Aaj wo paas sey guzarey hain, door jaatey huye!

by abdbundeli on February 17, 2010, 11:15:41 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1849 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
Aaj deykhaa hai, phir, khizaan ko lout jaatey huye!
Bahaar aa gayee hai, phir sey, muskuraatey huye!!

Unkee zulfoun mein khil rahaa hai phir gul-e-gulbun:
Shaad hain, baam pai matmah hain gungunaatey huye!

Ham ko maaluum hai, peetey nahin hain wo! Leykin,
Unkee aankhoun mein shafaq khil uthaa hai aatey huye!

Lag rahaa, unkey tasawwur mein farq aayaa hai:
Aaj wo paas sey guzarey hain, door jaatey huye!

Beech khaaroun key jag uthaa hai makhmalee sabzah!
Rawaan hain bulbulain phir mahfilain sajaatey huye!!

Kyaa patah baad-e-sabaa un sey kah gayee hai kyaa?
Hamney deykhaa hai unhain,'haan' mein sir hilaatey huye!

Koochah-e-yaar mein phir jaam-e-chashm hain mushtaaq!
Aaj, lagtaa hai, nazar aayengey pilaatey huye!!

Zeyhn mein unkey baj rahee hai kahin shahnaayee!
Lag rahaa, koyi numaayaan hai wahaan gaatey huye!!

Eik arsaa huaa hai, roo-b-roo aaye unko;
Shukra hai, hain nazar mein, par, nazar churaatey huye!

Kab parosogey, 'abd', may, haseen aankhoun sey;
Baadah-e-nosh mein itra-e-asal milaatey huye?

                                 - abd bundeli
   
Logged
Talat
Guest
«Reply #1 on: February 17, 2010, 04:05:53 PM »
Reply with quote
Bohot Khoobsurat Ghazal hai Babu Ji
Logged
drpandey
Guest
«Reply #2 on: February 17, 2010, 06:43:34 PM »
Reply with quote
Aaj deykhaa hai, phir, khizaan ko lout jaatey huye!
Bahaar aa gayee hai, phir sey, muskuraatey huye!!

Unkee zulfoun mein khil rahaa hai phir gul-e-gulbun:
Shaad hain, baam pai matmah hain gungunaatey huye!

Ham ko maaluum hai, peetey nahin hain wo! Leykin,
Unkee aankhoun mein shafaq khil uthaa hai aatey huye!

Lag rahaa, unkey tasawwur mein farq aayaa hai:
Aaj wo paas sey guzarey hain, door jaatey huye!

Beech khaaroun key jag uthaa hai makhmalee sabzah!
Rawaan hain bulbulain phir mahfilain sajaatey huye!!

Kyaa patah baad-e-sabaa un sey kah gayee hai kyaa?
Hamney deykhaa hai unhain,'haan' mein sir hilaatey huye!

Koochah-e-yaar mein phir jaam-e-chashm hain mushtaaq!
Aaj, lagtaa hai, nazar aayengey pilaatey huye!!

Zeyhn mein unkey baj rahee hai kahin shahnaayee!
Lag rahaa, koyi numaayaan hai wahaan gaatey huye!!

Eik arsaa huaa hai, roo-b-roo aaye unko;
Shukra hai, hain nazar mein, par, nazar churaatey huye!

Kab parosogey, 'abd', may, haseen aankhoun sey;
Baadah-e-nosh mein itra-e-asal milaatey huye?

                                 - abd bundeli
   

Bahot khoob abd bundeli ji, kya khubsurat andaz-e-baban hai...masa allah....

Unke nazar-e-berukhi ne fir bachali Abroo,
Verna abtak mayquade sab past ho jaatey yahan!


 
Logged
kameeney
Guest
«Reply #3 on: February 17, 2010, 08:47:13 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: February 18, 2010, 06:04:42 AM »
Reply with quote
Bohot Khoobsurat Ghazal hai Babu Ji

Thanks a lot, Celmira ji!

                 - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #5 on: February 18, 2010, 06:09:42 AM »
Reply with quote

Bahot khoob abd bundeli ji, kya khubsurat andaz-e-baban hai...masa allah....

Unke nazar-e-berukhi ne fir bachali Abroo,
Verna abtak mayquade sab past ho jaatey yahan!


Dhanyawaad Pt. drpandey !

Aapney jo yah sher prastut kiyaa hai, usney 'tabiyat' khush kar dee! Bahut achchhey!

                    - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #6 on: February 18, 2010, 06:17:48 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause

Thanks, .......... ji!

Kyaa 'pen-name / pseudo-name' rakhaa hai janab ney? Zaraa gour to farmaaiyegaa!

            - abd bundeli
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:04:51 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer