aap kahiye aapka phir kya hua?

by zidd on September 24, 2010, 04:30:51 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2929 times)
zidd
Guest
Reply with quote
mahfil ko mera pyaar bhara salaam
aaj phir haazir huaa hu apke ek adaa si koshish liye
ye guzaarish hai ke apne nazariyaat se ise nawaaziye.

agar koi ise tarannum me adaa karega to lutf baD jayega...waise to bahut si acchi acchi dhune hai magar mera sujhaav hai ye dhun
'dil ke armaa aasuuoo me bah gaye '


waah,ye to khoob hi qissaa huaa
tod kar dil puuchte haiN kya hua

choRkar humko khushi jaane lagi
lo chalo kuch bojh to halkaa huaa

kis tarah hum khud se muh ko pherte
dost hu mai khud hi se bichdaa huaa

har kadam ik zalzala hai zindagi
kya nayaa isme bhalaa aisaa hua

unke gesu ke andheron ke tale
chand jaise din me ho niklaa hua

aap ki jabse padi parchaiyaaN
aaina bhi humse hai rootha hua

dil lagane ki sazaa dil ko mili
hona tha jo hashr vo uskaa hua

khud ko ham khudse juda kar naa sake
har kadam par hamkadam saaya hua

kabke mahfil chodkar hum uth gaye
aap kahiye aapka phir kya huaa

mujse zidd aise gale milta hai gum
jaise vo koi meraa apnaa huaa

bazm ka meri ye hi dastur hai
aaye vo jo ishq me ruswaa huaa

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kahiye Majnoo Aap Hi Ka Naam hai.......! by sharmaarunkumar in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
kya kahiye ?...... by HumTum in Shayri-E-Dard
Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye.. by Satya.patel in Shayri for Khumar -e- Ishq
Sita - Ram Kahiye by Roja in Share:Devotional Poetry
Mat kahiye sapna toh nahi by nandbahu in Share:Miscellaneous Shayari
Anshumali
Guest
«Reply #1 on: September 24, 2010, 04:36:15 AM »
Reply with quote
kis tarah hum khud se muh ko pherte
dost hu mai khud hi se bichdaa huaa


Very Impressive ........ Zidd Sahab !

Aam baatoN ko .... iss andaaz me keh jaanaa hai ... khaas banaata hai ... aapki shaayri ko ... yahi baat har baar saabiit karti hai ... Zidd Sahab aapki Ghazal .... ! woh sab iss peshkash me bhi nazar aaya .... ek ek sher kaabile taareef bana hai... tahe dil se daad hazir hai ...

aise hi behtar kalaam se ru-ba-ru karate rahen aage bhi ... khush rahe ...

duaaon ke saath ...
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #2 on: September 24, 2010, 06:14:40 AM »
Reply with quote
Zidd saaheb !bahut khoob!bahut bahut khoob!
aap kee gazal ko maine zaraa hat ke ek naye tarannum me gaane kee koshish kee or koshish kaamyaab bhee hui...film khandaan kaa gaanaa..
Dhun ye hai...
"kal chaman thaa aaj ik sahraa huaa
dekhte hee dekhte ye kyaa huaa..."
yuNhee apni behtareen gazaloN se humeN roobroo karaate rahiye...
isi zameen par ek shair maine bhee kahne kee koshish kee hai...

yuN gazal kahne ka jisko shouq hai
hai koi aashiq meraa bhatkaa huaa
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #3 on: September 24, 2010, 04:04:19 PM »
Reply with quote
Zidd sahab Aadaab!

Kia khoob Gazal se nawaaza hai Sahab bazm ko maza aa gaya jee bus waah waah kah raheN hai abhi tak... Usual Smile

Chaliye humari style meiN gazal dekhte hai Usual Smile

         



mahfil ko mera pyaar bhara salaam
aaj phir haazir huaa hu apke ek adaa si koshish liye
ye guzaarish hai ke apne nazariyaat se ise nawaaziye.

agar koi ise tarannum me adaa karega to lutf baD jayega...waise to bahut si acchi acchi dhune hai magar mera sujhaav hai ye dhun
'dil ke armaa aasuuoo me bah gaye '


waah,ye to khoob hi qissaa huaa
tod kar dil puuchte haiN kya hua

Waah kia baat hai Zidd sahab dil ki baat keh dii jee aapne daad daad Usual Smile         


choRkar humko khushi jaane lagi
lo chalo kuch bojh to halkaa huaa

Kia baat hai janab .... kafi gehraa kah diya daad .... Khushi ke jane se bojh halka hua sahiN hai jee hum to bahut halka mehsus kar raheN hai... Winking         


kis tarah hum khud se muh ko pherte
dost hu mai khud hi se bichdaa huaa

Oye hoye kia kaheN janab ... Jaan nilaal dii aapne.. bus aap jante hai is sher ko humse juuda kar sochiyeNga aap sad5         


har kadam ik zalzala hai zindagi
kya nayaa isme bhalaa aisaa hua

Waah behad sahiN kaha hai Sahab... Kuch bhi nahi bhalaa kabhi kuch naya hota hai kia kuch bhi nahi.. Bus waqti jhakosla hai aur kuch nahi..           


unke gesu ke andheron ke tale
chand jaise din me ho niklaa hua

Oye hoe ... lagta hai dil jali se aashique meiN wapas aa gaye tongue3 achcha sher hai daad         


aap ki jabse padi parchaiyaaN
aaina bhi humse hai rootha hua

Kia baat hai sahab Daad daad daad..... Dil ki gehrai se daad Usual Smile         


dil lagane ki sazaa dil ko mili
hona tha jo hashr vo uskaa hua

Hmmm sher bahut achcha hai class hai per kafiye meiN mazaa nahi aaya jee         


khud ko ham khudse juda kar naa sake
har kadam par hamkadam saaya hua

Kia baat hai achcha hai... AndherN meiN rah lete sahab jaise hum rah rahe hai... kabhi saye se mulakhat nahi hoti ab humari... Winking         


kabke mahfil chodkar hum uth gaye
aap kahiye aapka phir kya huaa

Waah jee waah daad daad kia baat hai bahut umdaa.... Usual Smile         


mujse zidd aise gale milta hai gum
jaise vo koi meraa apnaa huaa

Kia baat hai Zidd sahaab... Maqta bhi bahut umdaa kaha hai bus dil se daad.... kabool kijiye         


bazm ka meri ye hi dastur hai
aaye vo jo ishq me ruswaa huaa

Waah jee waah hum koi dil jale nahi hai tongue3
Phir bhi hum aaye hai .... aap bhi naa Zidd sahab kuchh bhi kah dete hai hum dil jale nahi hazaar dil jaleN hai tongue3           





Zidd sahab is umdaa tareen Gazal per dil se daad kabool kijiye......

Likhate rahiye..... bazm meiN aate rahiye..... Aap humare ustaad hai aapke aane se hume humesha hi khushi mehsus hoti hai aur... aap ki yahaaN hazeri hum ko rehnumai kareNgi yehi ummid hai......

Khush o aabaad rahiye....
Khuda Hafez.... Usual Smile         

Logged
Yaash
Guest
«Reply #4 on: September 25, 2010, 03:13:43 AM »
Reply with quote
Bohat Khoob Janaab Zidd Sahab...
Logged
zidd
Guest
«Reply #5 on: September 25, 2010, 06:01:35 AM »
Reply with quote
kis tarah hum khud se muh ko pherte
dost hu mai khud hi se bichdaa huaa


Very Impressive ........ Zidd Sahab !

Aam baatoN ko .... iss andaaz me keh jaanaa hai ... khaas banaata hai ... aapki shaayri ko ... yahi baat har baar saabiit karti hai ... Zidd Sahab aapki Ghazal .... ! woh sab iss peshkash me bhi nazar aaya .... ek ek sher kaabile taareef bana hai... tahe dil se daad hazir hai ...

aise hi behtar kalaam se ru-ba-ru karate rahen aage bhi ... khush rahe ...

duaaon ke saath ...


naresah sahab....aapki daad sar anko par sahab...

meter me kuch bhi phenkiye accha hi lagta hai mostly...
ab philosopher to hain nahi so philosophy nahi hoti ....aam ahayar hai aam baat karte hai ( aur waise socho to dunya me naya bhi kya hai?)

hamara maqsad to sunne wale ko kuch pal ke liye lutf pahuchana hai....
kabhi shayad kaamyaaab hote hai kabhi nahi !!!

chalta rahta hai....

regards

regards

Logged
zidd
Guest
«Reply #6 on: September 25, 2010, 06:10:22 AM »
Reply with quote
Zidd saaheb !bahut khoob!bahut bahut khoob!
aap kee gazal ko maine zaraa hat ke ek naye tarannum me gaane kee koshish kee or koshish kaamyaab bhee hui...film khandaan kaa gaanaa..
Dhun ye hai...
"kal chaman thaa aaj ik sahraa huaa
dekhte hee dekhte ye kyaa huaa..."
yuNhee apni behtareen gazaloN se humeN roobroo karaate rahiye...
isi zameen par ek shair maine bhee kahne kee koshish kee hai...

yuN gazal kahne ka jisko shouq hai
hai koi aashiq meraa bhatkaa huaa

mamta ji aapka bahut shukriya hamaari ghazal sunne ka...
apki dhun bhi wahi meter hai so baat wahi hai....

aur koshish zarur karenge ke aapko hamaari ghazalen  agee bhi acchi lagti rahe........

apka bandha hua sher bhi bahut khoobsurat hai.....ek barjastaa... mere bhi muh se fisal gaya

aap hi ki qadr ka hai ye asar
ke ghazal goyi me yu charcha huaa.....in anticipation samjh lijiye aap....hahahahaha

milte rahiye

regards

Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #7 on: September 25, 2010, 06:18:44 AM »
Reply with quote
aji kamaal karte he aap Zidd sahab ....

andhiyon se takrata jo me chalta raha "Abhi"
wo kehene lagi tu parvat he ya koi dil toota hua~
Logged
cara
Guest
«Reply #8 on: September 25, 2010, 06:21:35 AM »
Reply with quote
WAH WAH KYA BAAT HAI         ZIDD JI ....BAHUT KHUB.....


EK KOSHISH KI HAI,GALTIYAN MAAF KARNA JI......



DILBAR MERE MUJHSE HAI RUTHE HUE
NA KUCH KAHETE HAIN NA SUNTE HAIN

CHEHRA UNKA KYUN HAI YUN UUTRA HUA
JAISE MAYAT SE KISI KI LAUTE HAIN

NA JAANE KYA HUI HAMSE HAI KHATA
DIL JALA KE DEKHO KAISE BAITHE HAIN

LAKH KOSHISH KI MAGAR "ZIDD" PE ADE
PATHAR DIL KE JALDI KAB PIGALTE HAIN

DILBAR MERE MUHJSE ......
Logged
Qadeer.Toopchi
Guest
«Reply #9 on: September 25, 2010, 06:28:23 AM »
Reply with quote
Zidd Sahab aadab

Wah Kya hi khoob ghazal ata ki hai bazm ko ,, Har sher apni hi Wazh me ..kaunsa sher ziyada acha laga ye batana bada mushkil ho chala hai .. Ik nahi balke hazarah dad apki is pur-acar o murassa ghazal pe .. Allah apko hamesha khush rakhe .. apko bazm me tashreef farama dekh dili mazrat howi .. apki maujodgi bazm ki khush naseebi hai .. umid hai ahebab apki islaah se mustafeed hote rahenge .. aate rahen ..


Khadim

Qadeertoopchi
Logged
aaina
Guest
«Reply #10 on: September 27, 2010, 11:29:40 PM »
Reply with quote
chor kar humko khushi jaane lagi
lo chalo kuch bojh to halka hua

aapke andaaz e bayaaN ka jawaab nahi meri nighaah mai ye sher hasil e ghazal hai aapke bhut se aashaar jo ki mujhay ab tak achay lage haiN ye sher un aashaaroN mai shamil hai meri nazar ek baDa sher jisme ehsaasoN ki ek aisi rawish hai jo shayad insaan bayaaN karte karte thak jaayega magr ada nahi kar paayega aise aashaar kahe nahi jaaya karte bas shayad zabaan par yuN hi chale aate haiN, aapko aapki is khoobsurat dilfareb ghazal ke liyN behad o behisaab daad hazir hai qubool keejiye



aslam
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #11 on: September 28, 2010, 05:06:08 PM »
Reply with quote
mahfil ko mera pyaar bhara salaam
aaj phir haazir huaa hu apke ek adaa si koshish liye
ye guzaarish hai ke apne nazariyaat se ise nawaaziye.

agar koi ise tarannum me adaa karega to lutf baD jayega...waise to bahut si acchi acchi dhune hai magar mera sujhaav hai ye dhun
'dil ke armaa aasuuoo me bah gaye '


waah,ye to khoob hi qissaa huaa
tod kar dil puuchte haiN kya hua

choRkar humko khushi jaane lagi
lo chalo kuch bojh to halkaa huaa

kis tarah hum khud se muh ko pherte
dost hu mai khud hi se bichdaa huaa

har kadam ik zalzala hai zindagi
kya nayaa isme bhalaa aisaa hua

unke gesu ke andheron ke tale
chand jaise din me ho niklaa hua

aap ki jabse padi parchaiyaaN
aaina bhi humse hai rootha hua

dil lagane ki sazaa dil ko mili
hona tha jo hashr vo uskaa hua

khud ko ham khudse juda kar naa sake
har kadam par hamkadam saaya hua

kabke mahfil chodkar hum uth gaye
aap kahiye aapka phir kya huaa

mujse zidd aise gale milta hai gum
jaise vo koi meraa apnaa huaa

bazm ka meri ye hi dastur hai
aaye vo jo ishq me ruswaa huaa



BAHUT KHOOB ZIDD SB KYA KAHNEY HAIN AAPKEY ISS KALAAM KA


            KUCH TO SUNTAA WO TAHREER MERI DHADKAN KA,
            JO MERE DIL SE USKE LIYE NASHR HUA....
Logged
zidd
Guest
«Reply #12 on: October 05, 2010, 05:37:26 AM »
Reply with quote
aji kamaal karte he aap Zidd sahab ....

andhiyon se takrata jo me chalta raha "Abhi"
wo kehene lagi tu parvat he ya koi dil toota hua~


hahahhahh...abhi sahab....'kamaal' bhi karte hai ....dhamaal bhi karte hai...aur soch kar batate hai kum aur kya kya kaam harte hai...

thanks abhi ji...for liking the attempt

regards
Logged
zidd
Guest
«Reply #13 on: October 05, 2010, 05:39:11 AM »
Reply with quote
WAH WAH KYA BAAT HAI         ZIDD JI ....BAHUT KHUB.....


EK KOSHISH KI HAI,GALTIYAN MAAF KARNA JI......



DILBAR MERE MUJHSE HAI RUTHE HUE
NA KUCH KAHETE HAIN NA SUNTE HAIN

CHEHRA UNKA KYUN HAI YUN UUTRA HUA
JAISE MAYAT SE KISI KI LAUTE HAIN

NA JAANE KYA HUI HAMSE HAI KHATA
DIL JALA KE DEKHO KAISE BAITHE HAIN

LAKH KOSHISH KI MAGAR "ZIDD" PE ADE
PATHAR DIL KE JALDI KAB PIGALTE HAIN

DILBAR MERE MUHJSE ......

thanks cara sahab....aapko pasand aaya to paisa wasool....

aapki koshish bhi bahut pasand aayi.....mere taraf se ek hazaar daad...

regards
Logged
zidd
Guest
«Reply #14 on: October 05, 2010, 05:46:28 AM »
Reply with quote
Zidd Sahab aadab

Wah Kya hi khoob ghazal ata ki hai bazm ko ,, Har sher apni hi Wazh me ..kaunsa sher ziyada acha laga ye batana bada mushkil ho chala hai .. Ik nahi balke hazarah dad apki is pur-acar o murassa ghazal pe .. Allah apko hamesha khush rakhe .. apko bazm me tashreef farama dekh dili mazrat howi .. apki maujodgi bazm ki khush naseebi hai .. umid hai ahebab apki islaah se mustafeed hote rahenge .. aate rahen ..


Khadim

Qadeertoopchi

qadeer sahab aadaab...
aapki daad to hamesha khaas rahi hai...
aapki ek hazaar daad ke liye mere taraf se dus hazaar shukriya....
izzat afzaaii ke liye ajhad maskoor hu magar islah ka kaam hamara nahi....ye to aap jaise urdudaano ka hai...

ghazal ke paziraai ke liye behadd shukraguzaar hu ....
aur daad ke liye saatve aasmaan par...

dua go

zidd
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 10:26:20 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.15 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer