AISA NAHIN KE TUM SE MUHABBAT NAHIN MUJHE (Waquif Ansari)

by waquif ansari on September 23, 2009, 09:11:21 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2275 times)
waquif ansari
Guest
Reply with quote
Aisa nahiN ke tum se muhabbat nahiN mujhe
Lekin gham-e-ma-aash se fursat nahiN mujhe

Din raat chaahne ki saza mil hi jaayegi
JaaN se chala bhi jaaooN shikayat nahiN mujhe

Ta-umr tum pe apni nichhawar main jaaN karooN
Tum kya samajh rahe ho mahaarat nahiN mujhe

Mujh se zamaane bhar ko adaawat so hai to hai
Lekin zamaane bhar se adaawat nahiN mujhe

Jitna bhi ji meiN aaye sitam mujh pe tum karo
Tum se karooN maiN shikwa ye haajat nahiN mujhe

Duniya ko aaj meri zaroorat to hai magar
Duniya ki aaj koi zaroorat nahiN mujhe
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #1 on: September 23, 2009, 09:37:53 AM »
Reply with quote
Wah wah Ansari saheb
bahut khoob bahut khoob
Bilkul classical style me ghazal kahi hai aapne, wah wah
Logged
HumTum
Guest
«Reply #2 on: September 23, 2009, 09:42:25 AM »
Reply with quote
Bagawaat par utther aaye Waquil Sahab .... khayaal accha hai ... haan uska sath mil jaye to duniya ki zaruurat kise hai ....


Iske Siwa NahiN Aur Khu-E-Dil
Sath Ho Tera JaanaN Mujhko Hasil
Dil Mein Tum Apne Mujhko Basa Lo
Bhatkate Musafir Ko Mil Jaye Manzil !!


HumTum


Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #3 on: September 23, 2009, 09:44:42 AM »
Reply with quote
My Dear Sarvesh Rastogi! Thanks for your valuable comments.
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: September 23, 2009, 03:41:48 PM »
Reply with quote
"Mujh se zamaane bhar ko adaawat so hai to hai
Lekin zamaane bhar se adaawat nahiN mujhe"

Waah...Bohot Khoob Waquif Sahab

NIce lines Hum Tum Ji
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #5 on: September 23, 2009, 03:44:54 PM »
Reply with quote
bahut khub accha likha h ansari ji apne
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #6 on: September 24, 2009, 09:56:24 AM »
Reply with quote
Thanks for valuable comments given by Hum Tum, Celmira, Rishi Agarwal.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: September 24, 2009, 10:09:45 AM »
Reply with quote
Mashallah, BOhat Achchi Ghazal Hai, BOhat Khoob
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #8 on: September 25, 2009, 10:20:28 AM »
Reply with quote
Azeem Sahab aapki nawazish ka shukriya.
Logged
Roja
Guest
«Reply #9 on: September 27, 2009, 03:43:04 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Waquif Ansari ji  Applause Applause

Nice lines Humtum ji

Logged
drpandey
Guest
«Reply #10 on: March 15, 2010, 12:41:16 PM »
Reply with quote
Aisa nahiN ke tum se muhabbat nahiN mujhe
Lekin gham-e-ma-aash se fursat nahiN mujhe

Din raat chaahne ki saza mil hi jaayegi
JaaN se chala bhi jaaooN shikayat nahiN mujhe

Ta-umr tum pe apni nichhawar main jaaN karooN
Tum kya samajh rahe ho mahaarat nahiN mujhe

Mujh se zamaane bhar ko adaawat so hai to hai
Lekin zamaane bhar se adaawat nahiN mujhe

Jitna bhi ji meiN aaye sitam mujh pe tum karo
Tum se karooN maiN shikwa ye haajat nahiN mujhe

Duniya ko aaj meri zaroorat to hai magar
Duniya ki aaj koi zaroorat nahiN mujhe
Wah Ansari sahab, aap to ghazal ke bemishal baadshah hain..ham aapke qaayal hain..
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #11 on: March 15, 2010, 08:03:49 PM »
Reply with quote
naaaaaaaaaaaice W.A Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #12 on: March 15, 2010, 09:41:55 PM »
Reply with quote
Wah wah Ansari ji bahut pyari gazal hai.lovely creation.excellent.keep it up. Hats off to you! Applause Applause Applause Applause Applause Applause Thumbs UP
Logged
khujli
Guest
«Reply #13 on: July 16, 2011, 12:08:57 PM »
Reply with quote
Aisa nahiN ke tum se muhabbat nahiN mujhe
Lekin gham-e-ma-aash se fursat nahiN mujhe

Din raat chaahne ki saza mil hi jaayegi
JaaN se chala bhi jaaooN shikayat nahiN mujhe

Ta-umr tum pe apni nichhawar main jaaN karooN
Tum kya samajh rahe ho mahaarat nahiN mujhe

Mujh se zamaane bhar ko adaawat so hai to hai
Lekin zamaane bhar se adaawat nahiN mujhe

Jitna bhi ji meiN aaye sitam mujh pe tum karo
Tum se karooN maiN shikwa ye haajat nahiN mujhe

Duniya ko aaj meri zaroorat to hai magar
Duniya ki aaj koi zaroorat nahiN mujhe



 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
sbechain
Guest
«Reply #14 on: August 03, 2011, 09:25:53 PM »
Reply with quote
Aisa nahiN ke tum se muhabbat nahiN mujhe
Lekin gham-e-ma-aash se fursat nahiN mujhe

Din raat chaahne ki saza mil hi jaayegi
JaaN se chala bhi jaaooN shikayat nahiN mujhe

Ta-umr tum pe apni nichhawar main jaaN karooN
Tum kya samajh rahe ho mahaarat nahiN mujhe

Mujh se zamaane bhar ko adaawat so hai to hai
Lekin zamaane bhar se adaawat nahiN mujhe

Jitna bhi ji meiN aaye sitam mujh pe tum karo
Tum se karooN maiN shikwa ye haajat nahiN mujhe

Duniya ko aaj meri zaroorat to hai magar
Duniya ki aaj koi zaroorat nahiN mujhe


bahut khoob . kya practical baat ki hai aapne ansari ji



 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:25:18 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.173 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer