Bachaa na qalb hai saalim na hee jigar meraa
Ye kaon loot key yuN ley gayaa hai ghar meraa
Waah waah janab Masha Allah gazab ka
matla kaha hai daad daad daad.. Fasaad kiuN na ho manzil ki justajoo le kar
Dimaagh said hai un kaa faqat jigar meraa
Kia kahne janab.. bahut khoob ..
achcha sher ataa kiya hai daad... yani aap bhi mante hai
ke dil aur dimag do cheezeN hai jo hum par iqtiyaar rakhti Said ( shikaar ) faqat ( only)
Meraa jonoon huwaa hijratoN pe yuN maayel
Lipat ka paoN se chalney lagaa safar meraa
Bahut khoob janab daad Hijrat ( apnaa mulk chhor ke doosree jagah chale jana )
Badan na khush k huwa waqt ki tamaazat se
Anaa ki booNd se hai jism tar b tar meraa
Waah Waah waah kia kahne janab... apni anaa
ko jo jaan gaye woh use kabhi khud par hawi nahi hone dete..
Achcha sher hai daad tamaazat ( dhoop )
Wo ehteraam ke laayeq hai meree nazroN me
baDey kholoos se kaataa hai jis ne sar meraa
Kia kahne janab waah bahut khoob... badaa
tez taNz kiya hai daad daad daad Naseeb dekhiye manzil thi ghar ke aaNgan me
Huwaa safar me zeyaaN waqt beshtar meraa
Kia baat hai achcha sher hai daad.. zeyaaN ( nuqsaan ) beshtar ( zeyaadah tar )
Judaa jo raat ko saayah huwaa lagaa mujh ko
Na koyee saath nibhaaye ga oumr bhar meraa
Kia kahne janab gazab ka sher hai daad daad .. Tarah tarah se anaa ka shikaar kartaa hai
Wabaal ho gayaa mere liye hunar meraa
Bahut khoob janab bahut umdaa daad daad daad..
Holool kar gayee ye kis ki rooh mujh me yuN
Ki lafz lafz huwaa aaj kal tabar meraa
Beshak sachchi ki rooh hoNgi janab.. jo tabar chalaa rahi hai .. bahut khoob daad Holool ( ghul mil jaana) tabar ( jis se lakDee kaTtey hain)
Sadaa e sidq ka hassaas ye asar dekhaa
Sukhan se dostee dushman huwaa bashar meraa
Achcha Maqta hai janab daad.. sadaa e sidq ( sach ki aawaaz ) sukhan ( kalaam )