ABHI KUCH DAIR AUR RAHNAY DOU

by muneeb on September 01, 2004, 08:05:49 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1426 times)
muneeb
Guest
Reply with quote
apnay haaton ki pouro ki hiddat

jinoh nay meray haton ko chowa tha

tho jaisay daf atan

dil-e-sahra mai barish-e-wafa ka chal para tha silsila sa

ABHI KUCH DAIR AUR RAHNAY DOU

apni nazrain joh takra gaye thi achanak

tho yeh gumaan sa howa tha

wakt jaisay tham sa gya hai

laboun sai ada na ho sakki thi

kitni unkahi batain phir bhi

aankhon nay bila rukay kha thi dali

phir jhuk bhi tou gaye thi sharma kay

ABHI KUCH DAIR AUR RAHNAY DOU

apni khuli zulfon ko yonhi hawa mai lahratay

kay dil ab tak iss manzar say bhara nahi hai

hawain jo in zulfon mai say hotay howay mujh tak phohanchti thi

tho yakeen jano kay mai

baghe-e-bhayshat ki pur muatar hawaon mai rach bas jata tha

ABHI KUCH DAIR AUR RAHNAY DOU

woh chahray ki muskan

apnay chahray par bantay bigartay zawiyah

jin ki masoomiat par

mai hans parta tha

ABHI KUCH DAIR AUR RAHNAY DOU

woh saray kissay

woh sari batain

woh sari yadain

woh saray manzar

dil ab tak muztarib hai

faryad yehi kar raha hai

woh sara wakt jo aik pal mai hai beeta

beet gya hai

sou ussay gzar bhi jana tha

magar woh kash betta thahar thahar kar

kai sadyon ka safr hota inkay darmayan

zindagi kab shoro ho kar khatam bhi ho jate

pata bhi na chalta

so apni,dil ki, yadoon ki

tasweer unn haseen mulakaton ki

yehi khati hai

yehi khati rahay gi

ABHI KUCH DAIR AUR RAHNAY DOU

ABHI KUCH DAIR AUR RAHNAY DOU
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 06:58:10 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer