aaj phir shaam say (by vb)

by vb on October 11, 2013, 11:17:01 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 917 times)
vb
Guest
Reply with quote



Goonj uthaa hay meray dil main taraana us ka
Aaj phir sham say mausam hay divaana us ka

Hayay marmar say tarashi huvi baanhen us ki
Hayay wo zulf ko aariz pay jhukana us ka

Aanch deti thi usay meri nigaahon ki tapish
Or chehray ko hatheli say chhupana us ka

Aaj wo paas nahi hay tu mujhay yaad aaya
Haath pay likh k mera naam, mitaana us ka

Jhoot kehta hay mera tarz-e-takhatub lekin
Khaab ban ban k ubharta hay fasaana us ka

Jaan paaya na koi us ko faqat meray siva
Raaz ho koi, faqat mujh ko bataanaa us ka

Baat ik us ne kahi thi mujhay, jaatay jaatay
Kaamptay honton say zaahir tha bahaana us ka

Kon samjhaayay usay, wo jo karay, jaisa karay
Zaat bhi us ki, zameen us ki, zamaana us ka

Yaad aati hay jyun, seenay main chubha ho naavak
Bhool jaaun tu magar kaisay, bhulana us ka

Koi lehjay main tarap, ab na ayaan ho vb
Sher kehtay ho kaho, dil na dukhana us ka


*-----------------------------------------------------*
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
phir shaam dhali phir raat hui by HumTum in Shayri-E-Dard
Aaj Phir Woh Shaam Aai Hai ... by tamanna_me in Share Poetry You Like
Subah Ki Phir Shaam (CSET) by MANOJ6568 in Shayri for Dard -e- Judai
Phir wohi shaam by saahill in Ghazals
shaam phir yaad teri by saahill in Ghazals
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #1 on: October 12, 2013, 12:19:47 AM »
Reply with quote



Goonj uthaa hay meray dil main taraana us ka
Aaj phir sham say mausam hay divaana us ka

Hayay marmar say tarashi huvi baanhen us ki
Hayay wo zulf ko aariz pay jhukana us ka

Aanch deti thi usay meri nigaahon ki tapish
Or chehray ko hatheli say chhupana us ka

Aaj wo paas nahi hay tu mujhay yaad aaya
Haath pay likh k mera naam, mitaana us ka

Jhoot kehta hay mera tarz-e-takhatub lekin
Khaab ban ban k ubharta hay fasaana us ka

Jaan paaya na koi us ko faqat meray siva
Raaz ho koi, faqat mujh ko bataanaa us ka

Baat ik us ne kahi thi mujhay, jaatay jaatay
Kaamptay honton say zaahir tha bahaana us ka

Kon samjhaayay usay, wo jo karay, jaisa karay
Zaat bhi us ki, zameen us ki, zamaana us ka

Yaad aati hay jyun, seenay main chubha ho naavak
Bhool jaaun tu magar kaisay, bhulana us ka

Koi lehjay main tarap, ab na ayaan ho vb
Sher kehtay ho kaho, dil na dukhana us ka


*-----------------------------------------------------*

Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

                        Bahut Khoob.!!
Logged
aqsh
Guest
«Reply #2 on: October 12, 2013, 12:24:13 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

waaaaah waah waah kya kehne VB ji.. behad khoob kalaam se nawaza hai aapne.. bahut hi pyaari peshkash.. is khoobsurat kalaam ke liye dheron dheron daaaaaaaaaad..
Logged
sidra04
Guest
«Reply #3 on: October 12, 2013, 12:32:34 PM »
Reply with quote
Hayay marmar say tarashi huvi baanhen us ki
Hayay wo zulf ko aariz pay jhukana us ka..

Aanch deti thi usay meri nigaahon ki tapish
Or chehray ko hatheli say chhupana us ka


waahhh behad khoobsurat sher hai.



Baat ik us ne kahi thi mujhay, jaatay jaatay
Kaamptay honton say zaahir tha bahaana us ka

waahhh again superbbb


Koi lehjay main tarap, ab na ayaan ho vb
Sher kehtay ho kaho, dil na dukhana us ka

bahot bahot bahoooot khoob... behad muqammal kalaam hai ye.. meri taraf se bahot duaaen aur mubarakbaad.. likhte rahiye

Sidra
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 3 hours and 46 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #4 on: October 12, 2013, 12:39:30 PM »
Reply with quote
Aapki Ghazal Ne To Dil Ki Zameen Ko
Andar Tak Bheego Diya Sidha Dil Pe Lagi

Kon samjhaayay usay, wo jo karay, jaisa karay
Zaat bhi us ki, zameen us ki, zamaana us ka

Is Sher Ko Chhorhkar Baaki Sab Dilko
Bahut Hi Achcha Laga Bhai. Clapping Smiley


Shad o Aabaad Rahiye

Shihab
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #5 on: October 12, 2013, 09:23:28 PM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #6 on: October 13, 2013, 12:21:07 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
vb
Guest
«Reply #7 on: October 14, 2013, 02:48:45 PM »
Reply with quote
Advo.RavinderaRa! shukirya aap ka

aqsh jee! buhat shukriya.. waqt denay and taareefi comments chhornay ka...

sidra04 jee! aap ka bhi shukriya k pasand kiya and wo sher aap ne filter kar diyay jo pasand aayay aap ko..

Shihab jee! buhat shukriya aap ka... aap ki saaf-goi ka bhe shukriya. Aap ki baat durust hay, ye sher Haqeeqi ka hay... yahan is ki jaga nahi... hum amooman nazam-goi ki koshish kartay hen.. ghazal hamari sar-zameen he nahi... aisay he khud ko kisi ro main beh jaanay say roktay roktay hum pata nahi kya kya fazooliyat likh gayay... taareefi kaleman ka shukriya...

sksaini4 jee! shukriya parnay aur pasand karnay ka..

~Hriday~ jee! aap ki taaliyon ki goonj ka shukriya... tareefi kalemaat na chhore kar aap ye ehsaan kar detay hen.. k hamen apni likhi fazooliyat ki tareefen sun kar sharmindagi nahi hoti...

Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 08:53:21 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.094 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer