AankhoN MeN Aansuu ... ! NARESH MEHRA

by Anshumali on February 08, 2011, 01:34:35 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2477 times)
Anshumali
Guest
Reply with quote
Jab Kabhi Puraane Din Yaad Aate HaiN
AankhoN MeN Aansuu Jhilmeelaate HaiN ...

Apni GhalTiyoN Se GiR Bhi Jaaye Kabhi
ChoT Khaa-ma-Khaa Bahut Khaate HaiN ...

Unse Keh Do YuuN Naa Bulaayaa Kare
Dekhne Waale Ishaara Samajh Jaate HaiN ....

Unhe Kyaa Zaroorat  Hai Mandir Jaane Ki
Jo Ghayal ParindoN Ki Jaan Bachaate HaiN ...

ReT Ke Ghar Banaane Se Kyaa Faayedaa
Ek Aandhi MeN Woh  UjaDh Jaate HaiN ...

Muflisii Ko Abhishaap Naa Samjhnaa "Naresh"
Log KichaD MeN Kamal DuuNdh Laate HaiN ...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Udaas Aankhon Se Aansuu Nahin Nikalte Hain by waheed_rose2004 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
Kis HuQ Se ... ! NARESH MEHRA by Anshumali in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Yeh ! Nimantran ... !!! NARESH MEHRA by Anshumali in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Dil Ke Paas Ho Tum ... ! NARESH MEHRA by Anshumali in Ghazals « 1 2  All »
Ghazal : Ashq AankhoN MeN ... ! NARESH MEHRA by Anshumali in Ghazals « 1 2  All »
Matrix Guy
Guest
«Reply #1 on: February 08, 2011, 01:41:50 PM »
Reply with quote
Unhe Kyaa Zaroorat  Hai Mandir Jaane Ki
Jo Ghayal ParindoN Ki Jaan Bachaate HaiN ...

waaaah naresh ji.........

sach kahu to no words for it........bas blank ho gaya hu padkar......its just outstanding ji......special 4th para is just mindblowing......maja aa gaya sahab.....ese hi hume aur poetry padate rahiye.......once again i want to say that it is  mindblowing.....
Logged
nirala
Guest
«Reply #2 on: February 08, 2011, 01:54:08 PM »
Reply with quote
shandaar ghazal Naresh sir ji.
behad shandaar.
Matrix yaara ne jin lines ko indicate kiya wo mere bhi dil ko chu gai.
aaghaz se anzaam tak behtareen alfaaz.
superbbbbbbbbb
Logged
vipul kumar
Guest
«Reply #3 on: February 08, 2011, 01:57:16 PM »
Reply with quote
bahut khubsurat ghazal Naresh ji.......
khush rahe. likhte rahe......
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #4 on: February 08, 2011, 03:30:32 PM »
Reply with quote
BAhut Khub Naresh JI
Bahut Hi Sunder Likha Hai
U Hi Likhte Rahna Aur Humehsa Khus Rhna
Logged
ishk ek ibadat
Guest
«Reply #5 on: February 08, 2011, 03:31:03 PM »
Reply with quote
Jab Kabhi Puraane Din Yaad Aate HaiN
AankhoN MeN Aansuu Jhilmeelaate HaiN ...

Apni GhalTiyoN Se GiR Bhi Jaaye Kabhi
ChoT Khaa-ma-Khaa Bahut Khaate HaiN ...

Unse Keh Do YuuN Naa Bulaayaa Kare
Dekhne Waale Ishaara Samajh Jaate HaiN ....

Unhe Kyaa Zaroorat  Hai Mandir Jaane Ki
Jo Ghayal ParindoN Ki Jaan Bachaate HaiN ...

ReT Ke Ghar Banaane Se Kyaa Faayedaa
Ek Aandhi MeN Woh  UjaDh Jaate HaiN ...

Muflisii Ko Abhishaap Naa Samjhnaa "Naresh"
Log KichaD MeN Kamal DuuNdh Laate HaiN ...

Bahut khoob likha hai ... Naresh Bhai !

sabhi ashaar khoobsurat bane hai ... kisi ek ko chunna mushkil ho raha hai ... ek jabardast ghazal pesh ki hai aapne ... !

dil se daad .... 
Applause Applause Applause
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #6 on: February 08, 2011, 05:23:56 PM »
Reply with quote
bahoot khoobsurat ehsaason se labrez aapki rachna ko....dheron daad...naresh ji
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #7 on: February 08, 2011, 06:16:45 PM »
Reply with quote
1 of ur best gazal Naresh ji.......
saare aashar hi mast rahe...
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
aapke liye kuch kaha hai umeed hai pasand aayega...

Jab padhti hun teri koi gazal Naresh
Lafz khud b khud lay me saj jaate hain

Mujhe sochna bhi nahin padta hai kuch
Aur geet kai naye yunhi bante jaate hain

Ek alag hi andaaz hai tere likhne ka Naresh
K padhne wale mantra mugdh reh jaate hain

Chhu lete ho sabka dil apni anmol gazlon se
Tere shabd soye ehsaason ko jaga jaate hain…!!!

Logged
Radhika_2
Guest
«Reply #8 on: February 09, 2011, 09:14:15 AM »
Reply with quote
Jab Kabhi Puraane Din Yaad Aate HaiN
AankhoN MeN Aansuu Jhilmeelaate HaiN ...

Apni GhalTiyoN Se GiR Bhi Jaaye Kabhi
ChoT Khaa-ma-Khaa Bahut Khaate HaiN ...

Unse Keh Do YuuN Naa Bulaayaa Kare
Dekhne Waale Ishaara Samajh Jaate HaiN ....

Unhe Kyaa Zaroorat  Hai Mandir Jaane Ki
Jo Ghayal ParindoN Ki Jaan Bachaate HaiN ...

ReT Ke Ghar Banaane Se Kyaa Faayedaa
Ek Aandhi MeN Woh  UjaDh Jaate HaiN ...

Muflisii Ko Abhishaap Naa Samjhnaa "Naresh"
Log KichaD MeN Kamal DuuNdh Laate HaiN ...

Bauht hi umdaa ghazal kahi hai aapne ... Naresh Ji ! sabhi ashaar mujhe behad pasand aaye ... dil se daad ... !
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #9 on: February 09, 2011, 12:29:52 PM »
Reply with quote
Jab Kabhi Puraane Din Yaad Aate HaiN
AankhoN MeN Aansuu Jhilmeelaate HaiN ...

Apni GhalTiyoN Se GiR Bhi Jaaye Kabhi
ChoT Khaa-ma-Khaa Bahut Khaate HaiN ...

Unse Keh Do YuuN Naa Bulaayaa Kare
Dekhne Waale Ishaara Samajh Jaate HaiN ....

Unhe Kyaa Zaroorat  Hai Mandir Jaane Ki
Jo Ghayal ParindoN Ki Jaan Bachaate HaiN ...

ReT Ke Ghar Banaane Se Kyaa Faayedaa
Ek Aandhi MeN Woh  UjaDh Jaate HaiN ...

Muflisii Ko Abhishaap Naa Samjhnaa "Naresh"
Log KichaD MeN Kamal DuuNdh Laate HaiN ...

bahut bahut badhiya
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #10 on: February 09, 2011, 02:00:07 PM »
Reply with quote
Mazaa aa gayaa Nareshji mast gazal hai ye aapki..... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley  icon_flower
Ye kuchh chand line likhne ka mann ho aayaa....
Ras wahi hai..libaas alag...umeed hai pasand aayega

Padh kar teri ye gazal aaj Naresh
Taazaa ho gayee wo puraani yaadein

Wo saagar k teer par banaaye mitti ke ghar
Mittaa Gayee wo sab naam ek alhadd c lehar

Shabd kab keh paate hain dard tere dil ka
Nayan he kehte hain nayano ko haal dil ka

Ho na udaass jo chhu na paya kabhi tare gagan ke
Chhu le dil ko bebason k bane phool wo chaman ke




Jab Kabhi Puraane Din Yaad Aate HaiN
AankhoN MeN Aansuu Jhilmeelaate HaiN ...

Apni GhalTiyoN Se GiR Bhi Jaaye Kabhi
ChoT Khaa-ma-Khaa Bahut Khaate HaiN ...

Unse Keh Do YuuN Naa Bulaayaa Kare
Dekhne Waale Ishaara Samajh Jaate HaiN ....

Unhe Kyaa Zaroorat  Hai Mandir Jaane Ki
Jo Ghayal ParindoN Ki Jaan Bachaate HaiN ...

ReT Ke Ghar Banaane Se Kyaa Faayedaa
Ek Aandhi MeN Woh  UjaDh Jaate HaiN ...

Muflisii Ko Abhishaap Naa Samjhnaa "Naresh"
Log KichaD MeN Kamal DuuNdh Laate HaiN ...
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #11 on: February 10, 2011, 06:44:19 AM »
Reply with quote
Unhe Kyaa Zaroorat  Hai Mandir Jaane Ki
Jo Ghayal ParindoN Ki Jaan Bachaate HaiN ...

waaaah naresh ji.........

sach kahu to no words for it........bas blank ho gaya hu padkar......its just outstanding ji......special 4th para is just mindblowing......maja aa gaya sahab.....ese hi hume aur poetry padate rahiye.......once again i want to say that it is  mindblowing.....

Aapki itnii ijazt afzaai aur hauslaa afzaai kaa bahut bahut shukriya ... janaab ! saath hi koshish ko itnaa pasand karne kaa bhi .. !

khush rahen
apna theek se khayaal rakhen ...
duaaon ke saath ... !
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #12 on: February 10, 2011, 12:26:01 PM »
Reply with quote
shandaar ghazal Naresh sir ji.
behad shandaar.
Matrix yaara ne jin lines ko indicate kiya wo mere bhi dil ko chu gai.
aaghaz se anzaam tak behtareen alfaaz.
superbbbbbbbbb

Shukriya ... Nirala Ji ! pasandegi aur hauslaa afzaai kaa !

khush rahen ...
duaaon ke saath ...
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #13 on: February 11, 2011, 12:04:06 PM »
Reply with quote
bahut khubsurat ghazal Naresh ji.......
khush rahe. likhte rahe......

Vipul Ji ... koshish ko pasand karne kaa bahut bahut shukriya ... khush rahen ... ! aise hi aate rahen aage bhi ... !

duaaoN ke saath ... !
Logged
ishk ek ibadat
Guest
«Reply #14 on: February 11, 2011, 12:43:55 PM »
Reply with quote
Unse Keh Do YuuN Naa Bulaayaa Kare
Dekhne Waale Ishaara Samajh Jaate HaiN ....

Unhe Kyaa Zaroorat  Hai Mandir Jaane Ki
Jo Ghayal ParindoN Ki Jaan Bachaate HaiN ...


Good One ...... Naresh Ji !
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause


Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 09:08:16 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer