Ab aur zindagi ka aetbaar kya karta
Teray fraaq ki ghariyaan shumaar kya karta
******************************************************
aadaab
janab main nao waarid hun aor yahaan aap ki bazm me matar gashtee kar raha athaa ki aap ki ghazal pe nigaah gayee aor ,mainaap ke alfaaz ke sehr me kho kar rah gayaa jo taraakeeb aor alfaaz ki haiyat o maahiyat aap ke yahaan nazar aayee wo to aajkal allaa darjey ko shoraa me bhi nahi paayee jaatee balki ab to ye ho gaya ahai ki jo log alla darje ke alfaaz aor taraakeeb ka aistemaal kartey hain log un ko PURAANAA MAAL kah ke kachrey ke dabbey me daal detey hain ,,,, main apne tamaam tar alfaaz se aap ko mobaarakbaad detaa hun us ummeed ke saath ki ham eyk doosrey se seekhen gey ,,,,,,,,,,,,, jab main aap ke alfaaz ke sehar se baahar aayaa to dekhaa ki kuchh jaghen aisee hain jahana pe mujhe kuchh kuchh khatak raha hai socha aki us jaanib ishaarah kartaa chaloon ,,,,,,, magar yaad rahe ki ye meree raaye o gee koi zaree ree nahi ki aap us ko maan hi len
MATLAA me go ki ZINDAGEE ki YAAAAAAA giraayee jaa saktee hai magar yahaan is tarah gir rahe ehai ki us se sher bad haiyat hojaata hai agar aap chaahen to is ko aisaa bhi kar saktey hain
RAH E HAYAAT TERAA INTEZAAR KIYAA KARTAA
TEREY FERAAQ KE GHARIYAAN SHUMAAR KIYAA KARTAA
******************************************************
Shareek-e-maatam-e-marg-e-saba hen ehle-e-chaman
Khizaan k khoon men lithree bahaar kya karta
***************************************************************
main jurat mand sher pe aap ko hazaaron daad detaa hun
*********************************************************
Samajh raha thaa akela hoon jeet jaaun ga
Kisi ki jeet bani meri haar; …..
************************************************************
aap ka sher do lakht ho gaya hai kiun ki aap pahley micrey me 2 fareeq ki baat kar rahe hain jabki doosrey micrey me kahnaa chaahtey hain ki kisee ki aisee jeet jo meree haar ka unwaan ban gaye eusey leke kiya kartaa ,,,,,,,,,, saahab koi mafhoom nahi ban paa raha ahai
******************************************************
Chala jo main tu manzilon ne moon ko more liya
Rah-e-junoon main tujhay ikhtiyaar kya karta
*************************************************
pahley micrey me MANZILON ki wajah se bahr ka maamila aaa gayaa hai jab ki doosrey micrey me balaa ki mashhaaqee paayee jaayee jaate ehai haalan ki agar aap MANZILON ko MANAAZIL kar ketey to sher paaye ka ban jaataa
CHALAA JO MAIN TO MANAAZIL NE MUH KO MOD LIYAA
*******************************************************
Bawakt-e-marg nigah bayqarar, lab tashna
Main is say barh k tera intezaar kya karta
****************************************************************
ye sher kahta ahai ki iskaa likhne waalaa koi maamoolee shaayir nahi balki ballaa ka zaheen hai aor shaairee ke us moqaam pe hai jahaan ki log tamannaa kartey hain
hazaar daad
*****************************************************************
Ye dasaateer-e-tashnagi thay faqar meray liyay
Aye dil-e-zaar-o-lab-e-bayqaraar! kya karta
***************************************************************
pahley micrey FAQAR hai ye lafz mohmal hai smajh me hi nahi aa rahja ahai ki aap kahna akiya achaah rahey hain
bahar haal ghazal pe aap ne khoob mehnat ki hai jo aap ke badakpan ka coboot hai us pe meree daad qabool karen
******************************************************************
dastoor ki jama DASAATEER merey khiyaal se nahi aatee
*Misaal-e-Faiz koovay yaar say niklaa; vb!
Jo soovay daar na jaata, tu yaar! kya karta?
*---------------*
* refers to following sher of Faiz Ahmed Faiz
Muqaam, Faiz!, koi raah men jachaa he nahi
Jo koovay yaar say niklay tu soovay daar chalay