Beta bhi muflisi ko samjhne laga hai ab ( Qadeertoopchi)

by qadeer_junaid on May 26, 2011, 12:40:45 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 3210 times)
ParwaaZ
Guest
«Reply #15 on: June 06, 2011, 08:28:14 AM »
Reply with quote
Qadeer Sahaab Aadaab!


Khush naseebi humari jo aapki khubsurat kalaam se
ruberu hone ka mouka aapne hume aata kiya Usual Smile

Janab aapki kalam ke kia kahne waah waah waah Usual Smile
Behad umda Gazal se bazm ko nawaaza hai aapne Usual Smile



Yaarane bazm aadab o tasleemat...

muddat baad apki is mahefil me aana naseeb howa ,, meri tazah o muqtasar si ghazal ap sub hazrat ki nazar umid hai pasand aayegi ..



Kagaz ki kashtiyo.N se Bahelne laga hai ab
Beta bhi muflisi ko samajhne laga hai ab

Kia baat hai janab behad dilfareb matla kaha hai daad daad daad  Applause Applause

Purkho.N ke maal pe jo ke magroor tha kabhi
Kashkool haat me liye phirne laga hai ab

Behad sahiN farmaya janab daad Usual Smile

Kya maikade ko jaunga mai chhod ke usse
shab se hi pahele chaand sanwarne laga hai ab

Waah janab waah bahut khoob daad daad daad Usual Smile

Aise naseeb paaye hain tone ke kya kaho.N
goodi me tere chaand utarne laga hai aab

Waah janab waah ! Mubarak ho Usual Smile Unko jinki godi meiN chand utarne wala hai Usual Smile

Ik baat thi ke jispe kabhi ghar nahi gaaye
Bache ki tarha.N dil kyun machalne laga hai ab..

Waah Qadeer sahaab kia kahne janab dil cheer dil aapke is ashaar ne ... HazaaroN daad hazir hai is umdaa aur dilfareb sher par .. Usual Smile

---------Qadeertoopchi..................

Qadeer Sahaab is khubsurat dilfareb murrasa Gazal par dil ki gehrai se hazaaroN daad kabul kijiye....

Ate rahiye...
Likhate rahiye... Khush O aabaad rahiye..
DuaaoN meiN yaad rakhiye.. Usual Smile
Khuda Hafez Usual Smile
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #16 on: June 06, 2011, 09:23:16 AM »
Reply with quote
wah wah wah janab qadeer junaid saheb!

Kamaal ki peshkash, aik aik sher ki sheriyat bemicaal hai aur janab matla to haasil-e-ghazal hai. Matle ko paRhkar aisa mehsoos hua jaise aapne gaagar meiN saagar bhar diya ho. Aisi purkashish ghazal k liye dili mubarakbaad aur hazaroN daad qubul kijiye.

(waquif ansari)

Yaarane bazm aadab o tasleemat...

muddat baad apki is mahefil me aana naseeb howa ,, meri tazah o muqtasar si ghazal ap sub hazrat ki nazar umid hai pasand aayegi ..



Kagaz ki kashtiyo.N se Bahelne laga hai ab
Beta bhi muflisi ko samajhne laga hai ab

Purkho.N ke maal pe jo ke magroor tha kabhi
Kashkool haat me liye phirne laga hai ab

Kya maikade ko jaunga mai choor ke usse
shab se hi pahele chaand sanwarne laga hai ab

Aise naseeb paaye hain tone ke kya kaho.N
goodi me tere chaand utarne laga hai aab

Ik baat thi ke jispe kabhi ghar nahi gaaye
Bache ki tarha.N dil kyun machalne laga hai ab..


---------Qadeertoopchi..................
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #17 on: June 07, 2011, 07:22:01 AM »
Reply with quote
Mere bhai tumne to Matle me hi khareed liya Ghayel ki zaat ko......kya kahu yaar chota muh badi baat hai bas.



bhai sajid sahab tasleemat ,,,

apki taherir apke zinda dil hone dalalat kar rahi hai ..apke husn-e-zaan ko salam ,, allah apko do jahan ki barkaton se nawaze..khush rahen

khadim

qadeertoopchi
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:27:53 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer