Aalam-e-Tanhai....."Sahal"

by sahal on September 26, 2013, 02:29:55 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 1974 times)
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 4 hours and 0 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
Reply with quote


              Aalam-e-Tanhai....."Sahal"

Unki mehrbani bhi hai aur nazar-e-karam bhi hai,
Paas thode khushiyaan bhi hain,thode gham bhi hain.

Saleeqa jeene ka sikha hi diya waqt ne humko saahib ,
Honton pe muskan bhi hai aur ye aankhein nam bhi hain.

Daur wo bhi guzar gaya hai ,daur ye bhi guzar jayega,
Yaaron ki mehfil thi kabhi aaj tanhaai ka alam bhi hai.

Kaun si fitrat se tujhe main apnaon samjh me nahi aata,
wafa mein teri jaana ulfat bhi aur zulm-o-sitam bhi hai.

Mukhtalif lage mujhe Guftugu teri din-ba-din ishq mein,
Lehja ye tera khud zakhm bhi hai to khud marham bhi hai.

Hurf  milta nahi lafz banta nahi jane kyun “Sahal” warna,
Likhne ko ghazal paas apne kaghaz bhi aur kalam bhi hai.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mein Aur Meri Qaid-e-Tanhai Ki "Pukaar" by Zamir Ka Qaidi in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
""Tanhayi Ke Aalam Mein"" by angel4u in Share: Poetry of Pain « 1 2  All »
LABB TERE MARHAM,HONT MERE ZAKHAM...."Sahal". by sahal in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Ashkon se likhun ghazal..."sahal". by sahal in Ghazals « 1 2  All »
Qurbat-E-ishq teri mujhko bandagi bakhshey....."Sahal". by sahal in Ghazals « 1 2  All »
mkv
Guest
«Reply #1 on: September 26, 2013, 02:55:10 PM »
Reply with quote
Daur wo bhi guzar gaya hai ,daur ye bhi guzar jayega,
Yaaron ki mehfil thi kabhi aaj tanhaai ka alam bhi hai

Bahut khoob Sahal jee
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 4 hours and 0 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #2 on: September 26, 2013, 03:15:29 PM »
Reply with quote
Daur wo bhi guzar gaya hai ,daur ye bhi guzar jayega,
Yaaron ki mehfil thi kabhi aaj tanhaai ka alam bhi hai

Bahut khoob Sahal jee
Thankyou ! MKV ji
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 24 minutes.

Posts: 2382
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #3 on: September 26, 2013, 03:28:01 PM »
Reply with quote
kya baat hai kya baat hai,,,, bahot khoob, sidhi sadhi pur asar ghazal rahi Sahal bhai - bas daaad hi daaad aur waaah hi waaaaaah...
Hurf  milta nahi lafz banta nahi jane kyun “Sahal” warna,
Likhne ko ghazal paas apne kaghaz bhi aur kalam bhi hai.
is sher par to main lut gaya Usual Smile
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #4 on: September 26, 2013, 03:30:30 PM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 4 hours and 0 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #5 on: September 26, 2013, 03:31:51 PM »
Reply with quote
kya baat hai kya baat hai,,,, bahot khoob, sidhi sadhi pur asar ghazal rahi Sahal bhai - bas daaad hi daaad aur waaah hi waaaaaah...
Hurf  milta nahi lafz banta nahi jane kyun “Sahal” warna,
Likhne ko ghazal paas apne kaghaz bhi aur kalam bhi hai.
is sher par to main lut gaya Usual Smile
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
waah kya baat hai! aaj to tareefon ke flyover banre hai iqtedar bhai,

bohut bohut shukriya  nawaazish ,,apne waqt nikal kar padha aur ise
aur khoobsurat bana diya ...

Thankyou !
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 4 hours and 0 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #6 on: September 26, 2013, 03:32:28 PM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob
Thankyou ! Dr. sahab
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 24 minutes.

Posts: 2382
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #7 on: September 26, 2013, 03:38:53 PM »
Reply with quote
waah kya baat hai! aaj to tareefon ke flyover banre hai iqtedar bhai,

bohut bohut shukriya  nawaazish ,,apne waqt nikal kar padha aur ise
aur khoobsurat bana diya ...

Thankyou !
Aesi baat nahi hai bhai... ye ghazal hai hi itni achi aur simple zuban may ke padhte hi dil dimagh par chap chod jaye... warna kabhi kabhi alfaaz itne mushkil hote hain ke sher ko padh kar samajhna sher ka saamna karne ke barabar hota hai Usual Smile
phir ek baar - ye ghazal aapki mujhe bahot achi lagi Usual Smile
Logged
aqsh
Guest
«Reply #8 on: September 26, 2013, 04:46:48 PM »
Reply with quote


              Aalam-e-Tanhai....."Sahal"

Unki mehrbani bhi hai aur nazar-e-karam bhi hai,
Paas thode khushiyaan bhi hai,thode gham bhi hai.

Kya baat hai....


Saleeqa jeene ka sikha hi diya waqt ne humko saahib ,
Honton pe muskan bhi hai aur ye aankhein nam bhi hai.

Yeh bhi khoooooooob raha sahal.........

Daur wo bhi guzar gaya hai ,daur ye bhi guzar jayega,
Yaaron ki mehfil thi kabhi aaj tanhaai ka alam bhi hai.

Bahut khoooooooooob............

Kaun si fitrat se tujhe main apnaon samjh me nahi aata,
wafa mein teri jaana ulfat bhi aur zulm-o-sitam bhi hai.

Is sher ke liye ek rau.....

Mukhtalif lage mujhe Guftugu teri din-ba-din ishq mein,
Lehja ye tera khud zakhm bhi hai to khud marham bhi hai.

Behad khooooooob.........

Hurf  milta nahi lafz banta nahi jane kyun “Sahal” warna,
Likhne ko ghazal paas apne kaghaz bhi aur kalam bhi hai.

waaaaaaaaaaaaah.....

Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Bahut khoooooooooob sahal mujhe tumhari yeh ghazal behad pasand aayi.. har sher khooooooob hai.. hazaron dili daaaaaaaaaaad  daaaaaaaaaaad  daaaaaaaaaad..
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #9 on: September 26, 2013, 05:26:09 PM »
Reply with quote
Sahal saheb , Bahut khubsurat ghazal kahi hai ,
sabhi sher bahut pyaare  hain .  Tah e dil se
mubarakbaad .
Logged
Miru;;;;
Guest
«Reply #10 on: September 26, 2013, 05:45:45 PM »
Reply with quote
Bahut bahut khoob........ Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 4 hours and 0 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #11 on: September 26, 2013, 06:08:06 PM »
Reply with quote
Aesi baat nahi hai bhai... ye ghazal hai hi itni achi aur simple zuban may ke padhte hi dil dimagh par chap chod jaye... warna kabhi kabhi alfaaz itne mushkil hote hain ke sher ko padh kar samajhna sher ka saamna karne ke barabar hota hai Usual Smile
phir ek baar - ye ghazal aapki mujhe bahot achi lagi Usual Smile
ye qubool karte hain apki baat sar aankhon per , iqtedar bhai ,

bohut bohut shukriya ,jazakAllah,

tareef us RAB ki jis ne is qabil banaya hai.

appreciated
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 4 hours and 0 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #12 on: September 26, 2013, 06:15:11 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Bahut khoooooooooob sahal mujhe tumhari yeh ghazal behad pasand aayi.. har sher khooooooob hai.. hazaron dili daaaaaaaaaaad  daaaaaaaaaaad  daaaaaaaaaad..

bohut bohut shukriya Aqsh ji ,
ap logon ki hosla afzai se likhne ka jazba milta hai,
mere khamiyon ko nazar andaaz karke ise saraha apne ,
bohut shukriya ...
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 4 hours and 0 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #13 on: September 26, 2013, 06:18:56 PM »
Reply with quote
Sahal saheb , Bahut khubsurat ghazal kahi hai ,
sabhi sher bahut pyaare  hain .  Tah e dil se
mubarakbaad .
Hasab sahab ,apne waqt nikal ise padha ,
aur hosla afzai ke liye tah e dil se mashkoor hun,
apki mubarakbaad qubool karta hun.
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 4 hours and 0 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #14 on: September 26, 2013, 06:25:28 PM »
Reply with quote
Bahut bahut khoob........ Applause Applause Applause Applause Applause
Thankyou ! miraj ...appreciated.
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:32:03 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.191 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer