ASAR BEASAR
Apnaa dil dekhtaa hoon jiggar dekhtaa hoon
Jaatee hai jahan unhkee nazar dekhtaa hoon
Jidhar jaate hain woh raunak dekhtaa hoon
Har raah main hosin manzar dekhtaa hoon
Mausam-e-gulbaar mein tashadad-e-gulchin
Ek shauq-e-naakaam masalsal dekhtaa hoon
Ubhrah huaa joban nikhraa nikhraa chehraa
Shaayad ik mohabbat kaa asar dekhtaa hoon
Ik noor hee noor hai kidhar uthaun nazarein
Jalwaa hee jalwaa hai ik jidhar dekhtaa hoon
Apnaa haal-e-betaab unhein keh to diyaa hai
Kyaa ho abb unhpe asar beasar dekhtaa hoon
Rukee rukee saans hai aur urhee urhee rangat
Dum dum hee badaltee ik nabz dekhtaa hoon
Mohabbat gunah to nahin gunah dekhtaa hoon
Unhkee nigah maayal-o-bekarm dekhtaa hoon
Yeh kaun manzal hai koi meree manzil to nahin
Ek apnee kashti hee kyun sithar dekhtaa hoon
Mausam-e-gulbaar = Mausam-e-bahaar;
Tashadad-e-gulchin = Maushukaa kee zid;
Shauq-e-nakaam = Meaningless;
Masalsal = Continuing;
Maayal-o-bekarm = Hichkachaataa; undecided;
Sithar = Fixed;
Surindar N. "MohaN"