Aa giya hon mai Laqt-e-Jigar choor ke ( Qadeertoopchi )

by qadeer_junaid on January 17, 2012, 02:52:22 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1692 times)
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
Reply with quote
Yaara ne bazm Salam ,, Khuch misre zahn me tarteeb paaye to suncha apke huzoor rakh don ...Umid hai Apni ara se nawazenge ...



Apni basti aur apna ye ghar choor ke
Jaa rahe hain parinde shajar choor ke

unse pucho watan ki judai ka gham
muflisi me chale hain jo ghar choor ke

har bala se khuda usko mahefoz rakh
aa giya hun mai laqt-e-jigar choor ke

haar jayengi usse sabhi taqaten
tham lega qalam jo tabar choor ke

Qadeertoopchi
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: January 17, 2012, 02:58:29 PM »
Reply with quote
Waah Waah Waah!!!!

Kya kehne Qadeer Bhai...Har Ek A'shaar laajwaab!!!

Bahut Bahut Khooooooob!!!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
sarfira
Guest
«Reply #2 on: January 17, 2012, 03:07:44 PM »
Reply with quote
diwaana hoon aapki Ghazalon ka Qadir sahab

behtareen ghazal

thnx for dis
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #3 on: January 17, 2012, 04:08:59 PM »
Reply with quote
Qadeer saheb, AOA. Bahut khushi ho rahi hai
eik arse baad aap ka kalaam padh kar.Bahut
mubarak ho.Zara matlay per nazar e saani kar
ijiye.Mujhe kuch shak ho raha hai.Duago,Hasan
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #4 on: January 17, 2012, 04:31:23 PM »
Reply with quote
Bhai Hasan Sahib Salam Masnoon ,,

Bhai is per abhi kaam karna hai ,,,Misra Zubaan se rawan ho gaye to suncha yahan laga don ....Waise Matle me Kahan shak hai apko ...Lafz Aur ? Apko Sher pasand aaye shukriya ..

Bara-e-maherbaani Bataye.N ,,

Allah Apko khush rakhe ..

Dua go

Qadeertoopchi

Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #5 on: January 17, 2012, 05:38:21 PM »
Reply with quote
Qadeer saheb, Jeehaan lafz 'aur' per hi shak hai.
Agar sahi hai to meri rahnumai karein ,mashkoor hoonga.Hasan
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #6 on: January 17, 2012, 07:18:57 PM »
Reply with quote
Qadeer saheb, Jeehaan lafz 'aur' per hi shak hai.
Agar sahi hai to meri rahnumai karein ,mashkoor hoonga.Hasan

Azeezam Hasan Sahab ...Apka khat Massarat Ka baaic Bana ....Bhai Mai apki rahenumai kyun kar karne laga ....Bus Apne pucha hai to mai taqti kiye deta hun Apka mutafiq hona koi zarori nahi kyun ke mai galat bhi ho sakta hun ....

Faaelun Faaelun Faaelun Faaelun

Apni Bas Faaelun ...ti au rap Faaelun ..na ye ghar Faaelun,,Chor ke Faaelun ..

Jahan tak maine parha hai ..Lafz Apna ka wazn felun hi hai jo ke 4 harfi hai ...Ab Apko kahin aitraz ho to bara-e-maherbani Inkesaari se kaan na len..Meri rahenumai farmaye.N ,,Allah apko khush rakhe ...eak baar phir apke huzoor sarapa sipaas hun ..

Khadim

Qadeertoopchi
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #7 on: January 17, 2012, 07:35:26 PM »
Reply with quote
Qadeer saheb .bahut shukriya.'na YE ghar' kar ke aapne tasheeh kar li hai lekin matle mein  YE lafz barha bhi dijiye warna ghalti badastuur qaaim rahegi kyuunki aapka misra abhi bhi istarah hai :


Apni basti aur apna ghar choor ke


[/quote]
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #8 on: January 17, 2012, 07:43:36 PM »
Reply with quote
Qadeer saheb .bahut shukriya.'na YE ghar' kar ke aapne tasheeh kar li hai lekin matle mein  YE lafz barha bhi dijiye warna ghalti badastuur qaaim rahegi kyuunki aapka misra abhi bhi istarah hai :


Apni basti aur apna ghar choor ke




Ha ha ha ha ha ha ha ha ha Bhai badi nawazish .......Ha ha ha ha ha.....Has has ke pet me ball parh gaai hai ....Log sahi kahete hain shair aur pagal me koi farq nahi ....Dekho meri akhl taherir hi be bhr ... ...ha ha ha ha ha ha ..bhai nawazish ...Mai tashakkur ke liye alfazon se qaasir hon ,,,,Bhai Wahan dimaq is liye bhi nahi daura ke Apne kaha lafz aur pe apko shak hai ..badi nawazish apki ...SHukriyah ..

Dua go

Qadeertoopchi
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #9 on: January 17, 2012, 08:01:09 PM »
Reply with quote
Yaara ne bazm Salam ,, Khuch misre zahn me tarteeb paaye to suncha apke huzoor rakh don ...Umid hai Apni ara se nawazenge ...



Apni basti aur apna ye ghar choor ke
Jaa rahe hain parinde shajar choor ke

unse pucho watan ki judai ka gham
muflisi me chale hain jo ghar choor ke

har bala se khuda usko mahefoz rakh
aa giya hun mai laqt-e-jigar choor ke

haar jayengi usse sabhi taqaten
tham lega qalam jo tabar choor ke

Qadeertoopchi


bahoot Bahoot Umda Likha hai Aapne Qadeer Ji.. bahoot lajawaab.Har sher bahoot Umda hai !!



Nysha
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #10 on: January 18, 2012, 04:49:44 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause
Logged
mkv
Guest
«Reply #11 on: January 18, 2012, 07:59:57 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Junaid ji
khoob seekhne ko mila hame..
Applause Applause Applause
Hasan sahab apka bhi shukriya.
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #12 on: January 18, 2012, 09:34:50 AM »
Reply with quote
Qadeer Bhaijaan As salaam walekum!


Badi masarrat huyi BHaijaan ke aapne is bazm ko apni kalaam
se nawaaza ... Usual Smile

Kafi umdaa aur gazab ki gehrai liye hai aapki yeH gazal.. iske
pase manzar tak pahuNch paayeN itni to salaahiyat shayad hum meiN
nahi par jahaaN tak pahuNche hai waqai dil se jism tak ke roNgte
khade ho gaye.. ..

Sabhi ashaar behad khoob aur umdaa rahe Bhaijaan.. Usual Smile
Humari dili daad O mubarakbad kabul kijiye..

Likhate rahiye.. aate rahiye.. khush O aabaad rahiye..
Khuda Hafez... Usual Smile



Yaara ne bazm Salam ,, Khuch misre zahn me tarteeb paaye to suncha apke huzoor rakh don ...Umid hai Apni ara se nawazenge ...



Apni basti aur apna ye ghar choor ke
Jaa rahe hain parinde shajar choor ke

Waah waah Bhaijaan Gazab ka Matlaa kaha hai.. behad
khoob daad daad daad Usual Smile


unse pucho watan ki judai ka gham
muflisi me chale hain jo ghar choor ke

Kia baat hai aapse hi puch lete haiN aur jawaabaN aapke
tasuraat se bhi waqif haiN Usual Smile achche jazbaat ko bayaaN kiya hai daad Usual Smile


har bala se khuda usko mahefoz rakh
aa giya hun mai laqt-e-jigar choor ke


Waah waah waah Masha Allaah kia kahne BHaijaan bahut umdaa
behad pyaara aur dilkash sher kaha hai hazaaroN daad O mubarakbad kabul kijiye
is umdaa ashaar par ..  Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause


haar jayengi usse sabhi taqaten
tham lega qalam jo tabar choor ke


Waah kia kahne bahut khoob achcha khayaal aur umdaa
gehraai hai daad Usual Smile



Qadeertoopchi


Bhaijaan Yeh kia adhuri si kalaam pesh ki aapne..
Maqtaa kahaaN gaya gazal kaa ..  Is it SO! jaldi se kalaam ko mukammal karke
post kar dijiye... aur bhi apni khub aur umdaa kalaamoN se bazam ko
roshan karte rahiye..

Khush O aabaad rahiye..
Khuda Hafez.. Usual Smile
Logged
Sadiq Rizvi
Guest
«Reply #13 on: January 18, 2012, 10:52:34 AM »
Reply with quote
Qadeer miyan salamat raho

Fikr Mashaallah achchi hai lekin Matla agar main sochta to (aap se maazrat ke saath) kuch aise...

Uth gaya dana-pani to ghar chod ke
Uood gaye sab parinde shajar chod ke

Muafi ka khwahastgaar

Sadiq Rizvi
Logged
sbechain
Guest
«Reply #14 on: January 18, 2012, 11:05:34 AM »
Reply with quote
Yaara ne bazm Salam ,, Khuch misre zahn me tarteeb paaye to suncha apke huzoor rakh don ...Umid hai Apni ara se nawazenge ...



Apni basti aur apna ye ghar choor ke
Jaa rahe hain parinde shajar choor ke

unse pucho watan ki judai ka gham
muflisi me chale hain jo ghar choor ke


har bala se khuda usko mahefoz rakh
aa giya hun mai laqt-e-jigar choor ke


haar jayengi usse sabhi taqaten
tham lega qalam jo tabar choor ke

Qadeertoopchi

bahut khoob...........!
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:07:37 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer