barso puraana woh ek manzar nahi jaata........irshad ahmed siddiqui

by irshad ahmed siddiqui on November 13, 2010, 07:00:40 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1836 times)
irshad ahmed siddiqui
Guest
Reply with quote
barso puraana woh ek manzar nahi jaata
kyu uski yaado.n ka samundar nahi jaata

dil ki duniya jaati rahi raftaa raftaa
hai jo seene me dard-e-jigar nahi jaata

yun to hum bhi rahte hain ek hi shaher me
jaane kyu us tak mera mukaddar nahi jaata

mar jaate hai.n har roz parvaane shamma par
kabhi chandni ko chhod kar qamar nahi jaata

sabke apne apne usool hote hai hai.n "irshad"
woh jaata bhi hai to meri rah gujar nahi jaata

             ||irshad ahmed siddiqui||
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tum se dil lagane ko jii chahata hai........irshad ahmed siddiqui by irshad ahmed siddiqui in Ghazals
Hume.n bhi koii apna samjhe wo dar chahate hai.n .... irshad ahmed siddiqui by irshad ahmed siddiqui in Ghazals
Ek tasveer purani.............by irshad ahmed siddiqui by irshad ahmed siddiqui in Ghazals
Tamaam umr teri aarzu me hum rahe....Irshad ahmed siddiqui by irshad ahmed siddiqui in Ghazals
barso puraana wo manzar※※※※※ by sarfira in Shayri for Khumar -e- Ishq
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #1 on: November 13, 2010, 07:35:35 PM »
Reply with quote
nice
barso puraana woh ek manzar nahi jaata
kyu uski yaado.n ka samundar nahi jaata

dil ki duniya jaati rahi raftaa raftaa
hai jo seene me dard-e-jigar nahi jaata

yun to hum bhi rahte hain ek hi shaher me
jaane kyu us tak mere mukaddar nahi jaata

mar jaate hai.n har roz parvaane shamma par
kabhi chandni ko chhod kar qamar nahi jaata

sabke apne apne usool hote hai hai.n "irshad"
woh jaata bhi hai to meri rah gujar nahi jaata

             ||irshad ahmed siddiqui||

Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #2 on: November 14, 2010, 04:50:28 AM »
Reply with quote
haathon me paimaana liye bethe hain,
koi dekhe to samjhe piye bethe hain....
zindagi bhar ke liye rooth kar jaanewale,
hum aaj bhi tumhari tasveer
haathon me liye bethe hain...
*****ALTAAF RAAJA*****
Logged
Intezar
Guest
«Reply #3 on: November 14, 2010, 10:33:37 AM »
Reply with quote
bahut achha Irshad bhai... !

Intezar !
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #4 on: November 14, 2010, 06:11:02 PM »
Reply with quote
Irshad Sahab Aadaab O tasleemat:)

Aapki kalaam behad umdaa lagi hume... waqai khayaaloN ke purzor motiyoN se piroye hai aapne is kalaam ke ashaar:)

Behad klhoob daad janab Usual Smile

Chaliye aapki kalaam per aate hai....           



barso puraana woh ek manzar nahi jaata
kyu uski yaado.n ka samundar nahi jaata

Janab Aapke khayaal ko dil se daad .. Usual Smile
Par janab samandar kahiN nahi jata... ? Is hisab se sher ka dusre misre meiN aapko tabdili karni padeNgi..

Aik surat humare zahen se ...

Barso purana aik woh manzar nahi jata
Rahaa jiske dil meiN uske ghar nahi jata               



dil ki duniya jaati rahi raftaa raftaa
hai jo seene me dard-e-jigar nahi jaata

Masha Allah Kia baat hai janab behad khoob Daad hazir hai Usual Smile Dil ki dunia jati rahi rafta rafta waah Usual Smile         


yun to hum bhi rahte hain ek hi shaher me
jaane kyu us tak mere mukaddar nahi jaata

Oye hoye janab kia kahne waah jee waah kia baat kahi hai janab bahot umdaa behad khoob sekado daad hazir hai is per Usual Smile         


mar jaate hai.n har roz parvaane shamma par
kabhi chandni ko chhod kar qamar nahi jaata

Hmmm janab khayaal achcha hai daad per chandi bhi kai baar aasmaa per akeli nazar aati hai.. Yani Qamar chandni ke saath humesha nahi rahta...         


sabke apne apne usool hote hai hai.n "irshad"
woh jaata bhi hai to meri rah gujar nahi jaata

Waah janab kia kahne waah... Takhallus bhi behad umdaa tarikhe se istemaal hua hai aur sher bhi behad khoob raha daad hazir hai dil se kabool kijiye .....

Aise hi likhate rahiye......
Khush O aabad rahiye...
Khuda Hafez...... Usual Smile         



             ||irshad ahmed siddiqui||

Logged
zarra
Guest
«Reply #5 on: November 14, 2010, 07:35:53 PM »
Reply with quote
bahaut hi lutf aayaa padhkar irshaad ji. dil tootne ki khamosh sada hai ismeiN. doosara sher aur makta to khas taur se chaak dil ki faryaad bayaaN karte haiN.

meer ka sher yaad aayaa ...

dekh to dil ke jaaN se uthata hai
ye dhuaaN sa kahaaN se uthata hai
Logged
irshad ahmed siddiqui
Guest
«Reply #6 on: November 15, 2010, 06:51:34 PM »
Reply with quote
Assalam Alekum Mere tamaam dosto.n ko, jo aap logo ne mere kalaam ko pasand kiya....Parvaaz sahab aap ka bahut bahut shukriya aap mere ustaad ban kar aaye hai.n aur mujhe guide karte hai.n...... AAp tamaam logo ka tah e dil se shukriya.... Allah Hafiz.. Khush o Aabaad Rahiye..........
Logged
vipul kumar
Guest
«Reply #7 on: December 26, 2010, 08:07:38 PM »
Reply with quote
nice one.......
Logged
irshad ahmed siddiqui
Guest
«Reply #8 on: February 01, 2011, 06:08:36 PM »
Reply with quote
Janab Shihab saheb nawajish ke liye hazaaron dil se shukriya....Allah rabulizzaj aap ko khush o abaad rakhe..aamiin..
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 09:51:32 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer