"ana ko apni darkinaar karna hai"

by aaina on September 06, 2009, 01:21:48 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 1904 times)
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #15 on: September 09, 2009, 08:55:18 AM »
Reply with quote
...excellent HumTum...really good one...

...kabhi dil jala karte the roshnaai ke liye,
hame har waqt wohi manzar yaad aaya,
chale the hawaao ko lekar hum apne saath,
aag na bujhi kabhi, thaka sa mera bashar yaad aaya...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~~"APNI MOHABBAT ME DHOKHA KHAYE HAI"~~ by k.shael in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
"hosle apni udaano ke" by aaina in Shayri for Khumar -e- Ishq
"fana hoke apni baqa chahta hu.n" by aaina in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
"agar tum kaho to apni jaan de du.n mein" by aaina in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
dosti karna to bas aise hi karna "manjum" by manjum in Shairi - E - Zindagi
aaina
Guest
«Reply #16 on: September 13, 2009, 01:32:23 AM »
Reply with quote
Door to gaye ho mujhse is kadar
ki bas ab apni mahobbat se tumhe bekrar karna he


bhut achay aaisha ji.......................
Logged
aaina
Guest
«Reply #17 on: September 13, 2009, 01:33:10 AM »
Reply with quote
Waah Bahoot Bahoot Khoob Aslam ji ,. Bahoot khoob!



thnxxxx so much Sophi
Logged
aaina
Guest
«Reply #18 on: September 13, 2009, 01:34:18 AM »
Reply with quote
Saal-o-saal beet jaate hai
Fir bhi kuch log yaad aate hai

Jab kabhi unka jikr aata hai
Ashq pehron mujhe rulate hai

Kabhi roshan thi zindagi meri
Ab andheron mein dil jalate hai

Jab vo aate, bahar aa jaati
Ab baharon ke khwaab aate hai

Zindagi bhoj hai bigair unke
Ek majburi hai dil ki, utate hai

Kaun sunta hai dastane meri
Ab toh diwaron ko haal apna sunate hai




 Usual Smile




waah waah roja dear bhut hi ahca likha hai bhut khoobsurt ghazal daad hazir hai
Logged
aaina
Guest
«Reply #19 on: September 13, 2009, 01:35:20 AM »
Reply with quote
ARY WAH JANAB KIA BAAT HAI
BHT HI KHOOBBBBBBBBBBB


thxxxxxxx fairykhan
Logged
aaina
Guest
«Reply #20 on: September 13, 2009, 01:36:16 AM »
Reply with quote
...really good ghazal...keep it up Aaina...


bhut bhut shukriya J_H_L
Logged
aaina
Guest
«Reply #21 on: September 13, 2009, 01:37:05 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob DoostooN ... Kuch Arz Hai ...


Phir Ishq Ka Woh Safar Yaad Aaya
Terii Galii, Tera Ghar Yaad Aaya

Jha Gaye The Kabhi Ishq ke Fasane
Woh ZameeN Woh Shajaar Yaad Aaya
(Shajaar = Tree)

Lo Phir Bhul Gya Mein Ghar Ka Rasta
KyuN Teraa Raah_Guuzar Yaad Aaya

Kal Shab Dekhaa Jo Meiney Aaina To
Tera Pathar aur Mera Sir Yaad Aaya

Tham Na Paya Tha Zor_E_TufaN Hanoz
Aur Teraa Waqt_E_Safar Yaad Aaya
(Hanoz = Yet)

Ik Boond Paani Ko Tarasta Hai Jigar
Sehraa Ko Dekh Kar Ghar Yaad Aaya

Phir Kissi Majnuu Ka Dil Tootaa
Phir Apnaa Khoon_E_Jigar Yaad Aaya

Cla Jaaungaa Mein Usko Bhi Chod Kar
Ghar Teraa Khuld Mein Gar Yaad Aaya!!
(Khuld=heaven/paradise)

HumTum




khoob bhut khoob humtum
Logged
Alam Qazi
Guest
«Reply #22 on: September 13, 2009, 03:42:39 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob DoostooN ... Kuch Arz Hai ...


Phir Ishq Ka Woh Safar Yaad Aaya
Terii Galii, Tera Ghar Yaad Aaya

Jha Gaye The Kabhi Ishq ke Fasane
Woh ZameeN Woh Shajaar Yaad Aaya
(Shajaar = Tree)

Lo Phir Bhul Gya Mein Ghar Ka Rasta
KyuN Teraa Raah_Guuzar Yaad Aaya

Kal Shab Dekhaa Jo Meiney Aaina To
Tera Pathar aur Mera Sir Yaad Aaya

Tham Na Paya Tha Zor_E_TufaN Hanoz
Aur Teraa Waqt_E_Safar Yaad Aaya
(Hanoz = Yet)

Ik Boond Paani Ko Tarasta Hai Jigar
Sehraa Ko Dekh Kar Ghar Yaad Aaya

Phir Kissi Majnuu Ka Dil Tootaa
Phir Apnaa Khoon_E_Jigar Yaad Aaya

Cla Jaaungaa Mein Usko Bhi Chod Kar
Ghar Teraa Khuld Mein Gar Yaad Aaya!!
(Khuld=heaven/paradise)

HumTum


Phir Ishk ka Wo Safar Yaad Aaya
Teri Gali Tera Ghar Yaad Aaya

Chaa Gaye The Kabhi Ishk Ke Fasaane
Wo Zamee_N Wo Shajarr Yaad Aaya.....



Kyaaa Baaat Hai... bahot khubsurat likha hai thodi der ke liye..mai kahin kho gyaa thaa.... brilliant.....Hum Tum response ke hakdaar ho.. Applause Applause Applause
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:37:54 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer