Aa gaye hain sanam: dard key din gaye!

by abdbundeli on May 13, 2009, 07:08:00 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 4300 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
Aa gaye hain sanam: dard key din gaye!
Ab na aayengey gam: dard key din gaye!!

Aaj bhi muskuraayen na gunchey, to kyaa?
Muskuraayengey ham: dard key din gaye!

Baag sunsaan thaa, chahchahaahat na thee;
Chahchahaayengey ham: dard key din gaye!

Sur nadaarad they, rahtey they khaamosh lab!
Gungunaayengey ham: dard key din gaye!!

Log gaatey they: aansoo bahaataa tha dil!
Jhoom gaayengey ham: dard key din gaye!!

Woh na they: daaman-e-nam lahartaa na thaa:
Lahlahaayengey ham: dard key din gaye!

Un key khwaaboun sey, ashkoun sey, thee dostee!
Chashm kyoun hongey nam: dard key din gaye!

Jab jagaayengey: tab ham ko neend aayegee!
Ab sataayengey ham: dard key din gaye!

Roz baatoun mein raateyn kateyngeen, ‘abd’,
Budbudaayengey kam: dard key din gaye!

                             - abd bundeli

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Bhuul gaye hain................. by Aarzuu in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
!!__-Kia Hu Gaye Hain hum -__!! by khamosh.larka in Shayri for Khumar -e- Ishq
zindgi ki rah me chalte gaye sehte gaye... by hameeda in Share: Poetry of Pain
Teray bhi din guzar gaye meray bhi din guzar gaye by imtiaz096 in Share: Poetry of Pain
toot_ta hain dil toh kitna dard hain hota sanam by livingbytheday in Shayri-E-Dard
sajid_ghayel
Guest
«Reply #1 on: May 13, 2009, 08:05:40 AM »
Reply with quote
Dono the gamzada, bat lete the dard

Ab hum ABD jaye kaha, jo kehte ho tum dard ke din gaye...

-SG-
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: May 13, 2009, 08:16:34 AM »
Reply with quote
Aa gaye hain sanam: dard key din gaye!
Ab na aayengey gam: dard key din gaye!!

Aaj bhi muskuraayen na gunchey, to kyaa?
Muskuraayengey ham: dard key din gaye!

Baag sunsaan thaa, chahchahaahat na thee;
Chahchahaayengey ham: dard key din gaye!

Sur nadaarad they, rahtey they khaamosh lab!
Gungunaayengey ham: dard key din gaye!!

Log gaatey they: aansoo bahaataa tha dil!
Jhoom gaayengey ham: dard key din gaye!!

Woh na they: daaman-e-nam lahartaa na thaa:
Lahlahaayengey ham: dard key din gaye!

Un key khwaaboun sey, ashkoun sey, thee dostee!
Chashm kyoun hongey nam: dard key din gaye!

Jab jagaayengey: tab ham ko neend aayegee!
Ab sataayengey ham: dard key din gaye!

Roz baatoun mein raateyn kateyngeen, ‘abd’,
Budbudaayengey kam: dard key din gaye!

                             - abd bundeli



Ek dam alag....dard se ubhar kar sochne waali ye peshkash...Bohot Khoob Babu Ji
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #3 on: May 13, 2009, 08:37:23 AM »
Reply with quote
Dono the gamzada, bat lete the dard

Ab hum ABD jaye kaha, jo kehte ho tum dard ke din gaye...

-SG-
Sajid ji!
Shaayad aapney, "Tum ney kyaa kar diyaa: dard kam ho gayaa!" waalee gazal naheen padhhee hai?

Aap aatey hain: chain aataa hai!
Aap jaatey hain: chain jaataa hai!
Ham bataayen kisey-kisey, ay dil,
Dil sey dil kaa ajeeb naataa hai!!

               - abd bundeli
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #4 on: May 13, 2009, 08:42:36 AM »
Reply with quote
very nice and beautiful abd ji and sajid ji,
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #5 on: May 13, 2009, 08:47:00 AM »
Reply with quote
Sajid ji!
Shaayad aapney, "Tum ney kyaa kar diyaa: dard kam ho gayaa!" waalee gazal naheen padhhee hai?

Aap aatey hain: chain aataa hai!
Aap jaatey hain: chain jaataa hai!
Ham bataayen kisey-kisey, ay dil,
Dil sey dil kaa ajeeb naataa hai!!

               - abd bundeli


Aapka shikwa bilkul durust hain bhaiyya, maine aapke bohat se kalam miss kar diye hain. Asal me halaat aise ban gaye, jis khuloos aur mohabbat ke sath main aapki thread me likhta hu waisa mahaul nahi ban pa raha tha.

Par koshish karuga ke jitne kalam miss huye hain un sab ko dhoond dhoond kar nikalu aur unme apni hazri du.

And thank Madhu
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #6 on: May 13, 2009, 08:50:52 AM »
Reply with quote
Ek dam alag....dard se ubhar kar sochne waali ye peshkash...Bohot Khoob Babu Ji
Yeh raah-e-zeest hai, Talat bitia!
Dard aataa bhi hai, jaataa bhi hai!
Woh jo aatey hain, khushee aatee hai!
Dour ulfat kaa, sataataa bhi hai!!

                   - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #7 on: May 13, 2009, 08:51:59 AM »
Reply with quote
very nice and beautiful abd ji and sajid ji,
Thanks madhuwesh!
              - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #8 on: May 13, 2009, 08:54:47 AM »
Reply with quote
Aapka shikwa bilkul durust hain bhaiyya, maine aapke bohat se kalam miss kar diye hain. Asal me halaat aise ban gaye, jis khuloos aur mohabbat ke sath main aapki thread me likhta hu waisa mahaul nahi ban pa raha tha.

Par koshish karuga ke jitne kalam miss huye hain un sab ko dhoond dhoond kar nikalu aur unme apni hazri du.

And thank Madhu

You're most welcome! Khushaamdeed Sajid bhai!
                      - abd bundeli
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: May 13, 2009, 10:02:46 AM »
Reply with quote
Yeh raah-e-zeest hai, Talat bitia!
Dard aataa bhi hai, jaataa bhi hai!
Woh jo aatey hain, khushee aatee hai!
Dour ulfat kaa, sataataa bhi hai!!

                   - abd bundeli


Sach kaha Babu Ji

Raah-e-Zeist Main Kabhi Koi Lamha Tadpata Hai,
Jab Wo Guzra Hua Haseen Daur Yaad Aata Hai,
Nayi Khushian Bhi Mili Isi Safar Main Hume,
Khushi Aur Gham Ka Sangam Hi Jeena Kehlata Hai !
Logged
aaina
Guest
«Reply #10 on: May 13, 2009, 10:59:47 AM »
Reply with quote
Aa gaye hain sanam: dard key din gaye!
Ab na aayengey gam: dard key din gaye!!

Aaj bhi muskuraayen na gunchey, to kyaa?
Muskuraayengey ham: dard key din gaye!

Baag sunsaan thaa, chahchahaahat na thee;
Chahchahaayengey ham: dard key din gaye!

Sur nadaarad they, rahtey they khaamosh lab!
Gungunaayengey ham: dard key din gaye!!

Log gaatey they: aansoo bahaataa tha dil!
Jhoom gaayengey ham: dard key din gaye!!

Woh na they: daaman-e-nam lahartaa na thaa:
Lahlahaayengey ham: dard key din gaye!

Un key khwaaboun sey, ashkoun sey, thee dostee!
Chashm kyoun hongey nam: dard key din gaye!

Jab jagaayengey: tab ham ko neend aayegee!
Ab sataayengey ham: dard key din gaye!

Roz baatoun mein raateyn kateyngeen, ‘abd’,
Budbudaayengey kam: dard key din gaye!

                             - abd bundeli




bhut khoob abd sahab jawaab nhi hai.............dil se daad hazir hai
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #11 on: May 13, 2009, 11:08:41 AM »
Reply with quote
Sach kaha Babu Ji

Raah-e-Zeist Main Kabhi Koi Lamha Tadpata Hai,
Jab Wo Guzra Hua Haseen Daur Yaad Aata Hai,
Nayi Khushian Bhi Mili hain Isi Safar Main Hume,
Khushi Aur Gham Ka Sangam Hi Jeena Kehlata Hai !

Talat bitia!

Tasawwuraat key saayon mein roz jeetey hain!
Tamaam lamhey saath, yuun hi naheen beetey hain?
Aab-e-kousar ki jagah, zahr ataa hotaa hai:
Ham kabhi zeest mein aab-e-wafaat peetey hain!!

                             - abd bundeli

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #12 on: May 13, 2009, 11:10:29 AM »
Reply with quote
bhut khoob abd sahab jawaab nhi hai.............dil se daad hazir hai
Nazar-e-inaayat hai janaab! Shukriyah!
                              - abd bundeli
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #13 on: May 13, 2009, 12:32:31 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bohat khoob Adb ji

Bohat khoob Sajid ji ,,Celmira sis..
Logged
Roja
Guest
«Reply #14 on: May 13, 2009, 12:51:45 PM »
Reply with quote
Quote
Aa gaye hain sanam: dard key din gaye!
Ab na aayengey gam: dard key din gaye!!

Aaj bhi muskuraayen na gunchey, to kyaa?
Muskuraayengey ham: dard key din gaye!

Uncle ji yeh gazal kuch alag se hai magar behtarin hai..Padkar bahut accha laga ji Thumbs UP..
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:53:24 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer