"AAO . SOYI . HUI . YAADO'N . KO . JHINJHODA . JAAYE "........... HASAN

by F.H.SIDDIQUI on May 03, 2016, 06:49:29 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1385 times)
F.H.SIDDIQUI
Guest
Reply with quote

 ग़ज़ल*
अह्द जो उनसे किया है नहीं तोड़ा जाये
हम से यह रास्ता हक़ का नहीं छोड़ा जाये
.
सारा इलज़ाम न सर रिन्दों के फोड़ा जाये
दामने - शैख़ भी एक बार निचोड़ा जाये
.
इस से पहले की मज़म्मत करें हम बातिल की
आओ एक बार ज़मीर अपना झिंझोड़ा जाये
.
है शिकस्ता सा , ज़रा छेड़ा बिखर जाये गा
भूले से भी दिले - मज़लूम न तोडा जाये
.
क्यूँ न पोशीदा रहें उनके जरायम सब से
हर ख़ुराफ़ात को जब हम से ही जोड़ा जाये
.
क़ब्ल इसके कि शुरू दौर सवालात का हो
रुख ही बातों का ज़रा ख़ूबी से मोड़ा जाये
.
अश्क आँखों में नहीं आये हैं अर्से से 'हसन'
"आओ सोई हुई यादों को झिंझोड़ा जाये "
.
- हसन। शम्सी -
.................................

Ghazal
.
Ahd jo un se kiya hai , nahi'n toda jaaye
Hum se ye raasta Haq ka nahin chhoda jaaye
.
Saara ilzaam na sar Rindo'n ke phoda jaaye
Daaman - e - Shaikh bhi ek baar nichoda jaaye
.
Is se pahle ki Mazammat kare'n Hum Baatil ki
Aao ek baar Zameer apna jhinjhoda jaaye
.
Hai shikasta sa , zara chheda , bikhar jaayega
Bhoole se bhi Dil - e - Mazloom na toda jaaye
.
Kyu'n na Poshida rahe'n unke jaraayem sab se
Har Khuraafaat ko jab Hum se hi joda jaaye
.
Qabl is ke ki shuru Daur Sawaalaat ka ho
Rukh hi baaton ka zara khoobi se moda jaaye
.
Ashk Aankhon mein nahi'n aaye hain arse se 'Hasan'
" Aao soyi hui Yaado'n ko jhinjhoda jaaye "
.
- Hasan . Shamsi -


*(yeh ghazal mashhoor Shayar aur Naazinm e Mushayera
 Prof Malikzada Manzoor Ahmed ki yaad mein , unke
Misra e Tarah " Aao soyi hui ..." par likhi gayi hai
jinka pichhle dinon Lucknow mein inteqaal ho gaya .RIP
- HASAN )
Logged
poojachakarvarti@gmail.co
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 9
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 18 hours and 31 minutes.
Posts: 265
Member Since: Feb 2016


View Profile
«Reply #1 on: May 03, 2016, 10:36:42 AM »
Reply with quote
BEHADD KHOOBSURAT..
Logged
sarfira
Guest
«Reply #2 on: May 03, 2016, 01:49:21 PM »
Reply with quote
ek rau k sath apka behad shukriyah Hasan sir.

Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #3 on: May 03, 2016, 07:21:55 PM »
Reply with quote
kyaa baat hai janaab Hasan Sahib waah waah aur bas waah RAU ke saath.
 toothy4 toothy4 toothy4 toothy4 toothy4 toothy4 toothy4 toothy4
                  Applause Thumbs UP Applause Thumbs UP Applause Thumbs UP Applause Thumbs UP Applause Thumbs UP Applause Thumbs UP Applause Thumbs UP Applause
Logged
Syed Mohd Mahzar
Guest
«Reply #4 on: May 04, 2016, 09:37:52 AM »
Reply with quote
Jaanb e aali,

              bahut umda ghazal kahi hai, eyk rau ke saath meri daad qubool farmayein.....

                                   Syed Mohd Mahzar
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #5 on: May 04, 2016, 11:38:59 AM »
Reply with quote

 ग़ज़ल*
अह्द जो उनसे किया है नहीं तोड़ा जाये
हम से यह रास्ता हक़ का नहीं छोड़ा जाये
.
सारा इलज़ाम न सर रिन्दों के फोड़ा जाये
दामने - शैख़ भी एक बार निचोड़ा जाये
.
इस से पहले की मज़म्मत करें हम बातिल की
आओ एक बार ज़मीर अपना झिंझोड़ा जाये
Applause Applause Applause Applause
.
है शिकस्ता सा , ज़रा छेड़ा बिखर जाये गा
भूले से भी दिले - मज़लूम न तोडा जाये
.
क्यूँ न पोशीदा रहें उनके जरायम सब से
हर ख़ुराफ़ात को जब हम से ही जोड़ा जाये
Applause Applause Applause Applause Applause
.
क़ब्ल इसके कि शुरू दौर सवालात का हो
रुख ही बातों का ज़रा ख़ूबी से मोड़ा जाये

.
अश्क आँखों में नहीं आये हैं अर्से से 'हसन'
"आओ सोई हुई यादों को झिंझोड़ा जाये "

.
- हसन। शम्सी -
.................................

Ghazal
.
Ahd jo un se kiya hai , nahi'n toda jaaye
Hum se ye raasta Haq ka nahin chhoda jaaye
.
Saara ilzaam na sar Rindo'n ke phoda jaaye
Daaman - e - Shaikh bhi ek baar nichoda jaaye
.
Is se pahle ki Mazammat kare'n Hum Baatil ki
Aao ek baar Zameer apna jhinjhoda jaaye
.
Hai shikasta sa , zara chheda , bikhar jaayega
Bhoole se bhi Dil - e - Mazloom na toda jaaye
.
Kyu'n na Poshida rahe'n unke jaraayem sab se
Har Khuraafaat ko jab Hum se hi joda jaaye
.
Qabl is ke ki shuru Daur Sawaalaat ka ho
Rukh hi baaton ka zara khoobi se moda jaaye
.
Ashk Aankhon mein nahi'n aaye hain arse se 'Hasan'
" Aao soyi hui Yaado'n ko jhinjhoda jaaye "
.
- Hasan . Shamsi -


*(yeh ghazal mashhoor Shayar aur Naazinm e Mushayera
 Prof Malikzada Manzoor Ahmed ki yaad mein , unke
Misra e Tarah " Aao soyi hui ..." par likhi gayi hai
jinka pichhle dinon Lucknow mein inteqaal ho gaya .RIP
- HASAN )


rau  nazr kartaa hoon janaab Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Rustum Rangila
Yoindian Shayar
******

Rau: 128
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
10 days, 16 hours and 31 minutes.

Posts: 2534
Member Since: Oct 2015


View Profile
«Reply #6 on: May 05, 2016, 06:31:33 AM »
Reply with quote
Hamesha ki tarha lajawaab  Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #7 on: May 05, 2016, 09:27:44 AM »
Reply with quote
BEHADD KHOOBSURAT..
BAHUT BAHUT SHUKRIYA POOJA CHAKARVARTI JI . BAHUT DUAAEIN
Logged
sbechain
Guest
«Reply #8 on: May 06, 2016, 01:36:51 AM »
Reply with quote

 ग़ज़ल*
अह्द जो उनसे किया है नहीं तोड़ा जाये
हम से यह रास्ता हक़ का नहीं छोड़ा जाये
.
सारा इलज़ाम न सर रिन्दों के फोड़ा जाये
दामने - शैख़ भी एक बार निचोड़ा जाये
.
इस से पहले की मज़म्मत करें हम बातिल की
आओ एक बार ज़मीर अपना झिंझोड़ा जाये
.
है शिकस्ता सा , ज़रा छेड़ा बिखर जाये गा
भूले से भी दिले - मज़लूम न तोडा जाये
.
क्यूँ न पोशीदा रहें उनके जरायम सब से
हर ख़ुराफ़ात को जब हम से ही जोड़ा जाये
.
क़ब्ल इसके कि शुरू दौर सवालात का हो
रुख ही बातों का ज़रा ख़ूबी से मोड़ा जाये
.
अश्क आँखों में नहीं आये हैं अर्से से 'हसन'
"आओ सोई हुई यादों को झिंझोड़ा जाये "
.
- हसन। शम्सी -
.................................

Ghazal
.
Ahd jo un se kiya hai , nahi'n toda jaaye
Hum se ye raasta Haq ka nahin chhoda jaaye

achi baat hai amal karo mushkil hogi baad me.n asaa.n ho jaye gaa icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!
.
Saara ilzaam na sar Rindo'n ke phoda jaaye
Daaman - e - Shaikh bhi ek baar nichoda jaaye

zayaada shaikh peete hain kyaa Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard!
.
Is se pahle ki Mazammat kare'n Hum Baatil ki
Aao ek baar Zameer apna jhinjhoda jaaye

sahi hai ji agar insaa.n aisa kare to bahut kuch badal jaaye gaa shikwa-shikaayat, gheebat se bachaa rahe gaa aur apni islaah bhi hoti rahe gi icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!
.

Hai shikasta sa , zara chheda , bikhar jaayega
Bhoole se bhi Dil - e - Mazloom na toda jaaye

insaa.n aaj kaa bahut khudgarz ho chukaa hai isliye wo is baat ki koshish bhi nahin kartaa jo iss sher me.n kahaa gayaa hai crybaby2 crybaby2 crybaby2 crybaby2 crybaby2 crybaby2 crybaby2 crybaby2 crybaby2!
.
Kyu'n na Poshida rahe'n unke jaraayem sab se
Har Khuraafaat ko jab Hum se hi joda jaaye

Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard =))dil ki baat zuba.n pe aakhir aa hi gayi huzoor ke Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard!
.
Qabl is ke ki shuru Daur Sawaalaat ka ho
Rukh hi baaton ka zara khoobi se moda jaaye

sayaast me.n masha allah acha tajurbaa hone lagaa hai aap ko Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard!
.
Ashk Aankhon mein nahi'n aaye hain arse se 'Hasan'
" Aao soyi hui Yaado'n ko jhinjhoda jaaye "

main aa gai hoon naa aansu khud-b-khud aa jaaye ge. yaado.n ko neend se jagaane ki koi zaroorat nahin hai Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard!
.
- Hasan . Shamsi -


*(yeh ghazal mashhoor Shayar aur Naazinm e Mushayera
 Prof Malikzada Manzoor Ahmed ki yaad mein , unke
Misra e Tarah " Aao soyi hui ..." par likhi gayi hai
jinka pichhle dinon Lucknow mein inteqaal ho gaya .RIP
- HASAN )


fazal sahab aap ki ghazal ko rau deti hoon warna khawaab me.n aa kar tung kare gi icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #9 on: May 06, 2016, 02:07:55 PM »
Reply with quote
kyaa baat hai janaab Hasan Sahib waah waah aur bas waah RAU ke saath.
 toothy4 toothy4 toothy4 toothy4 toothy4 toothy4 toothy4 toothy4
                  Applause Thumbs UP Applause Thumbs UP Applause Thumbs UP Applause Thumbs UP Applause Thumbs UP Applause Thumbs UP Applause Thumbs UP Applause
BAHUT BAHUT SHUKRIA SURINDARN JI . DILI DUAAEIN
 Thankyou !
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #10 on: May 07, 2016, 11:21:36 AM »
Reply with quote
ek rau k sath apka behad shukriyah Hasan sir.


Thanks a lot sarfira ji , bahut bahut
duaaein
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #11 on: May 09, 2016, 04:45:00 AM »
Reply with quote
Jaanb e aali,

              bahut umda ghazal kahi hai, eyk rau ke saath meri daad qubool farmayein.....

                                   Syed Mohd Mahzar

bahut shukrguzar hoon janab Mahzar saheb
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #12 on: May 09, 2016, 09:35:50 AM »
Reply with quote

rau  nazr kartaa hoon janaab Applause Applause Applause Applause Applause
Bahut bahut nawazish , tahe dil se shukria Adil Bechain sb
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #13 on: May 22, 2016, 09:19:45 AM »
Reply with quote
Hamesha ki tarha lajawaab  Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
SHUKRIA RUSTAM RANGEELA ji
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #14 on: May 22, 2016, 03:47:47 PM »
Reply with quote
Waaahhh!!!! Ek bakamaal bemisaal ghazal par dilee daad Hassan sahab !!
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 05:19:09 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.147 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer