Yeh Kaisi Mulaaqaat Thii ... !!! ( Short Story ) NARESH MEHRA

by Anshumali on August 21, 2010, 06:15:21 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1502 times)
Anshumali
Guest

Woh Abhi Raaste Me Thaa...Bagal Se Koi Nikla Toh...Ek Parichiit Mehak Uski Naaq Se Jaa Takraai...Eka ek Uski Aankhe...Bagal Se Guzri ....Uss Mahiila Ke Saath Ho Lee....Aur Uske Badhte Tez Qadam Faslaa Kam Kate Gaye...Ab Woh Sirf Mahiilaa Nahi...Uski Purani Dost Veena Dikhaai Dene Lagi Thii...Usne Aahista Se...Ekdam Nazdik Jaake Kahaa...." V..ee..Na ! "

Veena Ne Chaunq ke ... Aur Palat ke Dekha Toh... Chehak kar Boli.... " Ra...Ke...Sh !!!! " Phir Anaayaas Uska Chehra Bujh Sa gaya... !

Rakesh Uska Bujha Hua Chehra Dekhkar Bola....

" Ghar Me Sab Khairiyat Toh Hai...."
" Mera Koi Ghar Nahi hai... "
" Mohan Ji ! Kaise Hai... Tumhare Patidev ... "
" Main Ab Unke Saath Nahi Rehti ..."

Woh Mere Har Sawaal Ke Jawaab ....Aise De Rahi Thi...Ki Main Hairaan Hota Jaa Raha Thaa ....Maine Uske Chehre Ko Gaur Se Dekha...Waaqai Me Maang Me Koi Siindoor Nahi Tha...Gale Me Koi Mangal Sootr Nahi Tha....Uske Maathe Par Chiinta Ke BaadloN ka Saayaa Pasraa Hua....Ab Mujhe Saaf Saaf Nazar Aane Laga Thaa....

" Kis Soch Aur Hairaani Me Padh Gaye ... Rakesh ! Yeh Zindagi Hai ....Har Pal Badalti Hai...Mujhe Toh Ab Aadat Sii Ho Gai Hai..."
" Parrr... Yeh Sab Kaise Hua Veena ! Itna Kuch Tere Saath Ho Gaya .....Ek Baar Bhi Tune Apne Dost Ko Phone Karna Yaa Batana Munaasiib Nahi Samjha...."
" Maine Apno Ko Dukhi Karna....Theek Nahi Samjhaa... "
" Maine Suna Hai ....Dukh Baatne Se Mann Halka Ho Jaata Hai...."
" Khatam Toh Nahi Ho Jata Rakesh.... "
" Baaton Me Tumse...Main Pehle Bhi Nahi Jeet Paata Thaa....Aur Bataao.....Ab Kaha Reh Rahi Ho... Aur Kya Kar Rahi Ho.... "
" Main Jahaa Rahti Hoon... Waha Tum Kabhi Aanaa Panand Nahi Karoge....Jo Main Kaam Karti Hoon....Jaankar Kabhi Baat Nahi Karoge...Sirf Nafrat...Nafrat..Aur Nafrat...Karoge Mujhse !!! Main Nahi Chaahati Koi Tumhe Mere Saath Yahaa Dekhe....Main Chalti Hoon.....Tum Kabhi Mera Piichha Mat Karna.... "

Rakesh Awaaq Saa Veena Ko Apne Se Door Jaate ... Der Tak Khadhaa Dekhtaa Rahaa... Aur Raaste Bhar Usko Sochta Huaa... Dukhii Mann Se Ghar Laut Aaya.... !
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #1 on: August 21, 2010, 06:22:12 PM »
bht pyari story hai naresh ji aur aapne present bhi i mean sunai bhi bahot hi mast tarike se hai...padhne me aur kalpana karne me maza aaya.....
ek scene sa chalta gaya dimag me jaie jaise padhti gai.....

too impresive ji
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #2 on: August 21, 2010, 06:27:19 PM »
Naresh Jee Aadaab1

Bahut khoob ....... itne kam shabdoN meiN ek lambi kahani kah jana bahut badi kala hai....
Aapki is short story ke liye dher sara shukriyaa...
Ek tasveer se bana dii aapne chahre ke immotion's se lekar... soch ki gehraiyoN tak kii...

Thanks for sharing... Usual Smile          
happy3 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
htboy111
Guest
«Reply #3 on: January 09, 2012, 08:34:10 AM »
:claps: very nice
Logged
htboy111
Guest
«Reply #4 on: February 11, 2012, 02:45:00 PM »
very nice story
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 05:14:20 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer