Apney khud key haseen khwaab sey pardah na karo!

by abdbundeli on August 12, 2009, 01:53:55 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1249 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote

Gair to gair hai: ahbaab sey pardah na karo!
Apney khud key haseen khwaab sey pardah na karo!

Nazar lagey na: aankh band kiye hoon! Ab to,
Maan jaaou, dil-e-beytaab sey pardah na karo!!

Tum ho pahloo mein, to, taareek shab bhi ho roshan;
Chaandanee hai khilee, mahtaab sey pardah na karo!

Galey mein, chashm-e-tasawwur mein, abra hain pighley!
Baatinee jazbah-e-sailaab sey pardah na karo!!

Naazaneen ho; gul-e-gulaab ho; magar, deykho,
Faakhtah ho naheen! Uqaab sey pardah na karo!

Mujhey patah hai, azal sey mujeeb ho meyrey!
Zehn-e-roshan ho, yuun jawaab sey pardah na karo!!

Arsh mein ham banaa rahye hain kiley dahroun sey:
Dour-e-teemaar inqalaab sey pardah na karo!

Muntazir katm-e-adam sey hai bandagee meyree!
Roo-b-roo rooh ki fariyaad sey pardah na karo!!

Na jaaney kitney dahar ba'ad aa sakaa hai, 'abd',
Beydawaamee lamhey-naayaab sey pardah na karo!

                                - abd bundeli

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Haseen Khwaab... by Aryaan in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 »
**~** Haseen Khwaab **~** by _Vicky_ in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
ek haseen khwaab by maghroob alam in Occassion Specific Poetry
|||| Ek Haseen Khwaab |||| ____ {Angel} by angel4u in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
EK HASEEN KA HASEEN KHWAAB HOON MAIN .........HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2  All »
deepika_divya
Guest
«Reply #1 on: August 12, 2009, 02:47:22 PM »
Reply with quote
Waah Waah Kya baat hai ABD ji... Bahoot Bahoot Khoob!
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #2 on: August 12, 2009, 03:55:17 PM »
Reply with quote
Waah Waah Kya baat hai ABD ji... Bahoot Bahoot Khoob!
Thanks Sophi!
       - abd bundeli
Logged
Roja
Guest
«Reply #3 on: August 12, 2009, 03:56:25 PM »
Reply with quote

Gair to gair hai: ahbaab sey pardah na karo!
Apney khud key haseen khwaab sey pardah na karo!

Nazar lagey na: aankh band kiye hoon! Ab to,
Maan jaaou, dil-e-beytaab sey pardah na karo!!

Tum ho pahloo mein, to, taareek shab bhi ho roshan;
Chaandanee hai khilee, mahtaab sey pardah na karo!

Galey mein, chashm-e-tasawwur mein, abra hain pighley!
Baatinee jazbah-e-sailaab sey pardah na karo!!

Naazaneen ho; gul-e-gulaab ho; magar, deykho,
Faakhtah ho naheen! Uqaab sey pardah na karo!

Mujhey patah hai, azal sey mujeeb ho meyrey!
Zehn-e-roshan ho, yuun jawaab sey pardah na karo!!

Arsh mein ham banaa rahye hain kiley dahroun sey:
Dour-e-teemaar inqalaab sey pardah na karo!

Muntazir katm-e-adam sey hai bandagee meyree!
Roo-b-roo rooh ki fariyaad sey pardah na karo!!

Na jaaney kitney dahar ba'ad aa sakaa hai, 'abd',
Beydawaamee lamhey-naayaab sey pardah na karo!

                               - abd bundeli

Wah bahut bahut khoob uncle ji  Applause
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: August 12, 2009, 05:42:48 PM »
Reply with quote
Wah bahut bahut khoob uncle ji  Applause

Thanks Roja!
     - abd bundeli
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #5 on: August 13, 2009, 07:51:50 AM »
Reply with quote
Wah wah Abd ji,bahut khoobsurat gazal hai.wonderful creation. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
apna khayal rakhna. love4
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #6 on: August 13, 2009, 08:05:41 AM »
Reply with quote
Wah wah Abd ji,bahut khoobsurat gazal hai.wonderful creation. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
apna khayal rakhna. love4
Thanks a lot, Madhu! I'm okay!
                  - abd bundeli
Logged
cara
Guest
«Reply #7 on: August 13, 2009, 08:36:35 AM »
Reply with quote
kya baat hai....abd ji......

HAM DOST HAI TUMHAARE,TUM HUMKO JAANTI HO,
TUM HAMEN CHAHATI HO,FIR KYUN DARTI HO--MAT DARO..
APNEY KHUD KE HASEEN KHWAAB SEY PARDAH NA KARO.

KAB SEY SOCH RAHETEY, IK DUJHE SEY  MILNEY KO,
WO WAQAT AA GAYA HAI AAJ,AB YUNHI WAQAT BARBAAD NA KARO..
APNEY KHUD KEY HASEEN KHWAAB SEY PARDAH NA KARO.

YEH HASEEN RAAT, YEH MULAKAAT,HAATH AAYI HAI MUDAD KE BAAD,
AB KYUN HAMSEY SHARMAA RAHI HO--MUJH SEY SHARAM NA KARO..

MACHAL JAATE HAI ARMAAN,JAB BHI TUMHAARE LIYE SOCH TEY HAI,
AAJ TUM SAATH HO,MERE SAATH TUM BHI MACHAL JAAO--MAT TARDFAAO..

CHANDNEE RAAT HAI,IK-IK LAMHE KA DENA SAATH,
ZINDAGI BAR TAK JO RAHEY YAAD,-HAR LAMHA RANGEEN KARO..
APNEY KHUD KEY HASEEN KHWAAB SEY PARDAH NA KARO.

Logged
Talat
Guest
«Reply #8 on: August 13, 2009, 10:54:47 AM »
Reply with quote

Gair to gair hai: ahbaab sey pardah na karo!
Apney khud key haseen khwaab sey pardah na karo!

Nazar lagey na: aankh band kiye hoon! Ab to,
Maan jaaou, dil-e-beytaab sey pardah na karo!!

Tum ho pahloo mein, to, taareek shab bhi ho roshan;
Chaandanee hai khilee, mahtaab sey pardah na karo!

Galey mein, chashm-e-tasawwur mein, abra hain pighley!
Baatinee jazbah-e-sailaab sey pardah na karo!!

Naazaneen ho; gul-e-gulaab ho; magar, deykho,
Faakhtah ho naheen! Uqaab sey pardah na karo!

Mujhey patah hai, azal sey mujeeb ho meyrey!
Zehn-e-roshan ho, yuun jawaab sey pardah na karo!!

Arsh mein ham banaa rahye hain kiley dahroun sey:
Dour-e-teemaar inqalaab sey pardah na karo!

Muntazir katm-e-adam sey hai bandagee meyree!
Roo-b-roo rooh ki fariyaad sey pardah na karo!!

Na jaaney kitney dahar ba'ad aa sakaa hai, 'abd',
Beydawaamee lamhey-naayaab sey pardah na karo!

                                - abd bundeli

Beautiful Ghazal Babu Ji
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: August 13, 2009, 10:55:15 AM »
Reply with quote
kya baat hai....abd ji......

HAM DOST HAI TUMHAARE,TUM HUMKO JAANTI HO,
TUM HAMEN CHAHATI HO,FIR KYUN DARTI HO--MAT DARO..
APNEY KHUD KE HASEEN KHWAAB SEY PARDAH NA KARO.

KAB SEY SOCH RAHETEY, IK DUJHE SEY  MILNEY KO,
WO WAQAT AA GAYA HAI AAJ,AB YUNHI WAQAT BARBAAD NA KARO..
APNEY KHUD KEY HASEEN KHWAAB SEY PARDAH NA KARO.

YEH HASEEN RAAT, YEH MULAKAAT,HAATH AAYI HAI MUDAD KE BAAD,
AB KYUN HAMSEY SHARMAA RAHI HO--MUJH SEY SHARAM NA KARO..
APNEY KHUD KEY HASEEN KHWAAB SEY PARDAH NA KARO.

MACHAL JAATE HAI ARMAAN,JAB BHI TUMHAARE LIYE SOCH TEY HAI,
AAJ TUM SAATH HO,MERE SAATH TUM BHI MACHAL JAAO--MAT TARDFAAO..
APNEY KHUD KEY HASEEN KHWAAB SEY PARDAH NA KARO.

CHANDNEE RAAT HAI,IK-IK LAMHE KA DENA SAATH,
ZINDAGI BAR TAK JO RAHEY YAAD,-HAR LAMHA RANGEEN KARO..
APNEY KHUD KEY HASEEN KHWAAB SEY PARDAH NA KARO.

Nice one Cara Ji
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #10 on: August 13, 2009, 12:51:10 PM »

Cara ji! Meyree gazal key eik misrey ko ley kar aap ney jo yah 'Samasyaapoorti' kee hai wo dilchasp hai! Thanks!
        - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #11 on: August 13, 2009, 12:52:25 PM »
Reply with quote
Beautiful Ghazal Babu Ji
Shukriyah Celmira!
        - abd bundeli
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:34:05 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.131 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer