Zindagi kya hai, mohabbat ki zubaan se suniye.sad love story

by vampi khan on December 25, 2014, 09:51:57 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1541 times)
vampi khan
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
12 hours and 38 minutes.

Jaan kar kya karo ge ???

Posts: 180
Member Since: Dec 2014


View Profile
Ye tumne banaye hain?" Usne aaloo ke parantha tod kar munh mein rakha aur fauran boli.

"Haan bilkul" Maine haste hue jawab diya.

"Jhoothe kahin ke"

Aur phir vo khilkhila kar has uthi. Vahi hasi jiska main deewana tha. Vahi hasi jise sune bina na mera din guzarta tha aur na raat basar hoti thi.Vo kuchh lamhe, vo kuchh pal, jab vo dil khol kar hasa karti aur mera haath thaam liya karti, jab kabhi haste haste uski aankhon mein aansoo aa jaya karte, jaise meri zindagi bas unhi kuchh lamhon mein simat kar reh gayi thi.

"Arrey sach keh raha hoon, maine hi banaye hain tumhare liye" Maine phir haste hue jhooth bola.

"Subah se main hi mili hoon na? Na aaloo hain tumhare ghar mein, na aaloo ubalne ke liye cooker aur na hi paranthe banane ke liye tawa. Ye kya hawa mein banaye the?"

Uski baat ka mere paas koi jawab nahi tha aur vo mere chori pakde jaane wale andaz par ek baar phir has padi.

"Lallu ho ekdam, par mere ho"

Chand se, Phool Se, Ya meri zubaan se suniye,
Har taraf aapka qissa hai, Jahan se suniye.



Ek main tha aur ek vo thi. Aur ham tamam duniya se jaise bekhabar se the. Vo hoti toh raunak hoti, vo na hoti toh mayusi hoti. Vo hoti toh mehfil hoti aur vo na hoti toh veeraniyan hoti. Vo hasti toh mahaul khushnuma ho jaya karta aur vo bilakhti toh jaise aasman phat padta. Vo mujhe apna kehkar mera haath thama karti toh jaise ek doobte ko sahara sa mil jaya karta aur jab vo haath chhodti toh kadam ladkhada se jaate.

"Tum jaante ho ladkiyan kaise bani?"

"Thodi si jalan, thodi si kudhan, thoda gussa, thodi chugliyan aur aisi kayi cheezon ko mila kar kadhai mein fry kiya gaya tab?" Maine has kar jawab diya.

"Shut up. Duniya ki har aurat ek mard se bani"

"Matlab?"

"Matlab ye ke Muslim aur Christian mythology ke hisaab se khuda ne pehle aadmi ko banaya. Phir unhone aadmi ke left side ki ek pasli nikali aur us pasli se aurat ko banaya"

"Hmmm, interesting. I wonder meri pasli se kaun bani" Maine use chidhane wale andaaz mein kaha.

"Mere ghar ki naukrani bani tumhari pasli se" Kehkar usne mera haath chhoda aur naraz hokar doosri taraf munh kar liya.

Kehte hain ke zindagi chhote chhote kayi qisson ka ek tana bana hai. Zindagi koi ek lambi si kahani nahi balki chhoti chhoti kahaniyon ko mila kar banayi gayi ek kitaab hai. Ham saari umar is kitaab ke panne palat-te hain aur har panne par ek nayi kahani padhte hain.
Par meri zindagi ek aise mod par aa khadi hui thi jahan mere har panne par, har safhe par qissa toh shayad alag tha par har kahani mein sirf usi ka naam tha. Har kahani jaise bas usi ke naam se shuru hua karti, usi ke naam par khatam aur har kahani ka saransh bhi vahi hoti.

"Kaisi lag rahi hoon?" Usne apna webcam on kiya aur thodi door jakar khadi ho gayi.

Aur hamesha ki tarah mera dil ek baar phir se dhadak utha. Usne aaj pehli baar Saree pehni thi, kisi shaadi mein jaane ke liye. Ek hare rang ki saree jo uske gore rang par bahut phab rahi thi.

"Bahut khoobsurat" Main bas itna hi keh saka aur apni palkein tak jhapkana bhool gaya.

Kya aisa bhi kabhi hota hai? Kya khuda kabhi kisi par is tarah bhi meharbaan ho sakta hai? Kya kabhi koi dua is tarah bhi qabool ho jaya karti hai ke phir uske baad kabhi zindagi mein aur kisi cheez ki zaroorat hi na mehsoos ho? Ke zindagi muqammal lagne lage aur har takleef, har pareshani pheeki pad jaaye? Kya kabhi Khuda maangne par kuchh is tarah se de diya karta hai ke phir aur kuchh maangne ke liye haath kabhi uthe hi na , sirf sar jhuk jaya kare sajde mein shukr ada karne ke liye?

Aur mere hazaron aise sawalon ka jawab ek vo hi thi. Haan vo jise shayad Khuda ne sirf mere liye mere jism ka ek hissa nikal kar banaya tha. Vo jiski aankhon mein main apna aks talash kiya karta tha, jiski baaton mein apni zindagi dhoondha karta tha aur jiski aankhen mujhse is baat ka ehsaas karati thi ke meri saanson mein abhi rawani hai. Ke mere seene mein bhi ek dil hai jo uske naam par dhadka karta hai.

"I love you, so much" Maine uske maathe ko chooma aur uske kaan mein dheere se kaha.

"Itna mat kaha karo please" Usne phir vahi iltija ki.

"I know, i know but i cant help it. Do you know why?"

"Why?"

"Because i love you so much" Maine phir apni baat dohrayi.

"Oh ho, sunte nahi ho na? Nazar lag jaati hai"

Aur uska vo darr ke mere mohabbat ke baar baar izhaar karne par nazar lag sakti hai. Yun toh un lamhon mein sirf main aur vo hua karte par vo phir bhi dara karti ke kahin hamari mohabbat ko hamari hi nazar na lag jaaye. Main kabhi chah kar bhi use ye na samjha saka ke uska ye darr be-maani hai. Ke main toh khud hi uske bina zindagi ek pal ganwara nahi kar sakta. Ke main toh khud agar kabhi uske siwa raha toh adhura reh jaoonga.

"Phir bhi, mat kaha karo itna please" Vo bechain hokar aksar mujhse kaha karti aur main uski baat ansuni kar ek baar phir izhaar-e-mohabbat karta.


Sabko aata nahi duniya ko saja kar jeena,
Zindagi kya hai, mohabbat ki zubaan se suniye.



"Kya kar sakte ho mere liye?" Vo aksar shokh hokar mujhse puchha karti

"Kuchh bhi"

"Kuchh bhi kya?"

"Kuchh bhi matlab kuchh bhi"

"Matlab kuchh bhi nahi. Agar bata hi nahi pa rahe ho toh karoge kya khaak?" Vo zubaan nikal kar mujhe chidha diya karti.

Aur ye sach bhi toh, bilkul sach. Main kabhi use bata hi nahi saka ke main kya kar sakta hoon uske liye. Vo aksar mujhe ye sawal kiya karti aur main la-jawab ho jaya karta. Magar haqeeqat ye thi ke main kabhi vo alfaaz dhoondh hi nahi saka jo mere jazbaat ki bayaan kar sake. Jo kabhi use is baat ka andaza dila saken ke main kis qadar use chahta hoon. Ke mere dil ek saaz hai jo har dhadkan ko raag bana kar sirf uske sur mein gata hai.

Ke main uske liye aur sirf uske liye ek shehar mein jana chahta hoon. Haan vo shehar, vo khushiyon ka shehar. Jahan suna hai ke har khushi mil jaya karti hai. Aur main lana chahta hoon ek hasi uske labon ke liye, kuchh laali uske chehre ke liye, kuchh shokhi uski aankhon ke liye, Kuchh resham uske baalon ke liye, kuchh chand uske maathe ke liye, kuchh sooraj uski baali ke liye, kuchh sangeet uski choodi ke liye aur kuchh khwaab meethe uski raaton ke liye. Main jana chahta hoon us shehar aur har vo cheez lana chahta hoon jiski kabhi use khwahish thi, talab thi. Par kabhi us shehar se main vo alfaaz na la saka jo meri is tamanna ko kabhi mere lab tak le aate.

Meri aawaz hi parda hai mere chehre ka,
Main hoon khamosh jahan, mujhko vahan se suniye.



"Neend nahi aa rahi" Main raat ko phone par baat karte hue aksar shikayat karta.

Aur phir vo apni meethi aawaz mein koi naghma gungunane lagti. Aur uski aawaz sunkar meri tamam din ki thakan, tamam vehshat door ho jaati aur palken bhaari hone lagti. Kabhi samajh nahi saka ke vo yun sirf mujhe sulane ke liye gaati thi ya un geeton ki zubaani mujhe kuchh kehna chahti thi. Kayi baar samajhne ki koshish ko par har baar zehan hakla mehsoos hone lagta aur main kuchh samajhne se pehle hi neend ke aagosh mein chala jata.

"Maine kaha tha na nazar lag jaayegi, dekho lag gayi" Usne phir mujhse shikayat ki.

"Kuchh nahi hoga tumhein, kuchh bhi nahi" Maine badi mushkil se apne aansoo roke aur uska haath thama.

"Jhoothe kahin ke" Vo phir usi ada se muskurayi "Ek cheez maangun tumse? Karoge mere liye"

"Kuchh bhi" Main phir vahi jawab diya.

"Aise hi rehna hamesha, cute se. Kabhi badalna mat"

Badi mushkil se apne aansuon par ikhtiyaar karta main uske kamre se nikla aur hospital ke corridor mein aakar bilakh pada. Aansuon ka sailab umad pada.

Kya aisa bhi kabhi hota hai? Kya khuda kisi se is tarah bhi naraz ho jaya karta hai ke apni di hui cheez yun ek jhatke se chheen le? Insaan se uska sab kuchh yun loot le ke phir zindagi bemani lagne lage? Ke phir aadmi us chhote bachche ki tarah ho jaaye jisse uska man-pasand khilona chheen liya gaya ho? Kya kabhi Khuda yun bhi kabhi mazak karta hai ke phir kabhi haath dua mein uthte hi nahi, sirf nazar uthe shikayat karne ke liye.

"Kya karoge mere baad?" Vo udaas nazron se meri taraf dekh kar boli, "Jab raat ko neend nahi aaya karegi toh so-oge kaise?"

Mujhse kuchh jawab dete hi na bana. Kya kehta? Kaise batata use ke main kaise jiyunga uske jaane ke baad jabki mujhe khud hi nahi pata tha. Sirf khamosh khada main uske chehre ko dekhta raha jahan se zindagi ki rangat ko maut dheere dheere chura rahi thi. Vo jiski aawaz kabhi mujhe loriyan bankar sukoon se sula diya karti thi aaj khud ek lambi neend sone ki taiyyar kar rahi thi aur main chah kar bhi kuchh kar nahi pa raha tha.


" Dekho mere baad bhi Khush rehna please. Meri yaad ko aansuon mein mat bahana. Tumhari hasi bahut anmol thi mere liye, is hasi ko qayam rakhna varna meri rooh sukoon se na reh sakegi"

Aur usne jaate jaate kuchh aisa maang liya jisne mujhe do tukdon mein baant diya. Ek tukda jo uske jaane ka gham karna chahta tha, rona chahta tha, zindagi se bezaar hona chahta tha aur doosra tukda jo jo uski aakhri maangi hui cheez use dena chahta tha. Jo aansuon ke sailaab ko rokna chahta tha aur chehre par ek nakli hasi qayam rakhna chahta tha.


Aur phir us khoobsurat jism ko ek safed chadar mein lapet kar uske uper mitti daal di gayi aur main khamosh khada dekhta raha. Dekhta raha ke kaise vahan khade us hujoom ne kis bedardi ke saath use zameen mein chhod diya, tanha akela. Ek vo jiske aanchal ko bhi main kabhi zameen nahi chhune deta tha aaj use mere saamne hi supurd-e-khaak kar diya gaya. Aur main khada bas dekhta hi reh gaya.

Aur jaate jaate vo phir ek baar khud ko sahi saabit kar gayi. Ek dard ki tez lehar se uthi mere dil mein, mere seene ke baayin taraf aur phir samajh aaya ke aisa kyun hua. Mere jism ka ek hissa aaj mujhse chheen liya gaya tha. Ek vo jise mere seene ka ek hissa nikal kar banaya gaya tha aaj vo mitti mein dafan thi. Aaj main adhoora tha, mera jism adhoora tha. Pareshan main tha, takleef mein main tha, vehshat mein mera dimag tha par takleef mere seene mein hi thi, baayin taraf jahan se shayad kabhi use banaya gaya tha. Aaj mera vo hissa mujhe alag tha, mujhse judaa ho gaya tha aur pichhe reh gayi thi sirf ek kabhi na khatam hone wali kami, ek takleef.


Kya zaroori hai ke har parda uthaya jaaye,
Mere haalat bhi apne hi makaan se suniye.
Logged
vampi khan
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
12 hours and 38 minutes.

Jaan kar kya karo ge ???

Posts: 180
Member Since: Dec 2014


View Profile
«Reply #1 on: December 25, 2014, 09:52:29 PM »
Thanks for Reading everyone...
Logged
khujli
Guest
«Reply #2 on: December 26, 2014, 10:09:27 AM »
Thanks for Reading everyone...


 icon_scratch icon_scratch icon_scratch icon_scratch icon_scratch icon_scratch icon_scratch icon_scratch icon_scratch icon_geek icon_geek icon_geek icon_geek icon_geek


boss!!!!!!

 khud hee padh rahe ho aur sab ko thanks kah rahe ho.aisa karo jab aap ka ye upnyaas poora ho jaaye to publisher ko de dena aur chhapne ke baad ek copy mujhe de denaa araam se padoo.N gaa. asal me.N yahaan per ghazal,sher, nazm vaghairah padhne me.N vaqt zaayaa hota hai kahaanee padh nahin pataa hoo.N



 Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #3 on: December 26, 2014, 09:25:31 PM »
bahut umdah hain sher aur kahaani. icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
vampi khan
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
12 hours and 38 minutes.

Jaan kar kya karo ge ???

Posts: 180
Member Since: Dec 2014


View Profile
«Reply #4 on: December 27, 2014, 08:01:29 PM »
Shukriya bhai log
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 04:16:21 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.139 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer