Apne Haathon ke lakeeron mein.....

by khwaish on February 14, 2008, 02:58:21 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3749 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
ONE OF THE MOST ROMANTIC GHAZAL OF JAGJIT SINGH...

Apne Haathon ki lakeeron mein basa le mujhko
main hoon tera,Tu naseeb apna bana le mujhko
Apne haathon ki lakeeron mein basa le mujhko..

Mujhse Tu puchne aaya hai,waffa ke maani
Yeh Teri saada-dili maar na daale mujhko

Apne haathon ki lakeeron mein basa le mujhko...
Main hoon tera,Tu naseeb apna bana le mujhko...

Khud ko Main baant na daalu kahin Daaman-Daaman
Kar diya agar tune mere havale mujhko

Apne haathon ki lakeeron mein basa le mujhko...
Main hoon Tera,Tu naseeb apna bana le mujhko...

Vaada fir Vaada hai,Main zehar bhi pi jaau "QATEEL"
Shart yeh hai ke koi baahon mein sambhale mujhko

Apne haathon ki lakeeron mein basa le mujhko
Main hoon tera,Tu naseeb apna bana le mujhko...

AWAAZ: JAGJIT SINGH
             SHAYAR: QATEEL SHIFAI..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1 on: February 14, 2008, 03:00:21 PM »
Reply with quote
wah kaya baat hai.. Good sharing khwaish ji...

is gazal ki yah lines hamesha hi mujhko Rula jaati hai:

Khud ko Main baant na daalu kahin Daaman-Daaman
Kar diya agar tune mere havale mujhko
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: February 14, 2008, 03:04:59 PM »
Reply with quote
wah kaya baat hai.. Good sharing khwaish ji...

is gazal ki yah lines hamesha hi mujhko Rula jaati hai:

Khud ko Main baant na daalu kahin Daaman-Daaman
Kar diya agar tune mere havale mujhko


SHUKRIYA POOJA!!!

AAPNE MERE DIL KI BAAT KAHI... YEH LINE MUJHE BHI BAHUT ZYAADA PASAND HAI..
IS LINE MEIN MOHABBAT,BEBASI AUR DARD...BAKHOOBI NAZAR AATE HAI...
SHUKRIYA...
Logged
zakhmola
Guest
«Reply #3 on: February 14, 2008, 03:12:28 PM »
Reply with quote
meri baaton mein mere haathon mein meri aankhon mein tu hai
meri raaton mein jajbaaton mein mulakaaton mein tu hai
mere Daaman mein mere aagan mein mere mann mein bhi tu hai
fir bhi main dhoodhoon tujhey Tu hai bhi ki nahin hai.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: February 14, 2008, 03:14:15 PM »
Reply with quote
nice zakhmola ji

ankhon mai basa kar tujhe dhadkano mai gungunaya hai
hatho ki lakeero main milo na milo, Rooh mai ab tujhko basaya hai
Logged
zakhmola
Guest
«Reply #5 on: February 14, 2008, 03:19:05 PM »
Reply with quote
basa ke rooh ko apni
khud ko kyon bejaan kar diya
hum they anjaam sey bekhabar
aur iljaam bhi lag gaya....

Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: February 14, 2008, 03:21:35 PM »
Reply with quote
wah .. kaya baat hai zakhmola ji!!!

Rooh mai base to laga hum bhi jee rahe hai
yah kah kar to apne, humare pyar per sawal kar diya!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: February 14, 2008, 03:31:12 PM »
Reply with quote
ONE OF THE MOST ROMANTIC GHAZAL OF JAGJIT SINGH...

Apne Haathon ki lakeeron mein basa le mujhko
main hoon tera,Tu naseeb apna bana le mujhko
Apne haathon ki lakeeron mein basa le mujhko..

Mujhse Tu puchne aaya hai,waffa ke maani
Yeh Teri saada-dili maar na daale mujhko

Khud ko Main baant na daalu kahin Daaman-Daaman
Kar diya agar tune mere havale mujhko

Vaada fir Vaada hai,Main zehar bhi pi jaau "QATEEL"
Shart yeh hai ke koi baahon mein sambhale mujhko

AWAAZ: JAGJIT SINGH
             SHAYAR: QATEEL SHIFAI..


Thanks Khwaish for sharing with us....My most favourite Ghazal....even people say I sing it too well !!! :D I am always in tears listening (or singing) this ghazal...esp the lines:

Vaada fir Vaada hai,Main zehar bhi pi jaau "QATEEL"
Shart yeh hai ke koi baahon mein sambhale mujhko
Logged
zakhmola
Guest
«Reply #8 on: February 14, 2008, 03:33:55 PM »
Reply with quote
humney yeh nahin kaha
aapney galat samajh liya
rooh aapki basi
aap bejaan ho gaye
Katl kiya bhi nahin
hum par iljaam aa gaye
chahat mein hum aapki
yun Bejaan ho gaye...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: February 14, 2008, 03:36:18 PM »
Reply with quote
nice lines again..

Uljhano ko shabdo mai uljhate kyun ho
Rooh humari mai base ho to Rooh ko bejaan batate kyun ho
qatal to ho chuka kab ka, ilzaam chupate kyun ho
kaise koi muhobat mai ho gaya bejaan, aise sawal uthate kyun ho
Logged
zakhmola
Guest
«Reply #10 on: February 14, 2008, 03:45:04 PM »
Reply with quote
theek hai waisa nahin toh fir aisa keh leite hain...

Wooh quatil hai jo qutlte aam ho gaya
yeh qutal kaisa jo sare aam ho gaya
ooth gaya dekho jo kabhi qutal hua
jaanye jee ke bhi ab kyon bejaan ho gaya
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: February 14, 2008, 03:47:02 PM »
Reply with quote
uufff yah bejaan kaha se aa jaata hai!!!

Qatal ne to ser-e-aam hi hona tha
ho gaya ab to jo hona tha
bejaan kaise koi ho jaata hai muhobaat main
Rooh ne to rooh mai fana hona tha
Logged
zakhmola
Guest
«Reply #12 on: February 14, 2008, 03:56:03 PM »
Reply with quote
rooh ka kho jaana
yaani kisi ka ho jaana
Pooja ji pasand aaya aapka saath kalam se nibhana
bas maaf keejiye hamein kyonki ab hamein hai Ghar jaana...


Par aapki shyari aapka kalaam
ya fir kahiye aapki kalam ka kamaal
hum fir sey dekhney aayenge
ab aapko jaan kar hi hum khudko jaan payenge....

take care god bless you
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: February 14, 2008, 04:09:22 PM »
Reply with quote
kalam ka kalam se sath nibhana acha lagta hai
maafi kis liye, her kisi ka ghar pahunch jaana acha lagta hai
kalam mai kamaal app sabki kalam ki badolat hi atta hai
warna kaha kuch likhna Pooja ko atta hai!!

TC zakhmola ji!!
Logged
shahiquekhan
Guest
«Reply #14 on: February 14, 2008, 04:34:09 PM »
Reply with quote
 pooja ji, pooja ji kamaal hai aapki coice, good i like it, mai aksar aapki shayeri padjta hoon, achcha lagta hai, kuchh doori par, kuch, mohabbat par, kuchh wadey par likhiye maza aayega
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:31:06 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer