AJEEB PYAAS KA IZHAAR CHHOD AAYA THA

by waquif ansari on September 30, 2009, 09:28:21 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1110 times)
waquif ansari
Guest
Reply with quote
Taghaiyuraat ke aasaar chhoD aaya tha
DiloN meiN jazba-e-isaar chhoD aaya tha

Nizaam-e-dasht-e-atash meiN laboN pe pyaas liye
Ajeeb pyaas ka izhaar chhoD aaya tha

Ulat-palat ke jise dekhte haiN ahle-khirad
Mushaahedaat ka ambaar chhoD aaya tha

Na bujh sakegi kabhi dard ki hai chingaari
MaiN jis ko aur sharar-baar chhoD aaya tha

Wo ban gaya hai zamurrad zameen ka jis ko
Hudud-e-dasht meiN beemaar chhoD aaya tha

Likhe to baarha jaayeNge mujh pe afsaane
Nazeer aisi sar-e-daar chhoD aaya tha

Mili hai usko na jaane kahaaN ki dastaari
Jo sar bachaane ko dastaar chhoD aaya tha

KahaN se aa gayee ghaflat zara dimaagh se pooch
MaiN ahle-dil ko khabardaar chhoD aaya tha

Ye zindagi ki alaamat hai is liye “Waquif”
Naway-e-waqt ko bedaar chhoD aaya tha
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #1 on: September 30, 2009, 11:23:47 AM »
Reply with quote
Nice Applause Applause
Logged
Roja
Guest
«Reply #2 on: September 30, 2009, 03:41:14 PM »
Reply with quote
Taghaiyuraat ke aasaar chhoD aaya tha
DiloN meiN jazba-e-isaar chhoD aaya tha

Nizaam-e-dasht-e-atash meiN laboN pe pyaas liye
Ajeeb pyaas ka izhaar chhoD aaya tha

Ulat-palat ke jise dekhte haiN ahle-khirad
Mushaahedaat ka ambaar chhoD aaya tha

Na bujh sakegi kabhi dard ki hai chingaari
MaiN jis ko aur sharar-baar chhoD aaya tha

Wo ban gaya hai zamurrad zameen ka jis ko
Hudud-e-dasht meiN beemaar chhoD aaya tha

Likhe to baarha jaayeNge mujh pe afsaane
Nazeer aisi sar-e-daar chhoD aaya tha

Mili hai usko na jaane kahaaN ki dastaari
Jo sar bachaane ko dastaar chhoD aaya tha

KahaN se aa gayee ghaflat zara dimaagh se pooch
MaiN ahle-dil ko khabardaar chhoD aaya tha

Ye zindagi ki alaamat hai is liye “Waquif”
Naway-e-waqt ko bedaar chhoD aaya tha

Bahut bahut khoob  Applause Applause Applause Keep up Waquif sb
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #3 on: October 01, 2009, 12:34:35 AM »
Reply with quote
Wah bahut khoob Ansari ji,beautiful gazal,excellent icon_thumleft Applause Applause Applause Applause
Logged
mazHur
Guest
«Reply #4 on: October 09, 2009, 01:57:24 PM »
Reply with quote
Taghaiyuraat ke aasaar chhoD aaya tha
DiloN meiN jazba-e-isaar chhoD aaya tha

Nizaam-e-dasht-e-atash meiN laboN pe pyaas liye
Ajeeb pyaas ka izhaar chhoD aaya tha

Ulat-palat ke jise dekhte haiN ahle-khirad
Mushaahedaat ka ambaar chhoD aaya tha

Na bujh sakegi kabhi dard ki hai chingaari
MaiN jis ko aur sharar-baar chhoD aaya tha

Wo ban gaya hai zamurrad zameen ka jis ko
Hudud-e-dasht meiN beemaar chhoD aaya tha

Likhe to baarha jaayeNge mujh pe afsaane
Nazeer aisi sar-e-daar chhoD aaya tha

Mili hai usko na jaane kahaaN ki dastaari
Jo sar bachaane ko dastaar chhoD aaya tha

KahaN se aa gayee ghaflat zara dimaagh se pooch
MaiN ahle-dil ko khabardaar chhoD aaya tha

Ye zindagi ki alaamat hai is liye “Waquif”
Naway-e-waqt ko bedaar chhoD aaya tha



lovely!!



I liked this verse

<<<<<<<<Likhe to baarha jaayeNge mujh pe afsaane
Nazeer aisi sar-e-daar chhoD aaya tha
<<<<<<<<<<<


shikast-e-dil kee ho aawaaz kion na dheemi see
mein shor-e-hasti ko dildaar chhoD aaya tha!
maz   
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #5 on: October 09, 2009, 02:32:03 PM »
Reply with quote
Waah waah Kya baat hai Bahoot Bahoot Khoob !
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #6 on: October 14, 2009, 11:23:44 AM »
Reply with quote


lovely!!



I liked this verse

<<<<<<<<Likhe to baarha jaayeNge mujh pe afsaane
Nazeer aisi sar-e-daar chhoD aaya tha
<<<<<<<<<<<


shikast-e-dil kee ho aawaaz kion na dheemi see
mein shor-e-hasti ko dildaar chhoD aaya tha!
maz   

Mazhur Saheb aapki hausla afzai ka shukriya aur sath sath isi bahr meiN aik sher inaayat karne ka bhi shukriya. Khubsurat sher kahte haiN aap. Shukriya janaab.
Logged
mazHur
Guest
«Reply #7 on: October 14, 2009, 12:02:17 PM »
Reply with quote
aapki shairee me tagazzul aur wazan hota he jo ashaar kee khoobsoorti me izafa kar deta he.
s forum per koi koi hee shairee ke pech o kham jaanta he!
keep up the good work!
mazHur
Logged
drpandey
Guest
«Reply #8 on: January 29, 2010, 04:19:23 AM »
Reply with quote
Bahut khoob  Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
drpandey
Guest
«Reply #9 on: January 29, 2010, 04:20:13 AM »
Reply with quote
Taghaiyuraat ke aasaar chhoD aaya tha
DiloN meiN jazba-e-isaar chhoD aaya tha

Nizaam-e-dasht-e-atash meiN laboN pe pyaas liye
Ajeeb pyaas ka izhaar chhoD aaya tha

Ulat-palat ke jise dekhte haiN ahle-khirad
Mushaahedaat ka ambaar chhoD aaya tha

Na bujh sakegi kabhi dard ki hai chingaari
MaiN jis ko aur sharar-baar chhoD aaya tha

Wo ban gaya hai zamurrad zameen ka jis ko
Hudud-e-dasht meiN beemaar chhoD aaya tha

Likhe to baarha jaayeNge mujh pe afsaane
Nazeer aisi sar-e-daar chhoD aaya tha

Mili hai usko na jaane kahaaN ki dastaari
Jo sar bachaane ko dastaar chhoD aaya tha

KahaN se aa gayee ghaflat zara dimaagh se pooch
MaiN ahle-dil ko khabardaar chhoD aaya tha

Ye zindagi ki alaamat hai is liye “Waquif”
Naway-e-waqt ko bedaar chhoD aaya tha
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #10 on: January 29, 2010, 09:26:53 AM »
Reply with quote

Bahut bahut shukriya drpandey saheb.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:58:10 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer