AAP KE NAAM ...........................

by fakharenaveed on December 28, 2004, 11:39:29 PM
Pages: 1 ... 17 18 19 20 [21] 22 23 24
ReplyPrint
Author  (Read 40227 times)
FAREE
Guest
«Reply #300 on: May 21, 2006, 12:02:18 AM »
Reply with quote
Kitna Assan Tha Tere Hijjer Mein Marna Janaa
Phir Bhi Aik Umer Si Lagi Jaan Se Jate Jate

Us ki Usey janey, Usey paas e Wafa tha ke Na Tha
Tum Faraz Apni Taraf Sey To Nibhatey Jatey
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kis naam se pukaroon by mrkotians in Shayri for Khumar -e- Ishq
naam bikta hai............. by purani_jeans_aur_guitar in Shairi - E - Zindagi
BAY NAAM NAZMAIN by Dr Maqsood Hasni in Patriotic Poetry in Punjabi
Mat naam lo by chatingforever in SMS , mobile & JOKES
Zindagi hai chalne ka naam by Pooja in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #301 on: May 21, 2006, 07:40:07 PM »
Reply with quote
hmmmmmmmm

Wafao ka hisaab koi kaise lagaye
Hume jo mila hum to apni bataya
Labo.n se jo nikla fasana mera
Zamane ne sau ilzaam us par lagaye
Logged
FAREE
Guest
«Reply #302 on: July 26, 2006, 05:58:57 PM »
Reply with quote
Dil Main Aaj Phir Ajab si Chuban Hai
Us Ko Kiun Nahin pehli si Lagan Hai
Logged
FAREE
Guest
«Reply #303 on: August 04, 2006, 02:12:50 PM »
Reply with quote
Admee ko Khuda na dikhlay
Kabhi admee ka Khuda hona

Dill ki batoon pay kon jay khirbar
Assay dushman ka dost kiya hona
Logged
FAREE
Guest
«Reply #304 on: October 11, 2006, 10:15:46 PM »
Reply with quote
Main Ne Parindo Se Pyaar Kya To,,
Woh Urh Gaya

Main Ne Sooraj Se Pyaar Kya To,,,
Woh Gharoob Ho Gaya

Main Ne Chand Se Pyaar Kya To,
Woh Badlon Main Chup Gaya

Main Ne Pani Se Pyaar Kya To,
Woh Beh Gaya

Main Ne Baraf Se Pyaar Kya To,
Woh Pighal Gaya

Main Ne Barish Se Pyaar Kya To,
Woh Baras K Thum Gaya

Main Ne Aag Se Pyaar Kya To,
Woh Bujh Gai

Main Ne Phoolon Se Pyaar Kya To,
Woh Murjha Gaya

Main Ne Kanto Se Pyaar Kya To,
Wo Toot Gaya

Main Ne Janwaron Se Pyaar Kya To,
Woh Meri Zaban Na Samjh Sakay

Or Jab..Main Ne Insaan'on Se Pyaar Kya To,
Woh Be-Wafa Niklay
_________________
Logged
FAREE
Guest
«Reply #305 on: October 24, 2006, 11:36:18 PM »
Reply with quote
GAMO NE JAB BHI SAZA DI...
ASHKO ME DHAL GAYI...

KAALI RAAT JAB BHI SYAAH HUI...
SHABNAM SI BARAS GAYI....

VO MERE HABEEB KI BERUKHI...
DIL SE JAB LAGI JAKHM BAN GAYI..

GAMO NE JAB BHI SAZA DI...
ASHKO ME DHAL GAYI...

KARVATE BADAL BADAL
TAKIYE KA BHEEGNA...
KAANTO SI CHUBHAN CHADER MAIN...
MERI TAKDEER BAN GAYI...

JAKHMO KA DAIR RAAT TAK...
RIS-RIS K BEHTE REHNA...
KHAMOSH SISAK SISAK KAR..
SUBEH TERE INTZAR ME BADAL GAYI...

GAMO NE JAB BHI SAZA DI...
ASHKO ME DHAL GAYI...

JAB BHI TUJE MILE...
HANSI KE PAIBAND LAGA LIYE...
DEKHNA HAM PYAR ME...
JHULAS K BHI HANS RAHE...

NA KAM HONGI TERI SAJAAYE..
HAM PER HAM JAANTE HAI..
MERI TAQDEER AB SANAM...
TERE HATHO KI KATHPUTLI BAN GAYI...

GAM NE JAB BHI SAZA DI..
ASHKO ME DHAL GAYI....
Logged
FAREE
Guest
«Reply #306 on: October 29, 2006, 07:24:02 PM »
Reply with quote
TERE SABHI GAMO KO SAMET LUN, AA TUJHE MAIN ITNA PYAR DUN
TERI UDASIYON KO MITA KE, TERI HAR SHAAM NIKHAR DUN

TERI AANKHON MAI CHUPI KHIZAA MERE DIL PAR ASAR KAR GAYI
TERE WAJOOD KO MEHKA DE JO, TERE LABON KO MAIN VO BAHAAR DUN

TERI IK MUSKURAHAT KA BADLA KUCH HO NAHI SAKTA MAGAR
JO MILE TUJHE KHUSHI AGAR, MAIN APNI JAAN BHI TUJHPE WAAR DUN

TERE DIL KI RONAQEN MURJHA GAYI HAI JO IS TARAH
LAGA K APNE SEENE SE, MAIN TERI DHADKANO KO QARAAR DUN

TANHAIYON K TOOFAANO SE JO BIKHAR GAYE HAI SAPNE SABHI
JO KAHE TU TOH, AA TERI NIGAHON KO SANWAAR DUN

MERI NIGAH BHI HAI, TERI IK NAZAR KI MUNTAZIR
JO KARE TU NAZAR IDHAR, DUAYEN TUJHE MAIN BESHUMAAR DUN

NA DHAN SE NA DAULAT, NA DUNIA SE WAASTA MERA
MIL JAAYE JO BAS KUCH PAL KA HI SAATH TERA
TOH TERE SANG HI MAI APNA JANAM GUJAR DUN
Logged
FAREE
Guest
«Reply #307 on: November 02, 2006, 08:11:15 PM »
Reply with quote
Kuch Batein Mere Bachpan Ki,
Kuch Yadein Mere Bachpan Ki,
Woh Bachpan Tha Bas Guzar Gaya,
Chand Lamhe The Jo Beet Gaye,
Kuch Khusiyan Thin, Kuch Gam Bhi The,
Chand Lamhe The Jo Beet Gaye,
Kuch Log Bhi Humse Bichard Gaye,
Ab Na Laut Kar Aayenge, Bas Dukhi Humen Chord Gaye,
Chand Lamhe The Jo Beet Gaye,
Kuch Yadein Mere Bachpan Ki,
Kuch Batein Mere Bachpan Ki.............
Logged
FAREE
Guest
«Reply #308 on: November 18, 2006, 08:20:31 PM »
Reply with quote
Naa karta shikayat zamane se koi,
agar maan jata manane se koi,
kisi ko kyu yaad karta koi,
agar bhul jata bhulane se koi.
Logged
FAREE
Guest
«Reply #309 on: November 24, 2006, 07:12:39 PM »
Reply with quote
Gam is kadar mila k Ghabra k pee gaye,

Khushi thodi si mili to mila k pee gaye.....

Yun to na the janam se peene k aadi,

Sharab ko tanha dekha to taras kha k pee gaye........
Logged
FAREE
Guest
«Reply #310 on: November 28, 2006, 06:05:26 PM »
Reply with quote
Zindagi mein kuchh lamhaey aisay aatey hain
Har cheez dhundla jati hae sirf khvaab nazar atey hain
Khvaab hi tu hain jo hamesha saath rehtey hain
Woh janey kaha gaye ab tu bas un ki yadaien hain
Unn sae mil ke phir yeh ehsaas honey lagaa
Wohi ek bas apney han baqi sab tu paraaye hain
Unn ki yeh adda hii saab sae ziaadaa bha gai
jab bhi hum un ko dehktey hain woh sharma jatey hain
Hum ne kabhi bhi unse koi gila na kia
Phir bhi woh humey har waqt sataatey hain
Kuch aysa rishta tha merey un ke darmiyaa
Jaise do panchi milttay hain phir bichrr jatey hain
Hir haal mae hum ne kosshish ki bhoolany ki
Lekin phir bhi us ajnabi ke saaye nazar atey hain
Humary saath ab ziaadaa kuch tu nahi hae
Bas hae ye Chandni raat aur kuch sitaarey hain
Logged
FAREE
Guest
«Reply #311 on: November 29, 2006, 08:17:36 PM »
Reply with quote
Gar meri dhadkano ki aawaz sunna tum chaho,
To kabhi mere naam se apne hontho ko hilao,
Tadap uthegi tumhari bhi har saans,
Gar meri kahi Gazal tum ek bar gun-gunao.
Logged
FAREE
Guest
«Reply #312 on: November 30, 2006, 08:23:45 PM »
Reply with quote
Tere bina bhi ye bahar atti rahengi,__________________________________________ ________par bin tere bahaar bhi hame jalati rahegi.__________________________________________ _ _________________________phir teri yaad mai dil par madhoshi shati rahegi,___________________________________________ ________________par bin tere madhoshi bhi dil ko sulghati rahegi.__________________________________________ _ _______________phir dil ko mere teri mahobat tadpati rashegi,__________________________________________ __________________________par bin tere mahobat bhi zulam dhaati rahegi.__________________________________________ _ ___________________phir yaad teri yaado ke saye mai khote rahenge hum usii tarah ,_________________________________________________ __________________________'kirti' kal bhi chahti thi tumko,____________________________________________ ___ajj bhi chahti rahegi.
Logged
FAREE
Guest
«Reply #313 on: December 02, 2006, 02:51:11 PM »
Reply with quote
main ek bujhta hua diya huN,
roshni kaha se ab main la paunga

main ek hawa ka jhonka huN,
pal bhar me yaha se beh jaunga

main ek sulagti chingari huN,
mat chhu warna tujhe bhi jalaunga

main ek zindagi ka toofan huN,
sab tabah karke fir tham jaunga

main ek mutthi me bandhi ret huN,
jitna thamonge utna fisal jaunga

main ek toota hua tara huN,
aasman ko main kaha se sajaunga



soch lo...................



par, pyaar karta huN itna tumse ke,.
tumse door kabhi main reh nahi paunga.........
Logged
FAREE
Guest
«Reply #314 on: December 04, 2006, 02:16:45 PM »
Reply with quote
Bahot dil na laga is duniya me tu,
Ye hai sirf gunaho ki duniya..........

Zindgi ke har jawab dhundhke rakh,
Ye hai sirf sawalo ki duniya............

Na baat maan yaha tu kisiki dil se,
Ye hai sirf afwaho ki duniya..........

Mat kar tu kisipe yakeen jaldi se,
Ye hai joothe nakabo ki duniya.........

ye safar yuhi chalta rahe e sanam,
ye hai meri khwaish ki duniya........

Rakhta hu tujhe dil me basakar,
ye hai meri pyaar ki duniya..........

payengi na tanha akele khud ko,
ye hai mere vishwas ki duniya.......

khus rahengi tu sda dil me mere,
ye hai mere ehsaas ki duniya...........
Logged
Pages: 1 ... 17 18 19 20 [21] 22 23 24
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 03:15:42 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.091 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer