Adami adami ko kaya dega...

by Pooja on August 31, 2007, 07:44:25 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 2666 times)
Roja
Guest
«Reply #15 on: January 29, 2008, 02:50:59 AM »
Reply with quote
Wah kya khoob likha hai aapne Pooja di and Kwaish ji... bahut accha laga padkar
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Main doobonga to sahara dega… by chahat in SMS , mobile & JOKES
Kaya kahun ki kaya baat hain in baaton main by siddharth gautam in Shayri for Khumar -e- Ishq
Kaya kahun ki kaya baat hain in baaton main by siddharth gautam in Shayri for Khumar -e- Ishq
Aam adami by bekarar in Miscellaneous Shayri
EK AANSU BHI GIRA TO SUNAI DEGA by amarhellboy in Shayri-E-Dard
Roja
Guest
«Reply #16 on: January 29, 2008, 02:53:47 AM »
Reply with quote
Yahan aadmi her sataya hua hai
Shehar jungalon sa jalaya hua hai

Sabhi oor murda tanon ki numayish
Shehar fir lahoo se nahaya hua hai

Kahin zindagi ab na dikhti hame hai
Yahan maut ka darr samaya hua hai

Ye aansoo hai inko na pani kaho tum
Ye saanson se pattar galaya hua hai

Aanchal main le lo diya aarti ka
Yahan aaj toofan aaya hua hai

Chila hai jo kanton se tann dosh kiska
Yeh pauda hamara lagaya hua hai

Chalo ab kahin aur chalkar rahe hum
Shehar ab hamara paraya hua hai
Logged
punam
Guest
«Reply #17 on: January 29, 2008, 01:17:59 PM »
Reply with quote
wowwww di bahot khoob likha aapne...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #18 on: January 29, 2008, 06:43:31 PM »
Reply with quote
bahoot khoob Roja!!!!!
Logged
Rai
Guest
«Reply #19 on: January 31, 2008, 06:26:16 AM »
Reply with quote
gr8 pooja ji bohat achi ghazl ha maza aa gaya perh kar.
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #20 on: February 26, 2008, 12:04:02 PM »
Reply with quote
Bohat acha hai Roja aur majid ji.


Woh kaun hai jisko duniya mein gam nahi hai
Jiske ghar mein khushi hai aur dukh nahi hai

Aise log hai joh duniya mein jineh gam nahi hota
Ek hum hai iss duniya mein hamari kam nahi hoti

Kuch log hote hai kam bigad dete hai..
Par yehi toh duniya ka anth nahi hota..

kabhi duniya mukkammal bana jati hai
Kabhi sunn saan lagti duniya hai..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #21 on: February 26, 2008, 06:06:33 PM »
Reply with quote
bahoot khoob majid and honey!!!

Merey wahm-o- guman se bhi zyada toot jata hai.
Ye dil apni hadoon mein reh kar itna toot jata hai.

Mein roaoon to daro dewar mujh pey hansney lagtey hain.
Hansoon to merey andar janey kya kya toot jata hai.

Mein jis lamhey ki khawahish mein safar karta hoon sadyoon sey.
Kahin paoon taley aa kar who lamha toot jata hai.

Merey khwaboon ki basti sey janazey uthtey jatey hain.
Meri aankhein jisey choo lein who sapna toot jata hai.

Najaney kitni mudat se hai dil mein ye amal jari
Zara si thees lagti hai zara sa toot jata hai

Dil e nadan hamari to namo hi na muqamal thi
To herat kya jo bantey hi irada toot jata hai

Muqadar mein merey sagar shikast o rekhat itni hai
Mein jis ko apna keh doon who sitara toot jata hai……………..


Syed Bilal
Logged
Roja
Guest
«Reply #22 on: February 27, 2008, 04:02:09 PM »
Reply with quote
Thanks Rahul Ji!!

Admi admi ko kaya dega
jo bhi dega wo khuda dega

ansuo ki keemat laga le ajj tu bhi
ek din yah sari keemat, khud hi chuka dega

wafa ke naam per dete rahe jo umarbhar dhoka
ek din tujhko wafa ka matlab wo samjha dega

zindagi rahi sari teri fareb ki sathi
khud ka yah fareb ek din tujhe hilla dega

admi admi ko kaya dega
jo bhi dega wo khuda dega

wow something different and nice to read didi. Keep up.
Logged
Roja
Guest
«Reply #23 on: February 27, 2008, 04:03:36 PM »
Reply with quote
wowwww di bahot khoob likha aapne...

Thanks Punam
Logged
Roja
Guest
«Reply #24 on: February 27, 2008, 04:05:50 PM »
Reply with quote
bahoot khoob Roja!!!!!

Thanks Pooja di..

Thanks Honey, good very good lines u shared and

Nice lines Majid ji... Daad kabul kijiyega
Logged
Pooja
Guest
«Reply #25 on: May 05, 2008, 11:34:50 PM »
Reply with quote
gam-e-aashiyaana sataayega kab tak
mujhe mera dil yoon rulaayega kab tak

bana kar bigaade hain ghar tuune laakhon
falak ye tamaashe dikhaayega kab tak

sitam aaj karte hain insaan pe insaan
tu insaan ko insaan banaayega kab tak

teri aaj duniya jahannum bani hai
tu shaan-e-kudaai chhipaayega kab tak (NM)
Logged
Pooja
Guest
«Reply #26 on: May 05, 2008, 11:38:53 PM »
Reply with quote
wonderfull..awesum Pooja sis..baat kyun nahi bani..baat to superhit bani hai..Bahut hi acha likha hai sis..aate hi aapki shayari padhne ko mili woww

I just love this gazal n the other one too..

koi yeh kaise bataye ke woh tanha kyun hai
woh jo apna hua karta tha woh aaj aur kissi ka kyun hai

hummm sahi kaha nikki... kaise ek jaissa dard hai dunia main.. Phir bhi sambhlta koi nahi .....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #27 on: May 05, 2008, 11:42:26 PM »
Reply with quote
BAHUT KHOOB POOJA...EK KOSHISH

AADMI AADMI KO KYA DEGA
JO BHI DEGA WOH KHUDA DEGA

KYON JALATA HAI TU UMEED KA CHIRAG
JISSE EK DIN TU KHUD HI BHUJA DEGA
AADMI AADMI KO KYA DEKHA

NA KAHO KE WOH KHUDA HAI MOHABBAT MEIN
INSAAN PAR KYA BHAROSA,INSAAN KABHI BHI DAGA DEGA

KHUSHIYON UNHI LOGON SE KHUD SE MILTI HAI
JO GHAM KO APNE MUSKURAKAR
APNE ZINDAGI KO SAJA DEGA

AADMI AADMI KO KYA DEKHA
JO BHI DEGA
WOH KHUDA DEGA


Adami Adami ko kaya dega
timtimaati umeend ko bhi bujha dega

Kis khuda se karu ajj main shikayat
wo hi khuda kal, phir ansoo dega

Kismat ka hai kheil, kis se laru e-takdeer
mere karmo ka likha, to sirf zakham dega

Adami adami ko kaya dega
waqat anne pe, khud ka dil bhi daga dega
Logged
Pooja
Guest
«Reply #28 on: August 05, 2008, 07:56:11 PM »
Reply with quote
Adami Adami ko kaya dega
jo wafa kare, use wafa karne ki saja dega

Ansoo thumte nahi ajj, na jaane kaya dil main aai hai
janta hai yah dil, yah jaan kar wo dil se muskura dega
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:00:36 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer