Bewa Aurat Ko jo Dekha to ye Mahesos Howa ( Qadeertoopchi )

by qadeer_junaid on September 03, 2010, 11:34:44 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2351 times)
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
Reply with quote
Yaarane Bazm Addab, Meri ik tazah khaawish ap sub ki nazar  ..



Khuch bharosa hi nahi laut ke ghar ane tak
Mujhko jana hai sanam khane se maikhane tak

Raat bhari hai bahoth hijr mujhe maar na de
Saqiya mujh ko pila hosh chale jaane tak

Bewa aurat ko jo dekha to ye mahesos howa
Raunaq-e-shaq hai bus phool ke murjhane tak

Aye mere zabt tujhe mere usoolo.N ki kasam
Aankh ne chhalke meri unke chale jaane tak

Unpe marta hai “Qadeer”unko yaqeen kyun kar ho
Wo na manege Faqat  unki kasam khane tak .


Qadeertoopchi




[/b][/color]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ki aurat,aurat di dushman hai? by ranjeet_rp in Poetry for Life in Punjabi
Bewa Dulhan by javedarshad in Miscellaneous Shayri
Aurat......................(AD) by anjaan dharkan in Shairi - E - Zindagi
AAJ KI AURAT by Kagaj_Kamal in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
AURAT by sehajsamunder in Love Poetry in Punjabi
mamta bajpai
Guest
«Reply #1 on: September 03, 2010, 11:51:30 PM »
Reply with quote
BAHUT BAHUT BAHUT HEE UMDAH GAZAL...........JAWAAB NAHEEN......KHAYAALON KEE SAADGEE TO SEEDHE HEE DIL ME UTAR KAR GHAR KAR GAYEE........ALFAAZON KE KHOOBSURAT PHOOLON SE SUBAH SUBAH GAZAL KE GULSHAN KO MAHAKAANE KE LIYE HAZARHA DILI DAAD PESH E KHIDMAT HAI..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: September 04, 2010, 12:16:22 AM »
Reply with quote
Bohat Axhchi Ghazal Hai Qadeer Bhai jaan,
Har Baar Ki Tarah, Mashallah Is Baar Bhi Aapne Umdah Peshkash Ki Hai,.

May Allah bless you
Logged
dead heart
Guest
«Reply #3 on: September 04, 2010, 03:13:18 AM »
Reply with quote
Bahaut khoob Janab!
Bahaut acha likha hai!
Applause Applause Applause
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #4 on: September 04, 2010, 07:53:06 AM »
Reply with quote
Mere bhai yaar sach me kabhi kabhi bohat chota mehsoos karta hu aur haqeeqat bhi yahi hai, tum kisi se yeh kaho ke Ghayel mera dost hai yeh mere liye khushnasibi ki baat hai.

Bohat bohat khoobsurat rahi yeh peshkash......yu to har sher apni ek pehchaan liye huye hai......par 4th sher pasandeeda raha.

Duao me yaad rakhna mere bhai waise zarurat bhi hai aajkal hahahahahah ek nasamajh tabka apni bachkani harkato se mujhe neecha dikhana chah raha hai.
Logged
aaina
Guest
«Reply #5 on: September 04, 2010, 02:14:10 PM »
Reply with quote
aye mere zabt tujhay mere usooloN ki qasam
aankh na chlke meri, unke chale jaane tak

kya sher kaha hai yaar jawaab hi nahi hai, khoob aur bhut hi khoob sirf is sher ki tareef ka matlab ye nahi ke baaqi ke aashaar achay nahi haiN poori ghazal hi mashaAllah se bhut khoob magr ye sher dil ke paar utrne waala kaha hai jitni tareef ki jaaye wo kam hai hazaaroN daad aapke is lehje ki nazar qubool keejiye





aslam
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: September 04, 2010, 02:24:55 PM »
Reply with quote
Qadeer Bhai Jo Aapke kalaamo Ko tareef Sahi maayne Mein kar sake,Hum Woh lafz kaha Se laaye..Har Ek Aahaar gehre Aur lajawaab

"Aye Mere zabt Tujhe Mere Usoolon Ki kasam
Aankh naa Chalke Meri Unke Chale Jaane Tak"

Bahut bahut Aur Bahut Khoob Qadeer Bhai..

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #7 on: September 04, 2010, 03:23:54 PM »
Reply with quote
BAHUT BAHUT BAHUT HEE UMDAH GAZAL...........JAWAAB NAHEEN......KHAYAALON KEE SAADGEE TO SEEDHE HEE DIL ME UTAR KAR GHAR KAR GAYEE........ALFAAZON KE KHOOBSURAT PHOOLON SE SUBAH SUBAH GAZAL KE GULSHAN KO MAHAKAANE KE LIYE HAZARHA DILI DAAD PESH E KHIDMAT HAI..


mahutrama mamta saheba aadab ..

zarre ko aftaab , tinke ko taaj , khatre ko samandar .. har shai ko ik saan izzat dena koi apse sikhe .. apke husn-e-zaan ko salam ..sub ki apkiza nazron ka kamal warna to gareeb iska mustahiq nahi .. ap jaise sukhan shinaas se dad paa kar dil bagh bagh ho gaaya .. go ke apki mahubbaton ke badle bus duaen hi de sakta hon .. allah apko khush rakhe ..shad o abad rakhe ..


dua go

qadeertoopchi
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #8 on: September 04, 2010, 03:25:42 PM »
Reply with quote
Bohat Axhchi Ghazal Hai Qadeer Bhai jaan,
Har Baar Ki Tarah, Mashallah Is Baar Bhi Aapne Umdah Peshkash Ki Hai,.

May Allah bless you

bhai azeem aadab,

sub apki mahubbat hai jo kissi khabil samjhte ho app..umid hai ap bakhair honge .. allah apko khush rakhe ..


apka bhai

qadeertoopchi
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #9 on: September 04, 2010, 05:19:15 PM »
Reply with quote
Qadeer Sahab Aadaab Janab

Aapki ta'azaa kavish dekh kar hi dil shaad ho gaya janab..... Bahut umdaa Gazal se nawaza hai aapne is baar...Usual Smile

Dil ki gehrai se daad kabool kijiye.....
Aapke khayaaloN ki bariki ko samjh pana hum jaise na'daaN ka kaam nahi hai....           



Yaarane Bazm Addab, Meri ik tazah khaawish ap sub ki nazar  ..



Khuch bharosa hi nahi laut ke ghar ane tak
Mujhko jana hai sanam khane se maikhane tak

Masha Allah Kia baat kahi hai janab... Khane se maikhane tak... " bahut umdaa janab is itni si baat meiN meiN beej e sifar se shajar ki baat kah dii janab daad bahut umdaa....


Raat bhari hai bahoth hijr mujhe maar na de
Saqiya mujh ko pila hosh chale jaane tak

Kia baat hai, waqai sadgi se gazab dhaya hai janab Daad....         


Bewa aurat ko jo dekha to ye mahesos howa
Raunaq-e-shaq hai bus phool ke murjhane tak

Masha Allah Subhan Allah aapne jis khayaal ko jama pehnaya hai aur itne khubsurat lafzoN meiN pehnaya hai ke hazaaroN daad ke mushtahiq hai... Dil ki gehrai se daad janab:)


Aye mere zabt tujhe mere usoolo.N ki kasam
Aankh ne chhalke meri unke chale jaane tak

Oye hoye Masha Allah Masha Allah...... Dil shaad kar diyaa janab... bahut umdaa kia masoomiyat hai aapke is ahsaas O khayaal meiN.... Bus waah jee


Unpe marta hai “Qadeer”unko yaqeen kyun kar ho
Wo na manege Faqat  unki kasam khane tak .

Haye Allah! Yeh bhi kia baat huyi... Sanam ki masoomiyat ko tanz bana diye janab... Daad... Sher aur pur zor ho sakta tha humare khayal se...           

Qadeertoopchi

Janab is khubsurat khayaaloN bhari Gazal per dil se daad kabool kijiye....

Likhate rahiye......
Khush rahiye.......
Khuda hafez...... Usual Smile         




[/b][/color]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: September 04, 2010, 05:36:52 PM »
Reply with quote
wah wah wah'''

yeh char line dil chu gai...

Bewa aurat ko jo dekha to ye mahesos howa
Raunaq-e-shaq hai bus phool ke murjhane tak

Aye mere zabt tujhe mere usoolo.N ki kasam
Aankh ne chhalke meri unke chale jaane tak
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #11 on: September 04, 2010, 09:22:27 PM »
Reply with quote
Bahaut khoob Janab!
Bahaut acha likha hai!
Applause Applause Applause


Raheem sahab aadab ,,


Umid hai ap kahiriyat se honge ..dad ke liye mashkoor o mumnoo hon..allah apko khush rakhe ..


dua go

qadeertoopchi
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #12 on: September 04, 2010, 09:28:10 PM »
Reply with quote
Mere bhai yaar sach me kabhi kabhi bohat chota mehsoos karta hu aur haqeeqat bhi yahi hai, tum kisi se yeh kaho ke Ghayel mera dost hai yeh mere liye khushnasibi ki baat hai.

Bohat bohat khoobsurat rahi yeh peshkash......yu to har sher apni ek pehchaan liye huye hai......par 4th sher pasandeeda raha.

Duao me yaad rakhna mere bhai waise zarurat bhi hai aajkal hahahahahah ek nasamajh tabka apni bachkani harkato se mujhe neecha dikhana chah raha hai.


sajid sahab aadab,,

mere dost mere yaar ,, aise kahe ke mujhe sharmindah na karo..asl me ye meri khusnaseebi hai jo ap jaisa zindah dil insaan mera dost hai ..aur ye apki faraq dili hai jo gareeb ko kissi khabil samjhte ho ..

Ik baath ye arz karni thi ..

Kissi Bewaqof ke khuch kahe dene se agar ik Aql Mand insaan Bewaqofi ke Zumre me aa jata hai to apka sunchna jayez hai..Khuch chizo.N ka jawab sirf aur sirf khamoshi me hi hota hai..Samajh aya wah nahi to alhumdulilah ..is pe kaam chaliye sare kaam asaan ho jayenge ..

Dad ke azhd mashkoor o mumnoo hon ..allah apko khush rakhe ..dost o ahebab me salam o dua darja ba darja de den..


Dua go

Qadeertoopchi
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #13 on: September 05, 2010, 09:23:13 PM »
Reply with quote
A.Qadeer saheb.aapki ghazal nazar nawaaz hoi, ek bahot hi behtreen,nayaab,purkashish,umda,aala khayalaat se bharpur aur haqaaeq se murttab ki gai ghazal pe hazaarao daad..har sher aapke kamaal-e-fann ki daleel deraha hai,har sher pe hamari jaanib se dili daat qubool karein..aur aapne fann ki nayaab taqleeqaon se bazm ko roshan karte jaaen..
Logged
Qadeer.Toopchi
Guest
«Reply #14 on: September 25, 2010, 06:19:38 AM »
Reply with quote
aye mere zabt tujhay mere usooloN ki qasam
aankh na chlke meri, unke chale jaane tak

kya sher kaha hai yaar jawaab hi nahi hai, khoob aur bhut hi khoob sirf is sher ki tareef ka matlab ye nahi ke baaqi ke aashaar achay nahi haiN poori ghazal hi mashaAllah se bhut khoob magr ye sher dil ke paar utrne waala kaha hai jitni tareef ki jaaye wo kam hai hazaaroN daad aapke is lehje ki nazar qubool keejiye





aslam


Aslam Sahab aadab ,,

Takhir ke liye mazrat khaw hon ,, Wajhe app bahetar jaante hain .. Dad ke liye mashkoor o mumnoo hon .. Umid hai aage bhi issi tarhan apni mahubbaton se nawazte rahenge .. Allah apko hamesha khush rakhe ..


Dua go

Qadeertoopchi
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 04:03:16 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer