BADHAANE MEN LAGAA HA.........................SAINI

by sksaini4 on July 24, 2016, 03:16:17 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 811 times)
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
Reply with quote
Saazish meraa raqeeb rachaane meN lagaa hai.
Meraa vajood jad se mitaane meN lagaa hai.

Paisaa kisee bhee dhang se kamaane meN lagaa hai.
Har koi do ke chaar banaane meN lagaa hai.

Pechhe  mujhe dhakel ke nazroN meN kisee kee .
Vo roz apne qad ko badhaane meN lagaa hai.

Naadaan ladkee pyaar meN kyooN uske fansee hai.
Chidiyaa nayee jo roz fansaane meN lagaa hai.

Khud ke to bas kaa kuchh naheeN kuchh karke dikhaanaa.
Vo doosroN ke eb ginaane meN lagaa hai.

Khud ko samajh liyaa thaa kabhee khaas tumharaa.
Arsaa mujhe  bharam ye mitaane meN lagaa hai.

AsaaN naheeN hai aaj  bhee 'saini' ko samajhnaa.
Har pal naye khyaal sunaane meN lagaa hai.

Dr.Surendra Saini

साज़िश मेरा रक़ीब रचाने में लगा है |
मेरा वजूद जड़ से मिटाने  में लगा है ||

पैसा किसी भी ढंग से कमाने  में लगा है |
हर कोई दो के चार बनाने  में लगा है ||

पीछे मुझे धकेल के नज़रों में किसी की |
वो रोज़ अपने क़द को बढाने  में लगा है ||

नादान लडकी प्यार में क्यूँ उसके फंसी है |
चिड़िया नयी जो रोज़ फंसाने  में लगा है ||

ख़ुद के तो बस का कुछ नहीं कुछ करके दिखाना |
वो दूसरों के एब गिनाने  में लगा है ||

ख़ुद को समझ लिया था कभी ख़ास तुम्हारा |
अरसा मुझे भरम  ये मिटाने  में लगा है ||

आसाँ नहीं है आज भी 'सैनी' को समझना |
हर पल नए ख़याल सुनाने  में लगा है ||

डा० सुरेन्द्र सैनी
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #1 on: July 24, 2016, 01:42:45 PM »
Reply with quote
Saazish meraa raqeeb rachaane meN lagaa hai.
Meraa vajood jad se mitaane meN lagaa hai.

Paisaa kisee bhee dhang se kamaane meN lagaa hai.
Har koi do ke chaar banaane meN lagaa hai.

Pechhe  mujhe dhakel ke nazroN meN kisee kee .
Vo roz apne qad ko badhaane meN lagaa hai.

Naadaan ladkee pyaar meN kyooN uske fansee hai.
Chidiyaa nayee jo roz fansaane meN lagaa hai.

Khud ke to bas kaa kuchh naheeN kuchh karke dikhaanaa.
Vo doosroN ke eb ginaane meN lagaa hai.

Khud ko samajh liyaa thaa kabhee khaas tumharaa.
Arsaa mujhe  bharam ye mitaane meN lagaa hai.

AsaaN naheeN hai aaj  bhee 'saini' ko samajhnaa.
Har pal naye khyaal sunaane meN lagaa hai.

Dr.Surendra Saini

साज़िश मेरा रक़ीब रचाने में लगा है |
मेरा वजूद जड़ से मिटाने  में लगा है ||

पैसा किसी भी ढंग से कमाने  में लगा है |
हर कोई दो के चार बनाने  में लगा है ||

पीछे मुझे धकेल के नज़रों में किसी की |
वो रोज़ अपने क़द को बढाने  में लगा है ||

नादान लडकी प्यार में क्यूँ उसके फंसी है |
चिड़िया नयी जो रोज़ फंसाने  में लगा है ||

ख़ुद के तो बस का कुछ नहीं कुछ करके दिखाना |
वो दूसरों के एब गिनाने  में लगा है ||

ख़ुद को समझ लिया था कभी ख़ास तुम्हारा |
अरसा मुझे भरम  ये मिटाने  में लगा है ||

आसाँ नहीं है आज भी 'सैनी' को समझना |
हर पल नए ख़याल सुनाने  में लगा है ||

डा० सुरेन्द्र सैनी

bahut bahut hee umda qalaam hai Janaab bas waah hee waah, dheron daad w/ RAU.
 toothy4 toothy4 toothy4 toothy4 toothy4 toothy4 toothy4 toothy4 toothy4
                Clapping Smiley Thumbs UP Clapping Smiley Thumbs UP Clapping Smiley Thumbs UP Clapping Smiley Thumbs UP Clapping Smiley Thumbs UP Clapping Smiley Thumbs UP Clapping Smiley Thumbs UP Clapping Smiley
Logged
lovely_charan
Guest
«Reply #2 on: July 25, 2016, 05:22:54 AM »
Reply with quote
bahut khub sir...
bahut hi khubsurati se apne duniya ka sach likha hai..
aaj har ek isi umeed me rehta hai..
it's so true and beautiful...
ultimate one of the best poetry in the forum..
+1
Logged
Syed Mohd Mahzar
Guest
«Reply #3 on: July 27, 2016, 07:44:37 AM »
Reply with quote
Saini ji,
              lajawaab ghazal kahi hai, meri janib se eyk "rau" qubool farmayein...............
                Syed Mohd Mahzar
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #4 on: July 28, 2016, 10:33:13 AM »
Reply with quote
Saazish meraa raqeeb rachaane meN lagaa hai.
Meraa vajood jad se mitaane meN lagaa hai.

Paisaa kisee bhee dhang se kamaane meN lagaa hai.
Har koi do ke chaar banaane meN lagaa hai.

Pechhe  mujhe dhakel ke nazroN meN kisee kee .
Vo roz apne qad ko badhaane meN lagaa hai.

Naadaan ladkee pyaar meN kyooN uske fansee hai.
Chidiyaa nayee jo roz fansaane meN lagaa hai.

Khud ke to bas kaa kuchh naheeN kuchh karke dikhaanaa.
Vo doosroN ke eb ginaane meN lagaa hai.

Khud ko samajh liyaa thaa kabhee khaas tumharaa.
Arsaa mujhe  bharam ye mitaane meN lagaa hai.

AsaaN naheeN hai aaj  bhee 'saini' ko samajhnaa.
Har pal naye khyaal sunaane meN lagaa hai.

Dr.Surendra Saini

साज़िश मेरा रक़ीब रचाने में लगा है |
मेरा वजूद जड़ से मिटाने  में लगा है ||

पैसा किसी भी ढंग से कमाने  में लगा है |
हर कोई दो के चार बनाने  में लगा है ||

पीछे मुझे धकेल के नज़रों में किसी की |
वो रोज़ अपने क़द को बढाने  में लगा है ||

नादान लडकी प्यार में क्यूँ उसके फंसी है |
चिड़िया नयी जो रोज़ फंसाने  में लगा है ||

ख़ुद के तो बस का कुछ नहीं कुछ करके दिखाना |
वो दूसरों के एब गिनाने  में लगा है ||

ख़ुद को समझ लिया था कभी ख़ास तुम्हारा |
अरसा मुझे भरम  ये मिटाने  में लगा है ||

आसाँ नहीं है आज भी 'सैनी' को समझना |
हर पल नए ख़याल सुनाने  में लगा है ||

डा० सुरेन्द्र सैनी




waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa aaaaaaaaaaaaaaaaaah   rau baad mein janaab:clap: Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #5 on: July 29, 2016, 10:59:42 AM »
Reply with quote


waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa aaaaaaaaaaaaaaaaaah   rau baad mein janaab:clap: Applause Applause Applause Applause Applause Applause


rau de diya janaab
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #6 on: July 29, 2016, 05:25:20 PM »
Reply with quote
shukriya surindran ji
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #7 on: July 30, 2016, 02:42:32 AM »
Reply with quote
thanks charan ji
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:11:03 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer