Aankhon Ne Kah Diya Jo Kabhi Kah Na Paaye Lab........Satish Shukla 'Raqeeb'

by Satish Shukla on September 13, 2011, 11:07:27 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2196 times)
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
Reply with quote

आँखों ने कह दिया जो कभी कह न पाए लब
हालाँकि उस ने बारहा अपने हिलाए लब
aaNkhoN ne kah diya jo kabhi kah na paaye lab
haalaaNki us ne baarhaa apne hilaaye lab
 
चेहरे से जब नक़ाब हवा ने उलट दिया
देखा मुझे तो दाँतों से उसने दबाए लब
chehre se jab naqaab hawa ne ulat diya
dekha mujhe to daaNtoN se us ne dabaaye lab

तूफ़ान मेरे दिल में था उसको भी थी तलाश
आँखों से आँखें चार हुईं मुस्कुराए लब
toofaan mere dil meN tha us ko bhi thi talaash
aaNkhoN se aaNkheN chaar huyeeN muskuraaye lab

इक दिल है एक दिल में कई ग़म हैं क्या कहूँ
इज़हारे ग़म को मेरे बहुत तिलमिलाए लब
ik dil hai ek dil meN kayee gam haiN kya kahooN
izhaar-e-gam ko mere bahut tilmilaaye lab
 
अश्कों का एक दरिया मिला रेगजार में
गम्भीरता की धुन पे बहुत गुनगुनाए लब
ashkoN ka ek dariya mila regjaar meN
gambheerata kee dhun pe bahut gungunaaye lab
 
चमकी लगाई उसने जो लाली के बाद में
तारों भरे गगन की तरह झिलमिलाए लब
chamki lagaaee us ne jo laalee ke baad meN
taaroN bhare gagan ki tarah jhilmilaaye lab
 
जब भी 'रक़ीब' उससे मुलाक़ात हो गई
चाहा के हाले-दिल कहूँ पर कह न पाए लब
jab bhee 'Raqeeb' us se mulaaqaat ho gayee
chaaha ki haal-e-dil kahooN par kah na paaye lab

                ---- Satish Shukla 'Raqeeb'
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: September 13, 2011, 11:09:44 AM »
Reply with quote



आँखों ने कह दिया जो कभी कह न पाए लब
हालाँकि उस ने बारहा अपने हिलाए लब
aaNkhoN ne kah diya jo kabhi kah na paaye lab
haalaaNki us ne baarhaa apne hilaaye lab
 
चेहरे से जब नक़ाब हवा ने उलट दिया
देखा मुझे तो दाँतों से उसने दबाए लब
chehre se jab naqaab hawa ne ulat diya
dekha mujhe to daaNtoN se us ne dabaaye lab

तूफ़ान मेरे दिल में था उसको भी थी तलाश
आँखों से आँखें चार हुईं मुस्कुराए लब
toofaan mere dil meN tha us ko bhi thi talaash
aaNkhoN se aaNkheN chaar huyeeN muskuraaye lab

इक दिल है एक दिल में कई ग़म हैं क्या कहूँ
इज़हारे ग़म को मेरे बहुत तिलमिलाए लब
ik dil ek dil meN kayee gam haiN kya kahooN
izhaar-e-gam ko mere bahut tilmilaaye lab
 
अश्कों का एक दरिया मिला रेगजार में
गम्भीरता की धुन पे बहुत गुनगुनाए लब
ashkoN ka ek dariya mila regjaar meN
gambheerata kee dhun pe bahut gungunaaye lab
 
चमकी लगाई उसने जो लाली के बाद में
तारों भरे गगन की तरह झिलमिलाए लब
chamki lagaaee us ne jo laalee ke baad meN
taaroN bhare gagan ki tarah jhilmilaaye lab
 
जब भी 'रक़ीब' उससे मुलाक़ात हो गई
चाहा के हाले-दिल कहूँ पर कह न पाए लब
jab bhee 'Raqeeb' us se mulaaqaat ho gayee
chaaha ki haal-e-dil kahooN par kah na paaye lab

                      ---- Satish Shukla 'Raqeeb'


Bahut Bahut Khooob Satish ji..

Bahut Hi khoobsurat Ghazal pesh ki Hai Aapne

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Gyan Prakash
Maqbool Shayar
****

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 14 minutes.

Solitude..!!

Posts: 465
Member Since: Jun 2011


View Profile
«Reply #2 on: September 13, 2011, 11:55:27 AM »
Reply with quote
Wah Sateesh Ji ..Kya baat hai...Bahut Khub..!!!
Logged
sbechain
Guest
«Reply #3 on: September 13, 2011, 12:05:45 PM »
Reply with quote

आँखों ने कह दिया जो कभी कह न पाए लब
हालाँकि उस ने बारहा अपने हिलाए लब
aaNkhoN ne kah diya jo kabhi kah na paaye lab
haalaaNki us ne baarhaa apne hilaaye lab
 
चेहरे से जब नक़ाब हवा ने उलट दिया
देखा मुझे तो दाँतों से उसने दबाए लब
chehre se jab naqaab hawa ne ulat diya
dekha mujhe to daaNtoN se us ne dabaaye lab

तूफ़ान मेरे दिल में था उसको भी थी तलाश
आँखों से आँखें चार हुईं मुस्कुराए लब
toofaan mere dil meN tha us ko bhi thi talaash
aaNkhoN se aaNkheN chaar huyeeN muskuraaye lab

इक दिल है एक दिल में कई ग़म हैं क्या कहूँ
इज़हारे ग़म को मेरे बहुत तिलमिलाए लब
ik dil ek dil meN kayee gam haiN kya kahooN
izhaar-e-gam ko mere bahut tilmilaaye lab
 
अश्कों का एक दरिया मिला रेगजार में
गम्भीरता की धुन पे बहुत गुनगुनाए लब
ashkoN ka ek dariya mila regjaar meN
gambheerata kee dhun pe bahut gungunaaye lab
 
चमकी लगाई उसने जो लाली के बाद में
तारों भरे गगन की तरह झिलमिलाए लब
chamki lagaaee us ne jo laalee ke baad meN
taaroN bhare gagan ki tarah jhilmilaaye lab
 
जब भी 'रक़ीब' उससे मुलाक़ात हो गई
चाहा के हाले-दिल कहूँ पर कह न पाए लब
jab bhee 'Raqeeb' us se mulaaqaat ho gayee
chaaha ki haal-e-dil kahooN par kah na paaye lab

                ---- Satish Shukla 'Raqeeb'


 labb bhi mohabbat ke ehsaas se pare nahin rahe.bahut khoob
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #4 on: September 13, 2011, 12:08:56 PM »
Reply with quote
Raqeeb Sahaab Aadaab!

Waah janab kia umdaa kavish kahi hai aapne... behad khubsurat
aur ashaar bhi kia khoob khayaaloN bhare hai waah janab waah..

behad dilkash O dilnasheeN ashaar kahe hai aapne..

 Applause Applause Applause Applause Applause

Humari dili daad O mubarakbad kabul kijiye..

Likhate rahiye...
Khush O aabaad rahiye...
Khudaa Hafez... Usual Smile
         





aaNkhoN ne kah diya jo kabhi kah na paaye lab
haalaaNki us ne baarhaa apne hilaaye lab
 
Waah waah kia khubsurat matla kaha hai janab
Daad daad daad .....          


chehre se jab naqaab hawa ne ulat diya
dekha mujhe to daaNtoN se us ne dabaaye lab

Waah janab gazab ki manzar kashi ki hai daad ..          

toofaan mere dil meN tha us ko bhi thi talaash
aaNkhoN se aaNkheN chaar huyeeN muskuraaye lab

Sani misra behad khoob aur umda raha janab..daad daad
 par ulaa kuch jamta nazar nahi aa raha hai hume... Rabte ki kami
mehsus ho rahi hai.. hume..?          


ik dil ek dil meN kayee gam haiN kya kahooN
izhaar-e-gam ko mere bahut tilmilaaye lab
 
Bahut khoob daad....          


ashkoN ka ek dariya mila regjaar meN
gambheerata kee dhun pe bahut gungunaaye lab
 
Behad khoob janab daad ...            

chamki lagaaee us ne jo laalee ke baad meN
taaroN bhare gagan ki tarah jhilmilaaye lab
 
Waah waah waah bahut khoob behad dilkash sher hai daad..          


jab bhee 'Raqeeb' us se mulaaqaat ho gayee
chaaha ki haal-e-dil kahooN par kah na paaye lab

Waah Waah waah waah...
Raqeeb Sahaab gazab ka Maqta kaha hai janab... bahut umdaad  Applause Applause Applause Applause
hazaaroN daad Hazir hai...          


                ---- Satish Shukla 'Raqeeb'

Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #5 on: September 13, 2011, 12:49:07 PM »
Reply with quote

आँखों ने कह दिया जो कभी कह न पाए लब
हालाँकि उस ने बारहा अपने हिलाए लब
aaNkhoN ne kah diya jo kabhi kah na paaye lab
haalaaNki us ne baarhaa apne hilaaye lab
 
चेहरे से जब नक़ाब हवा ने उलट दिया
देखा मुझे तो दाँतों से उसने दबाए लब
chehre se jab naqaab hawa ne ulat diya
dekha mujhe to daaNtoN se us ne dabaaye lab

तूफ़ान मेरे दिल में था उसको भी थी तलाश
आँखों से आँखें चार हुईं मुस्कुराए लब
toofaan mere dil meN tha us ko bhi thi talaash
aaNkhoN se aaNkheN chaar huyeeN muskuraaye lab

इक दिल है एक दिल में कई ग़म हैं क्या कहूँ
इज़हारे ग़म को मेरे बहुत तिलमिलाए लब
ik dil ek dil meN kayee gam haiN kya kahooN
izhaar-e-gam ko mere bahut tilmilaaye lab
 
अश्कों का एक दरिया मिला रेगजार में
गम्भीरता की धुन पे बहुत गुनगुनाए लब
ashkoN ka ek dariya mila regjaar meN
gambheerata kee dhun pe bahut gungunaaye lab
 
चमकी लगाई उसने जो लाली के बाद में
तारों भरे गगन की तरह झिलमिलाए लब
chamki lagaaee us ne jo laalee ke baad meN
taaroN bhare gagan ki tarah jhilmilaaye lab
 
जब भी 'रक़ीब' उससे मुलाक़ात हो गई
चाहा के हाले-दिल कहूँ पर कह न पाए लब
jab bhee 'Raqeeb' us se mulaaqaat ho gayee
chaaha ki haal-e-dil kahooN par kah na paaye lab

                ---- Satish Shukla 'Raqeeb'



NAAAAAAAAAAAAAAAICE SS
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #6 on: September 13, 2011, 01:34:51 PM »
Reply with quote
Bahai Raqeeb Saheb,Behad haseen ghazal hai.Iss bahr aur iss radeef o qaafiye mein itne khoobsurat ash'aar kahna ...samajh mein nahiin aata hai kaise taareef karuun.Aafreen sad aafreen!Hats off!!!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #7 on: September 13, 2011, 02:35:55 PM »
Reply with quote
Kya baat hai Satish jee..
Yeh hui na umda ghazal..
Akhri do lines toh bas bahaut kuch kehgayi..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Dil Dil se daad..!
Logged
sarfira
Guest
«Reply #8 on: September 13, 2011, 04:08:07 PM »
Reply with quote
bahut achi ghazal--
lekin thoda sa aur badhate to hum jada padh paate--
daad daad janaab baht saari daad kubul karen--

ek reqst--
plzzz aap apna font thoda small rakhe taaki hum mobile user aasni se ghazal ko read kar paayen--

sukriya

hanste rahiye
Logged
usha rajesh
Guest
«Reply #9 on: September 13, 2011, 04:17:53 PM »
Reply with quote


 Waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa h. Kya baat hai! icon_salut
Logged
Sanjeev kash
Guest
«Reply #10 on: September 14, 2011, 05:42:30 AM »
Reply with quote
BAhut BAhut Khoob Satish Ji
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #11 on: September 14, 2011, 07:11:37 AM »
Reply with quote

khwaish ji,

Ghazal padhne, pasand karne aur
jawab dene ka bahut bahut shukriya.

Satish Shukla 'Raqeeb'
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #12 on: September 14, 2011, 09:47:54 AM »
Reply with quote

Gyan Prakash Ji,

Jawab dene ka bahut bahut shukriya.

Satish Shukla 'Raqeeb'
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #13 on: September 14, 2011, 11:34:28 AM »
Reply with quote

Sheba Ji,

Hausala aafzai karne aur jawab dene
ka bahut bahut shukriya.

Satish Shukla 'Raqeeb'
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #14 on: September 16, 2011, 05:01:45 AM »
Reply with quote

Parwaaz Ji,

Aapka reply dekhkar tabeeyat
khush ho jati hai..

Bahut bahut shukriya..

Satish Shukla 'Raqeeb'
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 04:36:36 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.128 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer