AAP KE NAAM ...........................

by fakharenaveed on December 28, 2004, 11:39:29 PM
Pages: 1 ... 18 19 20 21 [22] 23 24
ReplyPrint
Author  (Read 40224 times)
FAREE
Guest
«Reply #315 on: December 07, 2006, 02:05:39 PM »
Reply with quote
is dil ka yoon imtihaan na lijiye,
humen yoon marne ka farmaan na dijiye,
is zindagi ne bahoot aajmaya hai,
yoon humein akela na kijiye,
mushkiloon se sambhala hai ye dil,
isse jeene ka sahara mat lijiy
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kis naam se pukaroon by mrkotians in Shayri for Khumar -e- Ishq
naam bikta hai............. by purani_jeans_aur_guitar in Shairi - E - Zindagi
BAY NAAM NAZMAIN by Dr Maqsood Hasni in Patriotic Poetry in Punjabi
Mat naam lo by chatingforever in SMS , mobile & JOKES
Zindagi hai chalne ka naam by Pooja in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
FAREE
Guest
«Reply #316 on: December 08, 2006, 06:19:58 PM »
Reply with quote
Chahat kay is dharay per,
Darya or kenaray per
Dil ko aaj azaad kia,
Main nay tum ko yaad kia,

Tanhaee ke ratoon main,
Khud he batoon batoon main
Is dil ko yoon barbaad kia,
Main nay tum ko yaad kia,

Jab say tum ko dekha hay,
Jab say tum ko chaha haym
Har ak pal faryaad kia,
Main nay tum ko yaad kia,

Is jewan kay nesaaboon main,
Or ratoon kay khawaboon main,
Jaag kay bhi dil barbaadh kia,
Main nay tum ko yaad kia,

Phool ka khilnay say phelay,
Tum ko milnay say phelay,
khud ko tu barbadd kia
Logged
FAREE
Guest
«Reply #317 on: December 10, 2006, 06:59:17 PM »
Reply with quote

ItNi Bhi Kia NaRazGi AiSe Ho KYuN KhaFa

Kho GaYa Hai DeKho Na SaRa QaRaaR MeRa

MudDaToN Ke BaaD TuMhaRa KhuWaaB AaYa Hai

Yeh ShaB Na DhaLNe PaYe AaYe Na SaVeRa

ShaaM Ke SaYe TeRe BiNa KitNe TanHa HoTe HaiN

MuJh Ko SaMet LeTa Hai TeRi YaaDoN Ka AnDheRa

TeRi TaLaaSh MaiN BaTa MaiN KaHaaN JaaooN

Tu KaHaaN Hai AuR Hai KauN Sa DeSh TeRa
Logged
FAREE
Guest
«Reply #318 on: December 14, 2006, 03:32:58 PM »
Reply with quote
chumte labon me uski kanpkapahat hai,
paas uske jane mw hoti hichkichahat hai.

tujhe choo raha hai koi aur aaj,na jane,
kyun phir meri haathon me thartharahat hai.

kyun lagta aaj jo sun raha hoon main,
wo mere ishq ke maut ki aahat hai.

mar jaunn main uski ek jhalak ko yaaron,
kuch aisi hi uski wo muskusahat hai.

"Faree" ho gaya tera deewana Saba,
kuch aisi tere baalon ki sarsarahat hai.
Logged
FAREE
Guest
«Reply #319 on: December 16, 2006, 07:05:40 PM »
Reply with quote
Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain...

Yeh haqeeqat to nigahon say bayan hoti hain

Woh na aaye tou satati hai khalish see dil ko...

Woh jo aaye to khalish aur jawan hoti hain

Rooh ko shaad karey dil ko jo purnoor karey...

Har nazaaray mein yeh tanveer kahan hoti hain

Sabt-e-sehlaabay mohabbat ko kahan tak rokay...

Dil mein jo baat ho aankho say bayaan hoti hain

Zindagi ek sulgati see chita hai 'Faree'...

Shola banti hain na yeh bhuj kay dhuaan hoti hain

Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain

Yeh haqeeqat to nigahaon say bayan hoti hain
Logged
FAREE
Guest
«Reply #320 on: December 17, 2006, 08:37:11 PM »
Reply with quote
Duriyon se farak padhta nahi
baat to dil ki nazdikiyon se hoti hai
dosti kuch khaas aapjaiso se hoti hai
warna mulaqat na jane kitnoo se hoti ha
Logged
FAREE
Guest
«Reply #321 on: December 20, 2006, 07:24:18 PM »
Reply with quote
Dil lagane ko ek bewafa dhoodh raha hoon,
Teri aankhon me aaina dhoondh raha hoon.

Hasti tak mit gayi humari aapke ishq me,
Jo kuch reh gaya bacha,dhoondh raha hoon.

Jist* ki khushiyon se mehroom** rahe sada,
Tere labon pe wo maza dhoondh raha hoon.

Na jane aakhir aisi kya khasiyat hai tujhme,
Jo ek ajnabi me koi apna dhoondh raha hoon.

Itna ishq karne ki khata jo ki hai ab humne,
Jare-jarre me uski saza dhoondh raha hoon.

Ashkon ke thapedon se jo hue hum“Faree”,
Ab har dard me apni dawa dhoondh raha hoon.
Logged
Roja
Guest
«Reply #322 on: December 25, 2006, 01:54:53 AM »
Reply with quote
Wow Faree ji... Bahut pyara Ghazal likha hai..
Keep Up
Logged
FAREE
Guest
«Reply #323 on: December 31, 2006, 08:27:44 PM »
Reply with quote
Shukriya




dil na milte to mulakat aduri rehti
baat to hoti magar baat adhuri rehti
shukriya tera tere aanese ronak to badhi
nahi to yeh mehfil ek jasbat aduri rehti
tune apne daman mein chupaye mere aasu
nahi to akho ki barsaat adhuri rehti
Logged
FAREE
Guest
«Reply #324 on: December 31, 2006, 11:31:40 PM »
Reply with quote
dil apney aap dharakta hai, dharkaya nahi jhata
yeh raaz-e-mohabbat har eik ko bataya nahi jhata

agar ehsaas ho to, mohabat ko kar lo mehsoos
yeh woh jazba hai jo lafzon mein samjhaya nahi jhata

dosti ke liye mohabat aur khuloos hai lazim
har haath milaney walay ko dost samjha nahi jhata

bohat kam hain log jo dil mein utar jhatey hain
har rah chaltey ko apna banaya nahi jhata.....
Logged
FAREE
Guest
«Reply #325 on: January 01, 2007, 10:46:33 PM »
Reply with quote
shayad khatam ho chuke hai mere ehsaas,
kuch aur ab kaha nahi jayenga tujse........

shayd tuut gaye hai wo sab mere khwab,
koi aur khwab dekha nahi jayenga mujhse........

shayad manzil hi nahi thi apne rahi ke sath,
rahi ko ab aur chala nahi jayenga aajse .......

shayad dene hi the usko ankho me aansu,
ab zindgi me muskuraya nahi jayenga dilse......

shayad mila liye hai usne dushman se hath,
maine to manga tha use har duaon me rabse...........

shayad wo chahti hai k chhod du ye safar,
"Faree" se aur kuch likha nahi jayenga abse......
Logged
FAREE
Guest
«Reply #326 on: January 02, 2007, 07:05:20 PM »
Reply with quote
yeh dil kuch kehta hai chupke se,
dhadak dhadak kar kuch samjhaye chupke se,
bahut bechain hoon kehta hai chupke se,
tadap din raat ki rehti hai chupke se,
kasak bin baat ke bani hai chupke se,
kaun yeh dil per chha raha hai chupke se,
ishq ka nasha hai kuch kuch chupke se,
nazre jhuk ke kabhi mil bhi jaati hain chupke se,
izhaar hothon se na sahi per aankhein kar deti hain CHUPKE SE........
Logged
FAREE
Guest
«Reply #327 on: January 05, 2007, 03:26:10 AM »
Reply with quote









KYO.N HAR BAR HUM HI SACH KO TALASHE
KYO.N HAR BAR HUM HI JUTH KA FAREB KHAYE

KYO.N NAHI SACH HUME DHUNDH LETA
KYO.N SACH JUTH KA NAKAB UTAR FENKATA

SHAYD SACH KO BHI JHUTH KI AADAT HAI
KYONKI HUME TALASHNE KE LIYE
SHAYD SACH NE BHI JHUTH KA SAHARA MANGA HOGA

SHAYD KUCH JHUTH SACH BOL JAYE
SHAYD JO RAJ HAI WO KHOL JAYE

SHAYD SACH JHUTH KA BAHANA KAR HUMARE PAS AA JAYE
KHUDA ESA HO KI SACH JHUTH BANKAR SARE BHARM TOD JAYE







Logged
FAREE
Guest
«Reply #328 on: January 08, 2007, 07:35:57 PM »
Reply with quote





Yaadon ka ek jhoka aaya, Hamse milne barson baad
Pehle itna nahi roye, Jitna aaj roye barson baad
Lamha-lamha ghar ujda hai, Mushkil se ehsaas hua
Pathar aye the barso pehle, Dil tuta barson baad











Logged
FAREE
Guest
«Reply #329 on: January 10, 2007, 08:49:22 PM »
Reply with quote









Khushi milti hai mujhe bewafaa keh kar,
Muskuraate ho meri yeh udaasi dekh kar.

Jeena na tha tere ghum main mujhko,
Kismat ne kitna rulaaya hai mujhko.

Hanste ho mere jazbaaton ko padh kar,
Khushi milti hai mujhe bewafaa keh kar.




Logged
Pages: 1 ... 18 19 20 21 [22] 23 24
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 02:29:50 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer