sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
|
Agarche aam logoN se to baazee maar jaataa hooN. Magar maiN apne pyaaroN se hameshaa haar jaataa hooN.
KarooN maiN doosroN ko hart ye maqsid naheeN meraa. NaheeN sharm-o-hayaa ke daayre ke paar jaataa hooN.
Mujhe maaloom hai inkaar hee mujhko karegaa vo. MaiN thahraa baawlaa us dar pe baarambaar jaataa hooN.
Zaraa see baat ko lekar mujhe apno ne thukraayaa. Tabhee to dhoondhne ghairoN meN aksar pyaar jaataa hooN.
Nashaa taaree hai mujh par is tarah kuchh ishq kaa tere. Teree khusboo ke peechhe chhod kar ghar-baar jaataa hooN.
Kisee sahraa meN maiN pyaase hiran saa dhoondhne paanee. Kabhee is paar aataa hooN kabhee us paar jaataa hooN.
Agarche roz ‘saini ‘mujhko samjhaataa bahut dil se. SaraaboN meN magar phir bhee maiN pad ke haar jaataa hooN. Dr.Surendra Saini
अगरचे आम लोगों से तो बाज़ी मार जाता हूँ । मगर मैं अपने प्यारों से हमेशा हार जाता हूँ ॥
करूँ मैं दूसरों को हर्ट ये मक़्सिद नहीं मेरा । नहीं शर्म-ओ -हया के दायरे के पार जाता हूँ ॥
मुझे मालूम है इन्कार ही मुझको करेगा वो । मैं ठहरा बावला उस दर पे बारम्बार जाता हूँ ॥
ज़रा सी बात को लेकर मुझे अपनों ने ठुकराया । तभी तो ढूँढने ग़ैरों में अक्सर प्यार जाता हूँ ॥
नशा तारी है मुझ पर इस तरह कुछ इश्क़ का तेरे । तेरी ख़ुशबू के पीछे छोड़ कर घर -बार जाता हूँ ॥
किसी सहरा में मैं प्यासे हिरन सा ढूँढने पानी । कभी इस पार आता हूँ कभी उस पार जाता हूँ ॥
अगरचे रोज़ 'सैनी' मुझको समझाता बहुत दिल से । सराबों में मगर फिर भी मैं पड के हार जाता हूँ ॥
डा० सुरेन्द्र सैनी
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
saahill
Mashhur Shayar
Rau: 86
Offline
Waqt Bitaya:147 days, 16 hours and 48 minutes.
Posts: 18608 Member Since: Jun 2009
|
|
«Reply #1 on: October 18, 2013, 05:52:35 PM » |
|
waah waah waah waah sir kya khub likha hai aapne waah waah waah waah
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Ram Saraswat
Khususi Shayar
Rau: 26
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:10 days, 7 hours and 12 minutes.
Posts: 999 Member Since: Apr 2008
|
|
«Reply #2 on: October 18, 2013, 05:56:10 PM » |
|
Mujhe maaloom hai inkaar hee mujhko karegaa vo. MaiN thahraa baawlaa us dar pe baarambaar jaataa hooN. Zaraa see baat ko lekar mujhe apno ne thukraayaa. Tabhee to dhoondhne ghairoN meN aksar pyaar jaataa hooN. Bahut Khoob Dr. Saini.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
RAJAN KONDAL
Guest
|
|
«Reply #3 on: October 18, 2013, 05:56:28 PM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sidra04
Guest
|
|
«Reply #4 on: October 18, 2013, 06:11:13 PM » |
|
KarooN maiN doosroN ko hart ye maqsid naheeN meraa. NaheeN sharm-o-hayaa ke daayre se ke paar jaataa hooN
waahhhh... is sher me "hurt" ka istemaal bahot khoob raha..
Mujhe maaloom hai inkaar hee mujhko karegaa vo. MaiN thahraa baawlaa us dar pe baarambaar jaataa hooN
Nashaa taaree hai mujh par is tarah kuchh ishq kaa tere. Teree khusboo ke peechhe chhod kar ghar-baar jaataa hooN.
yahi to muhabbat hai huzoor
Kisee sahraa meN maiN pyaase hiran saa dhoondhne paanee. Kabhee is paar aataa hooN kabhee us paar jaataa hooN
waahh kya kehne... ek se ek sher hue hain saini saahab... kyaa kehne, laajwaab... bahot khoob bahot aalaa...
daad pesh hain... sidra
|
|
|
Logged
|
|
|
|
khujli
Guest
|
|
«Reply #5 on: October 18, 2013, 06:12:21 PM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
srishti raj chintak
Maqbool Shayar
Rau: 6
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:3 days, 11 hours and 35 minutes.
Posts: 597 Member Since: Feb 2013
|
|
«Reply #6 on: October 18, 2013, 06:42:59 PM » |
|
Agarche aam logoN se to baazee maar jaataa hooN. Magar maiN apne pyaaroN se hameshaa haar jaataa hooN.
KarooN maiN doosroN ko hart ye maqsid naheeN meraa. NaheeN sharm-o-hayaa ke daayre se ke paar jaataa hooN.
Mujhe maaloom hai inkaar hee mujhko karegaa vo. MaiN thahraa baawlaa us dar pe baarambaar jaataa hooN.
Zaraa see baat ko lekar mujhe apno ne thukraayaa. Tabhee to dhoondhne ghairoN meN aksar pyaar jaataa hooN.
Nashaa taaree hai mujh par is tarah kuchh ishq kaa tere. Teree khusboo ke peechhe chhod kar ghar-baar jaataa hooN.
Kisee sahraa meN maiN pyaase hiran saa dhoondhne paanee. Kabhee is paar aataa hooN kabhee us paar jaataa hooN.
Agarche roz ‘saini ‘mujhko samjhaataa bahut dil se. SaraaboN meN magar phir bhee maiN pad ke haar jaataa hooN. Dr.Surendra Saini
अगरचे आम लोगों से तो बाज़ी मार जाता हूँ । मगर मैं अपने प्यारों से हमेशा हार जाता हूँ ॥
करूँ मैं दूसरों को हर्ट ये मक़्सिद नहीं मेरा । नहीं शर्म-ओ -हया के दायरे के पार जाता हूँ ॥
मुझे मालूम है इन्कार ही मुझको करेगा वो । मैं ठहरा बावला उस दर पे बारम्बार जाता हूँ ॥
ज़रा सी बात को लेकर मुझे अपनों ने ठुकराया । तभी तो ढूँढने ग़ैरों में अक्सर प्यार जाता हूँ ॥
नशा तारी है मुझ पर इस तरह कुछ इश्क़ का तेरे । तेरी ख़ुशबू के पीछे छोड़ कर घर -बार जाता हूँ ॥
किसी सहरा में मैं प्यासे हिरन सा ढूँढने पानी । कभी इस पार आता हूँ कभी उस पार जाता हूँ ॥
अगरचे रोज़ 'सैनी' मुझको समझाता बहुत दिल से । सराबों में मगर फिर भी मैं पड के हार जाता हूँ ॥
डा० सुरेन्द्र सैनी
मै आपकी शायरी पर वारी जाता हूँ
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Bishwajeet Anand Bsu
Guest
|
|
«Reply #7 on: October 18, 2013, 07:51:17 PM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ParwaaZ
Guest
|
|
«Reply #8 on: October 18, 2013, 09:39:10 PM » |
|
Saini Sahaab Aadaab...!
WaaH janab waaH kia kahne behad gazab ke ashaar rahe jee... bade hi dikash aur khoobsurat ...
Is khoob kalaam par humari dheroN dili daad o mubbarakbad kabul kijiye...
Likhate rahiye... bazm meiN aate rahiye... Shaad O aabaad rahiye...
Khudaa Hafez...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
aqsh
Guest
|
|
«Reply #9 on: October 18, 2013, 10:09:03 PM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
laaiba
Guest
|
|
«Reply #10 on: October 18, 2013, 10:13:36 PM » |
|
khoobsoorat kalaa.m sir saini jee as ususal geat thoughts,... bohat c daad,.................
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mkv
Guest
|
|
«Reply #11 on: October 19, 2013, 01:30:02 AM » |
|
Nashaa taaree hai mujh par is tarah kuchh ishq kaa tere. Teree khusboo ke peechhe chhod kar ghar-baar jaataa hooN. bahut khoob Sir
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
«Reply #12 on: October 19, 2013, 08:08:55 AM » |
|
shukriya sahil
|
|
|
Logged
|
|
|
|
nandbahu
Mashhur Shayar
Rau: 122
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553 Member Since: Sep 2011
|
|
«Reply #13 on: October 19, 2013, 09:25:14 AM » |
|
wah wah
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
«Reply #14 on: October 19, 2013, 12:41:28 PM » |
|
saraswat sir ji shukriya
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|