A Nazm for Japan.................

by vipul kumar on March 18, 2011, 03:01:35 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 898 times)
vipul kumar
Guest
Reply with quote
Ahl-e-Guzishtaaa



"Ab Tum hi kaho kya chaara ho"

Wo Log jo Hamse Bichhad gaye....
Wo shahar jo abke ujad gaye.....
Wo Maala Fir se toot gayi,
Wo Moti Fir se Bikhar gaye.....
Wo ahl-e-Guzishta aayenge?Huh??
Jo Baam-e-Baqaa se Utar gaye......!!
[Ahl-e-guzishta=People who r gone]
[Baqaa=life]

Wo DIN jo Unke BIN guzre,
Wo SHAAM jo Unke NAAM hui,
Wo RAAT jo Unke SAATH gayi,
Dopahar jo ab dushnaam hui......
[Dushnaam=Abuse]

"Wo pal pal_chhin wo saat pahar
Wo shaam-e-hasi.n, wo surkh sehar......
Ab Unke bina ye kuchh Bhi nahi
Viiraniya.n hai ta_Hadd-e-Nazar...
Wo Mousam-e-Gul, Wo Baag-o-Shajar
Har rang Me hai Bas Gard-e-safar
Kya ghar galiya.n kya Raah-e-shahar
Har gaam pe hai Dardo.n ka basar.....

Kuchh haal khule, koi baat Chale
Haatho.n me lekar haath chale.n
Ab Dard-e-Qazaa ka chaara ho
Koi Rahbar apne saath chale....
Jo unki Kami koi Puri kare
Aisa to koi hoga na yahaa.n
Koi Titli, Jugnu, Soz-e-niha.n
Koi Yaar-e-Nazar, Koi Dushman-e-Jaa.n
[Dard-e-qazaa=Grief of death]
[Soz-e-niha.n=Hidden Pssion]

Ab Aadmiyat ke naate aao
dast-e-Dua uthaaye.n ham...
Kisi aur ke beto.n ki khaatir,
Koi Nouh-e-fasurda gaaye.n ham.....
Koi Peer Fakiir Duao.n se
Maathe ki Lakiir Badal daale
Sooni Tasviir me rang bhare
Sabki Taqdiir Badal daale....   notworthy
[Dast-e-dua=Hands raised in prayer]
[Nauha=A song ie. sung after death]

"Ab tum hi kaho kya chaara hai"
Kho dena kise gawaara hai
Par ye Taqdiir ke lekhe hai.n
Kya zor mera tumhara hai.....
Jo gaye huo.n ko le aaye
Ab kisme itna YaaRa hai....
Ab kisme itna YaaRa hai....!!!!!!! sad10
[Yaara=Power]



For all my poems please visit, www.safhaa-e-dil.blogspot.com
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ek nazm by tushar_4u_im in Shayri for Khumar -e- Ishq
ek nazm by deetri1 in Shayri for Khumar -e- Ishq
nazm se din............ by mamta bajpai in Shayri for Khumar -e- Ishq
~*~*~*~*~NAZM*~*~*~*~*~* by shad in Share:Love Poetry
nazm by khalidrawat in Shayri for Khumar -e- Ishq
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #1 on: March 31, 2011, 09:29:31 AM »
Reply with quote
Ahl-e-Guzishtaaa



"Ab Tum hi kaho kya chaara ho"

Wo Log jo Hamse Bichhad gaye....
Wo shahar jo abke ujad gaye.....
Wo Maala Fir se toot gayi,
Wo Moti Fir se Bikhar gaye.....
Wo ahl-e-Guzishta aayenge?Huh??
Jo Baam-e-Baqaa se Utar gaye......!!
[Ahl-e-guzishta=People who r gone]
[Baqaa=life]

Wo DIN jo Unke BIN guzre,
Wo SHAAM jo Unke NAAM hui,
Wo RAAT jo Unke SAATH gayi,
Dopahar jo ab dushnaam hui......
[Dushnaam=Abuse]

"Wo pal pal_chhin wo saat pahar
Wo shaam-e-hasi.n, wo surkh sehar......
Ab Unke bina ye kuchh Bhi nahi
Viiraniya.n hai ta_Hadd-e-Nazar...
Wo Mousam-e-Gul, Wo Baag-o-Shajar
Har rang Me hai Bas Gard-e-safar
Kya ghar galiya.n kya Raah-e-shahar
Har gaam pe hai Dardo.n ka basar.....

Kuchh haal khule, koi baat Chale
Haatho.n me lekar haath chale.n
Ab Dard-e-Qazaa ka chaara ho
Koi Rahbar apne saath chale....
Jo unki Kami koi Puri kare
Aisa to koi hoga na yahaa.n
Koi Titli, Jugnu, Soz-e-niha.n
Koi Yaar-e-Nazar, Koi Dushman-e-Jaa.n
[Dard-e-qazaa=Grief of death]
[Soz-e-niha.n=Hidden Pssion]

Ab Aadmiyat ke naate aao
dast-e-Dua uthaaye.n ham...
Kisi aur ke beto.n ki khaatir,
Koi Nouh-e-fasurda gaaye.n ham.....
Koi Peer Fakiir Duao.n se
Maathe ki Lakiir Badal daale
Sooni Tasviir me rang bhare
Sabki Taqdiir Badal daale....   notworthy
[Dast-e-dua=Hands raised in prayer]
[Nauha=A song ie. sung after death]

"Ab tum hi kaho kya chaara hai"
Kho dena kise gawaara hai
Par ye Taqdiir ke lekhe hai.n
Kya zor mera tumhara hai.....
Jo gaye huo.n ko le aaye
Ab kisme itna YaaRa hai....
Ab kisme itna YaaRa hai....!!!!!!! sad10
[Yaara=Power]



For all my poems please visit, www.safhaa-e-dil.blogspot.com


VIPUL SB WITH DUE RESPECT AAP KI NAZAM KISI DAAD KI MOHTAAJ NAHIN.

 AAP KE BAYAAN KA DARD HER LAFO KA DARD AANKO MEIN NAMI TO LAHI DETA HAI. BUSS ALLAH SE DOA GO HAI SABB KO WO APNI HIFAAZAT MEIN RAKHE....AMIN
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #2 on: April 01, 2011, 11:15:02 AM »
Reply with quote
hmhm

Japan Was First Country To Ban Islamic Hijaab
First Country Jo Stop Teaching Of Holy Quran
First Country To Tear Pages Of Quran
Japan Was Totly Anti Muslim. It Is ALLAH'S
Azaab On Special Islamic Day FRIDAY
Logged
vipul kumar
Guest
«Reply #3 on: April 04, 2011, 10:01:46 AM »
Reply with quote
Nazm ko padhne aur samajhne ka Shukriya Khamosh_aawaj ji.....

Aur Ham_Dum ji, Mujhe nahi lagta Allah bhi Badla lete hai.....
Wo to apne Gustaakho.n ko bhi palo.n me maaf kar dete hai.
And it was not Japan Which banned Islaam, Those were the Japanese people who did it. aur aaj unme se koi zinda nahi hai, jinhone ye kiya.. And Allah cannot give punishment to Some other people for what some others has done.......
Baaki, jaisa aap soche.n....
Waise, nazm padhne ka shukriya.....
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:21:11 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.094 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer