Zindgi ke Maayne----A story By me

by zakhmola on February 15, 2008, 08:59:12 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2664 times)
zakhmola
Guest
zindgi kya hai, iksye maayne kya hain..yeh main kabhi samajh nahin paaya.
jab paida hua toh chhota sa tha, kuchh bhi samajhney mein asmarth, nasamajh bhola, Bhola...zyadatar hansta rehta, rota toh na jaane kitne haath mujhey thaamney ke liye aage bad jaate, Aur mujhey he nahin, mere aansunon ko bhi zamin par tapakney sey pehley haathon mein lapak leite the...

Bahar haal main Dheere-Dheere Bada honey laga aur fir ek din school bhi jaanye laga...jab bhi School jaata toh mere kaandhey se tanga hota ek school bag aur Galey se latki hoati ek paani ki bottle, jissey main apney sey kabhi bhi alag nahin karta tha...ussey hamesha apney galey se lagaye rehta, paani peeney ke liye nahin....Billu ke liye....Billu kaun...?
Mera Dost, Mera Taddy Bear jo uss Bottle mein bana hua tha, main uss se bahut baar ladta tha, uske kaaran kayi baar mujhey mummy sey daant bhi padti thi, kyonki din bhar ki thakaan ke baad aksar main apni bottle ka paani ussey bhi pilata tha wohh peeta nahin tha saara gira deita tha.jiske liye mummy mujhey hamesha daant ti, aur fir Zindagi ke ek Maayney se meri peihchaan bani...



[ aaj bas itna he, iss kahani ko main fir kabhi complete karunga , par yeh mera zindgi ka safar hai jsimey bachapan sey jawani tak ke safar mein maine kya-kya zindgi ke maayney ko samjha ---uska bayaan hai....Meri yeh kahani Akaswani Radio sey prasrit bhi huyi hai....Mann hua issey fir se likhney ka jo dimag mein hai ussey fir se likhkar , Kahani ke saat apne puraney lamhon ko jeeney  ki koshish kar raha hun...]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Zindgi by Sonu in Shayri-E-Dard
Zindgi Zig zag ZeE by Tosha in Shairi - E - Zindagi « 1 2 3  All »
Zindgi by Sonu in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
~*SaMaY kYoN bAdAl DeTa HaI rIsHtOn Ke MaAyNe~*(ek ghazal) by ghayal_shayar in Shayri-E-Dard
Khaamoshi ke Maayne by Nashika in Shairi - E - Zindagi
Pooja
Guest
«Reply #1 on: February 15, 2008, 03:51:16 PM »
nice sharing Zakhmola ji!!
Logged
zakhmola
Guest
«Reply #2 on: February 16, 2008, 06:29:36 AM »
thanks a lot---Pooja ji, aapko acchi lagi soch raha hun iskey aage ki kahani bhi likhun....
Logged
zakhmola
Guest
«Reply #3 on: February 16, 2008, 06:55:18 AM »
--gatank sey aagey---


Fir Zindgi ke ek maayney se meri peichaan bani,jo Bejuban hai uss par koyi bharosa nahin karta, main bahut baar kehta ki paani mera Dost Billu [ Taddy Bear ] bhi peeta hai, par kisi ney bharosa nahin kiya, Billu ney bhi mera saath nahin diya, bas fir gussey mein aakar mainey uss se dosti toad di, ussye ek koney mein fenk diya, aur fir meri zindgi mein, mere 5th Birtday par mujhe ek aur naya dost mila ...Kaalu---Kaalu pomerian Nasl ka Safeid Kutta, par mujhey ussye kaaloo kehna bahut accha lagta tha, kyonki mera khud ka rang safeid nahin tha, aur aksar mere jaan ne waale mujhey Kaalu keh kar bulate, bahut Dard hota tha mujhey iss naam sey aur Gussye mein main jab bhi Kaalu ko bulata wohh khushi sey jhoomta hua mere paaon par lautney lagta, tab mujhe accha lagta, Kaalu sey meri Dosti acchi chalney lagi, hum dono bahut ghul mil gaye the, Kaalu Billu sye zyada accha tha , meri bahut help karta tha, yahan tak ki kayi baar mummy Tifin mein jo kadey kareley ki sabzi rakhti thi mera ishara paate he, Kaalu ussey fatafat Chat kar diya karta tha, hamari Dosti geihrani lagey thi, Aur yeh baat fir sey mere ghar waalon ko pasand nahin aayi..

Mere iss Dard ko shayda Bheeshm Pitamah he samajh saktey the jo shar Siya par Baano sey bindhe they ya mera dost kaalu jo kaalu na honey ke baad bhi Kaalu ke naam sey pukara gaya..Par usney kabhi oof tak nahin ki, Kaalu mein sabse badiya baat yeh thi, ki wohh kabhi mere Rishtedaaron ki tarah mujhey kuchh bhi tutlakar bolney ke liye nahin kehta tha, Aur na he Rishtedaaron ki tarah mere tutlaney par hansta tha...isliye wohh mujhey sabse zyada pasand tha..

Aur fir ek din mujhey mera Dost Kaalu bhi Cheen liya gaya, main bahut roya , Chillya ,gidgidya par kisi ney meri ek na suni, mere wohh Chutpan ke aansoon , jinhey kabhi aankhon sey tapkaney sey pehley lapak liya jaata tha, ab badey berahami sey paon taley kuchal diya gaya...main Zyada roya toh kaha gaya, ki Khana nahin milega..Socha nahin khaunga, fir pata chala ki Bhookha insaan zinda nahin reh sakta, Aur fir mujhey zindgi ka ek aur maayna samajh mein aaya, Zindgi ke Maayne hain Bhookh...
Kaalu ko meri zindgi sey nikal diya gaya, aur mujhey kaha kisi aur sey dosti karney ke liye, sach kahun toh yeh jo aur tha , jiska naam insaan hai...mujhey iss sey dosti karney mein bada darrr lagta tha, kyonki mujhey mere Billu aur fir Kaalu ko Cheen deine waala yehe insaan tha...Par darta kya na karta, mujhey insaano ke beech rehna tha isliye insaano sey Dosti bhi karni padi, Aur fir ek din main apney aapko Sheeshe ke aage khada nihar raha tha, yeh woohi Sheesha tha, jiske aage main kabhi apney ko dekhkar darta tha , ya kabhi Kaalu ki peetha par sawar hokar apney ko dekhta tha...aaj main issi Sheeshe ke aage khada hua, Aur khud ko deikh raha tha, aaj na toh main apney se darr raha tha, na aaj mujhe kaalu ki peeth ki zaroorat thi....aaj main 20 saal ka navjawan ban chuka tha , jaldi sey baalon mein kanghi maar kar main bahar nikla...

Maa ney rokana chaha toh bina uski aur dekhey bahar ud chala, main jawan tha aur jawani ka Matlab Aazadi hota hai...yeh Zindgi ka ek aur Maayna meri samajh mein aaya...Aur Main jawani ki rangeen waadion mein apney sapney sajaney laga tha,
mera ghar jiss ke bahar jaaney ke naam sey bhi mujhey darr lagta tha, ab wohh mujhey ghar kam aur saraay [ place where people lives on rent ] zyada lagney laga tha, kyonki main wahan sirf khana khaney aur soney ke liye he jaata tha...Mere Maa-Baap meri harakton par meri baaton par ab na toh mujhey peet tey the na daant te the, sirf Aansoon bahate the...Aur such kahun mainey bada honey ke saath-saath unkey aansuon ki parwaah karni bhi chhod di...Aur fir meri zindgi mein ek aur naya dost aaya, Dost kahun ya fir Dosti...Ladki thi na ....Paarul....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: February 19, 2008, 07:11:50 PM »
bahoot khoob.. kai lines to dil ko chu gai.. waiting for next post!!
Logged
zakhmola
Guest
«Reply #5 on: February 22, 2008, 06:37:57 AM »
last part --- zindgi ke maayney....
ussye dost kahun ya Dosti...Ladki thi na Parul...

Bas ab meri zindgi mera khwab mera sabkuchh Parul thi, College mein sirf isliye jaata tha ki Parul milye, ussey dekhney bina uss sey baat kiye bina mera din poora nahin hota tha, main pyar mein  giraftaar tha Parul ke... Aur fir mujhey zindgi ke ek maayney aur pata chaley..Zindgi ke Maayney hain ---Pyar, jismein aap apni poori duniya basa leite hain, mera pyar dheere-dheere parwan chad raha tha, Ghar ko main pehley sey he saraay maan ne laga tha,. Maa -Baap ko apney liye roate ahuye dekh sach poocho toh mujhey bahut bura nahin lagta tha...wohh mujhsey baat karna chahte, mere saath baithkar khana khaney ki sochte par unki soch , sach nahin ho paati, kyonki mera poora time Parul ke saath he guzarata tha, baharhaal mere Maa-Baap ne bhi isseey accept kar liya tha....fir ek din Parul ki Maan sazi uski haatoh mein meihnadi lagi , uski doli oothi aur uss ney ashirwad liya doodho, nahao poooto falo ka...mere Maa-Baap sey nahin Ankit ke maa-Baap sey...kyonki hamare pyar ko parwan chadta deikh ek din Parul ke ghar waalon ne collge mein aakar mujhey pooch liya tha , main karta kya hun, kamata kitna hun , Parul ko Pyar ke alwa , ya chaand taare toad kar laaney ki baatein karney ke alawa do waqt ki roati bhi khila sakta hun ki nahin. Aur sach kahun toh mere paas inn baaton ke liye koyi jawab nahin tha , mera pyar pal bhar mein hawa ho gaya...main ek baar fir sey rone laga tha apni haalat ko dekhkar..

main samajh nahin pa raha tha ki mere saath kya ho raha hai, jo-jo cheez mujhey pasand aayi wohh mujhey har baar cheen li gayi, pehlye Billu , fir Kaalu Aur ab Parul bhi...main iss sadmey ko bardshat nahin kar pa raha tha, toote huye dil sey apney Saray ya ab ussye ghar kahun  wahan chala gaya, apney aap ko sabse alag kar diya...Aur fir mere Maa-Baap ney mujhey naye sire sey sahara diya, unkey pyar aur ashirwad ka kamaal tha ki main, apna khoya hua aatmvishwan wapas pa saka , maine jee-toad meihnat ki, exams diya, padayi ki aur aakhirkaar ek Bank mein mujhye ek acchi si naukari mili aur fir meri Zindgi mein Geeta aayi, Aur Geeta sey mili mujhey ek chhoti si Bacchi Geet...Zindgi har moad par mujhey kuchh na kuchh naya sikhaye ja rahi thi, pehley pyar sey mera bichoh huya toh naya pyar mila , aur zindgi ka fir sey ek naya maanya meri samajh mein aaya...Zindgi ke Maayney hain.. Pariwar , Maa-Baap Bibi aur bacchon ka pariwar...

bas ab mujhey laga ki mujhey sab kuchh mil gaya, main bahut khus tha apni iss zindgi sey aur zindgi ke maayon ko samajh kar , aur fir ek din jab main office sey ghar pahuncha toh pata chala, meri Maa ek heart attach sey guzar gayi hai...main yeh dekh kar ekdam sey seham gaya na kuchh soch pa raha tha , na kuchh bol pa raha tha , mujhey laga ki yehe zindgi hai toh aisi zindgi ko jeekar kya faayda , meri patni Geeta mere Pita ney mujhey bahut samajhya par main haar chuka tha zindgi ke maayney maut ko dekhkar ...

kyonki sabyehe keh rahey the jo jeeta hai ek din wohh marta hai, aur main soch raha tha agar yehe sach hai , zindgi ke maayney mauth he hain toh fir kya faayda aisizindgi ke...

zindgi ke iss naye maayney ney mujhye poori tarah sey toad diya, mainey apney aap ko ek baar fir sey kamre ke andar band kar diya, mujhey pata he nahin chala ki kab meri geet 4 mahiney sey ek saal ki ho gayi par main apney gam ko seeney mein lapeite, andar he andar intzar kar raha tha, zindgi ke maayney ---Maut ka .....

fir ek din main apney kamre mein leita hua tha, tabhi meri beiti Geet wahan par aayi , uski aankhon mein aansoon they, wohhh apni totli jubaan mein boli Tapa, Tapa [ For papa ] meli Gulia chaala paani gila deiti hai, yeh paani kyon nahin peeeti hai..
uski totli juban aur uski Gudiya ko dekhkar mujhey apna Taddy Bear Billu yaad aa gaya...wohh poochney lagi Tapa Mummy kehti hai Guliya paani nahin peeti, ta yeh Toch [ sach ] mainey uski Gudiya ko pyar sye ootha aur bola mummy jhoot bolti hai, mera Billu bhi paani peeta tha , yeh Gudiya bhi paani peeti hai..

wohh pooch rahi thi ki Billu Kaun aur main Gudiya ko nihare ja raha tha,kabhi ro raha tha , kabhi hans raha tha, Aur Gudiya ko paani pila raha tha ,,, Zindgi ke ek aur maayney se meri peichaan bani.....Zindgi ke maayne ka matlab maut nahin , pariwaratn hain.....jo Billu jaisey Taddy Bear ko bhi Gudiya mein badal deita hai......

The End.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: February 25, 2008, 05:49:41 PM »
bahoot khoob zakhmola  ji!! hum jis najar se dunia aor apni zindagi ko dekhte hai aor samjhate hai wo hi zindagi ke mayne ho jaate hai!! apne bahoot ache shabdo mai apni kahani ko likha hai!! padte waqat aise lag raha tha jaie main apki life jee rahi hu.. such mai bahoot hi achi tarah se apne apni bhawnao ko shabdo mai piroya!!! Good job!!
Logged
zakhmola
Guest
«Reply #7 on: February 26, 2008, 05:58:03 AM »
thanks a lot , pooja ji... maine apni zindgi mein 4 short stories likhi hai...jismein sey yeh ek hai...
ek kahani aur hai....jiska Title hai, " Mera BAccha Boodha Baap " jissey main apni sabsey best kahani maanta hun...kabhi aapke liye ussey bhi likhunga...uska short roop yehe hai..ki Ek Baap Boodapey mein kiss tarah Bacchey ki tarah behave karney lagta hai...Aur uska Beita realize karta hai...ki yeh mera Boodha baap nahin mera Baccha hai...

aapka kahani padney ke liye ek baar fir sey bahut- bahut shukriya...God bless you always...
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #8 on: February 26, 2008, 06:29:38 AM »
zakhmola very nice zindagi ka arth sach mein bohat gehera hota hai.. Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: February 28, 2008, 08:49:15 PM »
thanks a lot , pooja ji... maine apni zindgi mein 4 short stories likhi hai...jismein sey yeh ek hai...
ek kahani aur hai....jiska Title hai, " Mera BAccha Boodha Baap " jissey main apni sabsey best kahani maanta hun...kabhi aapke liye ussey bhi likhunga...uska short roop yehe hai..ki Ek Baap Boodapey mein kiss tarah Bacchey ki tarah behave karney lagta hai...Aur uska Beita realize karta hai...ki yeh mera Boodha baap nahin mera Baccha hai...

aapka kahani padney ke liye ek baar fir sey bahut- bahut shukriya...God bless you always...


apki kahani ka intzaar rahega..
Logged
Talat
Guest
«Reply #10 on: March 09, 2008, 03:28:47 PM »
Dil choo lene waali kahani hai Zakhmola..har line apne aap main kitne jazbaat chupaaye !! Aapki kahani ka intezaar rahega Usual Smile
Logged
Roja
Guest
«Reply #11 on: March 09, 2008, 03:36:31 PM »
Her ek lines dil main chap gaya hai Zhakmola ji. Intezar hai
Aage kahani padne ka
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:12:12 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.155 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer