab kaise pata?"

"Beta baith Jaa mere paas tere tamaam sawaalo ka jawab hai jo sirf tujhe mujhse hi mil sakta hai"
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 25 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #8 on: November 07, 2023, 02:32:50 PM »
Last part

Unhone dheere dheere bishal ko tamaam baat dohra di uske marhum dost ki maut se leke uska purana maqbara jaana aur waha maha se mulaqat, fhir us raat jo kuch ghata tha jo kuch usne dekha aur waha se wapis sheher lautne ki, maha se shadi karne ki, aur boss ne jo kuch oosi ki recording mein bishal ko jo kuch dikhaya wo tamam abtak ki puri kahani dohra di, bishal hakka Bakka unke shakal ko dekh raha tha

"Ab yahi puchega ki mujhe malum kaise? Main toh gaib se sab pata kar leta hun aur aane waali anhonee ki baat bhi jaan jata hoo beta"

"L..lekin maha ki shadi waali tasveer toh ismein mauzud hai par mere dosto ke paas kyu nahi? Us video recording mein wo mere sath kyu nahi? Uski awaz tak usmein nahi thi".....apni phone ki taraf dekhte huye bishal ne bataya

"Kyunki ye sab ek tilasm hai kyunki dhoka tasveero mein kabhi Kiya nahi jaa sakta tu ab dekh wo tujhe nahi dikhegi"

Bishal ne jaise hi un tasveero ko dobara dekha toh sann reh gaya kahan thi maha? Har tasveer mein toh sirf wohi khada tha akele, tabtak us faqir baba ne muskurakr bari bari nigaaho se bishal ko ghuraa

"Tujhe dhoka Dene ke liye taaki tujhe yahi lage ki tu ek insaan ke sath hai, jabki Haqeeqat ye hai ki uska wajud tujhe kahi nahi milega koi nishani nahi milegi siwaay uski asliyat ke, tune hotel jaake yakeenan dekha kya pata chala tujhe?"

Bishal ne woh baat bhi dohra di, ki waha maha ka koi naam darz nahin tha, jis room ki usne booking karayi thi wo room service boy ke mutabiq pichle kayi dino se khaali thi, koi nahi aaya tha waha, toh fhir wo chabi dena aur wo bag!

"Wo sab dhoka tha tujhe dhoke mein rakhne ke liye, wo chabi bhi aafrupi taur se usne pesh ki aur agar us waqt tu uske naam ko darz paata toh wo bhi dhoka hota tujhe darz milta lekin tumhare jaane ke baad wo naam register se gayab ho jata kyunki yahi hai jinnato ka mayajaal"

"K..kya? Matlab dekhiye kya aap ye keh..na chahte hai ki ki wo ek jinn hai yaani itne waqt se main ek jinn ke sath reh Raha hoo"

Unhone khamoshi se sirf aankhe yun band ki aur kholi ki wo tamaam baat mein sehmat they, bishal ko jaise ek dehshat apne kaleje se lagti mehsus huyi, oose samjh aaya ki kyu wo laung oose takiye ke niche darasal mila tha fhir marhum dost ki baat yaad aayi jis Insan par jinn ka saya hota hai uske paas se laung ki nishani milati hai, bishal itne mein khyalo se bahar Aya aur usne fhir pucha

"To..toh fhir toh jinnati jamaat jo hamare piche thi, maha ka mujhe yu le bhaagna wo buzurg lambe kad kath ke aadmi jinhone mujhe pehle maale ke us khandar se dhakka diya tha fhir aehen wohi meri gaadi ke piche aa khade hokar unhone hi to meri gadi ko hawa mein utha di thi, gaadi kisi tarah unke changul se nikalte huye, wo jamaat kayi dur tak sadak par mere piche pade rahe ghodo pe sawaar"

"Ya allahhh bahut bari musibat se bacha hai tu bete khuda ka shukar mana ki tujhe kuch abhitak hua nahi"

"Mujhe bataiye aakhir ye sab kyu hua aur kya tha wo sab?"

Faqir baba fhir gambir huye fhir unhone batana shuru kiya aur jaise jaise wo bata rahe they bishal ke raungte khade hote jaa rahe they, "wo jinnat they tune unke asliyat ko jaan liya hai itna kuch us ladki ko kaise pata tha? Uska kehna ki uske dada ji waha aate rahe jhoot bak rahi thi woh us itihaas ko wohi janta hai jo barso purana ho aur ismein ab koi Shaq nahi ki wo bhi oosi jinnato ke parivar ka ek hissa hai jise tu apne saath waha se le aaya hai"

Bishal sann reh gaya ooske munh se ek lavz na fhuta, "Haan bete wo ladki ek jinnat hai jo tujhe us din un veerano mein akele mili thi tu uski khubsurati pe nihal ho gaya agar wo waqayi insan hoti toh tere sath akele kyu teherti? Fhir usne tere diye sulamani patthar waale tabiz ko kyu na liya? Kyunki jis cheez se oose taqleef ho wo oose apne haatho mein kaise leti? Us jagah mein jinnato ka basera hai kitne hi baar waha haadse guzre un premi jodo ki bhi maut unhi ki jamaat ne ki thi"

"Par main kaise Bach Gaya?"

"Kyunki tujhe bachaya gaya wo buzurg jinnat koi aur nahi us ladki ke apne they, jinhone tum dono ko waha se bhaag jaane Diya, wo jamaat tere piche tujhe jaan se maarne ke liye hi sirf nahi aa rahe they, balki asal mein wo us ladki ke piche aa rahe they jise tu leke waha se bhaaga tha tune bataya nahi ki beech raste uska chehra badal gaya uski surkh aankhe uski bhaari awaz wo uski asliyat thi, wo is khauff mein thi ki kahi wo log oose na thaam le warna uska anjaam bahut bura hota"

"T..toh fhir wo ekdum se mere saamne kyu aayi?"

"Pasand beta pasand, wo ek kunwari saaya thi aur tujhe dekhkar wo khud pe kabu na kar paai isliye un jamaato ki gair haziri mein wo tere paas aayi, usne yakeenan chaha ki tu oose leke waha se nikal jaaye lekin tu waha kisi aur wajah se gaya tha is wajah se tujhe na khone ke darr se wo tere hardum saath rahi, ab beta bahut dair ho chuki tune oosse shaadi karke ab aur oose apne kareeb kar liya hai ab tu chahkar bhi oosse dur nahi bhaag sakta"

"Aisa mat kahiye kya koi zariya?"

"Maut chodhkar koi zariya nahi khauff mat khaa wo tujhe nahi maar daalegi, lekin usse kabhi dur hone ki koshish mat karna warna uska anjaam bahut bhayankar hoga bahut bhayankar"

"A..aur wo jinn ki jam..maat"

"Behtar hoga ki tu ab us purana maqbara ka kabhi rukh na karna bete warna un jamaato ke haatho maara jayega wo log tujhe nahi bakshenge aur tu janta hai ki abtak tu Zinda kyu hai? Iski wajah se is sulaimani patthar ki tabrez ki wajah se jo tere marhum dost ne tujhe di aur tune ise sambhaalke abhitak apne paas rakha hua hai"

Faqir ne ungli se uski jeb mein rakkhi us tabeez ki taraf dikhaate huye kaha, bishal bahut zyada ghabraya hua tha uski himmat nahi ho rahi thi ki wo waapis ghar laute jaha maha besabri se ooska intejar kar rahi thi,

"K..kya oose sabkuch malum chal chuka hoga?"

"Hamari yaha ho rahi har baat oose pata chal chuki hogi bete, wo tujhe khud se dur nahi hone degi aur na kisi ko teri zindagi mein aane degi behtar yahi hai bete tu apna khyal rakhna apna khyal rakhna allah sab khair karega sab khair"

Wo kehte kehte bishal ko dua dete sadak se ulti taraf paidal jaane lage, oosi taraf jis taraf purana maqbara ka rasta jaata tha, bishal ekdum se khada hokar unhe dekhne laga wo kuch dur jaakar ekpal ko tehre aur unhone mudkar muskuraye bishal ki taraf dekha, aur dekhte hi dekhte wo wohi buzurg jinnat mein tabdil ho gaye jinhone us raat oose pehli manzil se dhakka dekar giraya tha, jinhone uski gaadi hawa mein utha di thi, wohi safed libaas wohi lambi dhaadhi wohi kad kathi itni lambaai ki bishal ki nazar upar uthti jaa rahi thi, bishal ne charo taraf bhaukhlaaye dekha kisi ki bhi nigaah unki taraf nahi thi aur unki nazare bishal ko ghurr rahi thi muskurate huye,

Bishal kuch samajh nahi paa raha tha ki itne dair wo jiske saath baithe huye tha wo koi insaan nahi balki wohi jinnat they, bishal darr se bhaagta hua gaadi mein sawar hua aur teji se gaadi sheher ke raaste usne  dauda di, gaadi teji se sunsaan highway se guzar rahi thi aisa lag raha tha ki wo jinn ab bhi piche se oose ghurr raha tha,

Bishal samajh nahi paa raha tha ki aage kya hone wala tha? Ghar mein maha mauzud thi aur abtak jo kuch Raaz oose malum chala wo us buzurg jinnat ka bataya hua tha, dekhte hi dekhte bishal ke zehan mein ghar mein baithi maha ka aks ubhara

Jo saji dhaji tehelti muskura rahi thi, uski aankho ki putliya ekdum safed thi aur waisi surkh laal hoti jaa rahi thi jaise un safed aankho mein khoon utar aaya ho, wo hasste jaa rahi thi hasste hasste wo balcony ke railing par aa khadi huyi aur uspe chalne lagi itni uchai bhari imarat ke railing par wo bas hasste huye chal rahi thi, uski awaz bhaari hoti jaa rahi thi ekdum bhaari,

Achanak bishal ka phone baj utha bishal ne hadbadaye apna phone ki taraf dekha to oosi ka call tha, bishal ne kaanpte huye phone ko chua tak nahi aur kaanpte haatho se steering pe kaabu paate huye gaadi chalane laga,

Gaadi ki speed badti jaa rahi thi, ek gaadi uske bagal se saamne se aa guzri, bishal ko apni jaan halak tak aati mehsus huyi, uske khyal mein uske marhum dost ki laash ghumi jise usne khud apni inhi aankho se uske flat mein dekha tha, fhir wo tamaam purana maqbara ki ghatna wo kua, wo maqbara wo kaalin wo agarbatti ka dhua, wo attar ki teekhi khushbu, wo jamaat uski taraf ghodo par aati, aur usse bhi bhayankar us buzurg jinnat ka wo roop jo abhi kuch dair pehle uske saamne aa khada hua itni dair se wo ek jinnat ke saath tha, aur maha bhi ab wohi thi,

"Main anaath hoo mere maa baba ke marne ke baad mere rishtedaro ne!"

Us baat ko maha ke yaad kar bishal ko ahesas hua ki wo rishtedar kahan rehte they? Kabhi maha ne nahi bataya kyunki wo toh un veerano mein rehti thi, wo to bas kisi tarah bishal ke ghar aa jana chahti thi uske piche saaya bankar, wo raungte khadi kar dene waali waqayat they, toh kya abtak wo ek jinn ke sath reh Raha tha,

Dekhte hi dekhte bishal ne tej horn ki awaz suni apne khyalo se nikalkar usne saamne ki taraf dekha toh ek truck oose apne kareeb aati mehsus huyi, bishal ne gaadi dusri taraf modni chahi par dair ho chuki thi,

Ek bheeshan zordar takkar huyi aur gaadi ke aage ke parkacche ud gaye, wo zameen par ulatte huye ragad khaakar daayi taraf ki sadak kinaare dhalaan mein jaa giri,

                              __________

Dhundhlahat jab aankho se dheere dheere hati, toh bishal ne apne jism ko tatola wo kisi gaddedar bistar par laita hua tha, ekdum se tamaam beeta waqya uske dimaag mein ghuma aur oose apna sar dukhta mehsus hua, aakhri baar wo apni gaadi mein tha jiske saamne truck aa gayi thi uski gaadi uske kaabu se bahar huyi aur wo sidha truck se jaa takraya uske baad ek bheeshan accident,

Lekin y..ye kaise ho sakta hai? Jism par haath phairte hi zakhm ka namonishaan nahi, uske dono haath shareer ka har hissa ekdum salamat tha, usne ekdum uthkar apne mauzudgi ka ahesas apne hi ghar ke bedroom mein paaya, wo kab waha pahucha tha? Kisne oose waha laaya tha? Aur itni bhaari sadak haadse ke bawjud wo zinda tha aur oose ek kharoch nahi lagi thi, bed ke saamne ek aayena tha jaha usne khud ko bed pe paaya ekdum sahi salamat aur uske jism par ek kharoch ka daag bhi nahi tha,

Bishal samajh nahi paa raha tha wo khud apni accident ka gawah tha takkar itni zordar huyi thi ki gaadi palatte huye kahi jaa giri thi gaadi ka sheesha tuta tha jo uske chehre pe aa pada tha usne apne pure jism par dard ki tej leher daudte huye mehsus ki thi, lekin hosh mein aane ke baad wo bilkul salamat tha aur hairani ki baat apne hi ghar par mauzud tha,

Usne hadbadaye apne jeb mein rakhki us sulaimani patthar waali tabeez ko talasha to wo is baar na mili, kahan kho gaya tha? Usne sirhane ke daraz ke dono taraf dekha kahi kuch nahi, wo kaanpne laga kahan gaya tha uska tabeez? Aur kaise wo waha pahucha tha? Jabki abtak to shayad hospital ki bed pe wo aakhri saansein gin raha hota ya fhir morgue mein ya oosi gaadi mein laash bankar pada hota, ekdum se uske zehan mein maha ka aks ubhara wo Darr se jadh ho gaya,

Usne fauran chadar apne jism se utar faiki aur abhi uthkar khada hi hua tha ki eka ek usne paaya ki hawaye tej ho uthi diwar pe lagi ghari ki suyi 10 Baja Rahi thi, uski nazar parda udte us aangan ki taraf gaya jaha koi toh khada bahar ki taraf munh kiye tha,

Ho ho karti hawao ka shor aur sard si thand bishal ko aur Sihma rahi thi, wo dheere dheere parde ke paas aakar khada hua, wo maha thi jo bahar khadi thi, attar ki khushbu oosi waqt oose apne naak mein lagti mehsus huyi, bishal ekdum kaanp gaya do kadam piche hokar bistar ke paas ja khada hua,

Ab dheere dheere maha mudkar andar aa rahi thi jaise jaise wo bheetar dakhil ho rahi thi, bishal ka pura badan thanda padte jaa raha tha, kyunki saamne maha zarur thi lekin wo ab maha nahi rahi thi us khubsurat chehre ki aankhe syaah surkh laal thi, aankho ke kanche gayab they, aur aankhe is kisam they jaise kisi shaks ki aankhe ulat dekhne se jaise dikhti ho,

Bishal ki ek dehshat bhari cheekh nikal gayi, maha muskura rahi thi lekin uske chehre pe saqti thi, uski lambai badhti jaa rahi thi, bishal kaanpte patte ki tarah bistar par ja gira, maha uske kareeb aakar tehri, aur fhir usne jo hassna shuru kiya to aisa laga jaise kitne log ek saath kamre mein hass rahe ho,

"T..tum ma..ha nahi ho sakti? Tum insan nahi ho kaun ho tum?"

Maha bas hasste jaa rahi thi.....uski hassi mein wohi ghann ghann karti awaz paida ho rahi thi jo us raat bishal ne purana maqbara mein suni thi, bishal ne apne kaano par haath rakh diya aur chillaya

"Bas karo mere kaan ke parde phat jaayenge maha"

"Janna chahta tha na tu ki main kaun hoo? Main woh hoo jiski talash mein tu us din waha aaya tha".....maha tehri fhir usne kehna shuru kiya

"Bata toh Diya hoga na sab dada ne hahahaha"....wo bhari awaz mein kehte huye ekdum se hassne lagi bishal sabkuch samjh chuka tha

"W..woh buzurg jinnat tumare!"...bishal ne kaanpte huye kaha

"Hahahaha aaj nahi to kal ye Raaz se parda uthna hi tha bishal lekin tumhe samjhne mein waqt laga, par dair aaye par durust aaye, main tumhari yaha intejar mein thi"

"L..lekin m..era to accident"

Maha fhir hasi, wohi bhari dohri awaz mein hasi....fhir usne byaan kiya...."accident hua tum marr bhi jaate, lekin jiski jaan mere hawale ho wo itne aasani se marr kaise sakta hai? Isliye main hi tumhe yaha aafrupi taur se laayi hoo khair mera parivar bhi hai, aur mera ghar bhi aur woh dono jagah wohi hai jaha se hum bhaag aaye, lekin bishal tum meri asliyat malum na kar sake, dekho apne sirhane mein dekho"

Bishal ne mudkar fhir paaya ki uske takiye ke theek niche do laung they, bishal ne mudkar dohri awaz mein tahaka lagati maha ko dekha, maha kaafi dair tak hassne ke baad jab khamosh huyi tab wo bahut hi gambhir aur saqt dikh rahi thi,

"Yahi hai Mera wajud bishal ki main ek jinn hoo aur tumhara zinda rehna is wajah se hua kyunki Maine tumhari Jaan ki hifazat ki hai tumhe apne ghar mera matlab us purane khandaro mein paakar mujhe tumse pehli nazar mein hi pyaar ho gaya, aur main janti thi ki tum akele ho isliye tamaam jamaato ki nazaro se bachkar maine tumhare kareeb aana chaha ab jab sab tumhe malum hi hai to mujhe dohrana kaisa?"

Bishal khaamosh aisa lag raha tha jaise baar baar darr jaane se uska Darr kahi khatam ho gaya tha wo to bas bejaan maha ko dekh raha tha uski baatein sun raha tha,

"Jis cheez ki tumhe talash hai wo maine tumse dur kar di hai taaki humhare beech faasle na rahe, hamara parivar waha sadiyo se hai aur wo insan ki mauzudgi kattayi pasand nahi karte isliye maine unse dur huyi aur mere dada mujhse bahut pyar karte hai tabhi dekho unhone mujhe aur tumhe sabki nazaro se bachaakar riha kar diya aur ek baat jaante ho yaad karo hamari mulaqat ke dauran us din maine kya kaha tha?"

Bishal yaad nahi kar paa raha tha, maha oose soch mein uljha dekh ek baar hassi fhir bishal ke ekdum kareeb aane lagi, bishal ne saaf paaya ki uske dono haath uske ghutno se niche they, theek us buzurg jinnat ki tarah, wo kareeb aake bishal ko thaamkar uske kaleje par sawaar ho gayi,

Bishal azib tarike se moan karne laga uske gale se dehshat se azib awaz nikal rahi thi, uska pura badan kaanp raha tha maha ka chehra usse ek ungli dur tha, uske dono lambe nakhun waale haath uski gardan aur chaati pe tha,

"Maine kaha tha ki jabtak jinn na chahe wo insaan ko dikh nahi sakte dekho ab tum humhe dekh sakte ho hahahahaaa hahaha hahahahaha"

Bishal ne aankhe band kar li uska jism sunn padne laga aur dekhte hi dekhte, wo behosh hokar bistar par gir gaya, maha waisi hi uski chaati pe baithe uske seene pe haath phair rahi thi, wo ek bhayawah manzar tha jo byaan kar paana mushkil tha,

                                   __________

Us din office se ekdum se bhaag jaane ki wajah se bishal ke boss, unka incharge aur unki team bishal ki talash mein jut gayi thi, unhone lagatar oose phone kiya par phone band, incharge Sohail ko lag hi raha tha ki wo kisi musibat mein tha? Talash mein malum hua ki parso shaam uski gaadi ka delhi se bahar highway pe accident hua tha lekin gaadi mein koi insaan nahi mila tha, gaadi oosi ki thi, uski talash mein wo log jab uske ghar pahuche tab bhi darwaja kisi ne nahi khola, aakhir mein police ki madad se darwaja Tod diya gaya,

Aur jab andar talashi li gayi to aisa laga jaise wo ghar kayi waqto se band pada tha achanak bishal kahan gayab hua tha, uska bedroom uske tamaam ghar ke charo taraf khuli aangan mein dhool ki parat jami huyi thi, aisa lagta tha jaise bishal waha aaya hi nahi tha, us rahasmayi ladki maha ki talash bhi ki gayi par uska bhi koi sabut un logo ko na mila,

"Aisa lagta hai jaise yaha koi rehta hi nahi par darwaja andar se band kaise tha?"

"Wo ladki maha wo kahan hai? Jise bishal ne apni biwi bataya tha wohi to oose purana maqbara ke khandaro mein us din mili thi"

"Wo koi ladki nahi thi Sohail, wo wohi thi jiski jaat ki wajud ki talash mein bishal us purana maqbara gaya tha wohi jinnato ki jamaat"

"Sir uska marhum dost ke sath bhi to kuch aise hi hua tha mysterious death aise hi toh andar se flat band mila tha, lekin hairat ki baat ki bishal flat chodhkar kahan gaya? Aur agar uske sath kuch hua tha to uski laash kahan hain? Uske dost ki to fhir bhi laash mili thi"

"Kyunki wo juda masla tha, aur ye Raaz kabhi nahi suljhega, aur naa hi kabhi humhe malum chalega ki bishal aakhir kahan hai? Ya wo ladki jisse usne shaadi ki wo kahan hai? Mera to yahi andaza hai andaza kya pura yakeen hai ki wo ladki maha oose apne sath le gayi aur yakeenan wo ladki koi insaan nahi thi wohi thi wohi ek jinn"

Sab log unke chehre ki taraf hairat se sawal aur pareshani mein uljhe unhe ghurr rahe they, aur unki kathor nigaahe tassavur kar rahi thi us ladki maha ka, us jinni ka,

Aur isi ke sath bishal aur maha ki gumshudgi ka raaz bhi hamesha hamesha ke liye ek raaz bankar hi reh gaya!

The end......


                               
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 12:31:24 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.191 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer