Allah Ke Ghar

by Jaanasheen on March 16, 2006, 10:22:54 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2077 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Reply with quote
Mayoos Kabhi Hota Nahi Jisko Yakheen Hai,..
Allah Ke Ghar Deir Hai Andher Nahi Hai,..

Machli Ka Pet Ban Gaya Insan Ka Saya,..
Us Benayaz Zaat Ne Yunus ko Bachaya,..

Jab Aag Se Namrud Ka Bazar Garam Tha,..
Uske Karm Ne Aag Ko Murdaar Banaya,..

Wo Door Hai Kab Dil Mein Poshanasheen Hai,.
Allah Ke Ghar Deir Hai Andher Nahi Hai,..

Mushkil Mein Jab Na Aya Nazar Koi Sahara..
Musa Ne Ankhein Band Ki Maula Ko Pukara,..

Age Tha Nile, Peeche Thi Firon Ki Faujein,..
Kisne Banaya Nile Ki Maujon Ko Kinara,..

Itna Kareen Rehnumaan Socho To Kaheen Hai,..
Allah Ke Ghar Deir Hai Andher Nahi Hai,..

Halat Se Imaan Ko Tola Nahi Karte,..
Allah Ke Bande Kabhi Shikwa Nahi Karte,..

Ye Rasm Sikhayi Hai Hussain Ibn-e- Ali Ne...
Jidhar Sajde Mein Ho Teeron Ko Dekha Nahi Karte,..

Sajdon se Jo Roshan Hai Wo Momin Ki Jabeen Hai,..
Allah Ke Ghar Deir Hain Andher Nahi Hai,..

Umeed Ka Daman Na Kisi Haal Mein Chordo,..
Ghabrao Nahi, Sabr Ki Deewar Na Tordo,.,..

Taqhwaa Ho Agar Dil Mein To Milti Hai Khudai
Us Zaat  Bina Koun Sune Teri Duhai,..

Wo Zaat Jo Har Shaqs Ki Shehrat Mein Makeen Hai,..
Allah Ke Ghar Deir Hai Andher Nahi Hai,..

Mayoos Hota Nahi Jis Ko Yakheen Hai,..
allah Ke Ghar Deir Hai Andher Nahi Hai,..





Logged
jugnu
Guest
«Reply #1 on: March 16, 2006, 10:44:44 AM »
Reply with quote
wah wah jaanasheen ji, bahut achha likha hai aap ne ! keep it up

Duniyaa  se  dil  lagaakar  duniyaa  se  kyaa  milegaa
yaad-e-Khudaa  kiye  jaa  tujh  ko  Khudaa  milegaa !

daulat  ho  yaa  hukuumat  taaqat  ho  yaa  javaanii
har  chiiz  mitane  vaalii  har  chiiz  aanii-jaanii
ye  sab  Guruur  ik  din  mittii  mein  jaa  milegaa !

aataa  nahiin  palatakar  guzaraa  huaa  zamaanaa
kya  Khvaab  kaa  bharosaa  kyaa  maut  kaa  Thikaanaa
ye  zindagii  ganvaa  kar  kyaa  faayadaa  milegaa !

duniyaa  se  dil  lagaakar  duniyaa  se  kyaa  milegaa
yaad-e-Khudaa  kiye  jaa  tujh  ko  Khudaa  milegaa !
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: March 17, 2006, 09:02:04 AM »
Reply with quote
Shukriya Jugnu Ji
Ye Gulam Ali Ji Ki Gazal Hai..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: April 21, 2006, 08:14:35 AM »
Reply with quote
Pyaar Tera Mujhe Gazal Likhne Par Majboor Kar Raha Hai,..
Par Kya Karoon Teri Bewaafai Ne Ashyar Hi Nahi Chorde,..
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:24:40 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer