Aap aatey bhi naheen, ham ko bulaatey bhi naheen!

by abdbundeli on January 23, 2009, 11:33:04 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1577 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
Aap aatey bhi naheen, ham ko bulaatey bhi naheen!
Gungunaatey bhi naheen! Baam pai chhaatey bhi naheen!!

Kuchh to batlaaou, ki, kyaa ham sey huyee gustaakhee?
Muskuraatey bhi naheen! Bazm mein gaatey bhi naheen!!

Roo-b-roo paa key hamain, khairmaqdamee key liye,
Apney ahbaab ko, jaldee sey bulaatey bhi naheen!

Surkh, shabnam key chhuye, khil uthhtey gulaaboun-sey,
Mahmahaatey bhi naheen, haath hilaatey bhi naheen!

Guzar rahey hain zamaaney, duaa-salaam naheen!
Nigah uthhaatey naheen, wajh bataatey bhi naheen!!

Door sey hee, nazar, nazar mein samaan jaatee thee;
Aaj, ham kyaa kaheyn, woh aankh milaatey bhi naheen?

‘Abd’, woh chup hain, to, khaamosh hai duniyaa saaree!
Chashm pur-aab hain: woh ham ko sataatey bhi naheen!!

                                        - abd bundeli

Logged
Roja
Guest
«Reply #1 on: January 24, 2009, 03:09:18 PM »
Reply with quote
Wah wah wah Abd ji... bahut accha likha hai aapne  Applause Applause
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #2 on: January 24, 2009, 07:51:23 PM »
Reply with quote
wah Bundeli, bahut hi khoob

Jasbir Singh
Logged
Deepati
Guest
«Reply #3 on: January 25, 2009, 01:44:29 AM »
Reply with quote
Wah Wah, Abd Ji  Applause
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: January 25, 2009, 05:29:26 AM »
Reply with quote
Wah wah wah Abd ji... bahut accha likha hai aapne  Applause Applause
Thanks a lot, Roja ji!
                 - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #5 on: January 25, 2009, 05:30:43 AM »
Reply with quote
wah Bundeli, bahut hi khoob

Jasbir Singh
Thanks Jasbir!
       - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #6 on: January 25, 2009, 05:31:55 AM »
Reply with quote
Wah Wah, Abd Ji  Applause
Thanks Deepati i!
          - abd bundeli
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #7 on: January 25, 2009, 05:34:36 AM »
Reply with quote
Aap aatey bhi naheen, ham ko bulaatey bhi naheen!
Gungunaatey bhi naheen! Baam pai chhaatey bhi naheen!!

Kuchh to batlaaou, ki, kyaa ham sey huyee gustaakhee?
Muskuraatey bhi naheen! Bazm mein gaatey bhi naheen!!

Roo-b-roo paa key hamain, khairmaqdamee key liye,
Apney ahbaab ko, jaldee sey bulaatey bhi naheen!

Surkh, shabnam key chhuye, khil uthhtey gulaaboun-sey,
Mahmahaatey bhi naheen, haath hilaatey bhi naheen!

Guzar rahey hain zamaaney, duaa-salaam naheen!
Nigah uthhaatey naheen, wajh bataatey bhi naheen!!

Door sey hee, nazar, nazar mein samaan jaatee thee;
Aaj, ham kyaa kaheyn, woh aankh milaatey bhi naheen?

‘Abd’, woh chup hain, to, khaamosh hai duniyaa saaree!
Chashm pur-aab hain: woh ham ko sataatey bhi naheen!!

                                        - abd bundeli



Wah Wah Abd Ji Subhan Allah Janab Dil khush ho gaya Is nayab ghazal ko padke !! Allah tumhe khush rakhe janab !!

Qadeer Toopchi
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #8 on: January 25, 2009, 05:39:15 AM »
Reply with quote
Wah Wah Abd Ji Subhan Allah Janab Dil khush ho gaya Is nayab ghazal ko padke !! Allah tumhe khush rakhe janab !!

Qadeer Toopchi
Thanks a lot, abdulqadeer ji, for your comments as well as for your good wishes! May HE also bless you with all what you desire!
                 - abd bundeli
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #9 on: January 25, 2009, 05:51:39 AM »
Reply with quote
Aap aatey bhi naheen, ham ko bulaatey bhi naheen!
Gungunaatey bhi naheen! Baam pai chhaatey bhi naheen!!

Kuchh to batlaaou, ki, kyaa ham sey huyee gustaakhee?
Muskuraatey bhi naheen! Bazm mein gaatey bhi naheen!!

Roo-b-roo paa key hamain, khairmaqdamee key liye,
Apney ahbaab ko, jaldee sey bulaatey bhi naheen!

Surkh, shabnam key chhuye, khil uthhtey gulaaboun-sey,
Mahmahaatey bhi naheen, haath hilaatey bhi naheen!

Guzar rahey hain zamaaney, duaa-salaam naheen!
Nigah uthhaatey naheen, wajh bataatey bhi naheen!!

Door sey hee, nazar, nazar mein samaan jaatee thee;
Aaj, ham kyaa kaheyn, woh aankh milaatey bhi naheen?

‘Abd’, woh chup hain, to, khaamosh hai duniyaa saaree!
Chashm pur-aab hain: woh ham ko sataatey bhi naheen!!

                                        - abd bundeli



Bahut Bahut Khoob Abd ji..Itni Khoobsurti se aapne yeh Nazm likhi hai..bahut ache.. Applause Applause Applause Applause
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: January 25, 2009, 06:10:20 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause

bahoot khoob Abd ji
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #11 on: January 25, 2009, 06:11:50 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob Abd ji..Itni Khoobsurti se aapne yeh Nazm likhi hai..bahut ache.. Applause Applause Applause Applause
Bahut-bahut shukriyah Ji! Mujhey khushee huyee ki aap jaisey Urdu key jaankaar ko yah pasand aayee!
                                  - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #12 on: January 25, 2009, 06:13:02 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause

bahoot khoob Abd ji
Bahut-bahut shukriyah Pooja ji!
                   - abd bundeli
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:41:20 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.165 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer