Baad-e-mashriq mein hain wasl kee aahateyn!

by abdbundeli on July 07, 2010, 04:35:35 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1057 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote

Yom-e-baaraan hai khushkhulq: narmaaiye!
Dour-e-sabzah hai shaadaab: ghar aaiye!!

Abra fir aaj jhuk kar barasney ko hain:
Aaj fir dar pai haazir hun: farmaaiye!

Koun see beyhijaabee ka dar hai tumhain?
Apney sapnoun sey, ab, yuun na sharmaaiye!!

Baad-e-mashriq mein hain wasl kee aahateyn:
Mouj-e-dariyaa key maanind lahraaiye!

Ham kahaan tak phuhaaroun mein bheegeyn, 'abd',
Aaiye! Aashiyaaney ko garmaaiye!!

                   - abd bundeli

Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #1 on: July 07, 2010, 10:51:44 PM »
Reply with quote
Yom-e-baaraan hai khushkhulq: narmaaiye!
Dour-e-shabzah hai shaadaab: ghar aaiye!!

Abra fir aaj jhuk kar barasney ko hain:
Aaj fir dar pai haazir hun: farmaaiye!

Koun see beyhijaabee ka dar hai tumhain?
Apney sapnoun sey, ab, yuun na sharmaaiye!!

Baad-e-mashriq mein hain wasl kee aahateyn:
Mouj-e-dariyaa key maanind lahraaiye!

Ham kahaan tak phuhaaroun mein bheegeyn, 'abd',
Aaiye! Aashiyaaney ko garmaaiye!!

                   - abd bundeli

Bohot Khoob "abd" ji, Kya shaandaar ghazal pesh ki hai aap ne.
bhai jitne pyaare alfaaz istea'maal kiye haiN, tasavvur un se bhi haseen hai. Bohot khoob janaab daad e tahseen qubool kijiye. Isi tarah likhte rahiye bhai, Web ko aisi haseen ghazaloN ki zuroorat hai. Bohot khushi huyi aap ki ye ghazal paRh kar
Aap ki ghazal meN mere liye kuchh baateN qaabil e tavajjoh rahiN.

MaTle'ke doosre misra' meN pehla lafz. shabzah na ho kar sabzah hai. ho sakta hai typing mistake ho.uske ba'd Abra bhi abr hai shayad yahaN bhi wohi baat hai.
Maqta' bhi khoob hai
(Ham kahaaN tak phuhaarouN meN bheegeynge 'abd'.
  Aaiye ! aashiyaaney ko garmaaiye)
Is khoobsoorat ghazal par aik baar aur dili daad qubool kareN.
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #2 on: July 08, 2010, 06:06:52 AM »

Bahut-bahut shukriyah Ghulam Haider ji! Aapney itnee gahraayee sey gazal ko padhhney kee takleef gawaarah kee. Sabzah ki 'spelling' mein ney sudhaar dee hai! Urdu mein 'abr' likhnaa theek hai, leykin Roman mein dono tarah sey likhaa jaa saktaa hai, aisaa meyraa sochanaa hai! Khush rahiye!

                                   - abd bundeli
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 08:24:22 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer