"ana ko apni darkinaar karna hai"

by aaina on September 06, 2009, 01:21:48 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1917 times)
aaina
Guest
Reply with quote
Ana ko apni darkinaar karna hai
Mujhay ab tera intezaar karna hai

Manzil e ishq ko paane ke liyn
Hadood e dunaya ko paar karna hai

Ye dooriyaa.n khatm hongi kabhi
Hai to mushil magr eytebar karna hai

Ye saanse.n jo ab talak meri thin
Inpar ab tujko ikhteyaar karna hai

Meri mohabbat ka kuch hisaab nahi
Piyaar tujhay beshumaar karna hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~~"APNI MOHABBAT ME DHOKHA KHAYE HAI"~~ by k.shael in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
"hosle apni udaano ke" by aaina in Shayri for Khumar -e- Ishq
"fana hoke apni baqa chahta hu.n" by aaina in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
"agar tum kaho to apni jaan de du.n mein" by aaina in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
dosti karna to bas aise hi karna "manjum" by manjum in Shairi - E - Zindagi
Roja
Guest
«Reply #1 on: September 06, 2009, 04:48:34 AM »
Reply with quote
Ana ko apni darkinaar karna hai
Mujhay ab tera intezaar karna hai

Manzil e ishq ko paane ke liyn
Hadood e dunaya ko paar karna hai

Ye dooriyaa.n khatm hongi kabhi
Hai to mushil magr eytebar karna hai

Ye saanse.n jo ab talak meri thin
Inpar ab tujko ikhteyaar karna hai

Meri mohabbat ka kuch hisaab nahi
Piyaar tujhay beshumaar karna hai


 Applause Applause Applause Applause Applause

Wonderful Gazal dear Aslam...

Bahut accha laga padkar. Thumbs UP icon_thumleft
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #2 on: September 06, 2009, 05:24:25 AM »
Reply with quote
Wah wah bahut khoob Aslam ji beautiful gazal.wonderful creation.excellent Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: September 06, 2009, 11:05:29 AM »
Reply with quote
Aapka Har Kalaam Kisi Shahkaar Se Kam Nahin,
Hum Ko Aaj Aap Se Ye Aiteraaf Karna Hai !!  icon_salut


Mashallah Aslam Ji, aapki ghazalon ki taareef karte karte humare lafz khatam hone ko aa gaye...Bohot dilkash kalam hai aapka....Allah aapke hunar ko yunhi barqarar rakhe, ameen.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: September 06, 2009, 11:18:55 AM »
Reply with quote
Bahut bahut Khoob Aslamji..

Humesha Ki tarah Lajawab!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
aaina
Guest
«Reply #5 on: September 07, 2009, 02:25:05 PM »
Reply with quote

 Applause Applause Applause Applause Applause

Wonderful Gazal dear Aslam...

Bahut accha laga padkar. Thumbs UP icon_thumleft





thnxxx so much roja.....................
Logged
aaina
Guest
«Reply #6 on: September 07, 2009, 02:25:48 PM »
Reply with quote
Wah wah bahut khoob Aslam ji beautiful gazal.wonderful creation.excellent Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


thnxxx madhu ji bhut bhut shukriya
Logged
aaina
Guest
«Reply #7 on: September 07, 2009, 02:31:00 PM »
Reply with quote
Bahut bahut Khoob Aslamji..

Humesha Ki tarah Lajawab!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley



bhut bhut shukriya khwaihs dear
Logged
aaina
Guest
«Reply #8 on: September 07, 2009, 02:34:00 PM »
Reply with quote
Aapka Har Kalaam Kisi Shahkaar Se Kam Nahin,
Hum Ko Aaj Aap Se Ye Aiteraaf Karna Hai !!  icon_salut


Mashallah Aslam Ji, aapki ghazalon ki taareef karte karte humare lafz khatam hone ko aa gaye...Bohot dilkash kalam hai aapka....Allah aapke hunar ko yunhi barqarar rakhe, ameen.



thnxxxxxx alot talat aap bhi, youn hi hosla badhaati rahiye god bless  u
Logged
Aaisha
Guest
«Reply #9 on: September 07, 2009, 04:24:31 PM »
Reply with quote
Door to gaye ho mujhse is kadar
ki bas ab apni mahobbat se tumhe bekrar karna he
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #10 on: September 07, 2009, 04:27:10 PM »
Reply with quote
Waah Bahoot Bahoot Khoob Aslam ji ,. Bahoot khoob!
Logged
Roja
Guest
«Reply #11 on: September 08, 2009, 03:05:33 AM »
Reply with quote
Saal-o-saal beet jaate hai
Fir bhi kuch log yaad aate hai

Jab kabhi unka jikr aata hai
Ashq pehron mujhe rulate hai

Kabhi roshan thi zindagi meri
Ab andheron mein dil jalate hai

Jab vo aate, bahar aa jaati
Ab baharon ke khwaab aate hai

Zindagi bhoj hai bigair unke
Ek majburi hai dil ki, utate hai

Kaun sunta hai dastane meri
Ab toh diwaron ko haal apna sunate hai




 Usual Smile
Logged
fairykhan
Guest
«Reply #12 on: September 08, 2009, 06:42:53 AM »
Reply with quote
ARY WAH JANAB KIA BAAT HAI
BHT HI KHOOBBBBBBBBBBB
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #13 on: September 08, 2009, 10:59:49 AM »
Reply with quote
...really good ghazal...keep it up Aaina...
Logged
HumTum
Guest
«Reply #14 on: September 09, 2009, 08:52:29 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob DoostooN ... Kuch Arz Hai ...


Phir Ishq Ka Woh Safar Yaad Aaya
Terii Galii, Tera Ghar Yaad Aaya

Jha Gaye The Kabhi Ishq ke Fasane
Woh ZameeN Woh Shajaar Yaad Aaya
(Shajaar = Tree)

Lo Phir Bhul Gya Mein Ghar Ka Rasta
KyuN Teraa Raah_Guuzar Yaad Aaya

Kal Shab Dekhaa Jo Meiney Aaina To
Tera Pathar aur Mera Sir Yaad Aaya

Tham Na Paya Tha Zor_E_TufaN Hanoz
Aur Teraa Waqt_E_Safar Yaad Aaya
(Hanoz = Yet)

Ik Boond Paani Ko Tarasta Hai Jigar
Sehraa Ko Dekh Kar Ghar Yaad Aaya

Phir Kissi Majnuu Ka Dil Tootaa
Phir Apnaa Khoon_E_Jigar Yaad Aaya

Cla Jaaungaa Mein Usko Bhi Chod Kar
Ghar Teraa Khuld Mein Gar Yaad Aaya!!
(Khuld=heaven/paradise)

HumTum
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 14, 2025, 10:05:18 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.186 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer