Waah ji waah
Kaay mast sangitlay..... ata me kaay manhu....
mala wat.te he barobar aahe
Kabhi guzre huye waqt ko ulat kar dekho
Aage badhna hai to na peechhe palat kar dekho
Khubsurat si nazar aati hai duniya yu to
Dekhna hai to zara naqab ulat kar dekho
Apne waado ke alfaz ko na bhoolo kabhi
Bhool jaane ka ho khauf to rat kar dekho
Tajruba yu bhi kisi roz karo jeene ka
Titliyo.n aao zara gul se lipat kar dekho
Meri khata to nazar aati hai unko SABA
Apni janib bhi kisi roz palat kar dekho
saba ji....humne kutchh nahi kaha.....ye sab abas hi apne aap...nikaltein hain....ashars ya tehreer koi bhi aap likhein..unke jawaab mein hamaari kalam musalsal chal parti hai.....ab humko nahi pata lagta ki kya likha gaya....tabhi toh kehte hain na bekaar ke shayaron main shamil ho gayee hamaari saba
per aap har haal main theek hi lagti ho....vitamins aap khud kya khaayeingi....lo hum hi de dete hain aapko...lolsssss
Haai! kaisi khata ho gayee,
bewafa se wafa ho gayee.
ab toh aati hai khud pe haya,
Ik nahi, sou dafa ho gayee.
Aankh ki shouk ki chaah main,
apne dil se daga ho gayee.
Naraanz na ho ai humnashien,
teri dosti mere liye nasha ho gayee.
Harash Ji ... yeh kya keh rahe hai aap ... aap ke shair aur bekaar...
Allah itna sitam na kijiye hum par.... ke goliya kha kar so jaaye (vitamins ki) lolzzzzzzzzzz
Yeh adalat nahi hai mera dil hai
Is me darbar laga hai ek mehfil hai
Aap aaye hai is me mehmaan bankar
Ab bataye zara kaun kis se gafil hai
haan theek kehti ho saba......kahaan aa gayee in bekaar ke shayaron main
..lekin..ye bhi ik tarah ki badnaami hi hai na...hamaari
...lols.
ker rahein badnaamian our bin adalat faisla,
Shaks ab jo paye saza, bebas our mazboor hai.
Aap dono to lajawab hai ...... mai kaha aagayi yaar beech me .... kuchh aata hi nahi likhne
Shaq ki barshat agar yu hi musalsal hogi
Yeh galat fehmi kisi tarah nahi hal hogi
Ba haya larki ki khamoshi hai in phoolo me
Yeh hawa bhi kisi dosheeza ka aanchal hogi
Waqt ki apni koi khushbu kaha hoti hai
Raat sulgegi badan par tabhi sandal hogi
Itar ki sheeshi liye chand qareeb aaya tha
Kya mujhe ilam tha woh zeher ki botal hogi
Regzaaro ki tarah merei palko.n pe bichi
Zindagi tere liye khawab ka makhmal hogi
Mil chuke sab se gale phir bhi adhoore se hai
Tum miloge to meri Eid mukammal hogi
Dil ke sannate par ab aane hi wala hai zawal
Is khandar me koi yakbargi halchal hogi