aaina ya to hum

by zidd on September 13, 2010, 05:18:26 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 2297 times)
riyaz106
Guest
«Reply #15 on: September 14, 2010, 07:06:09 AM »
Reply with quote
Janaab Zidd sahab aapka yoindia me inteqbaal hai. Aapki ye ghazal bahot achhi lagi jiska har sher ek asar rakhta hai. Marhaba. Ek guzarish hai ke maqte ke pahle misre mein nazr-e-sani farma lein. Mujhe lagta hai ye misra wazn se kuchh hata hua hai. Yoindia me aate rahiye aur apne khoobsurat ghazlo se is bazm ko nawazte rahiye.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aaina by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
AAINA by ANKIT RAO in Miscellaneous Shayri
~Aaina~ by Sonia01 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Aaina by Roja in Miscellaneous Shayri
Aaina by drpandey in Miscellaneous Shayri
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #16 on: September 14, 2010, 07:34:32 AM »
Reply with quote
kya bat he zidd sahab ....sabse pehle to bada sa welcome jiii ...
badi manji huyi panktiyan hazir-e-mehfil ki he apne....bahut khoob ...likhte rahiye.....
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #17 on: September 14, 2010, 07:52:23 AM »
Reply with quote
bahut khoob likha hai aapne Zidd ji....!!!
Logged
zidd
Guest
«Reply #18 on: September 14, 2010, 09:49:36 AM »
Reply with quote
Zidd sahab khusaamdeed, Yoindia meiN aapka tahe dil se khairmaqdam hai aapke kalaamoN se waafiyat hai mashaAllah aap bhut hi khoob kehte haiN ye yoindia ki khushnaseebi hai ke aap jaise sukhanfehem, zihaanotN ke maalik is bazm ki ronaq ban rahe haiN mujhay umeed hai ke na sirf hum sab log jo ki is bazm mai talib e ilm ki hasiyat rakhte hain wo aapke kalamoN se mustafeed honge bilke unhe bhut kuch seekhne ko bhi milega rehnumaii ke saath saath mera bhi shumaar unhi talib ilm mai hai nawaazte rahiye hamesha khush rahiye

ab baat aapki ghazal ki mashaAllah se bhut hi khoob matla kaha hai aapne hazaaron daad is matle ki nazr baaqi ke aashar bhi bhut hi khoob rahe dili daad qubool keejiye apne is kalaam ke liyN, umeed hai aap apne qeemti kalaamoN se yuNhi nawaazte rahenge




aslam

aapse ek baar phir milke bahut accha laga aslam sahab.....

ab aap log itni mahabbat barsaa dete hai ki kuch jawaab dete hi nahi banta...
aapke welcome ka aur ghazal ki pasandgi ka tahe dil se shukriya

regards

Logged
zidd
Guest
«Reply #19 on: September 14, 2010, 10:42:29 AM »
Reply with quote
Zidd Sahab Aadaab!

Yoindia ki mehfil meiN aap ka tahe dil se suwagat hai,
Humme ummid hai aap yahaaN is bazm meiN apni gazaloN aur pur kashish mijaaz se chaar chand laga deNge..... Usual Smile

Aap ustaad shohara meiN aate hai hum aapki kalaam meiN koi buks nilaleN yeH munaseeb nahi hai Usual Smile

Par aap jante hai hum aapke hi shagird hai..... :D

chaliye aapki kalaam per aate hai..... Usual Smile         



Yoindia ki bazm meiN aap aate rahiye......
Apni gazaloN se aur apni araa se nawaazte rahiye.....
Khush rahiye......
Khuda Hafez.......Usual Smile

         



hasa hasa ke phaasi lagaooge kya?........
apke swagat ka dhanyawad....
aur apke hausla afzaaii ke kya kahne?
aapki daad sar anho par sahab...

regards
Logged
zidd
Guest
«Reply #20 on: September 14, 2010, 11:15:28 AM »
Reply with quote
wahhhhhhhh......yahan to bht tareef ho rahi hain aapki Zidd ji....

achcha laga dekhkar k app yahan aaye....aapka swagat hai iss shayri  aur shayron ki duniya me..aur ummeedd karte hain k aapko padhkar bht kuch sikhne milega hum sab ko...

waise ye 1st gazal hai jo maine padhi hai aapki..par sab itni tareef kar rahe hain to yakinan aap bht umda shayar honge...abhi parwaz ji se aapke baare me jana..
cchote muh badi baatein keh di maaf kijiyega...

umeed hai aap hume apni gazlon aur nazmon se yunhi milwate rahenge...

rahi iss gazal ki baat to sach me ye bht hi mast hai......



sameer sahab to aap dekhte jaiiye kya kya bolte hai...aap unki baate mat sunna sirf meri baat sunna....!!!!!!!

baki- ghazal pasand aayi aapko to yu samjh leta hu ki paisa vasuul ho gaya.....

ho sake to zara bataiyega ki reply me smiley kaise use karte hai..gar time mile to.....

regards

Logged
zidd
Guest
«Reply #21 on: September 14, 2010, 01:44:50 PM »
Reply with quote
Janab Zidd Saheb! Adab!

Aapka yoindia pe khushaamdeed aur inteqbaal karte hain. Aapki ye ghazal hai k jaadoo ka piTara hai. Aik aik sher kamaal-e-fun ka namoona hai. Ghazal ke chand hi ash-aar hain is liye tashnagi barqaraar hai. Chhoti bahr mein ye kamaal ki ghazal hai jo dil par nihaayat lateef chhaap chhoRti chali jaati hai. Aisi purmaghz, puracer, sehranges and murassa ghazal ke liye aap mubaarakbaad ke mustahaq haiN aur hazaaroN daad ke bhi. Main aik cheez yahan point out karne ki jasaarat kar raha hooN woh yeh ki aap apne maqte ka micra oola dekh leN, mujhe ye meter mein nahin lag raha hai. Hum ummeed karte haiN ke aap is bazm ki raunaq baRhate rahenge. Jahan bhi rahiye khush rahiye, aabaad rahiye.

(Waquif Ansari)


ansari sahab aadaab....

apke swagat ka dil se shukriya....
aur aapke hausla afzaaii ka bhi...
aapne jis tarah se daad di hai ...yu lag raha hai mujhe pahle apke khat ko daad deni chahiye.....

ek baar aur teh e dil se shukriya

regards
Logged
zidd
Guest
«Reply #22 on: September 14, 2010, 01:47:35 PM »
Reply with quote
Janaab Zidd sahab aapka yoindia me inteqbaal hai. Aapki ye ghazal bahot achhi lagi jiska har sher ek asar rakhta hai. Marhaba. Ek guzarish hai ke maqte ke pahle misre mein nazr-e-sani farma lein. Mujhe lagta hai ye misra wazn se kuchh hata hua hai. Yoindia me aate rahiye aur apne khoobsurat ghazlo se is bazm ko nawazte rahiye.

riyaz ahab aadaab...

aapki hausla afzaaii ke liye shukriya...
koi ghazal bariki se padta hai to bahut accha lagta hai...
apne jo nishaan lagaye hai uspar zarur gaur karunga...

milte rahiye

regards
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #23 on: January 24, 2011, 06:47:23 PM »
Reply with quote
bahut khoob janab zidd sahab.....aaina ko mokhalif bana liya waah kafi gahri baat kahi hai aapne ghazal mein her sher ek baat kah raha hai...daad qabool karein Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:09:36 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.152 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer