~~"BASS BHOOL JAO MUJHE"~~by Shally.

by k.shael on July 07, 2009, 04:19:29 AM
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Author  (Read 9190 times)
k.shael
Guest
«Reply #30 on: July 14, 2009, 10:45:32 AM »
Reply with quote
Wah Wah Shally Dear.. Kya Baat hai.. Dard Ko Bakhoobi Bayan Kiya hai.. aapki Gazal Ko Padh kar Aisa Laga Ki Jaise Koi Bebas Ya Khud se Niraash Koi Insaan hai.. jo Sab se Door Chale Jaana chahta hai..!!

Insaan Ke Is Dard Ko Mehsoos kar Behad Hi Umda Alfaaz Pesh kiye hain aaapne.. Aur Lafzon Ka Chayan Bhi Lajawab hai.. Bahut Bahut Khoooooooob.... Applause Applause


Daad Kubool Karen...  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


**~** Mann **~**

Shukriya Mann Ji, Aapne to poori ghazal ko aache se samjh liya..

Shally.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~~"KHUD KO RULAYA MAINE"~~ Shally. by k.shael in Ghazals « 1 2 3 4 »
~~"JEHAR PILAATI HAI ZINDAGI"~~Shally. by k.shael in Ghazals « 1 2  All »
~~"CHEHRE SE PARDA UTHAO ZARA"~~ by Shally. by k.shael in Ghazals « 1 2 3  All »
~~"ANJAAM BAHUT DOOR HAI"~~by Shally. by k.shael in Ghazals « 1 2  All »
~~"TU JAB MUJHE SAJATA HAI"~~by Shally. by k.shael in Ghazals « 1 2  All »
k.shael
Guest
«Reply #31 on: July 14, 2009, 10:46:44 AM »
Reply with quote
Nawab Ji,

Bravo ! Excellent ! Applause Applause Applause

Lagta hai tumhara ek ghazlon ka show jaldi he organize karna padega Usual Smile

Keep it up Thumbs UP

Shukriya Nawab Ji, Aap thread par aaye hame bahut aacha laga.. notworthy

aur show jab organize karoge to uski ek ticket mujhe bhi dena plz.. Giggle

Shally.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #32 on: July 14, 2009, 10:48:35 AM »
Reply with quote
really a awesome creation shally .....
some times we really feel tht .its not worth living and we r just a looser.u really expressed the feel ......keep it up dear


mere ashqon ko behne kii izazat nahin
is liye main dil hi dil main rota tha
mere saaye ko bhi tujhse milne kii izazat nahin
isliye main har raat tujhe yaad kar k sota tha

Shukriya Salil, U got the right meaning of my ghazal..& bahut khoob hai aapki ye lines bhi..

Shally.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #33 on: July 14, 2009, 10:51:48 AM »
Reply with quote
Hello Shally Ji
Ghazal wakai achchhi hai, aapne apni shayari aur majboot kalam ka kamaal dikhaya hai.  Is bare me bahut kuchh Mann Saheb uper kah aaye hain.  Very good work, weldone.

Lekin itni nirasha bhi kisliye.  Sach kahen to ummeedon se bhari creations aap aur bhi achchhi likhti hain.  Aap positive attitude ki ghazals likhiye.  Ek filmi geet yaad aa raha hai--

Phool ban jaunga shart ye hai magar
apni zulfon me mujhko saja lijiye
Khwab ban jaungi shart ye hai magar
apni aankhon me mujhko basa lijiye

SARVESH RASTOGI

Shukriya Sarvesh Ji, Aapne apna keemti waqt hame diya..sarvesh sach kahoo.n to kaafi dino se khud ko dard bhare lafzo se door hi rakha tha, par kehte hai na jo cheez dil se lekar rooh tak utari ho use aap chod nahi sakte..isi liye kaafi dino baad ye ghazal post ki to u laga mano roo ko sakoon mila..

well mein jaroor koshish karoongi khumaar me likhte rehne ki..
song ki lines bahut hi pyaari lagi hame..

Shally.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #34 on: July 14, 2009, 10:53:28 AM »
Reply with quote
Wow shally bahut hi acha likhi ho..yun likhte rah na...

Shukriya Poonam Didi, Kaafi dino baad aap mere kisi thread par aayi aacha laga..u hi sath deti rahiyega..

Shally.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #35 on: July 14, 2009, 10:54:41 AM »
Reply with quote
Bahot hi khoob likha hai aapne Shael ji,
dard se sarabor aur behad achi kavita likha hai aapne
bahot khoob

Shukriya Kaash Ji, Sarahne ke liye, janab dard jab dil me bahut hai to lafzo me to utar hi aayega..

Shally.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #36 on: July 14, 2009, 10:55:47 AM »
Reply with quote
waah Waah Bahoot bahoot khoob Shally bahoot hi gehra ehsaas pesh liya hai... Bahoot Khoob!

Shukriya Sophi dear, Sahi kaha aapne bahut gehra ehsaas hai dil ka bhui aur zindagi ka bhi..

Shally.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #37 on: July 14, 2009, 11:00:20 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Bahut Khooooob Shally!!!

Itna Dard Hai iss Ghazal Mein Ke Kya Kahen...Bahut Maayusi Aur Gehre Ehsaas Hai Iss nazm Mein..

Har Ek Lafz Apni-Apni Dastaan Keh raha Tha...

Bahut Ache Dost!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Iss Ghazal Ko padhkar Kuch likhna Chaahta Hoon...Umeed Karta Hoon,Aap Ko Aur Sab ko Pasand Aaye....


Dard Mein Rehkar Bhi Yuh Muskurayo Mat!!
Jo Zakhm Dikh hi Jaate Hai,Unhe Chupayo Mat!!

Inn Aankhon Ko Ab Log Pathar Samajhte Hai To Samajne Do,
Hai Itni Si Guzaarish Ke Inhe Ab Aur Rulao mat!!

Naseeb Ka Khel Hi Hai Ke Log Milte-Bichadte Hai,
Yeh Sab Jaante Hai,Kasoor kiska Tha Yeh Sunao Mat!!

Khud Ko Naamuraad, Nacheez Naa Kaho,
Umeed Ke Diye jalte Hai har insaan Ke dil mein,
Unhe Iss Kadar Bujhayo Mat!!

Raah-E-Mohabbat Asaan Nahi Hai "Shally"
Jis Raah Paar Koi Manzil hi Nahi,
Uss Raah Par Apne Kadmon ko Yuh Jamaao Mat!!

Jo Baat Dil Se Nikal kar Zubaan Par Aa kar Rukh jaaye,
Keh Bhi Do!! Baaton Ko Apni Zubaan Tale Dabaao Mat!!

Jo Shaks Tera Ho Kar Bhi Tera Naa Ho Saka,
Usse To Dooriyan hi Bhali hai,
Uss Shaks Ko Paas Apne Kabhi Bulaao mat!!

"Khwaish" Kehta Hai Ke Teri Iss nazm mein Dard bahut Tha Eh dost!!
Par Zindagi Kabhi Yuh Tanha Kisi Ki Bhi Kat Thi nahi,
Jhooti Tasalliyon se Apne Dil ko Yuh Behlaao Mat!!


Shukriya Khwaish Ji, thread ko padne aur sarahne ke liye..!!!

Aur wah wah wah kya khoob lines add ki hai aapne, meri ghazal ko takkar deti ye lines mere lafzo ko bhi feeka kar gayi bahut hi umda likha aapne..sach me bahut koshish ki par inn lines ka jawab nahi likh paa rahi hoo.n maafi ki haqdaar hoo.n!!!!..

Shally.
Logged
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 09:39:30 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer