Anjaam bura har baar huwa

by Sayyid Randeri on July 02, 2008, 02:19:51 AM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3496 times)
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #15 on: August 05, 2008, 06:40:02 PM »
Reply with quote
wah wah Randeri Saheb Kya Andaz.e.Bayaan Hai Bohat Khoob Ji
Aur Maafi Chahte Hai Itne Pyaare Kalaam Ko Hum Dekh Nahi Paaye
Par Ab Dekh Kar Achha Laga Bohat Hi Umda Hai Keep It Up.

Jazakallah!
Aap ki bohot bohot meherbaani he jo aap ne pasand farmaya, or daad-o-tahseen se nawaaza.

Khush rahiye..
Logged
Roja
Guest
«Reply #16 on: August 05, 2008, 07:18:45 PM »
Reply with quote
=== === === === === ===

++++++++++++++

=== === === === === ===


Bahut khoob Sayyid ji..  Applause  Applause

Woh mera humdard hai ye mera bram nikla
Uski soch se alag mera dharam nikla

Chale pad jayenge hateli per kab socha tha
Jo utaya tukda baraf ka garam nikla

Laaj ka putla jankar jikso sajda kiye
Aadmi woh hi yahan bahut be-sharam nikla

Paap samajkar jisko roti rahi hu mai
Mera gunah yaaron mera karam nikla

Pattar jaan ke jisko sab ne nigahein fheri
Shakhs woh hi yahan mom-sa naram nikla

"Roja" hairat se bas dekhti hi reh gayi
Uska katil hi uska humdam nikla
Logged
Pooja
Guest
«Reply #17 on: August 05, 2008, 07:53:24 PM »
Reply with quote
wah kay abaat hai... bahoot khoob Roja!!
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #18 on: May 31, 2009, 09:50:32 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Sayyid ji..  Applause  Applause

Woh mera humdard hai ye mera bram nikla
Uski soch se alag mera dharam nikla

Chale pad jayenge hateli per kab socha tha
Jo utaya tukda baraf ka garam nikla

Laaj ka putla jankar jikso sajda kiye
Aadmi woh hi yahan bahut be-sharam nikla

Paap samajkar jisko roti rahi hu mai
Mera gunah yaaron mera karam nikla

Pattar jaan ke jisko sab ne nigahein fheri
Shakhs woh hi yahan mom-sa naram nikla

"Roja" hairat se bas dekhti hi reh gayi
Uska katil hi uska humdam nikla


Bohot bohot mafi chahta hun Roja ji aap ke is behtareen kalaam par nazar hi n gai... apni kotahi ke liye sharminda hun.

Zarrah nawazi ka shukriya..

Kamaal ki tehreer he bohot umda kalaam he aap ka Dad qubool farmayen.
Logged
MHussain
Guest
«Reply #19 on: May 31, 2009, 10:31:28 PM »
Reply with quote
Tameez ka fukdan yahan khub nazar aya
Gardan ko daba key ussey baag banaya

Baag to rehtey hein junglon men kaheen
Tiger albatta baagh mein kyun nazar aya

Gardan ko kisee aankh ne dekha Garden
Basirat mein unki kuch khalal nazar aya
Logged
MHussain
Guest
«Reply #20 on: May 31, 2009, 10:44:18 PM »
Reply with quote
Perfectly well balanced poetry by Mr. Randeri, It is a fabulous example of ghazal, which describes the poet's clarity of thoughts and reader's ability to grasp the essence.

Ms. Roja also wrote interesting piece of poetry, but she needs to learn how to pronounce the words correctly, such as 'bram' what is that, guessing is difficult, but after reading in rhythm, I found the actual word as 'Bharam', Pattar ? She should write Patthar.

Thanks

MH
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #21 on: June 01, 2009, 02:03:41 AM »
Reply with quote
Bahut bahut khoob Randeri Saheb
Kya baat hai, wah wah
Isi per apni ghazal ke chand sher yaad aa gaye

NAZAR JHUKI HAI MAGAR DIL ME BEKARARI HAI
HAYA KI AAD ME JAISE KOI SHIKARI HAI

BAND HOTON ME MUHABBAT KO CHHUPA LE LEKIN
SURKH CHEHARE SE ZIGAR KA BAYAN JAARI HAI

AANKH KE TEER SE ZAKHMI HUE ZIGAR KITNE
AISA LAGTA HAI KI AB TO HAMARI BARI HAI

SARVESH RASTOGI
Logged
Roja
Guest
«Reply #22 on: June 01, 2009, 02:09:48 AM »
Reply with quote

Ms. Roja also wrote interesting piece of poetry, but she needs to learn how to pronounce the words correctly, such as 'bram' what is that, guessing is difficult, but after reading in rhythm, I found the actual word as 'Bharam', Pattar ? She should write Patthar.


Thanks

MH

Hussain sb, salaam....... Bram = Veham... (Pattar nahi)

Haan mujhe aur bi seekhna hi hai. Thanks for yr valuable comments. Usual Smile

Logged
Roja
Guest
«Reply #23 on: June 01, 2009, 02:14:23 AM »
Reply with quote
Bohot bohot mafi chahta hun Roja ji aap ke is behtareen kalaam par nazar hi n gai... apni kotahi ke liye sharminda hun.

Zarrah nawazi ka shukriya..

Kamaal ki tehreer he bohot umda kalaam he aap ka Dad qubool farmayen.


Bahut bahut Shukriya aapki jo aapne mera galat/shalat shayri ko behtareen kaha. Aap wapis aaye mehfil mein yehi mere liye bahut khushi ki baat hai. so dont say sorry etc.

Mera kuch likha shayari pe aapka comments ka intezar rahega.
Thanks onceagain for coming.
Logged
Roja
Guest
«Reply #24 on: June 01, 2009, 02:15:37 AM »
Reply with quote
Bahut bahut khoob Randeri Saheb
Kya baat hai, wah wah
Isi per apni ghazal ke chand sher yaad aa gaye

NAZAR JHUKI HAI MAGAR DIL ME BEKARARI HAI
HAYA KI AAD ME JAISE KOI SHIKARI HAI

BAND HOTON ME MUHABBAT KO CHHUPA LE LEKIN
SURKH CHEHARE SE ZIGAR KA BAYAN JAARI HAI

AANKH KE TEER SE ZAKHMI HUE ZIGAR KITNE
AISA LAGTA HAI KI AB TO HAMARI BARI HAI

SARVESH RASTOGI

Wah wah Sarvesh Rastogi ji....  Applause Applause
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #25 on: June 01, 2009, 03:34:26 AM »
Reply with quote
Tameez ka fukdan yahan khub nazar aya
Gardan ko daba key ussey baag banaya

Baag to rehtey hein junglon men kaheen
Tiger albatta baagh mein kyun nazar aya


Perfectly well balanced poetry by Mr. Randeri, It is a fabulous example of ghazal, which describes the poet's clarity of thoughts and reader's ability to grasp the essence.

MH

M.Hussain Bhai Ahqar ke ash'ar Pasand karne or sarah ne ke liye aap ka shukar guzaar hun.
Aap ki qabiliyat bhi aap ke ash'ar se zahir he, bohot umda.

Digar aakhari shear main kuchh talkh baaten hain, [jo yahan quote nahi kiya he] jo kisi ki dil shikni ka ba'as ho sakti he, aap se muaddabana darkhwast he ke apne akhiri shear me tabdeeli farmakar durust farmalen. jazakallah....
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #26 on: June 01, 2009, 03:45:43 AM »
Reply with quote
Bahut bahut khoob Randeri Saheb
Kya baat hai, wah wah
Isi per apni ghazal ke chand sher yaad aa gaye

NAZAR JHUKI HAI MAGAR DIL ME BEKARARI HAI
HAYA KI AAD ME JAISE KOI SHIKARI HAI

BAND HOTON ME MUHABBAT KO CHHUPA LE LEKIN
SURKH CHEHARE SE ZIGAR KA BAYAN JAARI HAI

AANKH KE TEER SE ZAKHMI HUE ZIGAR KITNE
AISA LAGTA HAI KI AB TO HAMARI BARI HAI

SARVESH RASTOGI

Bohot bohot shukriya sarvesh rastogi ji Is zarrah nawazi ke liye mashkoor hun.

"HAYA KI AAD ME JAISE KOI SHIKARI HAI"
Wah kaya baat he... Applause

Bohot hi umda ashar hain Mukammal ghzal sahulat ho to zarur likhiyega, ise padh kar pyaas badhi he buji nahi.... Usual Smile
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #27 on: June 01, 2009, 04:13:07 AM »
Reply with quote
Bahut bahut Shukriya aapki jo aapne mera galat/shalat shayri ko behtareen kaha. Aap wapis aaye mehfil mein yehi mere liye bahut khushi ki baat hai. so dont say sorry etc.

Mera kuch likha shayari pe aapka comments ka intezar rahega.
Thanks onceagain for coming.


Ha..Ha.. Ghalat/salat mat kahiye...shairi ke saath shair ke jazbaat bhi to kuchh ahmiya rakhte hain... Usual Smile

Qwaneen ki baat or he, magar me to ab bhi behtareen kaehta hun.  tongue3
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #28 on: June 01, 2009, 05:16:35 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob Sayyid Randeri Saheb!!! Har Ek As'haar Lajawaab.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Yuhi Likhte Rahiye,Hume Bhi Sikhne Ka Mauka Milte Rahega..


Logged
Talat
Guest
«Reply #29 on: June 01, 2009, 09:38:45 AM »
Reply with quote
Bohot Khoob Shihab, Roja dear, Sarvesh Ji Bohot Khoob !!

Ek baat yaad aa gayi...."Agar kisi mehfil main kisi ko kisi se kuch kehna ho, to behtar ye hai ki us ko alag le jaa ke wo baat batayi jaaye, na ki bhari mehfil main sab ke saamne bolen"...ye badappan kehlaata hai....!!
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:28:09 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer