Apne Jaisa Mujhko Bana Sako To Mujhe Bata Do.....

by khwaish on June 25, 2009, 06:29:18 PM
Pages: [1] 2 3 4  All
ReplyPrint
Author  (Read 5898 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Kuch Gehre Aur Anmol Jazbaat Ko Zehan mein rakh kar Yeh Ghazal Likh Raha Hoon..Iss Ghazal mein Bahut si Baatein Aisi Hai Jo Rozaana Zindagi Se Juudi Hai..Umeed Karta Hoon..Aap Sab Ko yeh Pasand Aaye...

Zindagi Bhar Saath Mera Nibha Sako To Mujhe Bata Do..
Mere Har Gham Ko Apne Gale Se Laga Sako To Mujhe Bata Do...

Chalte-Chalte,Girte-Sambhalte  Ab Thak Sa Gaya Hoon Main,
Ek Nayi raah Mujhko Tum Dikha Sako To Mujhe Bata Do....

Aandhiyon Ne Tufaan Ne Mujhse Meri Muskaan Tak Cheen Li,
Inn Sab ke Beech mein Rehkar Bhi Ghar Mera Tum Basa Sako To Mujhe Bata Do...

Main Jo Bhi Hoon, Jaisa Bhi Hoon, Bas Tera Hoon!!!!!
Apne Jaisa Mujhko Bana Sako To Mujhe Bata Do.....

Yeh Baat Sach hai ke Mujhe Aaj Mere Apno Se Bhi Darr Sa Lagta Hai!!!
Kuch Rishto Mein Phir se Woh Vishwaas Ko jaga sako to Mujhe Bata Do.....

Mere Halaat, meri Majbooriyon par main To Rota Hi Hoon!!!!
Saath Mere Do Boond Ashq Tum bhi Baha Sako To Mujhe Bata Do.....

Kisi Musafir Ke Liye Manzil Khud Chal kar Kahan Aati Hai!!!
Meri Himmat,Meri Taakat Bankar Mujhko Meri Manzil Tak Pahuncha Sako To Mujhe Bata Do..

Kisi Baat Par Yuh Dil Mein Naraazgi Paalne Se Kuch Bhi Nahi Haasil!!!
Kabhi khud Se Bhi mujhko Mana Sako To Mujhe Bata Do.....

Baithe-Baithe Aaj Likh Baitha Hai "Khwaish" Woh ghazal!!!
Jo Dil Ke Bahut Kareeb Se Hai Guzri...
Guzarte Waqt Ke Saath Apni Awaaz Mein,
 Tum Bhi Iss Ghazal Ko Guunguna Sako To Mujhe Bata Do....

               ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #1 on: June 25, 2009, 06:50:28 PM »
Reply with quote
Bahut dino baad aapko padnhne ka miauka mila, khwaish bhai...bahut khoobsurat likha hai aapney.

paana chahtey ho khushi dekkar ke saare gum
yeh kaisi laalsa hai,aur yeh kaisa bhram?
kisi ka dard apna lo,aur apni 'khawishey' bhoolo
apne karm aisey ho ki aankhey doosron ki ho na num.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: June 25, 2009, 06:57:16 PM »
Reply with quote
Bahut dino baad aapko padnhne ka miauka mila, khwaish bhai...bahut khoobsurat likha hai aapney.

paana chahtey ho khushi dekkar ke saare gum
yeh kaisi laalsa hai,aur yeh kaisa bhram?
kisi ka dard apna lo,aur apni 'khawishey' bhoolo
apne karm aisey ho ki aankhey doosron ki ho na num.

Prateekji...Sabse Pehle Teh dil Se Dhanyawaad Jo Aap Yahan Aaye,Main Isse Apni Khush-Kismati Samjhunga ke aap itne waqt baad aaye aur aapka pehle jawaab meri Ghazal Par darj hai...Agar aap jaise Shayar na ho yahan par to Suunapan sa lagta hai...

Bahut Bhaut shukriya Prateekji..Apane Iss Ghazal Ko Apna Waqt Diya..

Aur Bahut Bahut Khoob Prateekji...Zindagi Ki Sachai Likhi hai Aapne..
Bahut Ache.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
junaidqadir
Guest
«Reply #3 on: June 25, 2009, 07:35:08 PM »
Reply with quote
bahoth umda khuwiesh sahab bahoth qoob har ashar apni sacha-e-khud bayan karne pe amda hai apki koshish kamiyaab rahi .. bahoth qoob allah apke kalamo ko miyari izzath de !!

apki tarz per

andheron ko zindagi se mita sako to mujhe bata do !!
meri bina-e- mujhe lauta sako to mujhe bata do !!

Qadeertoopchi
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #4 on: June 25, 2009, 07:49:41 PM »
Reply with quote

Bohot khoob khwaish bhai is ke bare me bas yahi kahunga.....

Koi ghazal bhi kisi ki aysi, bata sako to mujhe bata do
Jo baat is me he wo kisi me, dikha sako to mujhe bata do

Jo gham ke maare hain is jahan me, wo dil ki nazron se dekhte hain
Jo dil ke gham ko meri nazar se, chhupa sako to mujhe bata do


                                -: Sayyid Randeri
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #5 on: June 25, 2009, 07:51:40 PM »
Reply with quote
Bahut dino baad aapko padnhne ka miauka mila, khwaish bhai...bahut khoobsurat likha hai aapney.

paana chahtey ho khushi dekkar ke saare gum
yeh kaisi laalsa hai,aur yeh kaisa bhram?
kisi ka dard apna lo,aur apni 'khawishey' bhoolo
apne karm aisey ho ki aankhey doosron ki ho na num.

Aap ne sachh kaha Prateek ji....
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #6 on: June 25, 2009, 07:53:27 PM »
Reply with quote


apki tarz per

andheron ko zindagi se mita sako to mujhe bata do !!
meri bina-e- mujhe lauta sako to mujhe bata do !!

Qadeertoopchi

Waah qadeer sahib khoob!
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: June 26, 2009, 09:24:05 AM »
Reply with quote
Khwaish ,

Bohot bohot khoob  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Jitni taareef ki jaaye kam...Bohot sachche jazbaat hain...aur unko khoobsurat lafzon main baandha hai....Bohot Khoob Dost  icon_thumleft
Logged
Talat
Guest
«Reply #8 on: June 26, 2009, 09:24:25 AM »
Reply with quote
Bahut dino baad aapko padnhne ka miauka mila, khwaish bhai...bahut khoobsurat likha hai aapney.

paana chahtey ho khushi dekkar ke saare gum
yeh kaisi laalsa hai,aur yeh kaisa bhram?
kisi ka dard apna lo,aur apni 'khawishey' bhoolo
apne karm aisey ho ki aankhey doosron ki ho na num.

Bohot Khoob Prateek Ji
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: June 26, 2009, 09:25:03 AM »
Reply with quote


andheron ko zindagi se mita sako to mujhe bata do !!
meri bina-e- mujhe lauta sako to mujhe bata do !!

Qadeertoopchi

Bohot Khoob Qadeer Bhai
Logged
Talat
Guest
«Reply #10 on: June 26, 2009, 09:25:40 AM »
Reply with quote


Koi ghazal bhi kisi ki aysi, bata sako to mujhe bata do
Jo baat is me he wo kisi me, dikha sako to mujhe bata do

Jo gham ke maare hain is jahan me, wo dil ki nazron se dekhte hain
Jo dil ke gham ko meri nazar se, chhupa sako to mujhe bata do


                                -: Sayyid Randeri


Sach kaha Sayyid.....Bohot Khoob !
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #11 on: June 26, 2009, 09:34:22 AM »
Reply with quote
Wah wah kamaal ka likha aap sabne,Khwaish ji,Prateek ji,Sayyid ji,J,Qadeer ji
beautiful gazal. Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #12 on: June 26, 2009, 12:06:49 PM »
Reply with quote
Kuch Gehre Aur Anmol Jazbaat Ko Zehan mein rakh kar Yeh Ghazal Likh Raha Hoon..Iss Ghazal mein Bahut si Baatein Aisi Hai Jo Rozaana Zindagi Se Juudi Hai..Umeed Karta Hoon..Aap Sab Ko yeh Pasand Aaye...

Zindagi Bhar Saath Mera Nibha Sako To Mujhe Bata Do..
Mere Har Gham Ko Apne Gale Se Laga Sako To Mujhe Bata Do...

Chalte-Chalte,Girte-Sambhalte  Ab Thak Sa Gaya Hoon Main,
Ek Nayi raah Mujhko Tum Dikha Sako To Mujhe Bata Do....

Aandhiyon Ne Tufaan Ne Mujhse Meri Muskaan Tak Cheen Li,
Inn Sab ke Beech mein Rehkar Bhi Ghar Mera Tum Basa Sako To Mujhe Bata Do...

Main Jo Bhi Hoon, Jaisa Bhi Hoon, Bas Tera Hoon!!!!!
Apne Jaisa Mujhko Bana Sako To Mujhe Bata Do.....

Yeh Baat Sach hai ke Mujhe Aaj Mere Apno Se Bhi Darr Sa Lagta Hai!!!
Kuch Rishto Mein Phir se Woh Vishwaas Ko jaga sako to Mujhe Bata Do.....

Mere Halaat, meri Majbooriyon par main To Rota Hi Hoon!!!!
Saath Mere Do Boond Ashq Tum bhi Baha Sako To Mujhe Bata Do.....

Kisi Musafir Ke Liye Manzil Khud Chal kar Kahan Aati Hai!!!
Meri Himmat,Meri Taakat Bankar Mujhko Meri Manzil Tak Pahuncha Sako To Mujhe Bata Do..

Kisi Baat Par Yuh Dil Mein Naraazgi Paalne Se Kuch Bhi Nahi Haasil!!!
Kabhi khud Se Bhi mujhko Mana Sako To Mujhe Bata Do.....

Baithe-Baithe Aaj Likh Baitha Hai "Khwaish" Woh ghazal!!!
Jo Dil Ke Bahut Kareeb Se Hai Guzri...
Guzarte Waqt Ke Saath Apni Awaaz Mein,
 Tum Bhi Iss Ghazal Ko Guunguna Sako To Mujhe Bata Do....

               ~~~~~Khwaish~~~~~

bahoot behtrin......bahoot bahoot bahoooooooot khuuuuuuub Khwaish ji
          Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Jwab me khuch likhne ki koshish ki hai....gustakhi maaf

Har janam me hum tera sath nibhana chahte hai
Kaise kahe tujhe hum apna bnana chahte hai

Khushi baati hai humne har lamha teri
Gum k daur me bhi tera sath nibhana chahte hai

Aaj tujhe dar lagta h tere apno se bhi
Tere har dar ko hum tujhse juda karna chahte hai

Haalat jo laaye h ashq teri aankho mai
Un ashqon ko hum apni aankho me sjana chahte hai

Tha jab mausam bahaar ka tere sath kaate the din-raat
Patjhad me bhi tera sath nibhana chahte hai

Takraar mithi  mithi aksar hoti h pyar me
Tu jo khfaa ho jaye tujhe pyar se mnana chahte hai

Jo keh de tu lafj wahi geet h mere liye
Tere sang tera har geet gungunana chahte hai

Khud k jaisa kaise bna skte hai tujhe hum
Khud ko tere jaisa,tere kaabil bnana chahte h
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #13 on: June 26, 2009, 12:20:01 PM »
Reply with quote

Bohot khoob khwaish bhai is ke bare me bas yahi kahunga.....

Koi ghazal bhi kisi ki aysi, bata sako to mujhe bata do
Jo baat is me he wo kisi me, dikha sako to mujhe bata do

Jo gham ke maare hain is jahan me, wo dil ki nazron se dekhte hain
Jo dil ke gham ko meri nazar se, chhupa sako to mujhe bata do


                                -: Sayyid Randeri

bahut khub Sayyid ji
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #14 on: June 26, 2009, 12:21:19 PM »
Reply with quote
Bahut dino baad aapko padnhne ka miauka mila, khwaish bhai...bahut khoobsurat likha hai aapney.

paana chahtey ho khushi dekkar ke saare gum
yeh kaisi laalsa hai,aur yeh kaisa bhram?
kisi ka dard apna lo,aur apni 'khawishey' bhoolo
apne karm aisey ho ki aankhey doosron ki ho na num.
bahut khub kha Prateek ji
Logged
Pages: [1] 2 3 4  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 08:04:08 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.369 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer