Ab bhi baaqee hai wasl-e-khaas kee umeed, 'abd',

by abdbundeli on August 16, 2009, 08:09:02 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1103 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
Dosto!
Pahley do asha'ar, shaayad bahut pahiley, post kiye gaye they; wahee ab (Matley key sheir mein thorhey badlaaw key saath.) gazal bankar peish hain! Mulaahazah farmaayen!

Aab aankhoun kaa, unhain bhi to pilaatee hogee!
Yaad meyree bhi unhain baarhaa aatee hogee!!

Jab kabhee khwaab-e-wasl, ro key jagaataa hogaa;
Neend ki rooh-e-paak aa key manaatee hogee!!

Baad-e-shab, baad-e-shafaq ban key, nigaahoun sey guzar;
Jaagtey khwaab bharey din ko sulaatee hogee!

Mein idhar jaagtaa rahaa hun karwateyn leytaa;
Hijra kee hook unhain bhi to jagaatee hogee!

Subah sey raat, raat sey subah hotee hogee;
Barq-e-tanhaayee unhain bhi to sataatee hogee!

Sadaa-e-dil yahaan sey jaa, waheen rahtee hogee;
Baarahaa, dil kaa shor aur barhhaatee hogee!

Jigar mein kuchh, yahaan aaney ko machaltaa hoga;
Muraad har lamhey, rah-rah key uthaatee hogee!

Ham, agar hotey beywafaa, to, mar gaye hotey!
Aatish-e-jarh hai, jo unko jalaatee hogee!!

Ab bhi baaqee hai wasl-e-khaas kee umeed, 'abd',
Khizr kee rooh unhain raah dikhaatee hogee!

                                 - abd bundeli

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hain kahaan ashk baaqee, jo hon chashm nam? by abdbundeli in Shayri for Dard -e- Judai
Umra baaqee hai, 'abd', roothney-manaaney ko!! by abdbundeli in Ghazals « 1 2  All »
Wasl to wasl hai, taahashra rahaa hai taazah! by abdbundeli in Ghazals
Par abhee intizaar baaqee hai! by abdbundeli in Shayri for Khumar -e- Ishq
Raat baaqee hai, to, baaqee hai bahut kuch ab bhee! by abdbundeli in Ghazals
salil2002
Guest
«Reply #1 on: August 16, 2009, 08:32:29 AM »
Reply with quote
bahut achche sir ji
ek aur khoobsurat ghazal aapki rachnao main izaaafa karti huyi
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #2 on: August 16, 2009, 10:23:50 AM »
Reply with quote
bahut achche sir ji
ek aur khoobsurat ghazal aapki rachnao main izaaafa karti huyi
Thanks a lot, Saahil!
             - abd bundeli
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #3 on: August 16, 2009, 11:06:13 AM »
Reply with quote
WAH WAH BUNDELI JI... WAH WAH

JASBIR SINGH
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: August 16, 2009, 12:33:35 PM »
Reply with quote
WAH WAH BUNDELI JI... WAH WAH

JASBIR SINGH
Thanks JASBIR SINGH ji!
              - abd bundeli
Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #5 on: August 16, 2009, 12:40:25 PM »
Reply with quote
kya likhtein hain abd sahab
Applause Applause Applause Applause
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #6 on: August 16, 2009, 12:58:39 PM »
Reply with quote
kya likhtein hain abd sahab
Applause Applause Applause Applause
Thanks thegrimreaper ji!
             - abd bundeli
Logged
Roja
Guest
«Reply #7 on: August 16, 2009, 04:54:21 PM »
Reply with quote
Dosto!
Pahley do asha'ar, shaayad bahut pahiley, post kiye gaye they; wahee ab (Matley key sheir mein thorhey badlaaw key saath.) gazal bankar peish hain! Mulaahazah farmaayen!

Aab aankhoun kaa, unhain bhi to pilaatee hogee!
Yaad meyree bhi unhain baarhaa aatee hogee!!

Jab kabhee khwaab-e-wasl, ro key jagaataa hogaa;
Neend ki rooh-e-paak aa key manaatee hogee!!

Baad-e-shab, baad-e-shafaq ban key, nigaahoun sey guzar;
Jaagtey khwaab bharey din ko sulaatee hogee!

Mein idhar jaagtaa rahaa hun karwateyn leytaa;
Hijra kee hook unhain bhi to jagaatee hogee!

Subah sey raat, raat sey subah hotee hogee;
Barq-e-tanhaayee unhain bhi to sataatee hogee!

Sadaa-e-dil yahaan sey jaa, waheen rahtee hogee;
Baarahaa, dil kaa shor aur barhhaatee hogee!

Jigar mein kuchh, yahaan aaney ko machaltaa hoga;
Muraad har lamhey, rah-rah key uthaatee hogee!

Ham, agar hotey beywafaa, to, mar gaye hotey!
Aatish-e-jarh hai, jo unko jalaatee hogee!!

Ab bhi baaqee hai wasl-e-khaas kee umeed, 'abd',
Khizr kee rooh unhain raah dikhaatee hogee!

                                 - abd bundeli

Bahut umda peshkash uncle ji  Thumbs UP

Bahut dhur aa gayi hu tere ghar se
Tera didar ko her nazar tarse

Vo shola ru guzar aaye jidhar se
Dhuwan se ute her chukat se

Hua hai aakash bhi aaj apna dushman
Sulagti aag si ber se a-ber se

Mukhi(Niwasi)us basti ke hai sab baraber
Sada khamosh ute her kaber se

Karam kare agar khud aa bhi jaye
Na mangenge kabhi kuch sitamgar se

Shareek-e-bazam jo hote they her shab
Chura kar aankh nikle hai "Roja" se.

(Shareek-e-bazam = Sabha mein sammalit hona)

Logged
Deepati
Guest
«Reply #8 on: August 16, 2009, 04:59:53 PM »

Bahut khoobsurat Ghazal hai, ABD JI! Applause Applause
Logged
Deepati
Guest
«Reply #9 on: August 16, 2009, 05:01:52 PM »
Reply with quote
Bahut umda peshkash uncle ji  Thumbs UP

Bahut dhur aa gayi hu tere ghar se
Tera didar ko her nazar tarse

Vo shola ru guzar aaye jidhar se
Dhuwan se ute her chukat se

Hua hai aakash bhi aaj apna dushman
Sulagti aag si ber se a-ber se

Mukhi(Niwasi)us basti ke hai sab baraber
Sada khamosh ute her kaber se

Karam kare agar khud aa bhi jaye
Na mangenge kabhi kuch sitamgar se

Shareek-e-bazam jo hote they her shab
Chura kar aankh nikle hai "Roja" se.

(Shareek-e-bazam = Sabha mein sammalit hona)

Bahut khoob, Roja Ji! Applause Applause
Logged
Roja
Guest
«Reply #10 on: August 16, 2009, 05:06:01 PM »
Reply with quote
Bahut khoob, Roja Ji! Applause Applause
Thank you very much dear Deepati
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #11 on: August 17, 2009, 05:15:48 AM »
Reply with quote
Bahut umda peshkash uncle ji  Thumbs UP

Bahut dhur aa gayi hu tere ghar se
Tera didar ko her nazar tarse

Vo shola ru guzar aaye jidhar se
Dhuwan se ute her chukat se

Hua hai aakash bhi aaj apna dushman
Sulagti aag si ber se a-ber se

Mukhi(Niwasi)us basti ke hai sab baraber
Sada khamosh ute her kaber se

Karam kare agar khud aa bhi jaye
Na mangenge kabhi kuch sitamgar se

Shareek-e-bazam jo hote they her shab
Chura kar aankh nikle hai "Roja" se.

(Shareek-e-bazam = Sabha mein sammalit hona)

Thanks a lot, Roja!

Un bin jeewan wyarth hai,
Kuchh bhee karo upaaya!
Raat na aaye; bhaley hee,
Din aaye; din jaaya!

Baadal barsey; darash ko
Tarsey, barsey nain!
Andhiyaaraa chaayaa ghanaa:
Divas huye hain rain!!

              - 'Ramwatiya'/abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #12 on: August 17, 2009, 05:21:24 AM »
Reply with quote
Bahut khoobsurat Ghazal hai, ABD JI! Applause Applause
Thanks Deepati!
        - abd bundeli
Logged
Roja
Guest
«Reply #13 on: August 17, 2009, 03:18:05 PM »
Reply with quote
Thanks a lot, Roja!

Un bin jeewan wyarth hai,
Kuchh bhee karo upaaya!
Raat na aaye; bhaley hee,
Din aaye; din jaaya!

Baadal barsey; darash ko
Tarsey, barsey nain!
Andhiyaaraa chaayaa ghanaa:
Divas huye hain rain!!

              - 'Ramwatiya'/abd bundeli

Gam ka aalam hai shab-e-tanhayi hai
Dard bankar yaad unki aayi hai

Ramwatiya, aao kahe 'Khushamudeed'
Apne ghar mein gam ki baraat aayi hai

"Roja" ke ghar mein khushi ka kaam kya?
Gam se uski gaadi chalti aayi hai..
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #14 on: August 17, 2009, 04:23:45 PM »
Reply with quote

Gam ka aalam hai shab-e-tanhayi hai
Dard bankar yaad unki aayi hai

Ramwatiya, aao kahe 'Khushamudeed'
Apne ghar mein gam ki baraat aayi hai

"Roja" ke ghar mein khushi ka kaam kya?
Gam se uski gaadi chalti aayi hai..

Thanks Roja! I'll be always there; if not physically, then through my poems, most of which are addressed to my beloved.

Woh aaye yadi dwaar par,
Deynaa usey na rok!
Swaagat ho aisaa, ki, fir
Ho har wipal ashok!

          - abd bundeli
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:15:22 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer