~~"BASS BHOOL JAO MUJHE"~~by Shally.

by k.shael on July 07, 2009, 04:19:29 AM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 9130 times)
Talat
Guest
«Reply #15 on: July 07, 2009, 11:01:54 AM »
Reply with quote
Waah...Bohot Khoob Shally.....Na-ummeedi ke toofan se ladte hue kisi insaan ke jazbaat ko pesh kiya hai aapne...Bohot Khoob dear.  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~~"KHUD KO RULAYA MAINE"~~ Shally. by k.shael in Ghazals « 1 2 3 4 »
~~"JEHAR PILAATI HAI ZINDAGI"~~Shally. by k.shael in Ghazals « 1 2  All »
~~"CHEHRE SE PARDA UTHAO ZARA"~~ by Shally. by k.shael in Ghazals « 1 2 3  All »
~~"ANJAAM BAHUT DOOR HAI"~~by Shally. by k.shael in Ghazals « 1 2  All »
~~"TU JAB MUJHE SAJATA HAI"~~by Shally. by k.shael in Ghazals « 1 2  All »
Talat
Guest
«Reply #16 on: July 07, 2009, 11:03:28 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause

Bohot Khoob Khwaish, bohot hi zabardast reply....aur bohot bohot khoob Dost.
Logged
dead heart
Guest
«Reply #17 on: July 07, 2009, 12:27:28 PM »
Reply with quote
Wah Wah bahaut bahaut ghera ehsaas likha hai Shally...Itna dard bayan kiya hai ke kya kahoon... Applause Applause Applause Applause
Logged
dead heart
Guest
«Reply #18 on: July 07, 2009, 12:33:59 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Bahut Khooooob Shally!!!

Itna Dard Hai iss Ghazal Mein Ke Kya Kahen...Bahut Maayusi Aur Gehre Ehsaas Hai Iss nazm Mein..

Har Ek Lafz Apni-Apni Dastaan Keh raha Tha...

Bahut Ache Dost!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Iss Ghazal Ko padhkar Kuch likhna Chaahta Hoon...Umeed Karta Hoon,Aap Ko Aur Sab ko Pasand Aaye....


Dard Mein Rehkar Bhi Yuh Muskurayo Mat!!
Jo Zakhm Dikh hi Jaate Hai,Unhe Chupayo Mat!!

Inn Aankhon Ko Ab Log Pathar Samajhte Hai To Samajne Do,
Hai Itni Si Guzaarish Ke Inhe Ab Aur Rulao mat!!

Naseeb Ka Khel Hi Hai Ke Log Milte-Bichadte Hai,
Yeh Sab Jaante Hai,Kasoor kiska Tha Yeh Sunao Mat!!

Khud Ko Naamuraad, Nacheez Naa Kaho,
Umeed Ke Diye jalte Hai har insaan Ke dil mein,
Unhe Iss Kadar Bujhayo Mat!!

Raah-E-Mohabbat Asaan Nahi Hai "Shally"
Jis Raah Paar Koi Manzil hi Nahi,
Uss Raah Par Apne Kadmon ko Yuh Jamaao Mat!!

Jo Baat Dil Se Nikal kar Zubaan Par Aa kar Rukh jaaye,
Keh Bhi Do!! Baaton Ko Apni Zubaan Tale Dabaao Mat!!

Jo Shaks Tera Ho Kar Bhi Tera Naa Ho Saka,
Usse To Dooriyan hi Bhali hai,
Uss Shaks Ko Paas Apne Kabhi Bulaao mat!!

"Khwaish" Kehta Hai Ke Teri Iss nazm mein Dard bahut Tha Eh dost!!
Par Zindagi Kabhi Yuh Tanha Kisi Ki Bhi Kat Thi nahi,
Jhooti Tasalliyon se Apne Dil ko Yuh Behlaao Mat!!

Wah Wah Wah Wah Khwahish dost...Bahaut bahaut acha reply tha yeh...dil se pada apke reply ko, dhadkano se samjha isse aur saanson ne apna liya...Applause Applause Applause
Logged
Jiya
Guest
«Reply #19 on: July 07, 2009, 01:52:43 PM »
Reply with quote
very nice,,, shally ji,,

kyun us manzil ke naa pane ka gum hai tujhe,
jo manzil teri e-dost, kabhi thi hi nahin ,
nazar utha ke dekh to phir se un raaho par,
ek aur manzil hai ,jise tune dekha hi nahin...

.............................. Jiya ...
Logged
Roja
Guest
«Reply #20 on: July 07, 2009, 02:06:19 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Shally dear, Khwaish bhaiya and Jiya
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #21 on: July 07, 2009, 03:58:24 PM »
Reply with quote


Dil me yaad banakar na sajao mujhe,
Ek pathar ki tarah pairo se thukrao mujhe,

Hai gujarish ki na hasao hothon ko,
Ched ke koi dard bhari baat rulao mujhe,

Hoo.n bahut mella sa insaan mein,
Kahiin door jangal me akela chod aao mujhe,

Na rakho mere naam ko khud me shamil,
Namuraad, Nacheez naam dekar bulao mujhe,

Nazar lagne se bachana hi hai to,
Badnaseeb naam ka kala tikka lagao mujhe,

Ta-umar na rona kahiin meri khatir Shally,
Dafna kar, sula kar, kabr me bass bhool jao mujhe..

Shally.
Shally ji!
I'm happy, you're now swimming well on the waves of Poetic/rhythmic river of love! This is an admirable composition!
            - abd bundeli
Logged
k.shael
Guest
«Reply #22 on: July 08, 2009, 04:33:43 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Shally Ji
N nice presentation

Shukriya Rajesh Ji, Aapne ghazal ko waqt diya aur saraha..aacha laga

Shally.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #23 on: July 08, 2009, 05:23:59 AM »
Reply with quote
Wow Shally ji,marvelous,very beautiful creation,kamaal ke likhti hai aap,
 icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley :love4:excellent.

Shukriya Madhu dear, aap ne itna pasandh kiya ghazal ko..

Shally.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #24 on: July 08, 2009, 05:43:20 AM »
Reply with quote
wow good work shally and Khwaish ji
Logged
k.shael
Guest
«Reply #25 on: July 08, 2009, 05:49:51 AM »
Reply with quote
Behad Dard Bhari Hai Ghazal Tumhaara, Kamaal Ka Likha Hai Yaar, Bohat Achche,.
Yunhi LIkhte Rehna, May Allah Bless You,.

Shukriya Azeem Ji, Ghazal ke dard ko samjhne aur sarahne ke liye..

Shally.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #26 on: July 08, 2009, 08:14:28 AM »
Reply with quote
Shally, bahut khoob likha hai,accha laga padke

Shukriya Sager ji, Aapko padke aacha laga ye jankar hame khushi hui..

Shally.
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #27 on: July 08, 2009, 08:17:51 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Bahut Khooooob Shally!!!

Itna Dard Hai iss Ghazal Mein Ke Kya Kahen...Bahut Maayusi Aur Gehre Ehsaas Hai Iss nazm Mein..

Har Ek Lafz Apni-Apni Dastaan Keh raha Tha...

Bahut Ache Dost!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Iss Ghazal Ko padhkar Kuch likhna Chaahta Hoon...Umeed Karta Hoon,Aap Ko Aur Sab ko Pasand Aaye....


Dard Mein Rehkar Bhi Yuh Muskurayo Mat!!
Jo Zakhm Dikh hi Jaate Hai,Unhe Chupayo Mat!!

Inn Aankhon Ko Ab Log Pathar Samajhte Hai To Samajne Do,
Hai Itni Si Guzaarish Ke Inhe Ab Aur Rulao mat!!

Naseeb Ka Khel Hi Hai Ke Log Milte-Bichadte Hai,
Yeh Sab Jaante Hai,Kasoor kiska Tha Yeh Sunao Mat!!

Khud Ko Naamuraad, Nacheez Naa Kaho,
Umeed Ke Diye jalte Hai har insaan Ke dil mein,
Unhe Iss Kadar Bujhayo Mat!!

Raah-E-Mohabbat Asaan Nahi Hai "Shally"
Jis Raah Paar Koi Manzil hi Nahi,
Uss Raah Par Apne Kadmon ko Yuh Jamaao Mat!!

Jo Baat Dil Se Nikal kar Zubaan Par Aa kar Rukh jaaye,
Keh Bhi Do!! Baaton Ko Apni Zubaan Tale Dabaao Mat!!

Jo Shaks Tera Ho Kar Bhi Tera Naa Ho Saka,
Usse To Dooriyan hi Bhali hai,
Uss Shaks Ko Paas Apne Kabhi Bulaao mat!!

"Khwaish" Kehta Hai Ke Teri Iss nazm mein Dard bahut Tha Eh dost!!
Par Zindagi Kabhi Yuh Tanha Kisi Ki Bhi Kat Thi nahi,
Jhooti Tasalliyon se Apne Dil ko Yuh Behlaao Mat!!



Fantastic.. Khwaish ji.. bahoot bahoot Khoob likha hai .. bahoot Khoob!
Logged
k.shael
Guest
«Reply #28 on: July 09, 2009, 05:46:40 AM »
Reply with quote
kya baat hai shallyji....

bahut hi badiya likha hai aapne.



Shukriya Cara Ji, Apna keemti waqt dene aur iss ghazal ko sarhne ke liye..

Shally.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #29 on: July 09, 2009, 06:20:19 AM »
Reply with quote
wah kaya baat hai.. bahoot khoob shally
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
October 31, 2024, 04:16:53 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]

[October 29, 2024, 06:05:52 AM]

[October 27, 2024, 11:20:13 AM]

[October 27, 2024, 11:11:07 AM]

[October 27, 2024, 10:00:45 AM]

[October 27, 2024, 09:34:15 AM]

[October 19, 2024, 08:53:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8504 Real Poets and poetry admirer