Ab toe apne log bhi lagte hein begaane mujhe

by mazHur on February 07, 2011, 01:06:36 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1302 times)
mazHur
Guest
Reply with quote

~~~~~~~~~~~~~~~~oOo~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Yoon lapaktay hein meri her baat per khaane mujhe
Ab toe apne log bhi lagte hein begaane mujhe.

Kia sunaoon haal e dil jab sun nay wala hee na ho
Her koi  ba-zid sunaaAy  apnay afsaane mujhe!

Kuch dinoan tak toe raha waayiz teri batoan me dum
Kheenchtay hein apni jaanib phir se  maykhane mujhe

Baat dil kee her kisi se  kar nahi sakte bayaan
Saadh lee he mein ne chup dunya na pehchaane mujhe.

Jin se mil kar khush na ho dil unse rahta hoon mein door
Paas aa jaatay hein zaalim phir bhi tarpaane mujhe.

 Shaayiree  ko kehtay hein bekaar logoan ka shagal
 Bay amal ye nukta cheen lagtay hein farzaanay mujhe.

Teri galian tera koocha tera ghar woh tere log
Tu nahi'n toe sab ke sab lagtay hein anjaane mujhe

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Apne Begaane by yammy in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
SAB MUJHE APNE LAGTE KIYON HAIN....bansi by BANSI DHAMEJA in Miscellaneous Shayri
Sahate Rahege apne dilo par lagte Kanjar,.. by pawan16 in Shairy-E-Watan
Aaj kuch naraaz se lagte hein mere mehrbaan ....mazHur by mazHur in Ghazals
Khuda Lagte Hein.............mazHur by mazHur in Miscellaneous Shayri
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #1 on: February 07, 2011, 02:52:02 PM »
Reply with quote
Bahut Khub Mazhur JI
Logged
nirala
Guest
«Reply #2 on: February 07, 2011, 06:40:55 PM »
Reply with quote
badhiya Ghazal
Logged
sbechain
Guest
«Reply #3 on: February 12, 2011, 09:56:56 AM »
Reply with quote

~~~~~~~~~~~~~~~~oOo~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Yoon lapaktay hein meri her baat per khaane mujhe
Ab toe apne log bhi lagte hein begaane mujhe.

Kia sunaoon haal e dil jab sun nay wala hee na ho
Her koi  ba-zid sunaaAy  apnay afsaane mujhe!

Kuch dinoan tak toe raha waayiz teri batoan me dum
Kheenchtay hein apni jaanib phir se  maykhane mujhe

Baat dil kee her kisi se  kar nahi sakte bayaan
Saadh lee he mein ne chup dunya na pehchaane mujhe.

Jin se mil kar khush na ho dil unse rahta hoon mein door
Paas aa jaatay hein zaalim phir bhi tarpaane mujhe.

 Shaayiree  ko kehtay hein bekaar logoan ka shagal
 Bay amal ye nukta cheen lagtay hein farzaanay mujhe.

Teri galian tera koocha tera ghar woh tere log
Tu nahi'n toe sab ke sab lagtay hein anjaane mujhe

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

behtreen mazhur sahab
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 06:12:04 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.094 seconds with 21 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer