ab akelay chala nahi jaata

by mazHur on September 13, 2010, 09:16:04 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1139 times)
mazHur
Guest
Reply with quote
beech sehra me mein kahaan jaata?
kaisay manzil ka mein nishaan paata?

Qaafilay se bicharnay waaloan ko
koi sehra nahi he   apnaata.

Aao mil kar qadam barhaatay hein
ab akelay chala nahi jaata!


piyar ka naam sab hi laite hein
piyaar karna kisi ko hay aata?


Eid aa kar guzar gayee zalim
chaand dekha na aata na jaata!

Qirmizi rang gul me bhar deta  
shaakh-e-gul se jo mein lipat jaata!


  dil mein jo he zabaan per he wohi
mujh ko makr ro riya nahi aata!!

mazHur


 

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Abb Aur Saha nahi jaata .... by Naya_Daur in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Humse mara bhi nahi jaata... by sweetie2210s in Shayri for Dard -e- Judai
Mare nahi tujse bichad kar bas jiya nahi jaata... by sweetie2210s in Shayri-E-Dard
barso puraana woh ek manzar nahi jaata........irshad ahmed siddiqui by irshad ahmed siddiqui in Ghazals
Dekh Ke Tujhko Mera Hosh Chala Jaata Hai by Dil Diwana in Shayri for Khumar -e- Ishq
ParwaaZ
Guest
«Reply #1 on: September 13, 2010, 09:41:43 PM »
Reply with quote
Mazhur Saheb Aadaab!

Aapko shayad paheli martaba padh raheN hai..... aapki gairmuradaf gazal behad umdaa lagi hume.... Usual Smile

Daad hazir hai sahaab..... Usual Smile         



beech sehra me mein kahaan jaata?
kaisay manzil ka mein nishaan paata?

Matla achcah raha hai janab Daad         


Qaafilay se bicharnay waaloan ko
koi sehra nahi he   apnaata.

sher achcha hai daad janab par Hume.. sher ka mafoom saaf nahilaga hume...           


Aao mil kar qadam barhaatay hein
ab akelay chala nahi jaata!

Kia baat hai behad khoob janab.... sidhe se lafzoN meiN achchi guzarish kii hai daad         

piyar ka naam sab hi laite hein
piyaar karna kisi ko hay aata?

Waah behad sahiN kaha hai aapne daad.... sach hai pyaar karna kisko aata hai janab.. Usual Smile         

Eid aa kar guzar gayee zalim
chaand dekha na aata na jaata!

hmmm sher achcha hai janab .. daad... khayal aur qafiye ko madde nazar rakheN to aur bhi khubsurti se is sher ko anjaam diyaa ja sakta hai humare khayaal se.           


Qirmizi rang gul me bhar deta 
shaakh-e-gul se jo mein lipat jaata!


Kia baat hai behad umdaa daad behad khoob Usual Smile         

  dil mein jo he zabaan per he wohi
mujh ko makr ro riya nahi aata!!

hum dusre misre ko samjh nahi paye janab wazahat ki darkhast hai ummid hai aap wazahat kar deNge,,, Usual Smile           


mazHur


 



Aik achci koshish par dili daad o mubarakbad kabool kijiye..... Khush O aabaad rahiye......

Aise bazm ko roshan karte rahiye......
Khuda Hafez..... Usual Smile         

Logged
aiina
Shayarana Mizaaj
**

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 10 hours and 29 minutes.

''aiina707''

Posts: 72
Member Since: Aug 2010


View Profile
«Reply #2 on: September 14, 2010, 02:42:53 AM »
Reply with quote
poetic piece is wonderful but kindly explain me the last two pragraphs ...as iam no very fluent in urdu
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 23, 2025, 09:39:45 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer