AAP JUB SE MERE HUMSAFAR HO GAYE...Hasan

by F.H.SIDDIQUI on July 02, 2011, 05:07:01 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3271 times)
F.H.SIDDIQUI
Guest
Reply with quote
Aap jub  se  mere  Humsafar  ho gaye ,
Raaste khud-bakhud Mukhtasar ho gaye

Sapne oonchi udaano.n ke  Sapne rahey ,
Saazisho.n kee nazar Baal-o-par ho gaye

Haq-bayaani  jo kee , Badgumaani badhi ,
Unn ki jaisee kahee , Moatabar ho gaye

Manzil-e-ishq  thee , bus tere dar Sanam,
Tera dar  chhoota hum Dar-ba-dar ho gaye

Raah-e-ulfat hamei.n  raas aayee nahee.n ,
Tang  hum  per sabhi  Rehguzar ho  gaye

Jurm ka  to hua  baad  mei.n  irtikaab ,
Naamzad  per kayee  Peshtar  ho  gaye

Ek zaraa bhee na pighla wo Sangdil 'Hasan',
Saare  Shikwe - giley   Be-asar  ho  gaye

Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #1 on: July 02, 2011, 10:02:03 AM »
Reply with quote
Aap jub  se  mere  Humsafar  ho gaye ,
Raaste khud-bakhud Mukhtasar ho gaye

Sapne oonchi udaano.n ke  Sapne rahey ,
Saazisho.n kee nazar Baal-o-par ho gaye

Haq-bayaani  jo kee , Badgumaani badhi ,
Unn ki jaisee kahee , Moatabar ho gaye

Manzil-e-ishq  thee , bus tere dar Sanam,
Tera dar  chhoota hum Dar-ba-dar ho gaye

Raah-e-ulfat hamei.n  raas aayee nahee.n ,
Tang  hum  per sabhi  Rehguzar ho  gaye

Jurm ka  to hua  baad  mei.n  irtikaab ,
Naamzad  per kayee  Peshtar  ho  gaye

Ek zaraa bhee na pighla wo Sangdil 'Hasan',
Saare  Shikwe - giley   Be-asar  ho  gaye



bahut bahut khoob hasan ji
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #2 on: July 02, 2011, 01:11:50 PM »
Reply with quote

Wah..Waah..Wah...Waah.. Hasan Sahab
maza aa gaya aapki ghazal padhkar
bahut khoob..

Yoon to pooree ghazal hee naayaab hai
par matle kaa jawaab naheen.

Dili daad qubool farmaayen.

Satish Shukla 'Raqeeb'

Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #3 on: July 02, 2011, 04:25:50 PM »
Reply with quote
mb saheb,bahut bahut shukriya hausla afzai ka.Hasan
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #4 on: July 02, 2011, 06:18:48 PM »
Reply with quote
Satish ji,Bahut mashkoor hoo.n ki aap ne apne,purkhuloos,hausla afza alfaaz mein daad di.Aap ke taa'ssur ka hamesha muntazir rehta hoo.n.Hasan
Logged
khujli
Guest
«Reply #5 on: July 03, 2011, 05:23:22 AM »
Reply with quote
Aap jub  se  mere  Humsafar  ho gaye ,
Raaste khud-bakhud Mukhtasar ho gaye

Sapne oonchi udaano.n ke  Sapne rahey ,
Saazisho.n kee nazar Baal-o-par ho gaye

Haq-bayaani  jo kee , Badgumaani badhi ,
Unn ki jaisee kahee , Moatabar ho gaye

Manzil-e-ishq  thee , bus tere dar Sanam,
Tera dar  chhoota hum Dar-ba-dar ho gaye

Raah-e-ulfat hamei.n  raas aayee nahee.n ,
Tang  hum  per sabhi  Rehguzar ho  gaye

Jurm ka  to hua  baad  mei.n  irtikaab ,
Naamzad  per kayee  Peshtar  ho  gaye

Ek zaraa bhee na pighla wo Sangdil 'Hasan',
Saare  Shikwe - giley   Be-asar  ho  gaye



 Applause Applause Applause Applause Applause Applause icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #6 on: July 03, 2011, 06:51:14 AM »
Reply with quote
Khujli ji,

Thankyou !

Logged
Sanjeev kash
Guest
«Reply #7 on: July 07, 2011, 04:41:40 AM »
Reply with quote
Wah Wah  Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #8 on: July 07, 2011, 06:28:53 AM »
Reply with quote
wah wah wah........ Janab Hasan Saheb! Ji khush ho gaye poori ghazal paRhte hi. Rawaaiti shayari ka haseen namoona pesh kiya aapne. Is ehd meiN rawaaiti shayari meiN kahne waale unqa hone lage haiN lekin aapki ghazloN ko har dafa paRhne ke baad aisa lagta hai k asl shayari to rawaaiti shayari hi hai aur aap is ke rang o aahang ko na sirf barat rahe haiN balke maiN to ye kahuNga k is ki classikiat ko aur urooj par pahuNchaane ka kaam bhi kar rahe haiN. Aap jaise shayar hi is naye daur ki nayee raushni haiN. Aur kuchh na kah kar barjasta jo kuchh zehn meiN aa raha hai use yahaN pesh karne ki jasarat kar raha hooN:

Dekhte dekhte kya sitam ho gaya
Be-khatar raaste pur-khatar ho gaye

Aik bahut hi achchhi classical ghazal k liye mubarakbad k saath saath hazaroN daad qubul kijiye.

(waquif ansari)

Aap jub  se  mere  Humsafar  ho gaye ,
Raaste khud-bakhud Mukhtasar ho gaye

Sapne oonchi udaano.n ke  Sapne rahey ,
Saazisho.n kee nazar Baal-o-par ho gaye

Haq-bayaani  jo kee , Badgumaani badhi ,
Unn ki jaisee kahee , Moatabar ho gaye

Manzil-e-ishq  thee , bus tere dar Sanam,
Tera dar  chhoota hum Dar-ba-dar ho gaye

Raah-e-ulfat hamei.n  raas aayee nahee.n ,
Tang  hum  per sabhi  Rehguzar ho  gaye

Jurm ka  to hua  baad  mei.n  irtikaab ,
Naamzad  per kayee  Peshtar  ho  gaye

Ek zaraa bhee na pighla wo Sangdil 'Hasan',
Saare  Shikwe - giley   Be-asar  ho  gaye


Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #9 on: July 07, 2011, 11:38:06 AM »
Reply with quote
Hasan saheb aap bakamaal shayar hain mubarakbad kabool farmaaye

Dr. S.K.Saini Applause
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #10 on: July 07, 2011, 12:00:03 PM »
Reply with quote
Aadaab Janab Siddiqui Sahaab !


Masha Allah Janab kia kahne aapke andaaz e bayaaN
aur ahsaas O khayaal ke..... behad dilkash O dil
nasheeN ashaaroN se aapne kalaam ko sawaara hai.. Usual Smile

Janab Dil ki gehraaiyoN se daad O mubarak bad kabul
kijiye... Usual Smile

Likhate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez Usual Smile         



Aap jub  se  mere  Humsafar  ho gaye ,
Raaste khud-bakhud Mukhtasar ho gaye

Kia kahne waah behad dilkash aur umdaa matla kaha hai janab daad daad daad Usual Smile         

Sapne oonchi udaano.n ke  Sapne rahey ,
Saazisho.n kee nazar Baal-o-par ho gaye

Waah janab kafi umdaa aur gehra khayaal hai
daad Usual Smile         


Haq-bayaani  jo kee , Badgumaani badhi ,
Unn ki jaisee kahee , Moatabar ho gaye

Masha Allah behad sahiN farmaya janab daad daad daad Usual Smile         

Manzil-e-ishq  thee , bus tere dar Sanam,
Tera dar  chhoota hum Dar-ba-dar ho gaye

Kia kahne bahut khoob Usual Smile         

Raah-e-ulfat hamei.n  raas aayee nahee.n ,
Tang  hum  per sabhi  Rehguzar ho  gaye

Bahut khoob janab bade dilfareb ashaar kahe hai daad Usual Smile         

Jurm ka  to hua  baad  mei.n  irtikaab ,
Naamzad  per kayee  Peshtar  ho  gaye

Waah janab bahut khoob Usual Smile         

Ek zaraa bhee na pighla wo Sangdil 'Hasan',
Saare  Shikwe - giley   Be-asar  ho  gaye

Masha Allah kia kahne janab ... waah
waah waah dil loot liya aapke is umdaa sher ne Usual Smile
Bahut umdaa Maqta kaha hai janab daad daad Usual Smile         



Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #11 on: July 07, 2011, 02:20:25 PM »
Reply with quote
Siddiqui saaheb! mujhse pahle aap ke liye jisne bhee ,jo bhee kahaa.....sab kaa sab meri or se bhee..........aap kee taareef karne me khud ko adnaa saa mahsoos kar rahee hooN.........bas itanaa hee kahooNgee.......laajawaab!!!!!!!!!
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #12 on: July 07, 2011, 02:23:23 PM »
Reply with quote
sanjeev kash ji,zarra nawaazi ke liye behad mashkoor hoo.n.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #13 on: July 07, 2011, 02:35:46 PM »
Reply with quote
Saini saheb,Aapki daad aap ki faraakhdili ka mazhar hai.Tah e dil se mamnoon hoo.n.Hasan
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #14 on: July 07, 2011, 05:04:42 PM »
Reply with quote
Janab Parwaaz  saheb,Aapka kaise shukriya ada karoo.n. Hamesha hi aap dil se aur puri tawajjo se takhleeqat parhte aur unn per tafseeli tabsira aur hausla afzai karte hai.n. Mai.n apni taraf se to aap ka mashkoor hoo.h hi ,mai.n samajhta hoo.n iss website ke sabhi logo.n ki taraf se aap salaam ke haqdaar hai.n. Bahut bahut shukriya.aap ka,Hasan 
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:57:48 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer