FAREE
Guest
|
«Reply #90 on: August 25, 2005, 07:41:51 PM » |
|
Dil Ki Baat Hum Se Na Chupaya Karo Hum Se Chahat Na Ziyada Jataya Karo Door Rahte Ho Kion Paas Aaya Karo
Tera Jalwa Kabhi Hum Ne Dekha Nahin Kabhi Chehra Humen To Dikhaya Karo Roz Gheron Ki Majlis Main Jate Ho Tum Kabhi To Apno Ki Mahfil Sajaya Karo
Hum Ranjeeda Bhi Hain Neem Deeda Bhi Aa Ke Dil Tum Hamara Behlaya Karo Teri Majboorion Ki Khabar Hai Mujhe Baat Baat Per Kasmein Na Khaya Karo
Tere Waade Pe Hum Ne Bharoosa Kia Kuch To Ulfat Ka Tum Bhi Haq Nibhaya Karo Chahne Wale Ki Chahat Pe Kar Lo Yakeen Roshni Main Diye Na Jalaya Karo
Hum Bhi Hum Raaz Hain Tum Bhi Hum Raaz Ho Dil Ki Baat Hum Se Na Chupaya Karo
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Saba_Saba
|
|
«Reply #91 on: August 27, 2005, 07:18:10 PM » |
|
Hmmmmmmmm Pretty :p
Tum bhi humko na yu sataya karo Paas aao to na duur jaaya karo Teri ulfat me hum hai duube huye Na aaina dikhakar jalaya karo ...... :oops:
|
|
|
Logged
|
|
|
|
FAREE
Guest
|
|
«Reply #92 on: August 29, 2005, 07:54:43 PM » |
|
Thank You .................................................:D
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mili_genie
Guest
|
|
«Reply #93 on: September 02, 2005, 11:16:29 AM » |
|
hum bhi sharaabi, tum bhi sharaabi chalke gulaabi, chalke gulaabi taqdeer dil ki khaana kharaabi
jab tak hai jeena khush ho ke jee leiN jab tak hai peena jee bhar ke pee leiN hasrat na koi reh jaaye baaki
kal suboh ke daaman meiN, tum hoge na hum honge bas reth ke seene par kuch laksh kadam honge
bas raat bhar ke mehmaan hum haiN zulfoN meiN shab ke thoDe se kam haiN baaki rahega saagar na saaqi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Saba_Saba
|
|
«Reply #94 on: September 04, 2005, 04:41:43 PM » |
|
Wowwww Mili_Genie Ji..... Beautiful
Jo bhi hai aaj hai jeelo aaj ko khush hoke Kal zindagi mauka de ke na de
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mili_genie
Guest
|
|
«Reply #95 on: September 05, 2005, 05:34:30 AM » |
|
thanx saba ji this is also my favourite gazhal i think u also like that
haath chooten bhi tho rishthe nahin choda karthe waqt ki shaak se lamhein nahin toda karthe
jiski aawaaz mein silwat ho nigahon mein shikan aisi tasvir ke tukde nahin joda karthe
shahad jeene ka mila karta hai thoda thoda jaane waalon ke liye dil nahin thoda karthe
lagke saahil se jo behta hai use benne do aisi dariya ka kabhi rukh nahin moda karthe
From Marasim- Jagjeet
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mili_genie
Guest
|
|
«Reply #96 on: September 05, 2005, 05:55:16 AM » |
|
mere darwaze se ab chand ko ruksat kar do saath aaya hai tumhaare jo tumhaare ghar se apne maathe se hata do ye chamakta hua taaj fenk do jism se kirnoN ka sunahri zewar tumhi tanha mera gham khaane mein aa sakti ho ek muddat se tumhare hi liye rakha hai mere jalte huye seene ka dahakta hua chaand
from Main Aur Meri Tanhai - jagjeet
|
|
|
Logged
|
|
|
|
FAREE
Guest
|
|
«Reply #97 on: September 06, 2005, 09:48:06 PM » |
|
Nice DEAR mili
Pooch Lo Tum Bhi Iss Zamaane Se, Pyaar Chhupta Nahin Chhupane Se
Paas Aate Ho Choote Ho Baat Karte Ho, Kabhi Matlab Se Kabhi Bahane Se.
Pyar Dil Mein Hai To Zuban Pay Lao, Yeh Aag Badhti Hai Isay Bujhane Se.
Tumhein Na Paana Shayad Behtar Hai, Paa Ke Phir Se Tumhein Ganwane Se.
Chalo Ek Dua To Apni Poori Huyi, Mil Liye Apne Ek Deewane Se!
Karo Koshish Kay Khatam Hon Yeh Kurbatein, Dooriyan Badh Jaati Hain Inhain Badhane Se.
Kya Sunayein Kisi Ko Raaz-e-Dil Aye Saghar, Dard Hi Badhta Hai Sunanay Sunane Say!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mili_genie
Guest
|
|
«Reply #98 on: September 07, 2005, 05:21:29 AM » |
|
thanx a lot faree ji... i hope u enjoy this ghazal
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mili_genie
Guest
|
|
«Reply #99 on: September 07, 2005, 05:23:54 AM » |
|
har ek baat pe kehte ho tum ke 'too kya hai' ? tumheen kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?
ragon mein daudte firne ke ham naheen qaayal jab aankh hee se na Tapka to fir lahoo kya hai ?
chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan hamaaree jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai ?
jalaa hai jicm jahaan dil bhee jal gaya hoga kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai ?
rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee to kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ?
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Saba_Saba
|
|
«Reply #100 on: September 24, 2005, 01:57:47 PM » |
|
woww ............ Mili
Bohat KhuuB
Mohabbat me kuchh aisa ho gaya hai deewana rote rote so gaya hai
Naya andaaz hai us ke sitam ka Mere zakhmo me kaante bo gaya hai
Na jaane kya hua hai kab se dekho Mera dil dhadkano me kho gaya hai
Har ek jaanib hai nafrat ki dukane Tumhara sheher kaisa ho gaya hai
Hua hu jab kabhi gamgeen ~Gohar~ Woh mere paas aake ro gaya hai ... nm....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mili_genie
Guest
|
|
«Reply #101 on: September 26, 2005, 10:17:34 AM » |
|
thanks saba....... how r u???
zindagi mein to sabhi pyaar kiya karte hain main to mar ke bhi meri jaan tujhe chahoonga
tu mila hai to ehsaas hua hai mujhko ye meri umr mohabbat ke liye thodi hai ik zara saagame daura ka bhi haq hai jispar maine wo saans bhi tere liye rakh chodi hai tujhpe ho jaaoonga qurbaan tujhe chaoonga main to mar ke bhi meri jaan tujhe chahoonga
apne jazbaat mein nagmaat rachaane ke liye maine dhadkan ki tarah dil mein basaya hai tujhe main tasavoor bhi judaai ka bhala kaise karoon maine kimsat ki lakiron se churaaya hai tujhe pyaar ka ban ke nigehbaan tujhe chahoonga main to mar ke bhi meri jaan tujhe chahoonga....
this gazhal sung by ...... Mehandi hasan..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Saba_Saba
|
|
«Reply #102 on: September 26, 2005, 05:31:39 PM » |
|
m fine mili .... hwz every thing
Izhaar-e-ishq kya unse karte hum Woh jo ek baat thi kaise kehte hum
Zamane beete un se milte rahe Nazro se keh diya zaba.n se kaise kehte hum
Gairo.n me rahe uljhe woh hardam SABA Kaise yeh la-talluqi bardasht karte hum
|
|
|
Logged
|
|
|
|
FAREE
Guest
|
|
«Reply #103 on: September 28, 2005, 10:29:02 AM » |
|
-------------------------------------------------------------------------------- Jis Ki Manzil nahin Koi Woh Musafir Hoon Mit Gya Jo Tere Dil s Woh Hrf-e-Akhir Hoon _______________Main Bhoola Nahin Tujh Ko Tum Bhool gaye mujh Ko Ubhrain Gay Tere Dil Main Woh Naqsh Mazi K Barbad Huwa Hai Koi teri Is BeNyazi S ______________Main Bhoola Nahin tujhko Tum Bholl Gaye mujh Ko dekhaoon main bhlaaa kaise Zakhm Jigar K Lag Gai Hai Zamane ki Nzar Teri Nzar Ko ______________Main Bhoola Nahin Tujhko Tum Bhool gaye mujh Ko Bikhri Hain Teri Yadein Verane Main Dil K Dekha Hai Aaksr Tujh Ko Aiyne Main Dil K ______________Main Bhoola Nahin Tujh Ko Tum Bhool Gaye Mujh Ko
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Saba_Saba
|
|
«Reply #104 on: October 20, 2005, 09:26:07 PM » |
|
Jo hai pyar tumko to Kyu lab par nahi laate Meri chhoti si khawahish ko kyu pura nahi karte Yeh zidd to nahi hai Jaana Haa in lafzo se dil me diye hai jalte
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|